Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

    thnx Rida dear, its so sweet of you :hug:
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

      mei ne itni mushkil se inpage mei jawab tyor kiyeh hain aur jab upload kerne lagi to gallery :fuming: :fuming: :fuming:

      khair acha hi hai chalo mei ab Roman mei jawab dai deti hoon, is se zada late nahi ker sakti .......... kuch sawal to Masood ne buhut muhskil ker diyeh hain


      1 - Jee haan mera naam Saima Shaheen Latif hai, mera naam mama ne rakha, yeh arbi ke lafz "soam" se nikla hai jis ka matlab hai roza, to is lehaz se is ka matlab huwa perhaizgar. Mama mujhe saima hi pukarti hai, papa mujhe noora yaan baita pukartey ahin, behan bhaio ka matt poocho, jo outh patang naam rakhey huwey hain mujhe masoom ke

      2 - Tareegh paidaish 04th August 19:D :D , maqam-e-paidaish Doha Qatar.

      3 - Bachpan ka waqt buhut acha guzra, shuroo ke chand saal beemari mei guzrey magar sehat yaab honey ke baad bachpan ko bharpoor enjoy kiya, khoob mastian kee :khi: ... achey burey waqiyat to buhut hain koi ek ab bayan kerna mushkil hai.

      4 - Ghar ka mahol :alhamd: shuroo se hi buhut acha hai, mama ne parhayi ke mamley mei humesha sakhti ki hai, school ke sath sath quran ki taleem ke liyeh madrasey bhi tabhi daal diya gaya....... bas is ke ilawa khail kood sharaton per koi pabandi nahi thi, till date bejaa pabandion se hum aazad hain, perdais mei tanha honay ke bawajood humein kisi bhi dost rishtedar ki kami mehsoos nahi honey di, ghar mei mum dad ne buhut dostana mahol farahem kiya ...... aur behan bhaion ke sath to bas behtareen doston jesa behave hai.

      5 - Buhut se khilono se kahila hai bachpan mei , koi ek khas yaad nahi :donno:

      6 - Pasandeedah phool Motia hai, is ke ilawa safaid rang mei mujhe her phool pasand hai waja kuch khas nahi bas osu mei ek nafasat aur sadgi hoti hai...
      • Pasandeedah mashrrob : Cold drinks mujhe zada pasand nahi, Fresh Cocktail sab se zada pasand hai.
      • Khaney ke mamley mei main ne kabhi koi nakra nahi kiya, :alhamd: sab kuch kha leti hoon, qeema karailey aur koftey mujhe zada pasand hain. Is ke ilawa Arabic food mei Sheesh kaba, Humus, Flafel sandwiches buhut pasand hain.
      • Libas mei halkey phulkey kaam waley kurtey with trousers, long skirt is ke ilawa Arabic dress buhut pasand hai its like a gown.
      • Rango mei mujhe gahrey rang zada pasand hain, jis mei navy blue, mustard green maroon zada pasand hai, light colors mei mujhe olive green, chocolate pink pasand hain.
      7 - Mei FA se aagey taleem mukamal nahi ker saki, job start kerna pari ous ke baad jab dobara studies ki taraf aayi to MS Office se start kiya then
      Basic secretarial training
      Executive Secteraial Course
      Office Maangment level I ( still am not getting time to start level II)

      8 - Subah Fajar ke waqt outhti hoon namaz ke liyeh ousi se din ka aaghaz hota hai, kabhi late ho jaoun to bhi Qaza namaz zaror parhti hoon.

      9 - Ghar ka mahol aisa raha hai ke salat-o-soam ki humesha talqeen ki gayi hai, to ous per paband rehna koi mushkil nahi laga :alhamd: ....... malik bandey ka rishta aisa hai jesa duniya mei aur koi nahi ......... banda choti se choti khushi aur takleef mei sab se pehley ousey hi pukarta hai aur woh humesha sunta hai ..... dono ke beech ek pukhta yaqin ka rishta hota hai.

      10 - Yeh sach hai ke job mujhe achanak shuroo kerna pari, jsi mei pehley mera koi khas interest nahi tha ... magar baad mei yeh meri zindagi ka ek hissa ban gayi aur ab tak hai. Mei khudh ko kafi khudhmukhtar mehsoos kerti hoon. Insan ka paney pairon per kharey hona, aur apney aap mei khudh mukhtar hona bhi ek fan hai.

      11 - Job per her tarah ke achey, burey logo se wasta para hai, ab bhi kabhi kabhi perta hai, shuro mei kuch mushkil huwa kerti thi amgar ab sab se deal kerna aata hai ;)

      12 - Zindagi mei buhut kuch seekha hai, ab tak seekh rahi hoon, magar zindagiek sab se kathin tajarbey se jo ek buhut bari baat seekhi wo yeh ke maan baap jab kuch kehtey hain to ous ko humesha apni bhalayi ke liyeh maan lena chahiye, hum wo dekhtey sochtey hain jo humein paney samney nazar aata hai magar maan baap wo dekhtey aur bhanp jatey hain jo aagey jaa ker honay wala hota hai.

      13 - Aisi naseehat jo samajh aa jayeh aur jis per dil bhi manta ho ous per amal kerna aasan lata hai. Jis baat ki samajh na aati ho ous per amal kera mushkil lagta hai. Magar maan baap ki koi naseehat samajh na bhi aayeh to amal kerne ki koshish zaror kerti hoon.

      14 - Mohabbat kehtey hain aaj kal ke zamaney mei baqi rahi nahi, ager hai bhi to pal do pal ki mohabbat reh gayi hai. Mohabbat ek buhut pyara sa jazba hai jisey insan ke dil mei aaney ke liyeh ek pal lagta hai magar yeh ous mei aisa pukhta ho jata hai jese sadion purana ho. Yeh mohabbat hi insan ko sahi mano mei jeena sikhati hai.

      15 - Dil aur demagh dono ki sunti hoon phir jo sahi lagey wo maan leti hoon.

      16 - Pasandeedha shaksiyat se aap ki murad kya thi mei samajh nahi saki ???

      17 - Adab se lagao school time se hi hai, akser jab college mei classes skip kerti thi to library mei hi kuch na kuch parhti pakri jati thi :p

      18 - Kitabein akser to nahi kabhi kabhi parhti hoon, jab kabhi time miley to ...poetry per, short stories, religious etc.. novels nahi parhti na kabhi mujhe mei itna patience tha ke novels parh sakoon.

      19 - Pasandeedah shair/shaira Allam Iqbal, wasi shah, aur perween shakir. Nasr ab kam parhti hoon is liyeh kuch keh nahi sakti.

      20 - Meri shairi woh t bas ek time pass hai ;) ..... Nasr likhna zada pasand tha school time mei likha kerti thi, jab se job start ki chor diya time hi nahi mila, ab bas kabhi kabhi thora sa likh leti hoon kiu ke time hi nahi milta.

      Baq 20 k ajawab kal doon gi , thak gayi hoon :D
      sigpic

      Comment


      • #33
        Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

        bohat khooob saima jee aap k jawabaat parh kar bohat khuch jannay ko mila aur aap ny bary hi pur kholoos andaz se tamam sawalon k jawabaat diye .baqi jawabaat ka bhi shidat se intizaar hy jab aap compleat kar lain gi to hum bhi khuch pouchny ki jasarat kareen gy ...
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #34
          Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~



          Jalde sy do aap sary answers taky ma bhe kuch questions ly ker aao :eye:

          Comment


          • #35
            Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

            First of all i am realy sorry 4 being late :embarasse

            Please accpet A warm welcome from the core of my heart.realy you are desever for this spotlight.......... members have choosin a right person..May Allah bless you ..........wish you the best of all.
            Be Happy always :)

            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #36
              Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

              Welcome Sweet n sour to Pegham Interview Spot :thmbup:
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #37
                Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                Originally posted by Sweet & Sour


                1 - Jee haan mera naam Saima Shaheen Latif hai, mera naam mama ne rakha, yeh arbi ke lafz "soam" se nikla hai jis ka matlab hai roza, to is lehaz se is ka matlab huwa perhaizgar. Mama mujhe saima hi pukarti hai, papa mujhe noora yaan baita pukartey ahin, behan bhaio ka matt poocho, jo outh patang naam rakhey huwey hain mujhe masoom ke
                bohot payyara matlab hai ...ye naam bohot common hai magar mujhey is ka matlab abhi maloom hua hai :D

                bhai akser ultey naamon sey bulatey hein :D: un ka maqsad sirf behan ko tang kerna hota hai :D aur is ka hal ye hai key aap tang hi na hua karein wo khudi theek ho jayein gey ;)

                2 - Tareegh paidaish 04th August 19:D :D , maqam-e-paidaish Doha Qatar.

                yani aap leo hein :thmbup:

                3 - Bachpan ka waqt buhut acha guzra, shuroo ke chand saal beemari mei guzrey magar sehat yaab honey ke baad bachpan ko bharpoor enjoy kiya, khoob mastian kee :khi: ... achey burey waqiyat to buhut hain koi ek ab bayan kerna mushkil hai.

                Hamari dua hai key aap isi tarhan achi seyhat key sath hansti muskuarati rahien :P

                4 - Ghar ka mahol :alhamd: shuroo se hi buhut acha hai, mama ne parhayi ke mamley mei humesha sakhti ki hai, school ke sath sath quran ki taleem ke liyeh madrasey bhi tabhi daal diya gaya....... bas is ke ilawa khail kood sharaton per koi pabandi nahi thi, till date bejaa pabandion se hum aazad hain, perdais mei tanha honay ke bawajood humein kisi bhi dost rishtedar ki kami mehsoos nahi honey di, ghar mei mum dad ne buhut dostana mahol farahem kiya ...... aur behan bhaion ke sath to bas behtareen doston jesa behave hai.

                :masha :thmbup:


                5 - Buhut se khilono se kahila hai bachpan mei , koi ek khas yaad nahi :donno:


                Aaj jab aap market jati hein to kya dil chahta hai bachon key sec. mey jaa ker kheyloney deykhney ko ?agar haan to kaun sa kheylona aap leyna pasand karein gi

                6 - Pasandeedah phool Motia hai, is ke ilawa safaid rang mei mujhe her phool pasand hai waja kuch khas nahi bas osu mei ek nafasat aur sadgi hoti hai...


                bilkul white color ka phool bohot payyara lagta hai chahey wo mautiya ho ya tulip :D
                Pasandeedah mashrrob : Cold drinks mujhe zada pasand nahi, Fresh Cocktail sab se zada pasand hai.

                zaberdast
                Khaney ke mamley mei main ne kabhi koi nakra nahi kiya, :alhamd: sab kuch kha leti hoon, qeema karailey aur koftey mujhe zada pasand hain. Is ke ilawa Arabic food mei Sheesh kaba, Humus, Flafel sandwiches buhut pasand hain.

                gd girl :P


                Libas mei halkey phulkey kaam waley kurtey with trousers, long skirt is ke ilawa Arabic dress buhut pasand hai its like a gown.

                nice choice

                Rango mei mujhe gahrey rang zada pasand hain, jis mei navy blue, mustard green maroon zada pasand hai, light colors mei mujhe olive green, chocolate pink pasand hain
                .

                :thmbup:
                7 - Mei FA se aagey taleem mukamal nahi ker saki, job start kerna pari ous ke baad jab dobara studies ki taraf aayi to MS Office se start kiya then
                Basic secretarial training
                Executive Secteraial Course
                Office Maangment level I ( still am not getting time to start level II)

                :clap:
                hamari dua hai key aap apna office management ka 2nd level bhi compelete ker lien inshAllah

                8 - Subah Fajar ke waqt outhti hoon namaz ke liyeh ousi se din ka aaghaz hota hai, kabhi late ho jaoun to bhi Qaza namaz zaror parhti hoon.

                :masha
                agar koi aap sey poochey key subha ki namaz key liye nahi utha jata to aap ussey itna saweyrey uthney key liye kya tip dein gi?

                9 - Ghar ka mahol aisa raha hai ke salat-o-soam ki humesha talqeen ki gayi hai, to ous per paband rehna koi mushkil nahi laga :alhamd: ....... malik bandey ka rishta aisa hai jesa duniya mei aur koi nahi ......... banda choti se choti khushi aur takleef mei sab se pehley ousey hi pukarta hai aur woh humesha sunta hai ..... dono ke beech ek pukhta yaqin ka rishta hota hai
                .


                :)

                10 - Yeh sach hai ke job mujhe achanak shuroo kerna pari, jsi mei pehley mera koi khas interest nahi tha ... magar baad mei yeh meri zindagi ka ek hissa ban gayi aur ab tak hai. Mei khudh ko kafi khudhmukhtar mehsoos kerti hoon. Insan ka paney pairon per kharey hona, aur apney aap mei khudh mukhtar hona bhi ek fan hai.


                is stage per aa ker ab aap ko kaisa mehsoos hota hai?
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #38
                  Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                  aap key baarey mey janna acha lag raha hai ....n will inshAllah comment on rest of the answers later
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #39
                    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                    Originally posted by aabi2cool
                    bohat khooob saima jee aap k jawabaat parh kar bohat khuch jannay ko mila aur aap ny bary hi pur kholoos andaz se tamam sawalon k jawabaat diye .baqi jawabaat ka bhi shidat se intizaar hy jab aap compleat kar lain gi to hum bhi khuch pouchny ki jasarat kareen gy ...
                    Thnx Aabi ......... sure aap pooc saktey ho magar masood ki tarah mushkil sawal matt poochna .... :p
                    sigpic

                    Comment


                    • #40
                      Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                      Originally posted by aik_lerki

                      Jalde sy do aap sary answers taky ma bhe kuch questions ly ker aao :eye:
                      thnx dear, tum to mujh se aasan sawal kero gi na .........plzzzzzzzzzzzzz :embarasse
                      sigpic

                      Comment


                      • #41
                        Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                        Originally posted by Hala
                        First of all i am realy sorry 4 being late :embarasse

                        Please accpet A warm welcome from the core of my heart.realy you are desever for this spotlight.......... members have choosin a right person..May Allah bless you ..........wish you the best of all.
                        Be Happy always :)


                        no sorry between me and u :na: :na: :na:

                        ur alwayz welcome, me ko pata hai U r busy in studies so interview khatam honey ke baad bhi tum aati ques poochti to bhi no prob dear :hug:
                        sigpic

                        Comment


                        • #42
                          Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                          Originally posted by barg.e.gul
                          Welcome Sweet n sour to Pegham Interview Spot :thmbup:

                          Gul Thnx ....... mei aap ke comments aur ansers zara baad mei reply keroun gi :) abhi baqi 20 ques ka reply ker lo to phir :insha:
                          sigpic

                          Comment


                          • #43
                            Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                            Originally posted by Sweet & Sour
                            Thnx Aabi ......... sure aap pooc saktey ho magar masood ki tarah mushkil sawal matt poochna .... :p
                            Yeh sawalaat mushkil they? agar yeh mushkil they to jab mein mushkil sawalaat ley ker aaoun us waqt kya karo gi?
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #44
                              Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                              Originally posted by Masood
                              Yeh sawalaat mushkil they? agar yeh mushkil they to jab mein mushkil sawalaat ley ker aaoun us waqt kya karo gi?

                              mei seriously jawab nahi doun gi :na:
                              sigpic

                              Comment


                              • #45
                                Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                                kal se weekend start ho jayeh ga, to mei sarey jawab aaj kal mei complete keren ki koshish kerti hoon

                                21 - pasandeedah mosam :hhh: mujhe her mosam mei kuch na kuch pasand hai, winter mei barish aur ghaney badal, is mei ice cream khaney ka maza aata hai :d ....... khizaan ke mosam mei dharakton ke paton ka rang buhut pasand hai, is mosam mei dark mysterios color ki dressing buhut achi lagt hai .... spring ke rangon ka kya kehna, every thing looks fresh and new, summer mei bas garmi buhut hoti hai indoor activities ka maza aata hai

                                22 - Qudrati nazaron mei koi aik nahi, mujhe sarsabz bagh, khayt pasand hain, oughta sooraj pasand hai ous ki narm chamakti kirnein jab ankon aur chehrey per parti hain to acha lagta hai to youn lagta hai jism mei ek nayi jaan aa gayi hai. Badal buhut pasand hain.

                                23 - Ghar per farigh waqt kam hi milta hai, mukhtalif times mei mukhtalif ..mood per depend kerta hai kabhi bahir janey ko dil kerta hai for shopping, Watching TV, cokking is my hobby koi nayi recepie hath lag jayeh wo try ekrti hoon, aur kuch nahi to mum dad aur behno ko tang kerti hoon :p :d


                                24 - daily routine same hai is liyeh din ka sab se acha waqt ... mei dopahar ko late aati hoon to khana bas sham ko hi khati hoon aur ghar walon ek sath na dopahar ek na hi raat ke khaney mei shamil hoti hoon, is liyeh jab sab ikathey hotey hain to acha lagta hai yaan weekend per jab subah outhti hoon aur sab so rahey hon to khamoshi achi lagti hai.

                                25 - Hijab in a sense mei naqab nahi kerti, bahir jatey waqt sar ourhti hoon aur coat bhi pehanti hoon .......... buhut zada ristricted nahi hoon is mamley mei. Lerkion ko bahir jatey waqt perda kerna chahiyeh khudh ko dhanpna chahiyeh jesa Islam mei hukum diya gaya hai.

                                26 - Itna ajeeb sawal :-s ..... kahir is ki zimedarikisi aur per nahi khudh hum hi is ke zimedar hain.

                                27 - Islam woh wahid mazhab hai jis ne aurat ko mard se zada izzat bakhshi hai, even non-muslims yahan yeh dekh ker hairan reh jatey hain ke aurton ki izzat aur kitna lehaz kiya jata hai. Ab yeh aurat per munhasir hai ke woh is izzat ko kis tarah mehfooz rakhti hai.

                                28 - Allah ki rehmat se kabhi mayous nahi huwi, ous ne bina mangey her naymat se nawazah hai, ager kabhi koi arzoo na bhi poori ho to mayousi nahi hoti shayed is liyeh ke Dil ko itmenan hota hai ke wo jo kerta hai behter kerta hai. Bina mangey itna dai deta hai aur ager kabhi nahi deta to ous mei humara bhala hota hai.

                                29 - Taqdeer-o-tadbeer ka falsafa buhut taweel hai magar mei mukhtasir yahi kahoon gi ke mei dono per yaqin rakhti hoon. In dono ki misal zameen aur asman ki tarah hai kehney ko to zammen kahan aur aasman kahan dono ek dosrey se juda hain magar kisi ek satah per dono ek dosrey se mil bhi jatey hain ....... taqdeer aur tadbeer bhi issi tarah hai, insan apni mehnat koshish se her kaam ker sakta hai sab kuch paa sakta hai jo ous ki isteta'at mei hai aur ek jagah aa ker ous ki sari tadbeerian nakaam ho jati hai jahan se taqdeer ka kahil shuroo hota hai jab taqdeer apni bazi palat'ti hai to insan ki sari tadbeerian ous ke aagey nakaam ho jati hain.

                                30 - Internet to bas internet hai is ke barey mei kya kahoon ????

                                31 - Internet ke bagair guzara........ haan shayed ker sakti hoon, jab net nahi tha tab bhi to mei zinda thi nahi bhi ho ga to shayed guzara ho jayeh ga .........

                                32 - Internet per barhti huwi behayai ......... mujhe kabhi aisa experience to nahi huwa, shayed is liyeh ke her chiz ki faidey aur nuqsan hotey hain, yeh hum per depend kerta hai ke hum ousey kaisey istemal kertey hain. Aap ke ghar se bahir tofan ho gard matti ourh raha ho to aap ke ghar mei tab tak nahi aayeh ga jab tak aap khudh khirki yaan darwaza nahi kholtey.

                                33 - Pegham per Masood na invite kiya tha.

                                34 - Pegham ka mahol acha hai, members buhut suljhey huwey aur mature hain, gila shikwa kisi se nahi, aisi baat nahi ke meri takraar kisi se kabhi huwi nahi yaan hoti nahi, hotihai magar Dil mei nahi rakhti, jis se koi shikayat ho keh deti hoon, ager ous insan ko is qabil na samjhoo ke shikayat ki jayeh to ousey ous ke haal per chor ke parey hatt jati hoon.

                                35 - PG per mei buhut se logon kisi na kisi khoobi se mutassir hoon, Aanchal ke articles ous ke kaam se, Khalil ko mei dosrey forum se nahti hoon ous ki designing aur work spirit , aadi ka kaam, spy's IQ level, Hala ki narm mizaji, Rida, shakeel, Jugnoo ki designing is excellent, Aabi's knowledge about Islamic affairs, Komal, Gul, Aanchal ka kaam khawateen ke chilman ke liyeh is remarkable, Aany's energetic + workoholic attitude ..... Infact her member mei koi na koi aisi baat zaror hai which I appreciate and get inspired of.

                                36 - Pegham Charity Fund : jab masood ne is barey mei btaya tha to mujhe idea buhut acha laga tah aur phir sarey members ne bhi issey saraha tha, Yeh ek naik kaam hai aur inshallah is kaar-e-khair mei khuda barkat dai ga. Kal ko ager mei kisi waja se PG per na bhi rahi to bhi inshallah is mei participated rahoon gi, zindagi emi kabhi kabhi achey kaam kerne ka moqa milta hai aur mujhe aisey moqa ganwaney ki aadat nahi hai.

                                37 - Pegham ke sabhi section buhut pasand hai, kiu ke her section humari zarorat ka hai aur her section se apni zarorat ek mutabiq mustafeed bhi hotey hain.

                                38 - Pegham ki team mashallah buhut achi hai, sabhi talented hain, na sirf team members balkey dosrey sarey members bhi buhut talended hain jo sab PG ki behtari ke liyeh hi kaam kertey hain, last year jab mei ne PG join kiya tha to yahan buhut khamoshi thi her section thorey se waqt mei visit ker leti hoon ab mashallah se progress yeh hai sab sections visit kerne ka chance nahi milta, mera kahayl hai PG buhut khoob ja raha hai aur inshallah aainda bhi issi tarah taraqi karey ga.

                                39 - SuperMod .... yeh to Masood khudh hi batayein ke mujhe supermod kiu bana diya :p ..... zimedarian buhut hain jin ko fulfil kerne ka poora time bhi nahi mil raha mujhe ..... magar pareshani aisi koi nahi .....
                                40 - Pegham ........ ab aainda jo bhi sawal poochey masood ki tarah itney complicated na poochna plsssssssss :embarasse
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X