Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈




    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

    :phool:
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

      :hug:

      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

        :D:

        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #5
          Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

          :)







          Last edited by *Rida*; 6 June 2007, 16:29. Reason: Sorrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrryyyyyyyyyyyyyy
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

            :D



            Rulls kay mutabiq... jab Xenya 40 questions kay answers dai dain gi tu members bhi in say questions kar saktay hain...lakin issay pehlay nahin......
            agar kisi nay Rulls ki khilaaf warzi ki tu us ki post delete kar di jai gi:rose

            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #7
              Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

              Welcome

              Yellow Sky ..

              Comment


              • #8
                Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈



                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #9
                  Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈


                  jab mujhay maloom howa keh interview Xenya ka hai tu
                  mairi halat kuch aisi ho gai
                  :blush:
                  mairay top favs members ki list mein Xenya ka aik khaaas maqaaam hai :phool:.......jab mujhay Aanchal ka interview lainay kay liye kaha gayaa woh bhi mairi luck thi keh mujhay is section ka mod na hotay hoye bhi Aanchal ka interview karnay ka mouqa mila.......aur ab dobara jab mairi buht fav member ka interview hona tha tu qismat say Xenya kay interview ka mouqa bhi mujhay mil gaya.....:D:

                  Xenya jee sawal abhi bhi mairay paas buht say hain ...lakin sirf 40 ki ijazat thi :(
                  have nice time dear sisoo:hug:


                  Last edited by *Rida*; 5 June 2007, 09:04.
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #10
                    Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                    Shukran Rida! :ff:

                    i will be here inshAllah......bas aik ijazat chahun gi key mey saarey sawalaat key jawab Roman URdu mey dey sakti hun :$ ?


                    @ Aquari

                    shukran larki:rose
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                      Originally posted by yellowsky View Post
                      Shukran Rida! :ff:

                      i will be here inshAllah......bas aik ijazat chahun gi key mey saarey sawalaat key jawab Roman URdu mey dey sakti hun :$ ?


                      @ Aquari

                      shukran larki:rose

                      jeeee je zurooor:rose
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • #12
                        Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                        Originally posted by Aabgina View Post
                        jeeee je zurooor:rose
                        shukran Rida :D
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                          Xenya dear sab se pehley tou hamari taraf se Super Modship k liye dher sari naik khwahishat accept karen aur uss k baad es thread per khush amdeed. will be waitin' 4 ur replies.
                          khush rahye hamesha
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."




                          Comment


                          • #14
                            Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                            walaikum Salam Rida! :rose

                            1- Mujhey Zinia kehtey hein- ye aik phool hota hai- aur ghar pey bhi sab Zinia hi kehtey hein.

                            2- 20th May, Tehran

                            3- I am undergraduate student. Aur ab tak mey ney Pakistan system mey bhi perha hai, International system mey aur ab swiss system mey perh rahi hun.

                            4- Din ka aghaz sab logoN ki tarhaN kerti hun bas kuch khas nahi ..... alarm band ker key :D.... Fajr perhti hun aur phir uni. jaaney key liye ready hoti hun. Week-ends pey late uthi hun like round 9h.

                            5- Rida ye kaam baghair sochey samjhey kiya hai :D





                            8- Mujhey sardiyoN ka mausam pasand hai. Qudrati NazaroN mey to sabhi, mujhey qudrat ki sabhi cheezeiN bohot payari lagti hein.... I just love nature.....in mey sab sey payara mujhey raat key baad jab subha hoti hai Fajr ka time, uss waqt sab sey pehley to Parindey boltey hein phir bohot madham madham si roshni shuru honey lagti hai, aur Suraj phir jab nikalna shuru hota hai to ibteyda mey redish orange hota hai ....uss time bohot payara lagta hai......aur phir finally uss ki roshni her taraf pheyl jati hai. Ye iss liye pasand hai key iss sab sey hamein ye ahsas hota hai key hamesha andheyrey aur MuskhileiN nahi rehti hein balkey roshniyaN bhi aati hein.

                            9-
                            • Pasandeeda Phool: white tulip :D
                            • Pasandeeda Mashroob: Orange juice
                            • Pasandeeda Khana: Boiled rice with Palak and Dahi ... :D (infact mujhey her kisam key chawal pasand hein ) iss key ilawa Pasta aur pizaa
                            • Pasandeeda Rang: Violet, Olive, Pink .....
                            • Pasandeeda leybass: Kameez Shalwar doppata
                            10- meyri Nazar mey Sab sey khoobsurat Rishta Husband and Wife ka hai.

                            11- week-ends pey Poorey din mey sab sey payara lamha wo lagta hai jab mey Kitchen mey hoti hun apni ami ki cooking mey help kerna ......aur unheiN apni kahaniyaN sunana aur un sey gup shup kerna ......aur weekdays mey wo waqt jo mey apney kamrey mey huN, apni marzi ki socheiN ....apni marzi key kaam :D

                            12- Perhai key baad inshAllah mey as a journalist kaam kerna chahun gi. Kyun key mey apney mulk key liye aur Muslim ummah in general key liye kuch zaroor kerna chahti hun aur ye wo wahid field hai jis mey inshALlah mey kaam ker sakti hun

                            13- Aeysa koi lamha nahi :)

                            14- Pasandeeda Mulk: Pakistan, Pasandeeda sheyhar: Islamabad
                            Mujhey Malaysia visit kerney ki khwahish hai. Iss key ilawa Saudi arabia Hajj to aik obligation hai to wo inshAllah must hai leykin mey wahan ka system wahan ki Royal family mey kuch time rehna chahti hun, just to see key jo Image in ka poori dunya mey bana hua hai waqai ye khud waisey hi hien ya us sey mukhtalif hein. ab tak koi aeysa yaad gaar safar nahi bana :)




                            LogoN ko kabhi nahi perkha Rida, :)

                            17- Respectful aur Simple log mujhey pasand hein. Jo aap ki bhi suneiN, aap ki batoN aur sochoN ko bhi utni hi ehmiyat deiN jitni apni baatoN aur sochoN ko deytey hein
                            Ignorant aur disrespectful log mujhey bilkul bhi nahi achey lagtey hein.

                            18- Farigh waqt jab kabhi milta hai to apni friends ko visit kerti hun. Apney Parents key gupshup ker key. Bha'ioN ka damagh kha key. :D

                            19- Simplicity, sincerity, waqt ki pabandi

                            20- Meyri tarbeeyat mey Waleydeyn ka aik jitna hath hai :D iss key ilawa meyri Naano (Allah T'ala unhein baksh dein Ameen) aur kuch kuch meyri sis ka aur ab meyra bhi :D lol



                            22- Jab bhi koi massla ho, pareyshani ho ya kha makha hi dil udaas ho to sirf turn to Allah.


                            23-
                            1- MassloN per pareyshan hona chaur diya hai :D jaisey mey ney pehley bhi aik sawal key jawab mey mention kiya hai key mey solutions per kaam kerti hun ab Alhumdulillah...........to ye cheez mey ney seekhi hai.......aur iss mey Kamyab bhi rahi hun
                            2- Pehley mey indecisive thi bohot ziada ......ab Allah Ka shukar hai i can take decisions by my own....
                            3- Iss summer mey, Mein Arabic lang. seekhna chahti hun to ye aik target hai inshAllah issey achieve kerna hai
                            4- long run mey Jab mey aik achi journalist ban jaoN gi :$ inshAllah
                            5- aur aik achi Musalman bann'na cahun gi, agar worldly knowledge hai to mujhey Islamic knowledge bhi hasil kerni hai
                            6- n aik aeysi beyti key hamesha meyrey Parents ko mujhey per fakhr ho :$ inshAllah


                            24- Meyri nazar mey Zindagi.........Allah T'ala ki neymat bhi hai..... aur aik Imteyhani kamra bhi.......aik Amaal gah .......aik duration .....jis key ikhteymaam per hamein hamara result diya jaye ga ....
                            Khushi, Ghum, Muhabbat :- Feelings ko alfaaz deyna mujhey nahi ata hai :) ....iss liye mey inhein define nahi ker sakti hun.....


                            25- Ghar key kaam kerti hun bilkul ...... bohot regularly nahi magar week-ends pey ya jab dinner ya lunch ho ghar pey tab ....sab sey mushkil kaam mujhey Akeyley kaam kertey huye lagta hai :D.....cooking karun to mey chahti hun key bas Ami meyrey aas paas hi hoN aur baki kaam like safai and dusting ......ye bhai key sath mil ker ...........aur kabhi akeyley kerna perhey to Tv onnchi awaz mey laga key kerti hun......lol
                            ye wahid reason hai key jab tak mey apna room apni sis key sath share kerti thi tab tak her cheez barhey saleekey sey hoti thi kamrey mey kyun key hum mil ker hi saari settings iss ko decor kertey they jab sey un ki shadi hui to tab sey hi kamrey ka hashar nashar banaye rakhti hun :hehe: ....... bas bikhra bikhra hi rehta hai.......im still working key mey waiey his issey organise rakhun magar deykhein kab tak iss mey poori tarhaN kamyab hoti hun.




                            27- Mujhey kabhi nahi samaj ayi key aik Insaan aeysa ker hi kaisa sakta hai......doosroN key ehsaasaat majruh kerna un ka dil toRna .........leykin aeysey log iss dunya mey rehtey hein ......hamarey aas paas....... Aeysey logoN key liye kuch bhi nahi kehna chahun gi :) .............Allah T'ala hi heydayat deiN aeysey logoN ko.


                            28- depend kerta hai key time meyrey paas kitna hai agar waqt kam ho aur kaam ziada ho to aik cup coffee leyti hun aur agar time ijazat dey to aik ghantey ki neend kafi hoti hai


                            29- Ghussey mey agar alfaaz sath deiN to bolti hun warna khamosh rehti hun.

                            30- Teen Achi adateiN
                            1- Apni family aur friends key liye hamesha available hoti hun
                            2- DoosroN ko maaf ker deyti hun
                            3- Sincere hun
                            Teen AadteiN jo badalna chahun
                            1- kafi jaldi eteybaar ker leyti hun doosroN ka.....meyrey zeyhan ye accept nahi kerta hai key iss dunya mey log dhoka bhi deytey hein
                            2- "NO" kehna mujhey nahi aata
                            3- aaj kal meyri namaz ki timings kafi disturb hein to unhein phir sey time pey kerna hai inshALlah

                            31-Mujhey kha'b deykhney bilkul achey lagtey hein, Kabhi kabhi insaan ko kha'b deykhney ki ayashi ker leyni chahiye leykin Kha'boN ki dunya mey nahi rehna chahiye. Kha'b bilkul sach ho saktey hein agar un ka un ka ta'luk aap ki Haqeeqat sey kareeb hoN.

                            32- jee

                            33- Sharmindgi iss sense mey key agar kisi sey kuch keh dun aur wo ghalt ho to mey sorry ker deyti hun.

                            34- Pehley bohot dil bardashta ho jati thi aur wo kaam kerna hi chaur deyti thi jo key pehli try mey na ho. Magar ab Alhumdulillah koi massla hota hai to mey Massley pey nahi balkey us key hal pey sochti hun aur sirf aik try nahi hota hai balkey jab tak massla hal nahi hota hai tab tak different solutions try kerti hun. Iss sey Zindagi kafi asaan ho gai hai. Depression ka ilaj : Baat saari ye hai rida key hum log issey kha makha itni imp. deyni shuru ker di hai......aik Muslim psychologist key mutabiq un key paas aeysey patient aatey hein jo kehtey hien key hamein depression hai.....leykin asal mey iss sab sirf aik waja hoti hai wo hai apney deen sey doori.......aur ye baat sahih hai jis tarhan hamarey jism ko 3 waqt khaney ki zaroorat hoti hai ussi tarhan hamari Rooh ko bhi Ghiza ki zaroorat hoti hai.....yani Ibadat (5 waqt namaz)......dunya ki koi cheez bhi aap ka depression nahi khatam ker sakti hai .....ye kaam sirf insaan khud ker sakta hai........

                            37- Pegham pey aik larki hoti hai. uss ka naam Aanchal hota hai :hehe: uss ki invitation pey :D

                            38- Pegham key sabhi sections ki apni apni jaga aik ehmiyat hai. Members bhi achey hein. Internet pey infact Pegham pehla forum hai jahan Pakistani community key sath itni ziada interaction hui hai. Meyrey liye yahaN kafi ziada cheezeiN nayi thein. Kafi time bas heyran bhi hoti rahi hun :hehe: leykin Alhumdulillah kisi member sey as such koi sheykayat nahi hai. Magar Pegham key Admin sey kafi sheykayaaat hein .....

                            39- Pegham key designers sey jo key itni zabardast designing kertey hein. :D sabhi members sey apni jaga mutasir hun....kisi ki creativity ki waja sey ...kisi ki beytukki baatoN ki waja sey :khi: ....Ummid sey is liye key wo salad Cook kerna janti hein :D ........Aanchal sey iss liye key wo kafi samajdaar hoti ja rahi hai ..uss ki tukka muhim bhi kafi kamyab hai :hehe: aur aik baat jo wo bohot achi kerti hai key
                            " Kamyab insaan wo hota hai jo her cheez ko sath ley ker chaley"
                            Hala sey iss liye key un ki Pashto lang. bohot zberdast hai

                            40- Sirf yahi key Pegham key aik soch per takhleeq kiya gaya tha, aur mey chahun gi key Pegham key members iss ki team issey kabhi bhooley na.

                            Members ko ye bhi key apney alfaaz ka khayal rakha karein ...baaz dafa bazahir wo choti si baat aik chota sa lafz hota hai leykin wo saamney waley ko bohot hurt ker jata hai. DoosroN ki feelings ka bhi bohot khayal rakha kareiN. Insaano ko kabhi ignore mat karein, jitni aap apni self respect ka khayal rakhtey hein utna hi doosroN ki self respect ka khayal rakheiN. Physical chot agar insaan ko lagti hai to wo do ya teen din mey theek ho jati hai magar agar kisi ki self respect ko aap hit karein gey to wo chaut aik arssey mey bhi nahi mundamil ho gi.


                            Zindagi Allah T'ala ki bohot khoobsurat neymat hai. issey aeyes guzareiN key jab inshAllah Allah T'ala key saamney hamein jawab deyna perhey to kisi kisam ki koi sharmindgi na ho.
                            Apna bhi khayal rakha karein aur apney aas paas key logoN ka bhi khayal rakha kareiN. Her insaan iss dunya key liye ehmiyat rakhta hai iss liye play your role...... best role.....aur doosroN key liye role model ban key raheiN

                            bas mey apna lecture khatam kerti hun :$

                            Khush Rahein sab inshAllah:rose


                            Rida, Qs ki numbering waisey hi hai jaisey key aap ney di hai :D
                            Last edited by Z.; 7 June 2007, 22:02.
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #15
                              Re: ≈☼≈In the Spotlight ~*~ Yellow Sky ≈☼≈

                              Aik cheez reh gai hai

                              Pasandeeda Qalam

                              Iqbal ki ye poetry jo key hamesha boost kerti hai aagey berhney key liye.....aur ye aik shair

                              kitna mushkil hai khusbu'on key liye
                              rooth ker bhi gulaab mey rehna
                              Attached Files
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X