Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

    Originally posted by Rida View Post
    :thmbup:
    bari himmat hai ....main nay bhi perhnay ki koshish ki thi...:lpop:lakin....complete nahin kar saki:blush:
    awww...... mey to ye do nazmein asker perhti hun :D ........itni cool hein Rida...aap try zaroor kerna :thmbup:



    :kr:
    bari mushkil say hansi ctrl ki hai... :D

    :hehe:
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #77
      Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

      bohat khoob...:lpop:

      kafi acha ja rha hay Yellowsky app ka interview...:thmbup:

      mery pass bhe kuch Q hain.....:lpop:
      but kal pochoon gi ab...:D:

      tab tak intizar karein...:
      khush rahiy..

      Comment


      • #78
        Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

        Originally posted by yellowsky View Post
        walaikum Salam Rida! :rose

        1- Mujhey Zinia kehtey hein- ye aik phool hota hai- aur ghar pey bhi sab Zinia hi kehtey hein.

        2- 20th May, Tehran

        3- I am undergraduate student. Aur ab tak mey ney Pakistan system mey bhi perha hai, International system mey aur ab swiss system mey perh rahi hun.

        4- Din ka aghaz sab logoN ki tarhaN kerti hun bas kuch khas nahi ..... alarm band ker key :D.... Fajr perhti hun aur phir uni. jaaney key liye ready hoti hun. Week-ends pey late uthi hun like round 9h.

        5- Rida ye kaam baghair sochey samjhey kiya hai :D





        8- Mujhey sardiyoN ka mausam pasand hai. Qudrati NazaroN mey to sabhi, mujhey qudrat ki sabhi cheezeiN bohot payari lagti hein.... I just love nature.....in mey sab sey payara mujhey raat key baad jab subha hoti hai Fajr ka time, uss waqt sab sey pehley to Parindey boltey hein phir bohot madham madham si roshni shuru honey lagti hai, aur Suraj phir jab nikalna shuru hota hai to ibteyda mey redish orange hota hai ....uss time bohot payara lagta hai......aur phir finally uss ki roshni her taraf pheyl jati hai. Ye iss liye pasand hai key iss sab sey hamein ye ahsas hota hai key hamesha andheyrey aur MuskhileiN nahi rehti hein balkey roshniyaN bhi aati hein.

        9-
        • Pasandeeda Phool: white tulip :D
        • Pasandeeda Mashroob: Orange juice
        • Pasandeeda Khana: Boiled rice with Palak and Dahi ... :D (infact mujhey her kisam key chawal pasand hein ) iss key ilawa Pasta aur pizaa
        • Pasandeeda Rang: Violet, Olive, Pink .....
        • Pasandeeda leybass: Kameez Shalwar doppata
        10- meyri Nazar mey Sab sey khoobsurat Rishta Husband and Wife ka hai.

        11- week-ends pey Poorey din mey sab sey payara lamha wo lagta hai jab mey Kitchen mey hoti hun apni ami ki cooking mey help kerna ......aur unheiN apni kahaniyaN sunana aur un sey gup shup kerna ......aur weekdays mey wo waqt jo mey apney kamrey mey huN, apni marzi ki socheiN ....apni marzi key kaam :D

        12- Perhai key baad inshAllah mey as a journalist kaam kerna chahun gi. Kyun key mey apney mulk key liye aur Muslim ummah in general key liye kuch zaroor kerna chahti hun aur ye wo wahid field hai jis mey inshALlah mey kaam ker sakti hun

        13- Aeysa koi lamha nahi :)

        14- Pasandeeda Mulk: Pakistan, Pasandeeda sheyhar: Islamabad
        Mujhey Malaysia visit kerney ki khwahish hai. Iss key ilawa Saudi arabia Hajj to aik obligation hai to wo inshAllah must hai leykin mey wahan ka system wahan ki Royal family mey kuch time rehna chahti hun, just to see key jo Image in ka poori dunya mey bana hua hai waqai ye khud waisey hi hien ya us sey mukhtalif hein. ab tak koi aeysa yaad gaar safar nahi bana :)




        LogoN ko kabhi nahi perkha Rida, :)

        17- Respectful aur Simple log mujhey pasand hein. Jo aap ki bhi suneiN, aap ki batoN aur sochoN ko bhi utni hi ehmiyat deiN jitni apni baatoN aur sochoN ko deytey hein
        Ignorant aur disrespectful log mujhey bilkul bhi nahi achey lagtey hein.

        18- Farigh waqt jab kabhi milta hai to apni friends ko visit kerti hun. Apney Parents key gupshup ker key. Bha'ioN ka damagh kha key. :D

        19- Simplicity, sincerity, waqt ki pabandi

        20- Meyri tarbeeyat mey Waleydeyn ka aik jitna hath hai :D iss key ilawa meyri Naano (Allah T'ala unhein baksh dein Ameen) aur kuch kuch meyri sis ka aur ab meyra bhi :D lol



        22- Jab bhi koi massla ho, pareyshani ho ya kha makha hi dil udaas ho to sirf turn to Allah.


        23-
        1- MassloN per pareyshan hona chaur diya hai :D jaisey mey ney pehley bhi aik sawal key jawab mey mention kiya hai key mey solutions per kaam kerti hun ab Alhumdulillah...........to ye cheez mey ney seekhi hai.......aur iss mey Kamyab bhi rahi hun
        2- Pehley mey indecisive thi bohot ziada ......ab Allah Ka shukar hai i can take decisions by my own....
        3- Iss summer mey, Mein Arabic lang. seekhna chahti hun to ye aik target hai inshAllah issey achieve kerna hai
        4- long run mey Jab mey aik achi journalist ban jaoN gi :$ inshAllah
        5- aur aik achi Musalman bann'na cahun gi, agar worldly knowledge hai to mujhey Islamic knowledge bhi hasil kerni hai
        6- n aik aeysi beyti key hamesha meyrey Parents ko mujhey per fakhr ho :$ inshAllah


        24- Meyri nazar mey Zindagi.........Allah T'ala ki neymat bhi hai..... aur aik Imteyhani kamra bhi.......aik Amaal gah .......aik duration .....jis key ikhteymaam per hamein hamara result diya jaye ga ....
        Khushi, Ghum, Muhabbat :- Feelings ko alfaaz deyna mujhey nahi ata hai :) ....iss liye mey inhein define nahi ker sakti hun.....


        25- Ghar key kaam kerti hun bilkul ...... bohot regularly nahi magar week-ends pey ya jab dinner ya lunch ho ghar pey tab ....sab sey mushkil kaam mujhey Akeyley kaam kertey huye lagta hai :D.....cooking karun to mey chahti hun key bas Ami meyrey aas paas hi hoN aur baki kaam like safai and dusting ......ye bhai key sath mil ker ...........aur kabhi akeyley kerna perhey to Tv onnchi awaz mey laga key kerti hun......lol
        ye wahid reason hai key jab tak mey apna room apni sis key sath share kerti thi tab tak her cheez barhey saleekey sey hoti thi kamrey mey kyun key hum mil ker hi saari settings iss ko decor kertey they jab sey un ki shadi hui to tab sey hi kamrey ka hashar nashar banaye rakhti hun :hehe: ....... bas bikhra bikhra hi rehta hai.......im still working key mey waiey his issey organise rakhun magar deykhein kab tak iss mey poori tarhaN kamyab hoti hun.




        27- Mujhey kabhi nahi samaj ayi key aik Insaan aeysa ker hi kaisa sakta hai......doosroN key ehsaasaat majruh kerna un ka dil toRna .........leykin aeysey log iss dunya mey rehtey hein ......hamarey aas paas....... Aeysey logoN key liye kuch bhi nahi kehna chahun gi :) .............Allah T'ala hi heydayat deiN aeysey logoN ko.


        28- depend kerta hai key time meyrey paas kitna hai agar waqt kam ho aur kaam ziada ho to aik cup coffee leyti hun aur agar time ijazat dey to aik ghantey ki neend kafi hoti hai


        29- Ghussey mey agar alfaaz sath deiN to bolti hun warna khamosh rehti hun.

        30- Teen Achi adateiN
        1- Apni family aur friends key liye hamesha available hoti hun
        2- DoosroN ko maaf ker deyti hun
        3- Sincere hun
        Teen AadteiN jo badalna chahun
        1- kafi jaldi eteybaar ker leyti hun doosroN ka.....meyrey zeyhan ye accept nahi kerta hai key iss dunya mey log dhoka bhi deytey hein
        2- "NO" kehna mujhey nahi aata
        3- aaj kal meyri namaz ki timings kafi disturb hein to unhein phir sey time pey kerna hai inshALlah

        31-Mujhey kha'b deykhney bilkul achey lagtey hein, Kabhi kabhi insaan ko kha'b deykhney ki ayashi ker leyni chahiye leykin Kha'boN ki dunya mey nahi rehna chahiye. Kha'b bilkul sach ho saktey hein agar un ka un ka ta'luk aap ki Haqeeqat sey kareeb hoN.

        32- jee

        33- Sharmindgi iss sense mey key agar kisi sey kuch keh dun aur wo ghalt ho to mey sorry ker deyti hun.

        34- Pehley bohot dil bardashta ho jati thi aur wo kaam kerna hi chaur deyti thi jo key pehli try mey na ho. Magar ab Alhumdulillah koi massla hota hai to mey Massley pey nahi balkey us key hal pey sochti hun aur sirf aik try nahi hota hai balkey jab tak massla hal nahi hota hai tab tak different solutions try kerti hun. Iss sey Zindagi kafi asaan ho gai hai. Depression ka ilaj : Baat saari ye hai rida key hum log issey kha makha itni imp. deyni shuru ker di hai......aik Muslim psychologist key mutabiq un key paas aeysey patient aatey hein jo kehtey hien key hamein depression hai.....leykin asal mey iss sab sirf aik waja hoti hai wo hai apney deen sey doori.......aur ye baat sahih hai jis tarhan hamarey jism ko 3 waqt khaney ki zaroorat hoti hai ussi tarhan hamari Rooh ko bhi Ghiza ki zaroorat hoti hai.....yani Ibadat (5 waqt namaz)......dunya ki koi cheez bhi aap ka depression nahi khatam ker sakti hai .....ye kaam sirf insaan khud ker sakta hai........

        37- Pegham pey aik larki hoti hai. uss ka naam Aanchal hota hai :hehe: uss ki invitation pey :D

        38- Pegham key sabhi sections ki apni apni jaga aik ehmiyat hai. Members bhi achey hein. Internet pey infact Pegham pehla forum hai jahan Pakistani community key sath itni ziada interaction hui hai. Meyrey liye yahaN kafi ziada cheezeiN nayi thein. Kafi time bas heyran bhi hoti rahi hun :hehe: leykin Alhumdulillah kisi member sey as such koi sheykayat nahi hai. Magar Pegham key Admin sey kafi sheykayaaat hein .....

        39- Pegham key designers sey jo key itni zabardast designing kertey hein. :D sabhi members sey apni jaga mutasir hun....kisi ki creativity ki waja sey ...kisi ki beytukki baatoN ki waja sey :khi: ....Ummid sey is liye key wo salad Cook kerna janti hein :D ........Aanchal sey iss liye key wo kafi samajdaar hoti ja rahi hai ..uss ki tukka muhim bhi kafi kamyab hai :hehe: aur aik baat jo wo bohot achi kerti hai key
        " Kamyab insaan wo hota hai jo her cheez ko sath ley ker chaley"
        Hala sey iss liye key un ki Pashto lang. bohot zberdast hai

        40- Sirf yahi key Pegham key aik soch per takhleeq kiya gaya tha, aur mey chahun gi key Pegham key members iss ki team issey kabhi bhooley na.

        Members ko ye bhi key apney alfaaz ka khayal rakha karein ...baaz dafa bazahir wo choti si baat aik chota sa lafz hota hai leykin wo saamney waley ko bohot hurt ker jata hai. DoosroN ki feelings ka bhi bohot khayal rakha kareiN. Insaano ko kabhi ignore mat karein, jitni aap apni self respect ka khayal rakhtey hein utna hi doosroN ki self respect ka khayal rakheiN. Physical chot agar insaan ko lagti hai to wo do ya teen din mey theek ho jati hai magar agar kisi ki self respect ko aap hit karein gey to wo chaut aik arssey mey bhi nahi mundamil ho gi.


        Zindagi Allah T'ala ki bohot khoobsurat neymat hai. issey aeyes guzareiN key jab inshAllah Allah T'ala key saamney hamein jawab deyna perhey to kisi kisam ki koi sharmindgi na ho.
        Apna bhi khayal rakha karein aur apney aas paas key logoN ka bhi khayal rakha kareiN. Her insaan iss dunya key liye ehmiyat rakhta hai iss liye play your role...... best role.....aur doosroN key liye role model ban key raheiN

        bas mey apna lecture khatam kerti hun :$

        Khush Rahein sab inshAllah:rose


        Rida, Qs ki numbering waisey hi hai jaisey key aap ney di hai :D
        first of all welcome to the spotlight:rose

        and lemme tell u mainay kisi ka interview poora nahi parha:shh: ...to' aap par ye ehsaan kar dia hay:blush: ...poora parh kar:khi:

        u seem an interesting person:khi: much like me:khi:

        hamesha khush rahiye:rose
        and
        may Allah make you a spectacular journalist who can work for Islam...and may all ur dreams come true~* Ameen.
        Finding truth - Finding love
        These diamonds sparkle from lights above

        Lorraine Venner

        Comment


        • #79
          Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

          Originally posted by miss sng View Post
          bohat khoob...:lpop:

          kafi acha ja rha hay Yellowsky app ka interview...:thmbup:

          mery pass bhe kuch Q hain.....:lpop:
          but kal pochoon gi ab...:D:

          tab tak intizar karein...:
          khush rahiy..
          shukran miss sng aap key time ka :)

          chalein ker leytey heiN inteyzaar :d

          Ap bhi khush raho :rose
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #80
            Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

            Originally posted by chalakie View Post
            first of all welcome to the spotlight:rose

            and lemme tell u mainay kisi ka interview poora nahi parha:shh: ...to' aap par ye ehsaan kar dia hay:blush: ...poora parh kar:khi:

            u seem an interesting person:khi: much like me:khi:

            hamesha khush rahiye:rose
            and
            may Allah make you a spectacular journalist who can work for Islam...and may all ur dreams come true~* Ameen.
            bohot shukrya chalakie:rose

            aap key ehsaan ko ham salam kertey hein :salam: :khi:

            bohot sa thanks ... dua key liye :ff:
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #81
              Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

              kis qisam k log aap ko yaad rehte hain?
              zindagi mein dukh ziada milay ya sukh?
              aap ko kis qisam k books pasand hain?
              aap ka fav writer kon hai?(story writter)
              mard ka kon sa roop aap ko pasand hai?
              Aurat ka kon sa roop aap ko pasand hai?
              Aap khush mizaj ho ya sanjeeda?
              Aap fazool kharch ho ya kanjoos?
              Aap ko fashion pasand hai ya sadgi?
              Mohabbat,shohrat aur dolut mein se aap ki choice kiya hogi?
              Aap haqiqat pasand ho ya khawaboon mein rehne wali?
              sigpic

              Comment


              • #82
                Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                Originally posted by WASI ANJUM View Post
                kis qisam k log aap ko yaad rehte hain?
                Log un key rawiyoN ki waja sey yaad rehtey hein, to in mey achey log bhi shamil heiN aur burey bhi.
                zindagi mein dukh ziada milay ya sukh?
                Mujhey Alhumdulillah zindgi ki her neymat muyyasar hai. Allah ka bohot shukar hai kafi pursakoon life hai.
                aap ko kis qisam k books pasand hain?
                aap beetiyaN, logoN ki zindiyoN key baarey mey perhna acha lagta hai, iss liye key iss sey ham kafi kuch seekhtey hei, iss key ilawa history related books
                aap ka fav writer kon hai?(story writter)
                Umera Ahmad aur Albert Camus
                mard ka kon sa roop aap ko pasand hai?
                Mard aik baap key roop mey
                Aurat ka kon sa roop aap ko pasand hai?
                Aurat aik Maa key roop mey
                Aap khush mizaj ho ya sanjeeda?
                kya sanjeeda log khush mizaj nahi hotey :D .. at times mey bohot sanjeeda hoti huN aur kabhi kafi non serious.......yani khush mizaaj lol
                Aap fazool kharch ho ya kanjoos?
                hmm
                shopping apney budget key mutabiq kerti huN......mey keh sakti hun key na hi mey fazool kharch huN aur kanjoos to bilkul bhi nahi huN.
                Aap ko fashion pasand hai ya sadgi?
                Mmm m a simple fashionable girl :d
                Mohabbat,shohrat aur dolut mein se aap ki choice kiya hogi?
                Mohabbat
                Aap haqiqat pasand ho ya khawaboon mein rehne wali?
                mujhey kha'boN mey rehna acha lagta hai leykin mey aik haqeeqat pasand larki hun aur decision making mey to kafi Realistic.
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #83
                  Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                  :D

                  main bhool he gai thi k main ny kuch questions karnay thay..:tauba..means app ko tang karna tha......:wk
                  filhal in ka answer dein.:tasali:..baki jab mera Q wala page mila tab poch loon gi...

                  Q1-koi 2 name jin ky liay app sochti hain k kash ye app ky hoty??? :lpop::lpop:
                  Q2-2 buri adatein jin say chutkara pana chahti hain..?
                  Q3-apnay baray mein kin 2 batoon ko sun kr gussa ajata hy..?:fuming::fuming:
                  Q4-koi 2 khanay jinhein kha kr app kabhi bore nhi hotein..?:lpop::lpop:
                  Q5-koi 2 rishty jo app ko bohat pasand hain..?:fpan::sword:
                  Q6-koi 2 alfaaz jinka bohat zada istimaal karti hain..?
                  Q7-apny ghar mein konsi 2 jaghein achi lagti hain..?:)[
                  Q8-ghar ky koi 2 kaam jo app ko karna pasand nhi hy..?:36_1_45[1]:
                  Q9-koi 2 aisay afraad jin par gandy andy aur timator phenkany ko dil karta hay..?:wow:
                  Q10-koi 2 batein jin say app hamesha parheez karti hain..?:shh::shh:
                  Q11-konsi 2 batoon say app ko dar lagta hay.?:bhago::bhago:
                  Q12- koi 2 questions jo app ko pasand nhi aiy..?

                  Comment


                  • #84
                    Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                    Originally posted by miss sng View Post
                    :D

                    main bhool he gai thi k main ny kuch questions karnay thay..:tauba..means app ko tang karna tha......:wk
                    filhal in ka answer dein.:tasali:..baki jab mera Q wala page mila tab poch loon gi...
                    Aap key her sawal key do do jawabaat key sath mey hazir hun :D

                    Q1-koi 2 name jin ky liay app sochti hain k kash ye app ky hoty??? :lpop::lpop:


                    mujhey typical pathan names bohot achey lagtey hein jaisey to
                    1-wadana :D
                    2-palwasha :ff:

                    Q2-2 buri adatein jin say chutkara pana chahti hain..?


                    1- bohot ziada sochti hun :donno:
                    2- toward relations mey bohot ziada hassass huN, jo log mujhey aziz hotey hein un ki choti si choti baat bhi mujhey had sey ziada hurt ker jati hai....to mey itna hassass nahi hona chahti hun.. :(
                    Q3-apnay baray mein kin 2 batoon ko sun kr gussa ajata hy..?:fuming::fuming:

                    ghussa to nahi ata hai magar kuch baatoN sey bohot takleef hoti hai aur wo mey yahan nahi mention ker sakti .... :rose
                    Q4-koi 2 khanay jinhein kha kr app kabhi bore nhi hotein..?:lpop::lpop:

                    1- apni ami key hath ka bana hua pizza :hug:
                    2- aur khud ka banaya hua pasta :D
                    Q5-koi 2 rishty jo app ko bohat pasand hain..?:fpan::sword:

                    1- behan aur behan ka
                    2- behan aur bhai ka :D

                    Q6-koi 2 alfaaz jinka bohat zada istimaal karti hain..?

                    1-theek
                    2-sahih:donno:
                    Q7-apny ghar mein konsi 2 jaghein achi lagti hain..?:)[

                    1- Apna kamra
                    2- Kitchen :D
                    Q8-ghar ky koi 2 kaam jo app ko karna pasand nhi hy..?:36_1_45[1]:

                    sabhi kaam ker leyti hun bas akeyley kuch bhi kerna nahi pasand :tasali:
                    Q9-koi 2 aisay afraad jin par gandy andy aur timator phenkany ko dil karta hay..?:wow:

                    lol
                    nahi aeysa koi bhi nahi hai :khi:
                    Q10-koi 2 batein jin say app hamesha parheez karti hain..?:shh::shh:

                    1-beywaja ki behass
                    2-beywaja ki zidd
                    Q11-konsi 2 batoon say app ko dar lagta hay.?:bhago::bhago:
                    Q12- koi 2 questions jo app ko pasand nhi aiy..?

                    pasand ki baat nahi :na:.....magar do sawal jo sab sey ziada mushkil lagey they wo Rida key they :embarasse
                    1- Saaf go aur munH phat mey kya farq hota hai
                    2- Ana aur self respect mey kitna fassla hai
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #85
                      Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                      sorry i m very very late......... WELCOME TO SPOT LIGHT..
                      Life is more strict than a teacher
                      A teacher teaches a lesson
                      and takes an exam.
                      But life takes an exam
                      and then teaches a lesson

                      Comment


                      • #86
                        Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                        Originally posted by ASAD View Post
                        sorry i m very very late......... WELCOME TO SPOT LIGHT..
                        shukran Asad... :rose ab to bas bye bye kehney ka time hai :D
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #87
                          Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                          Welcome...:rose

                          Sawal baad mein karoonga, let me read your answers first...
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment


                          • #88
                            Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈






                            Btw

                            Iran ki tahzeeb ke barey mein kya jaantey hain, wahan ke shia sects ki daily routine life Sunni sects se kitna different hai ?



                            Papa ke baad to whom you admire the most



                            Aapki pasandeeda movie koun si hai...

                            If you don't mind to sawal aur bhi hain..
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment


                            • #89
                              Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                              Originally posted by Spy009 View Post


                              :lol
                              kya doosroN pey ateybaar kerna theek baat nahi hoti hai?:donno:
                              down-to-earth hmmm agar insaan down-to-earth na ho to kya uss ki zindgi adventurous ho jati hai ? :mm:


                              Btw

                              Iran ki tahzeeb ke barey mein kya jaantey hain, wahan ke shia sects ki daily routine life Sunni sects se kitna different hai ?


                              bas ziada nahi, dono hi log subha uth ker nashta kertey hein aur phir kaam per chaley jatey hein :hehe:


                              Apni :lol kyun key yahi meyri zindgi pey kafi assarandaz hui hai :hehe:


                              Papa ke baad to whom you admire the most

                              My mom :D


                              jee mujhey spy sey bohot dar lagta hai :D lol
                              ye reason nahi hai spy, bas waisey hi .... :D


                              Aapki pasandeeda movie koun si hai...

                              Harry Potter 4 :P

                              If you don't mind to sawal aur bhi hain..

                              well i dont mind but Rida may say "timez up" :P
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • #90
                                Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                                Originally posted by bloo View Post
                                shukran Asad... :rose ab to bas bye bye kehney ka time hai :D
                                any way. ap ka intrvew read kr k boht acha laga. Good bless you:rose
                                Life is more strict than a teacher
                                A teacher teaches a lesson
                                and takes an exam.
                                But life takes an exam
                                and then teaches a lesson

                                Comment

                                Working...
                                X