Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

    Aslam-0-alkam.. ap ney bohat achy answer diya hain.ap ka intrvew per k Kuch sawalon k jawab mujy pochny sey pehly he mil gay, ap ke naam ka meaning b bohat acha hay..:salam: .. lejya kuch question mare tarf sey

    QNO:1- MAZAHB(Relagon) sey kiss had tak lagao hay ?

    QNO:2- PERENTS main ziada attach kis ke sath hain. (amee) or Abu ?

    QNO:3- Jab pehly baar jahaz ka safr kia to kesa laga ? ?

    Q NO:4 KHANY me kon se cheez passand hy.. or kudh kon see cheez bohat achee bana sakte hain..:a stick: mujy Uluu nae banana. sahe jawab dena hay...

    QNO:5- Ager waqt 15 year pechy chala jaya to phir kia banana chahyn gee? wohe jo ab hain yah kisee or profassion main jana passand karyn ge ?

    ap ke jawab ka intzaar rahy gaa........ :salam: thnxx
    Life is more strict than a teacher
    A teacher teaches a lesson
    and takes an exam.
    But life takes an exam
    and then teaches a lesson

    Comment


    • #62
      Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

      27 - Islam woh wahid mazhab hai jis ne aurat ko mard se zada izzat bakhshi hai, even non-muslims yahan yeh dekh ker hairan reh jatey hain ke aurton ki izzat aur kitna lehaz kiya jata hai. Ab yeh aurat per munhasir hai ke woh is izzat ko kis tarah mehfooz rakhti hai.

      28 - Allah ki rehmat se kabhi mayous nahi huwi, ous ne bina mangey her naymat se nawazah hai, ager kabhi koi arzoo na bhi poori ho to mayousi nahi hoti shayed is liyeh ke Dil ko itmenan hota hai ke wo jo kerta hai behter kerta hai. Bina mangey itna dai deta hai aur ager kabhi nahi deta to ous mei humara bhala hota hai.

      29 - Taqdeer-o-tadbeer ka falsafa buhut taweel hai magar mei mukhtasir yahi kahoon gi ke mei dono per yaqin rakhti hoon. In dono ki misal zameen aur asman ki tarah hai kehney ko to zammen kahan aur aasman kahan dono ek dosrey se juda hain magar kisi ek satah per dono ek dosrey se mil bhi jatey hain ....... taqdeer aur tadbeer bhi issi tarah hai, insan apni mehnat koshish se her kaam ker sakta hai sab kuch paa sakta hai jo ous ki isteta'at mei hai aur ek jagah aa ker ous ki sari tadbeerian nakaam ho jati hai jahan se taqdeer ka kahil shuroo hota hai jab taqdeer apni bazi palat'ti hai to insan ki sari tadbeerian ous ke aagey nakaam ho jati hain.

      ASLAMO ALYKUM , aap k ye teeno jawab parh kar bohat khushi hui aap khasosan q#27 ka jo jawab aap ny diya hy kash k hamary aaj ki uraat islaam k is azeem siprit ko samjhy? bohat khoob aap ki islamic malomaat mery liye hayran kun hy main aap k bary main ye tawqu naheen rakhta tha k aap itny mushkil kisam k sawal ka jawab bakhoobi deen gi jaysa k aap ny taqdeeer aur tadbeer ka diya hy..baqi jawabaat bhi apny muqamaat par achy thy ALLAH aap ko hamesha khush khuram rakhy.:phool: :rose :phool:
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #63
        Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

        Originally posted by Sweet & Sour
        U know me :hhh: ......
        hmm may be :)
        Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
        Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
        Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
        Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

        Comment


        • #64
          Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

          Originally posted by Sweet&Sour
          11 - Job per her tarah ke achey, burey logo se wasta para hai, ab bhi kabhi kabhi perta hai, shuro mei kuch mushkil huwa kerti thi amgar ab sab se deal kerna aata hai ;)

          :em:

          12 - Zindagi mei buhut kuch seekha hai, ab tak seekh rahi hoon, magar zindagiek sab se kathin tajarbey se jo ek buhut bari baat seekhi wo yeh ke maan baap jab kuch kehtey hain to ous ko humesha apni bhalayi ke liyeh maan lena chahiye, hum wo dekhtey sochtey hain jo humein paney samney nazar aata hai magar maan baap wo dekhtey aur bhanp jatey hain jo aagey jaa ker honay wala hota hai.

          exactly saima ...Parents bachon ko bohot acha guide ker saktey hein leykin is key liye zaroori hai key hum parents key kareeb hon :)

          13 - Aisi naseehat jo samajh aa jayeh aur jis per dil bhi manta ho ous per amal kerna aasan lata hai. Jis baat ki samajh na aati ho ous per amal kera mushkil lagta hai. Magar maan baap ki koi naseehat samajh na bhi aayeh to amal kerne ki koshish zaror kerti hoon.
          good girl :thmbup:

          naseehat asaan honey aur us ko samjh mey aaney key ilawa naseehat kerney waley ka andaaz bhi acha hona chahiye --baaz logon ki naseehatein to bohot achi hoti hein magar un ka tareeka nahi sahih hota aur na hi mauqa deykhtey hein ....jis time milo naseehat shuru :tauba

          14 - Mohabbat kehtey hain aaj kal ke zamaney mei baqi rahi nahi, ager hai bhi to pal do pal ki mohabbat reh gayi hai. Mohabbat ek buhut pyara sa jazba hai jisey insan ke dil mei aaney ke liyeh ek pal lagta hai magar yeh ous mei aisa pukhta ho jata hai jese sadion purana ho. Yeh mohabbat hi insan ko sahi mano mei jeena sikhati hai.

          :D:
          aur aagey barhney ki lagan bhi deyti hai

          15 - Dil aur demagh dono ki sunti hoon phir jo sahi lagey wo maan leti hoon.

          haan leykin baaz log kehtey "Suno dono ki karo wahi jo tumhein damagh kehta hai " wo kyoon aeysa kehtey hein?

          16 - Pasandeedha shaksiyat se aap ki murad kya thi mei samajh nahi saki ???

          your Fav. personality
          jis ko aap admire kerti hon

          17 - Adab se lagao school time se hi hai, akser jab college mei classes skip kerti thi to library mei hi kuch na kuch parhti pakri jati thi :p

          lol
          phir to teachers kehti hon gi key saima ki lectures unhein library mey hi deliver kerney chahiyein :P

          18 - Kitabein akser to nahi kabhi kabhi parhti hoon, jab kabhi time miley to ...poetry per, short stories, religious etc.. novels nahi parhti na kabhi mujhe mei itna patience tha ke novels parh sakoon.
          kitabein perhney ki addat honi cahhiye ---ye aap key safar mey aur tanhai mey aap ki sathi hoti hein :D

          19 - Pasandeedah shair/shaira Allam Iqbal, wasi shah, aur perween shakir. Nasr ab kam parhti hoon is liyeh kuch keh nahi sakti.


          zaberdast

          20 - Meri shairi woh t bas ek time pass hai ;) ..... Nasr likhna zada pasand tha school time mei likha kerti thi, jab se job start ki chor diya time hi nahi mila, ab bas kabhi kabhi thora sa likh leti hoon kiu ke time hi nahi milta.

          aap kam waqt mey bhi acha likhti hein ....likhti rahiye :thmbup:
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #65
            Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

            Originally posted by Sweet & Sour


            21 - pasandeedah mosam :hhh: mujhe her mosam mei kuch na kuch pasand hai, winter mei barish aur ghaney badal, is mei ice cream khaney ka maza aata hai :d

            june ka start hai aur merey paas abhi yahi mausam hai
            ....... khizaan ke mosam mei dharakton ke paton ka rang buhut pasand hai, is mosam mei dark mysterios color ki dressing buhut achi lagt hai ....


            kerti kya hain aap myterious dressing mey .:P
            spring ke rangon ka kya kehna, every thing looks fresh and new,


            yep :D
            summer mei bas garmi buhut hoti hai indoor activities ka maza aata hai


            wahan aap ko samundar kinary ja ker bhi mazza ata ho ga :D

            22 - Qudrati nazaron mei koi aik nahi, mujhe sarsabz bagh, khayt pasand hain, oughta sooraj pasand hai ous ki narm chamakti kirnein jab ankon aur chehrey per parti hain to acha lagta hai to youn lagta hai jism mei ek nayi jaan aa gayi hai. Badal buhut pasand hain.


            :D:
            mujhey bhi badal bohot pasand hein ...jaisey bhi hein

            23 - Ghar per farigh waqt kam hi milta hai, mukhtalif times mei mukhtalif ..mood per depend kerta hai kabhi bahir janey ko dil kerta hai for shopping, Watching TV, cokking is my hobby koi nayi recepie hath lag jayeh wo try ekrti hoon, aur kuch nahi to mum dad aur behno ko tang kerti hoon :p :d


            :em:


            24 - daily routine same hai is liyeh din ka sab se acha waqt ... mei dopahar ko late aati hoon to khana bas sham ko hi khati hoon aur ghar walon ek sath na dopahar ek na hi raat ke khaney mei shamil hoti hoon, is liyeh jab sab ikathey hotey hain to acha lagta hai yaan weekend per jab subah outhti hoon aur sab so rahey hon to khamoshi achi lagti hai.

            sab key sath hi khaney ka mazza ata hai warna akeyley to bhook bhi khatam ho jati hai :)

            25 - Hijab in a sense mei naqab nahi kerti, bahir jatey waqt sar ourhti hoon aur coat bhi pehanti hoon .......... buhut zada ristricted nahi hoon is mamley mei. Lerkion ko bahir jatey waqt perda kerna chahiyeh khudh ko dhanpna chahiyeh jesa Islam mei hukum diya gaya hai.

            :masha

            26 - Itna ajeeb sawal :-s ..... kahir is ki zimedarikisi aur per nahi khudh hum hi is ke zimedar hain.

            bilkul :thmbup:

            27 - Islam woh wahid mazhab hai jis ne aurat ko mard se zada izzat bakhshi hai, even non-muslims yahan yeh dekh ker hairan reh jatey hain ke aurton ki izzat aur kitna lehaz kiya jata hai. Ab yeh aurat per munhasir hai ke woh is izzat ko kis tarah mehfooz rakhti hai.

            wonderful larki :D

            28 - Allah ki rehmat se kabhi mayous nahi huwi, ous ne bina mangey her naymat se nawazah hai, ager kabhi koi arzoo na bhi poori ho to mayousi nahi hoti shayed is liyeh ke Dil ko itmenan hota hai ke wo jo kerta hai behter kerta hai. Bina mangey itna dai deta hai aur ager kabhi nahi deta to ous mei humara bhala hota hai.


            agar ye sab hamarey zeyhan mey ho to humein ye bhi bhool jaye ga key "mayoosi" kehtey kissey hein

            29 - Taqdeer-o-tadbeer ka falsafa buhut taweel hai magar mei mukhtasir yahi kahoon gi ke mei dono per yaqin rakhti hoon. In dono ki misal zameen aur asman ki tarah hai kehney ko to zammen kahan aur aasman kahan dono ek dosrey se juda hain magar kisi ek satah per dono ek dosrey se mil bhi jatey hain ....... taqdeer aur tadbeer bhi issi tarah hai, insan apni mehnat koshish se her kaam ker sakta hai sab kuch paa sakta hai jo ous ki isteta'at mei hai aur ek jagah aa ker ous ki sari tadbeerian nakaam ho jati hai jahan se taqdeer ka kahil shuroo hota hai jab taqdeer apni bazi palat'ti hai to insan ki sari tadbeerian ous ke aagey nakaam ho jati hain.


            aur ye sab as it is accept ker leyna chahiye
            gd jawab :thmbup:

            40 - Pegham ........ ab aainda jo bhi sawal poochey masood ki tarah itney complicated na poochna plsssssssss :embarasse

            lol
            theek :D
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #66
              Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

              1.apnay dostoun mein konsi baaaat dekhna chahti hein... aur konsi baat say nafrat hay?....
              2.jab barish hoti hai to sab sa pahla ahsas kia hota hai
              3.shairi ka aaghaz dard se hi kyun .. ? matlab ke chott lagay to shair banay.. aisay hi kyun... aksar yehi dekha..///
              4. Three things u like in a person.
              5. Three things u hate in a person.
              6. Wat u do when u'r very angry.
              7. Wat u do when u'r very happy.
              8. Wat u do when u'r very Excited.
              9.Phool aur khushboo ... main se laazim kya... dono zaroori hein ya koi eik.. waisay dekha jaye to khushboo phool ke dil main rehti hai .. phool na hon to khushbooo dar'badar.. aur agar khushbooo na ho to baqol parveen shakir.. khusboo urri to phool faqat rung reh gaya...abb agar dono eik doojay ke liye zaroori.. eik dojay ke liye banay.. to phir khushboo urti hi kyun hai .. chor ker jati hi kyun hai ... aur agar zawal qudrat ne her shay main rakh dia hai .. tabhi jati hai .. to phir dard kyun nahi kum hota.. ussay zawal kyun nahi .. ??
              10.ap ko mere etne swal kerna bura tu nehi laga?
              Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
              Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
              Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
              Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

              Comment


              • #67
                Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                Originally posted by Sweet & Sour
                2 - Tareegh paidaish 04th August 19:D :D , maqam-e-paidaish Doha Qatar.
                19:D :D se 2:D :D 6 yaani aap 106 saal ki hoi....kaise manage kiya itne saal tak.......

                Comment


                • #68
                  Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                  Originally posted by ASAD

                  QNO:1- MAZAHB(Relagon) sey kiss had tak lagao hay ?


                  mmm.............. :hhh: kafi hadth tak hai magar buhut extreme hadth tak sakht nahi hoon, shayed is ki waja ghar ka mahol ho, mama papa ne zindagi ka her pehloo Islam ki rooh se samjhaya zaror hai magar kabhi hum per sakhti nahi ki siwayeh chand baton ke jin ki kisi soorat ijazat nahi, to is liyeh :alhamd: jitna mumkin hai follow kerti hoon.

                  Originally posted by ASAD

                  QNO:2- PERENTS main ziada attach kis ke sath hain. (amee) or Abu ?


                  wese to dono ki apni apni jagah hai kiu kai behsak papa humarey nakhrey zada outhatey hain humein zada pyar kertey hain magar maan ki care, oun ki dant apni jagah kiu ke wo humarey ahcey ke liyeh hum per sakhti kerti hain, mein dono se buhut attach hoon magar jab koi baat mama papa ke beech hoti hai to mei papa ko support kerti hoon aur mere papa mujhe support kertey hain :p

                  Originally posted by ASAD
                  QNO:3- Jab pehly baar jahaz ka safr kia to kesa laga ? ?
                  Originally posted by ASAD


                  yaad nahi, bachpan se kayi baar kiya hai tab kayi baar aisa bhi hota tha ke sara din ke thakey huwey take off ke waqt hum soyeh hotey hain jab aankh khulti thi to plane aasamn mei ourh raha hota tha :D


                  Originally posted by ASAD
                  Q NO:4 KHANY me kon se cheez passand hy.. or kudh kon see cheez bohat achee bana sakte hain..:a stick: mujy Uluu nae banana. sahe jawab
                  Originally posted by ASAD
                  dena hay...


                  mujhe khaney mei koftey bhi pasand hain magar mei sab se achi biryani hi banati hoon.


                  Originally posted by ASAD
                  QNO:5- Ager waqt 15 year pechy chala jaya to phir kia banana chahyn gee? wohe jo ab hain yah kisee or profassion main jana passand karyn ge ?
                  Originally posted by ASAD

                  ager waqt 15 saal peechey chala jayeh to tab to mei buhut choti hoon gi shayed 4th yaan 5th standard mei tab kisey pata hota hai bara ho ker kya ban'na hai :donno: ........ haan albat'ta mujhe wakalat ka shoq tha ager moqa milta to shayed kerti yaan shayed kuch aur :cc:
                  sigpic

                  Comment


                  • #69
                    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                    Originally posted by aabi2cool
                    ASLAMO ALYKUM , aap k ye teeno jawab parh kar bohat khushi hui aap khasosan q#27 ka jo jawab aap ny diya hy kash k hamary aaj ki uraat islaam k is azeem siprit ko samjhy? bohat khoob aap ki islamic malomaat mery liye hayran kun hy main aap k bary main ye tawqu naheen rakhta tha k aap itny mushkil kisam k sawal ka jawab bakhoobi deen gi jaysa k aap ny taqdeeer aur tadbeer ka diya hy..baqi jawabaat bhi apny muqamaat par achy thy ALLAH aap ko hamesha khush khuram rakhy.:phool: :rose :phool:

                    shukriya aabi, wese mei issi liyeh kabhi serious ho ker batein nahi kertiher waqt bongian marti hoon :p
                    sigpic

                    Comment


                    • #70
                      Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                      [quote=Sweet & Sour][/color]


                      THNNX ALOT.....:salam: .........
                      Ager shaire sey dilchaspe hay to apne passand ka koe shyr suna dain ?
                      Life is more strict than a teacher
                      A teacher teaches a lesson
                      and takes an exam.
                      But life takes an exam
                      and then teaches a lesson

                      Comment


                      • #71
                        Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                        Originally posted by Sweet & Sour
                        wese mei terbooz ager kabhi kahoun to lunch ke baad khati hoon aur chayeh sham ko peeti hoon... kabhi dono ko ek sath try kerne ka itefaq nahi huwa, aur mujhe kya U ne katta hai jo mei yeh bewaqoofi keroun gi, ager zindagi mei yeh hadsa huwa ke U ne mujhe katta aur mei ne yeh himaqat ki to phir tab kya feel hota hai yeh tab hi btaoun gi :lpop:
                        kahin aap apne aap ko bhaalu aur mujay shehad ki makhi (honey bee :blush: ) to nahi samajtein :embarasse

                        By the way mein ne aap ko aik innovative idea diya he aik question ki soorat mein, apne office mein yeh zaroor try keejiye ga...aap ke boss ka moun open na ho gaya yeh dekh ke to phir kahiye ga :kr:
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #72
                          Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                          Originally posted by barg.e.gul

                          june ka start hai aur merey paas abhi yahi mausam hai


                          kerti kya hain aap myterious dressing mey .:P


                          yep :D


                          wahan aap ko samundar kinary ja ker bhi mazza ata ho ga :D



                          :D:
                          mujhey bhi badal bohot pasand hein ...jaisey bhi hein



                          :em:



                          sab key sath hi khaney ka mazza ata hai warna akeyley to bhook bhi khatam ho jati hai :)


                          :masha


                          bilkul :thmbup:


                          wonderful larki :D



                          agar ye sab hamarey zeyhan mey ho to humein ye bhi bhool jaye ga key "mayoosi" kehtey kissey hein



                          aur ye sab as it is accept ker leyna chahiye
                          gd jawab :thmbup:


                          lol
                          theek :D
                          aap ke baatein perh ker meri aankhon se aansu nikal aaye

                          Aik baat mein soochta hoon ke PG ke jitnay bhi mod hein in ki tabiyat homeopathic kyoon hoti he :kr:
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #73
                            Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                            29 - Taqdeer-o-tadbeer ka falsafa buhut taweel hai magar mei mukhtasir yahi kahoon gi ke mei dono per yaqin rakhti hoon. In dono ki misal zameen aur asman ki tarah hai kehney ko to zammen kahan aur aasman kahan dono ek dosrey se juda hain magar kisi ek satah per dono ek dosrey se mil bhi jatey hain ....... taqdeer aur tadbeer bhi issi tarah hai, insan apni mehnat koshish se her kaam ker sakta hai sab kuch paa sakta hai jo ous ki isteta'at mei hai aur ek jagah aa ker ous ki sari tadbeerian nakaam ho jati hai jahan se taqdeer ka kahil shuroo hota hai jab taqdeer apni bazi palat'ti hai to insan ki sari tadbeerian ous ke aagey nakaam ho jati hain.
                            Main ney bohat logon sey is per jawab manga hai aur mukhtalif andaz mein jawab mila - aap ney jis andaz mein is ko biyaan kiya hai :masha bohat khoobsurat andaz hai. Haqeeqat hai - dono ka aapis mein bohat gehra ta'aluq bhi hai - jaise aasman-o-zameen - but still they are far far away. Very nice reply :)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #74
                              Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~


                              30 - Internet to bas internet hai is ke barey mei kya kahoon ????
                              aap yeh keh lain key internet kee waja sy aap ko loag aur logon ko aap janti hain..aur kuch na kahin:wk


                              Comment


                              • #75
                                Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                                Originally posted by barg.e.gul
                                :em:


                                exactly saima ...Parents bachon ko bohot acha guide ker saktey hein leykin is key liye zaroori hai key hum parents key kareeb hon :)
                                agreed :)

                                Originally posted by barg.e.gul
                                naseehat asaan honey aur us ko samjh mey aaney key ilawa naseehat kerney waley ka andaaz bhi acha hona chahiye --baaz logon ki naseehatein to bohot achi hoti hein magar un ka tareeka nahi sahih hota aur na hi mauqa deykhtey hein ....jis time milo naseehat shuru :tauba


                                sahi :p


                                Originally posted by barg.e.gul

                                haan leykin baaz log kehtey "Suno dono ki karo wahi jo tumhein damagh kehta hai " wo kyoon aeysa kehtey hein?
                                Actually zindagi ab zada practicle ho chuki hai, log ki soch bhi wesi ho chuki hai to zahir si baat hai Dil humesha wahi kehta hai jo practical nahi hota aur demagh sense ki baat kehta hai to zahir si baat humein survive kerna hai to demagh ki hi manein gai.

                                Originally posted by barg.e.gul

                                your Fav. personality
                                jis ko aap admire kerti hon

                                Ofcourse one and only " My Dad" :)



                                Originally posted by barg.e.gul

                                kitabein perhney ki addat honi cahhiye ---ye aap key safar mey aur tanhai mey aap ki sathi hoti hein :D
                                Tanhayi naseeb ho tab na :tauba


                                Originally posted by barg.e.gul

                                aap kam waqt mey bhi acha likhti hein ....likhti rahiye :thmbup:
                                Thnx ..... koshish keroun gi :)

                                Originally posted by barg.e.gul




                                kerti kya hain aap myterious dressing mey .:P



                                ab sarey raaz yahi khulwao gi kya :embarasse ....... iteffaq ki baat yeh yeh rang mere fav hain aur in rango ko summer mei nahi pehan saktey to is mosam mei zabardast lagtey hain make up bhi nahi kharab hota :D

                                Originally posted by barg.e.gul


                                wahan aap ko samundar kinary ja ker bhi mazza ata ho ga :D
                                Originally posted by barg.e.gul

                                haan kabhi kabhi jatey hain magar zada nahi :p





                                Originally posted by barg.e.gul
                                sab key sath hi khaney ka mazza ata hai warna akeyley to bhook bhi khatam ho jati hai :)




                                yeh bhi theikh hai, magar jab mei ghar jati hoon sab mottey khana kha ker so jatey hain mei bechari akeli khati hoon



                                Originally posted by barg.e.gul
                                agar ye sab hamarey zeyhan mey ho to humein ye bhi bhool jaye ga key "mayoosi" kehtey kissey hein

                                This is wht i belive in :D:
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X