Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

    Originally posted by Sweet & Sour
    2 - Tareegh paidaish 04th August 19:D :D , maqam-e-paidaish Doha Qatar.
    yeh :D :D ki jagah pehlay exact words lagaiye phir aap se questions kerte hein...waise aap ke jawaab perh ker acha laga.
    :thmbup:

    Comment


    • #47
      Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

      Originally posted by Sweet & Sour
      kal se weekend start ho jayeh ga, to mei sarey jawab aaj kal mei complete keren ki koshish kerti hoon

      21 - pasandeedah mosam :hhh: mujhe her mosam mei kuch na kuch pasand hai, winter mei barish aur ghaney badal, is mei ice cream khaney ka maza aata hai :d ....... khizaan ke mosam mei dharakton ke paton ka rang buhut pasand hai, is mosam mei dark mysterios color ki dressing buhut achi lagt hai .... spring ke rangon ka kya kehna, every thing looks fresh and new, summer mei bas garmi buhut hoti hai indoor activities ka maza aata hai

      22 - Qudrati nazaron mei koi aik nahi, mujhe sarsabz bagh, khayt pasand hain, oughta sooraj pasand hai ous ki narm chamakti kirnein jab ankon aur chehrey per parti hain to acha lagta hai to youn lagta hai jism mei ek nayi jaan aa gayi hai. Badal buhut pasand hain.

      23 - Ghar per farigh waqt kam hi milta hai, mukhtalif times mei mukhtalif ..mood per depend kerta hai kabhi bahir janey ko dil kerta hai for shopping, Watching TV, cokking is my hobby koi nayi recepie hath lag jayeh wo try ekrti hoon, aur kuch nahi to mum dad aur behno ko tang kerti hoon :p :d


      24 - daily routine same hai is liyeh din ka sab se acha waqt ... mei dopahar ko late aati hoon to khana bas sham ko hi khati hoon aur ghar walon ek sath na dopahar ek na hi raat ke khaney mei shamil hoti hoon, is liyeh jab sab ikathey hotey hain to acha lagta hai yaan weekend per jab subah outhti hoon aur sab so rahey hon to khamoshi achi lagti hai.

      25 - Hijab in a sense mei naqab nahi kerti, bahir jatey waqt sar ourhti hoon aur coat bhi pehanti hoon .......... buhut zada ristricted nahi hoon is mamley mei. Lerkion ko bahir jatey waqt perda kerna chahiyeh khudh ko dhanpna chahiyeh jesa Islam mei hukum diya gaya hai.

      26 - Itna ajeeb sawal :-s ..... kahir is ki zimedarikisi aur per nahi khudh hum hi is ke zimedar hain.

      27 - Islam woh wahid mazhab hai jis ne aurat ko mard se zada izzat bakhshi hai, even non-muslims yahan yeh dekh ker hairan reh jatey hain ke aurton ki izzat aur kitna lehaz kiya jata hai. Ab yeh aurat per munhasir hai ke woh is izzat ko kis tarah mehfooz rakhti hai.

      28 - Allah ki rehmat se kabhi mayous nahi huwi, ous ne bina mangey her naymat se nawazah hai, ager kabhi koi arzoo na bhi poori ho to mayousi nahi hoti shayed is liyeh ke Dil ko itmenan hota hai ke wo jo kerta hai behter kerta hai. Bina mangey itna dai deta hai aur ager kabhi nahi deta to ous mei humara bhala hota hai.

      29 - Taqdeer-o-tadbeer ka falsafa buhut taweel hai magar mei mukhtasir yahi kahoon gi ke mei dono per yaqin rakhti hoon. In dono ki misal zameen aur asman ki tarah hai kehney ko to zammen kahan aur aasman kahan dono ek dosrey se juda hain magar kisi ek satah per dono ek dosrey se mil bhi jatey hain ....... taqdeer aur tadbeer bhi issi tarah hai, insan apni mehnat koshish se her kaam ker sakta hai sab kuch paa sakta hai jo ous ki isteta'at mei hai aur ek jagah aa ker ous ki sari tadbeerian nakaam ho jati hai jahan se taqdeer ka kahil shuroo hota hai jab taqdeer apni bazi palat'ti hai to insan ki sari tadbeerian ous ke aagey nakaam ho jati hain.

      30 - Internet to bas internet hai is ke barey mei kya kahoon ????

      31 - Internet ke bagair guzara........ haan shayed ker sakti hoon, jab net nahi tha tab bhi to mei zinda thi nahi bhi ho ga to shayed guzara ho jayeh ga .........

      32 - Internet per barhti huwi behayai ......... mujhe kabhi aisa experience to nahi huwa, shayed is liyeh ke her chiz ki faidey aur nuqsan hotey hain, yeh hum per depend kerta hai ke hum ousey kaisey istemal kertey hain. Aap ke ghar se bahir tofan ho gard matti ourh raha ho to aap ke ghar mei tab tak nahi aayeh ga jab tak aap khudh khirki yaan darwaza nahi kholtey.

      33 - Pegham per Masood na invite kiya tha.

      34 - Pegham ka mahol acha hai, members buhut suljhey huwey aur mature hain, gila shikwa kisi se nahi, aisi baat nahi ke meri takraar kisi se kabhi huwi nahi yaan hoti nahi, hotihai magar Dil mei nahi rakhti, jis se koi shikayat ho keh deti hoon, ager ous insan ko is qabil na samjhoo ke shikayat ki jayeh to ousey ous ke haal per chor ke parey hatt jati hoon.

      35 - PG per mei buhut se logon kisi na kisi khoobi se mutassir hoon, Aanchal ke articles ous ke kaam se, Khalil ko mei dosrey forum se nahti hoon ous ki designing aur work spirit , aadi ka kaam, spy's IQ level, Hala ki narm mizaji, Rida, shakeel, Jugnoo ki designing is excellent, Aabi's knowledge about Islamic affairs, Komal, Gul, Aanchal ka kaam khawateen ke chilman ke liyeh is remarkable, Aany's energetic + workoholic attitude ..... Infact her member mei koi na koi aisi baat zaror hai which I appreciate and get inspired of.

      36 - Pegham Charity Fund : jab masood ne is barey mei btaya tha to mujhe idea buhut acha laga tah aur phir sarey members ne bhi issey saraha tha, Yeh ek naik kaam hai aur inshallah is kaar-e-khair mei khuda barkat dai ga. Kal ko ager mei kisi waja se PG per na bhi rahi to bhi inshallah is mei participated rahoon gi, zindagi emi kabhi kabhi achey kaam kerne ka moqa milta hai aur mujhe aisey moqa ganwaney ki aadat nahi hai.

      37 - Pegham ke sabhi section buhut pasand hai, kiu ke her section humari zarorat ka hai aur her section se apni zarorat ek mutabiq mustafeed bhi hotey hain.

      38 - Pegham ki team mashallah buhut achi hai, sabhi talented hain, na sirf team members balkey dosrey sarey members bhi buhut talended hain jo sab PG ki behtari ke liyeh hi kaam kertey hain, last year jab mei ne PG join kiya tha to yahan buhut khamoshi thi her section thorey se waqt mei visit ker leti hoon ab mashallah se progress yeh hai sab sections visit kerne ka chance nahi milta, mera kahayl hai PG buhut khoob ja raha hai aur inshallah aainda bhi issi tarah taraqi karey ga.

      39 - SuperMod .... yeh to Masood khudh hi batayein ke mujhe supermod kiu bana diya :p ..... zimedarian buhut hain jin ko fulfil kerne ka poora time bhi nahi mil raha mujhe ..... magar pareshani aisi koi nahi .....
      40 - Pegham ........ ab aainda jo bhi sawal poochey masood ki tarah itney complicated na poochna plsssssssss :embarasse
      aap ki puri answer sheet perhi, ub mein yeh sooch raha hoon ke questions kese hoon ge :pagal:

      aap ka aik aik answer perha, sabi answers tawaqoaat ke mutabik thay...aap ka yeh questionaire mein aap ke on behalf bhi hal ker sakta tha :khi:
      :thmbup:

      Comment


      • #48
        Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

        Originally posted by barg.e.gul
        bohot payyara matlab hai ...ye naam bohot common hai magar mujhey is ka matlab abhi maloom hua hai :D
        mujhe bhi achi khasi research ke baad pata chala, werna ji se bhi poocho kisi ko pata hi nahi tha :tauba

        Originally posted by barg.e.gul
        bhai akser ultey naamon sey bulatey hein :D: un ka maqsad sirf behan ko tang kerna hota hai :D aur is ka hal ye hai key aap tang hi na hua karein wo khudi theek ho jayein gey ;)
        mei tang nahi perti, ab to aadat ho gayihai oun namo ki koi ager tameez se saima pukar lai to doubt hoeny lagta hai is ki tabiyat to theikh hai na :khi:

        Originally posted by barg.e.gul

        yani aap leo hein :thmbup:
        yup :lpop:


        Originally posted by barg.e.gul
        Aaj jab aap market jati hein to kya dil chahta hai bachon key sec. mey jaa ker kheyloney deykhney ko ?agar haan to kaun sa kheylona aap leyna pasand karein gi
        market mei bachon ek section mei kam jati hoon ager jaoun to mujhe wo chizein yaad aati hain jo mujhe nahi meri choti sis ko pasand hai yaan meri bhanjion ko to bas wahi dekhti hoon oun ke liyeh :) ........... apna bachpan shayed thora thora bhool gaya hai :p


        Originally posted by barg.e.gul


        Humus safaid chaney ( chick peas) ko boil ker kai banta hai its very simple , is mei olive oil, lemon juice, salt aur thora sa lehsan daal ker blend kertey hain its comes out like a cream paste........ buhut mazey ka hota hai :D

        Originally posted by barg.e.gul



        :clap:
        hamari dua hai key aap apna office management ka 2nd level bhi compelete ker lien inshAllah
        thnx :)

        Originally posted by barg.e.gul

        :masha
        agar koi aap sey poochey key subha ki namaz key liye nahi utha jata to aap ussey itna saweyrey uthney key liye kya tip dein gi?
        Kisi se kahiyeh ke subah fajr ke waqt aap ke kamrey ka AC, Fan jo bhi ho off ker dai, aur light on ker ke aap ko ek baar jaga dai, phir inshallah khudh ki aankh khul jayeh gi ek jab ek haftey tak regularly outho gai to aainda khul hi aankh jayeh gi :insha:

        Originally posted by barg.e.gul


        is stage per aa ker ab aap ko kaisa mehsoos hota hai?
        some times i get really tired by it ....... aisa mehsoos hota hai ke kya zindagi mei kaam hi reh gaya hai... magar apney aas paas jaiza loon to pata chalta hai ke is duniya aur zindagi mei ager zara thehro to buhut peechey reh jao gai, besides ghar baith ker zehan ko zang laganey se to acha hai ke be of some use even if not for urself for others :)
        sigpic

        Comment


        • #49
          Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

          aik aasan sa question.

          kabi terbooz khanay ke saath chaye pi he ??? ager nahi pi to kyoon nahi pi, aur ager piyein gi to kesa feel kerin gi, misaalein de ke jawaab ki wazahat karein :hehe:
          :thmbup:

          Comment


          • #50
            Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

            Originally posted by munda_sialkoty
            aap ki puri answer sheet perhi, ub mein yeh sooch raha hoon ke questions kese hoon ge :pagal:

            aap ka aik aik answer perha, sabi answers tawaqoaat ke mutabik thay...aap ka yeh questionaire mein aap ke on behalf bhi hal ker sakta tha :khi:
            to pehley btataey mei ne bilawaja itna time waste kiya :pagal:

            Originally posted by munda_sialkoty
            yeh :D :D ki jagah pehlay exact words lagaiye phir aap se questions kerte hein...waise aap ke jawaab perh ker acha laga.
            :D :D ki jagah :zuban: :zuban: theikh hain
            sigpic

            Comment


            • #51
              Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

              ahaa bht acha laga saima ap kie bare mein jan kie :) wese tu mein aap ko pehle se janta ho lekan ap kie jwabat per kie acha laga :)

              ab tu hm bhi swal kare gaie :)
              Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
              Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
              Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
              Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

              Comment


              • #52
                Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                Originally posted by Sweet & Sour
                :D :D ki jagah :zuban: :zuban: theikh hain
                Mera khiyaal hai keh :D :D ki jaggah per 00 tha jo saima likhna bhool gaein - haina :wk
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #53
                  Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                  Sorry bohot late ho gae yaha....:embarasse
                  saima aap ke jawab parh kar bohot acha laga.Allah aap ko hamesha khush rakhe :phool:
                  sigpic


                  Comment


                  • #54
                    Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                    Originally posted by munda_sialkoty
                    aik aasan sa question.

                    kabi terbooz khanay ke saath chaye pi he ??? ager nahi pi to kyoon nahi pi, aur ager piyein gi to kesa feel kerin gi, misaalein de ke jawaab ki wazahat karein :hehe:
                    wese mei terbooz ager kabhi kahoun to lunch ke baad khati hoon aur chayeh sham ko peeti hoon... kabhi dono ko ek sath try kerne ka itefaq nahi huwa, aur mujhe kya U ne katta hai jo mei yeh bewaqoofi keroun gi, ager zindagi mei yeh hadsa huwa ke U ne mujhe katta aur mei ne yeh himaqat ki to phir tab kya feel hota hai yeh tab hi btaoun gi :lpop:
                    sigpic

                    Comment


                    • #55
                      Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                      Originally posted by zeeshan
                      ahaa bht acha laga saima ap kie bare mein jan kie :) wese tu mein aap ko pehle se janta ho lekan ap kie jwabat per kie acha laga :)

                      ab tu hm bhi swal kare gaie :)

                      U know me :hhh: ......
                      sigpic

                      Comment


                      • #56
                        Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                        Originally posted by Masood
                        Mera khiyaal hai keh :D :D ki jaggah per 00 tha jo saima likhna bhool gaein - haina :wk

                        yahan aap ki tareegh paidaish nahi poochi gayi :na:
                        sigpic

                        Comment


                        • #57
                          Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                          Originally posted by Wafa
                          Sorry bohot late ho gae yaha....:embarasse
                          saima aap ke jawab parh kar bohot acha laga.Allah aap ko hamesha khush rakhe :phool:

                          its ok dear ......... ur alwayz welcome ....... and thnx :hug:
                          sigpic

                          Comment


                          • #58
                            Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                            Originally posted by Sweet & Sour
                            yahan aap ki tareegh paidaish nahi poochi gayi :na:
                            lo ji meri umer ka kya hai jab chaho jo chaho likh do - pakistani mein paper work ki tarha :lol - yahan to aap ki baat ho rahi hai keh aap seedha seedha kyun nahin likh detin 1900 yeh 19:D :D sey murad????
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #59
                              Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                              Originally posted by Masood
                              lo ji meri umer ka kya hai jab chaho jo chaho likh do - pakistani mein paper work ki tarha :lol - yahan to aap ki baat ho rahi hai keh aap seedha seedha kyun nahin likh detin 1900 yeh 19:D :D sey murad????

                              mera interview hai na mei jo chaho likhoun aap ko kya :a stick:
                              sigpic

                              Comment


                              • #60
                                Re: In The Spotlight ~*~Sweet & Sour~*~

                                Originally posted by Sweet & Sour
                                mera interview hai na mei jo chaho likhoun aap ko kya :a stick:
                                Dekhein main admin hoon aur agar mujhey maloom nahin ho ga to ham PG per aap ki BARSI oh sorry 107ween SALGIRAH kaisey manaein gey :D
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X