Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

    Originally posted by amber
    Bohat acha laga aap ke baray me jaan kar...meray bhi kuch sawal hain aap se!!!


    1.Kya dusro ke baray me jald raaye qaim kar leti hain??
    2. Zindagi Kaa Khoobsorat Din?
    3. Kis Aadat Say Ghar walay Be-Zaar Rehtay Hain?
    4. Agar Kisi Baat Par Ghussa / Naraaz Hoon To Mood kyase thik hota hai?
    5. Aap kiya Cheez / Baat Aksar Bhool Jaati Hain ?
    6. Baa-Vajood thakaan ke Kahan Jaanay Ko Hamesha Tyaar Rehti Hain?
    7. app dosroo k baray main raye forun kayam kerti hain ?

    8. app kissi ki ko kab chornay per majbor hoti hain?
    9. yaadon ki kya ahmiyat hai aap ki zindagi me??
    10. kis baat se aap ka mood off hojata hai??
    11. koi aesi baat jis se ankhon me ansoo ajatay hain??
    12. kis waja se aap naraz hojati hain??
    13. Kya dosti karna mushkil lagta hai ya phir aap jaldi hi dosti kar leti hain??
    14. Kya logo ka mazaq bardasht kar leti hain...ya jald gussa kar leti hain???

    1 - nahi itni jaldi rayeh gaqem nahi kerti, kuch waqt leti hoon jan'ney mei, magar ek baat kisi ke barey mei koi rayeh qayem ker loon phir lakh koshish keroun mei khudh bhi ousey badal nahi sakti.
    2 - mmmmm ....... khoobsurat din :hhh: wese to zindagi mei buhut khushgawar waqiyat hain ... sab se khoobsurat kaisey btaoun, but I remember the day my dad said, mera ager koi baita hai jis ne mere kandhey se kandha milaya to woh saima hai. Mujhe laga jese mei ne pooti zindagi jee li ab kuch nahi chahiyeh.
    3 - yeh poocho kis aadat se bezaar nahi rehtey :lol ......... kabhi kabhi gussey mei sisters ko dant deti hoon ...
    4 - Mei jaa ker so jati hoon, outhti hoon to koshish kerti hoon ous barey mei na sochoon ..aahista aahista bhool jati hoon.
    5 - mmmm ........ wese meri yadasht buhut achi hai, magar jaldi jaldi mei kabhi kabhi shayed apni watch bhool jati hoon.
    6 - Shopping
    7 - dear is ka jawab answer 1 mei hai.
    8 - Jab mere loiyeh kisi ko bardasht kerna intihayi mushkil balkey namumkin ho jayeh.
    9 - Yadon ki ahmiyat buhut zada hi, yeh yadein insan ko zindagi ka ehsas dilati hain, mushkil waqt mei hosla deti hain. Mei talkh aur buri yadon ko bhoolney ki buhut koshish kerti hoon aur kamyab bhi rehti hoon kiu ke yeh insan ke zameer mei kerwahat ghol deti hain.
    10 - Kisi bhi buri baat se
    11 - jab kisi ko dukhi dekhti hoon yaan kisi ke barey mei aisa sunti hoon
    12 - Jab koi jhoot boley.
    13 - Aaj tak aisa huwa nahi ek kisi ne dosti ka hath barhaya aur mei ne inkar kiya ho .... i dont refuse baqi yeh agley bandey per chor deti hoon ke wo kis tarah kis hadth tak nibhana chahta/chahti hai ........ yeh baat hai ke kisi ko close frd tabhi banati hoon jab yeh yaqin ho jayeh ke wo ous qabil hai.
    14 - depend kerta hai ke mazak mei kahi huwi baat mazak ki limit mei hai ek nahi, kuch batein aisi hoti hain jahan insan ko kuch lehaz kerna zarori hota hai .. other wise mei jald mind nahi kerti.
    sigpic

    Comment


    • #92
      Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

      Originally posted by munda_sialkoty
      Miss Saima Shaheen

      aap ki aakhri khawahish kia he :embarasse

      U ko kiu dasoon :mm:
      sigpic

      Comment


      • #93
        Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

        Jawabat denay ka bohat shukria Saima sis!!!!

        Comment


        • #94
          Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

          Saima thorey sey aur sawal :D:
          -kehtey hein naam ka asar insaan ki shahsiyat per bohot ziada hota hai isi liye log matlab deykh ker naam rakhtey hien --kya waqai aeysa hota hai?

          -when ppl misunderstand you, tab aap kya kerti hein?

          -Agar aap sey kaha jaye key aik poora din aap ney apney liye guzarna hai --ussey aap kaisey guzarein gi ---shopping key ilawa:P
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #95
            Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

            Originally posted by Sweet & Sour
            Sorry chanda, kal perso kuch issues they is liyeh thora late ho gayi ....yeh rahey answers :)

            1 - Sab se bari khuwahish :hhh: ....... aisi koi nahi hai dear, mere parent peri family mere sath hai hum sab khush hain is se barh ker kuch nahi chahiyeh.
            2 - hmmmm ....... ab is waqt kya yaad ker kai btaoun , haan magar kabhi kabhi mei apni mama ko buhut tang kerti hoon to kehti hain tum meri baiti nahi meri bahoo ho, khuda janey yeh baiti kab baney gi :lol
            3 - galati meri ho to her haal mei mananey ki koshish kerti hoon, aur mana bhi elti hoon mujh se koi pagal zada dair naraz nahi reh sakta :lol
            4 - haan meri ek best frd thi akser yaad aatihai.
            5 - Its the most difficult and most most beautiful relation, insan ko sahi mano mei dosti nibhnaey ke liyeh apna aap bhulana perta hai.
            6 - Ager dakoo ne qatar mei pakra to ousey qatar ghoomaoun gi, ager pak mei pakra to ous kahoon gi chal mujhe pakistan ghooma, mei ne abhi tak pak ki sair nahi ki :lol
            7 - Achi aadat :hhh: mei kisi ko jhoot bol ker dhonkey mei nahi rakhti, straight forward hoon. Buri aadat, kabhi kabhi buhut zada gussa kerti hoon.
            8 - Dono per, kiu ke positive soch rakhna achi baat hai, positive sochna chahiyeh magar negative point ko bhi mind mei rakhna chahiye, kiu ke khuda na khuwasta wo na ho jo hum chahtey hain to humein negative face kerne k liyeh tayyar rehna chahiye.
            9 - Zahir hai ous ki pasand ki koi chiz doon gi, werna pani pasand ka koi perfume.
            10 - Feel ho raha hai ke jese teacher ne mujhe class se bhagtey huwey pakar liyah hai aur ab meri pooch taach ho rahi hai :lol


            baqi 3 U ne kaha interview kw end mei :D
            buht thanks Sweet ji itny achi jawabat deni ka ..... buht achaa lagaa .... be happy:phool:
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #96
              Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

              meri taraf se chand aik sawalaat

              1.kabi pakistan aai hein? jub aati hein to pakistan ke koon koon se ilaqay goomti hein...aur pakistan ke kis ilaqay ko dekhnay ka ishtiaq he aap ko

              2. aaj kul ki larkiyoon mein aap ko kia cheez buri lagti he

              3. aaj kul ke larkon mein aap ko kia cheez buri lagti he

              4. jub aap apni zindagi per nazar doorati hein to aap ko apni guzashta zindagi mein apni kia kia haamiyan nazar aati hein.

              5. ager aap ko pakistan ka education minister bana diya jaye to sub se pehla step aap kia lein gi

              6. ager aap ko pakistan ka sports minister bana diya jaye to aap sports ki behtari ke liye kia kia ikdamaat karein gi
              :thmbup:

              Comment


              • #97
                Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                Originally posted by Khalil
                aap pakistan kab arai hain?

                soem where in October irada hai :insha:
                sigpic

                Comment


                • #98
                  Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                  Originally posted by amber
                  Jawabat denay ka bohat shukria Saima sis!!!!
                  alwayz welcome dear:)
                  sigpic

                  Comment


                  • #99
                    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                    Originally posted by barg.e.gul
                    Saima thorey sey aur sawal :D:
                    -kehtey hein naam ka asar insaan ki shahsiyat per bohot ziada hota hai isi liye log matlab deykh ker naam rakhtey hien --kya waqai aeysa hota hai?

                    -when ppl misunderstand you, tab aap kya kerti hein?

                    -Agar aap sey kaha jaye key aik poora din aap ney apney liye guzarna hai --ussey aap kaisey guzarein gi ---shopping key ilawa:P

                    1 - Shayed naam ka asar insan ki shaksiyat per hota hai, 100% nahi magar kuch hadth tak zaror hota hai. I do agree with it.

                    2 - Mei apni taraf se ous shaks ko haqeeqat bataney ki koshish kerti hoon, ager wo samajh jayeh to theikh werna ousey ous ke haal per chor deti hoon, kiu ke mera man'na hai ke haqeeqat kabhi chupi nahi rehti khudh hi samney aa jati hai :)

                    3 - Shopping ke ilawa :hhh: shayed apney dosrey kaam ker lon gi, shayed saloon chali jaoun gi, phir kahin ghoomey phirney , ager family sath ho gi to zada maza aata hai hum outhpatang herkatein kertey hain hum mil ker :D:
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                      Originally posted by Hala
                      buht thanks Sweet ji itny achi jawabat deni ka ..... buht achaa lagaa .... be happy:phool:
                      always welcome dear, and be happy u too :hug:
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                        Originally posted by munda_sialkoty
                        meri taraf se chand aik sawalaat

                        1.kabi pakistan aai hein? jub aati hein to pakistan ke koon koon se ilaqay goomti hein...aur pakistan ke kis ilaqay ko dekhnay ka ishtiaq he aap ko

                        2. aaj kul ki larkiyoon mein aap ko kia cheez buri lagti he

                        3. aaj kul ke larkon mein aap ko kia cheez buri lagti he

                        4. jub aap apni zindagi per nazar doorati hein to aap ko apni guzashta zindagi mein apni kia kia haamiyan nazar aati hein.

                        5. ager aap ko pakistan ka education minister bana diya jaye to sub se pehla step aap kia lein gi

                        6. ager aap ko pakistan ka sports minister bana diya jaye to aap sports ki behtari ke liye kia kia ikdamaat karein gi

                        shuker hai u ne koi dhang ke sawal kiyeh jin ka me jawab bhi dai sakti hoon ab :D

                        1 - Kabhi nahi , kayi baar pak aa chuki hoon :alhamd: , kuch zada nahi ghoomi kiu ke jab bhi pak aatey htey tab chotey hotey they, last time 2001 mei apni sis ki shadi ke liyeh gayi thi, tab ek nahi 3 shadian thi with in family to time hi nahi mila. Recently mei Nov 2005 mei gayi thi just for 15 days, lahore tab mei apney mamoun ke ghar Gujranwala mei rahi thi, kuch din lahore mei guzarey apni sis ke sath, lahore khoob ghoomi magar completely nahi , cause there was no one to tak eus as well :( ... ishtiaq to poora pak ghoomney ka hai

                        2 - Oun ka betuk'ka aur bedhanga hona, bilawaja bina sochey samjhey kisi ke bhi moun lagna, apni limits ko na samjhna, sab se zada bura mujhe yahi lagta hai.

                        3 - Lerkon mei achayi kon si hai jin ko burayi se compare keroun :tauba . sab se bura oun ka gair-zimedar hona lagta hai, aaj kal ke lerkon ko khudhi, izzat-e-nafs aur khud'dari ka kuch pata nahi aur yeh chiz mujhe buhut buri lagti hai.

                        4 - Guzishta zindagi mei mujh mei koi khamiyan shayed nahi thi jitni ab hain. Wo waqt to masoomiyat mei guzra ahi duniya ab dekhi hai aur ous ki khamiyan bhi kuch apnayi hain :tauba

                        5 - Ager pka ka Education Minister bana diya jayeh to sab se pehley sarey ke sarey principals ko oun ki position se hata doon gi aur ameeron ke liyeh to admission hi band ker doon gi :na: .. Taleem free zaror keroun gi magar aisey nahi jese aaj kal hai baray-e-naam.

                        6 - Sports minister ban ker sab se pehley Aurton ki sports mei entry ban ker doon g. Aurat jo qoam ki maan hoti hai ous ki apni be-shumari zimedarian hoti hain jaa ker oun ko poora karey bajayeh jahilon ki tarah serkon per dorney ke
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                          Originally posted by Sweet & Sour
                          1 - Shayed naam ka asar insan ki shaksiyat per hota hai, 100% nahi magar kuch hadth tak zaror hota hai. I do agree with it.
                          thanks sab answers key liye

                          ye wala sawal is liye poocha tha key mey saima naam ki jitni bhi larkiyon ko jaanti hun ...they are all like you ....confident and bold ...aur ghussa bhi unhein theek thak ata hai :D

                          thats y i thought key naam key sath kuch na kuch link ho shayad :D:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                            Originally posted by Sweet & Sour
                            6 - Sports minister ban ker sab se pehley Aurton ki sports mei entry ban ker doon g. Aurat jo qoam ki maan hoti hai ous ki apni be-shumari zimedarian hoti hain jaa ker oun ko poora karey bajayeh jahilon ki tarah serkon per dorney ke
                            awww!

                            kyoon ....kya larkiyon ka sports kerna buri baat hoti hai??
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                              Originally posted by Sweet & Sour
                              shuker hai u ne koi dhang ke sawal kiyeh jin ka me jawab bhi dai sakti hoon ab :D

                              1 - Kabhi nahi , kayi baar pak aa chuki hoon :alhamd: , kuch zada nahi ghoomi kiu ke jab bhi pak aatey htey tab chotey hotey they, last time 2001 mei apni sis ki shadi ke liyeh gayi thi, tab ek nahi 3 shadian thi with in family to time hi nahi mila. Recently mei Nov 2005 mei gayi thi just for 15 days, lahore tab mei apney mamoun ke ghar Gujranwala mei rahi thi, kuch din lahore mei guzarey apni sis ke sath, lahore khoob ghoomi magar completely nahi , cause there was no one to tak eus as well :( ... ishtiaq to poora pak ghoomney ka hai

                              2 - Oun ka betuk'ka aur bedhanga hona, bilawaja bina sochey samjhey kisi ke bhi moun lagna, apni limits ko na samjhna, sab se zada bura mujhe yahi lagta hai.

                              3 - Lerkon mei achayi kon si hai jin ko burayi se compare keroun :tauba . sab se bura oun ka gair-zimedar hona lagta hai, aaj kal ke lerkon ko khudhi, izzat-e-nafs aur khud'dari ka kuch pata nahi aur yeh chiz mujhe buhut buri lagti hai.

                              4 - Guzishta zindagi mei mujh mei koi khamiyan shayed nahi thi jitni ab hain. Wo waqt to masoomiyat mei guzra ahi duniya ab dekhi hai aur ous ki khamiyan bhi kuch apnayi hain :tauba

                              5 - Ager pka ka Education Minister bana diya jayeh to sab se pehley sarey ke sarey principals ko oun ki position se hata doon gi aur ameeron ke liyeh to admission hi band ker doon gi :na: .. Taleem free zaror keroun gi magar aisey nahi jese aaj kal hai baray-e-naam.

                              6 - Sports minister ban ker sab se pehley Aurton ki sports mei entry ban ker doon g. Aurat jo qoam ki maan hoti hai ous ki apni be-shumari zimedarian hoti hain jaa ker oun ko poora karey bajayeh jahilon ki tarah serkon per dorney ke
                              Aap PK mein aaein aur hamein koi khabar hi nahi :pagal: anyways

                              aap ne 6 point ka jo answer diya he ke aap auraton ki sports mein entry ban ker dein gi to kia aap samajti hein ke is tarah aurtaon ke saath na-insaafi nahi ho gi. Aurton ki sports se aap ki muraad shayad "Marathan" he...baki sports bhi hein jo indoor kheeli jati hein...aurat apne puray libaas mein koi bhi sports khelay mere khyaal mein is mein koi burai nahi...aap kia kehti hein is baray mein
                              :thmbup:

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                                Originally posted by munda_sialkoty
                                Aap PK mein aaein aur hamein koi khabar hi nahi :pagal: anyways

                                aap ne 6 point ka jo answer diya he ke aap auraton ki sports mein entry ban ker dein gi to kia aap samajti hein ke is tarah aurtaon ke saath na-insaafi nahi ho gi. Aurton ki sports se aap ki muraad shayad "Marathan" he...baki sports bhi hein jo indoor kheeli jati hein...aurat apne puray libaas mein koi bhi sports khelay mere khyaal mein is mein koi burai nahi...aap kia kehti hein is baray mein
                                Originally posted by barg.e.gul
                                awww!

                                kyoon ....kya larkiyon ka sports kerna buri baat hoti hai??

                                aap dono ka sawal ek sa hai is liyeh jawab combined dai rahi hoon, lerkion ko sports se rakney yaan mana kerne ki garz se mei ne yeh nahi kaha tha, leekion ko sprts games mei hisa leney ka poora haq hai magar jab tak yeh sprots schools, colleges, yaan ladies clubs mei ho to yeh oun ka bunyadi haq hai, magar mardon ek sath sar-e-aam sarkon per marathon mei part lena oun ke sath baghna, dhakam pail hona yeh kaha ki sharafat hai ????
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X