Re: دوسری شادی
Walaikum Assalaam
Acha mashwara daina humara farz hay, issi liye humain koshish karni chayeh kay apnay dostoon ko yaa har uss shakhs ko jo aap say mashwaray ki niyat say aaya hay ussay sahi mashwara dain aur agar aap apnay aap ko iss qaabil nahin samajhtay tou aisay mashwaroo say parhaiz karian :)
Mera mashwara yeh hoga, thoRa taweel hoga, kiyonki sahi baat samjhaanay main aur aisa serious mashwaara dainay kay liye convincing baatain karni zaroori hain jo aqal main baithay!! however, main apni post ko mehdood rakhnay ki koshish karoon ga, albatta, post ki TAWAALAT per paishgi maazrat:
Insaan ko dosri, teeri ya phir 4th shaadi ki ijaazat kuch hikmat ki bina per dii gayii hay!! Aap apnay dost say kuch iss andaaz main sawaal karain aur uss kay jawab say uss kay charachter or uss ki soch ko samajhnay ki koshsish karain, INSHALLAH iss question answer session main hi uss ko sahi MASHWARA mil jaayay ga woh kehtay hain naa AQALMAND ko ishaara hi kaafi hay :)
1. Kia aap ki biwi kay saath aap kay 'azdawaaji ta'aluqaat' behtar nahin?
2. Kia aap ki biwi aap ka yaa aap kay bachoon ka khayaal nahin rakhti, aap kay aur unn kay apnay waqt ko sarf nahin karti?
3. Kia woh zaban ki taiz hay, agar hay bhi tou kia srif yehi waja hay kay aap dosri shareek-e-hayat kay mutlaashi hain?
4. Kia yeh shaadi kisi bewa, yateem ya kisi aisi laRki say karna chatay hain jo umar main bhaR gayii hay aur uss kay waldain yaa tou uss ki shaadi afford nahin karsaktay, yaa sahi rishtay kay intizaar main abhi tak beti ko ghar per bitha kar rakha hay? ya yeh kisi kamsin laRki say kar kay apni hawas ki aag ko bhujaana chata hay?
5. Kia aap iss cheese ki ijaazat apnay 'Behnoyee' ko day daiti agar woh aap say mashwara karnay aata?
Humaray maashray main srif aur srif sahi TALEEM ki aur sahii hidayat ki zaroorat hay, NABI-E-Karim aur SAHAB-e-Karam RZ nay agar aik say ziyda shaadi ki tou uss kay peechay hikmat thiii, kisi bewa ko saahra daina, kisi yateem ki kafaalat karna, taakay humra maashra unn tamam burayiyoon say mehfooz rahay!!!
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
FI amaan ALLAH
PS: Iss topic per mazeed behas ki gunjaish hay, INSHALLAH jahan tak hoga hum iss clear karnay ki koshsih karain gain.

Comment