Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

An alarming issue - your comments required.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: An alarming issue - your comments required.

    Originally posted by Admin View Post
    Tanz key hijjey ghalt hain, tanz TOEY sey hota hai :p

    Aap ko juma juma aath din huwey hain Pegham per aaey huwey aur main ney iskey liyey hazaron ghanton ki mehnat ki hai - main kahan kahan kya kya reply is ko jaaneney key liye zara pichhley 5 saalon ki postings ko dekhiyey!

    Aur jab main ney aap ko mana kiiya hai keh merey aur Aamir key mabain aap na bolein to aap ka iskey bawajod dobara sey baat ko quote karna is baat ki ghamazi karta hai keh aap aqal-o-shaoor ki us manzil per hain jahan per aap apni baat kehna harf-e-awwal samajhtey hain!
    قابل قدر ایڈمن صاحب اسلام علیکم !جناب آپ نےدرست فرمایا کہ مجھے جمعہ جمعہ آٹھ دن ہوئے ہیں تو کیاآپ نے کوئی ٹائم ٹیبل جاری کیا ہوا ہے کہ جو فرد آٹھ دن سے پرانا ہو جائے وہی میرے سامنے بولے میںنے تو پیغام کے اصولوں میں کہیں نہیں دیکھا اگر کوئی نئی تبدیلی ہوگئی ہے تو برائے مہربانی ضرور بتائے تاکہ آئندہ میں احتیاط برتوں۔ جس طرح سے میں آپ کے لئے بالکل اجنبی ہوں بالکل اسہی طرح آپ بھی میرے لئے اجنبی ہیں صرف ہماری تحریریں ہی ہماری شخصیت کی عکاس ہیں ۔آپ کی اسہی عادت کی بنا پر مجھے اندازہ ہوا تھا کہ آپ صرف دوسروں کی کمزوریوں پر ہی نظر رکھتے ہیں جیسے کہ ابھی اپ میرے ہچے درست کرنے بیٹھ گئے۔آپ کا تو وسیع تجربہ ہے چیٹ وغیرہ کا ۔کم ٹائم میں زیادہ سے زہادہ لکھنےمیں کئی غلطیاں ہو جاتی ہیں یہ کم علمی کی بجائے جلد بازی کا نتیجہ ہوتی ہیں۔لیکن آپ کو تو بال کی کھال اتارنی ہی ہے؟؟؟
    جہاں تک آپ نے کہا کہ آپ نےمنع کیا تو عاجزانہ گزارش ہے کہ میں نے یہ پہلی مرتبہ آپ کی اور عامر صاحب کی گفتگو میں حصہ لیا ہے تو پہلے اور بعد والی بات کہاں سے آگئی
    دوسرے یہ کہ اگر آپ کو اتنی ہی پرایویسی میں بات کرنی ہے کہ کسی دوسرے کا کوئی عمل دخل نہ ہوتو چھوڑیئے یہ پیغام کا فورم اور ای میلز کے ذریعے آپس میں باتیں کریں ۔
    نہ تو میں حرف اول کا دعویٰ دار ہوں نہ ہی حرف آخر کا۔اللہ جی مجھے اس قسم کی خرفات سے بچائے رکھیں۔
    :star1:

    Comment


    • #62
      Re: An alarming issue - your comments required.

      Originally posted by Admin View Post
      Phir aap bar'mila hongey keh main ney aap ko degrade kiya hai. Zara apni is baat ko gehraii mein jaa ker sochiyey ga keh aap ney kya hukm farmaya hai - aur phir Islam key diyey huwey asbaq ko phir sey khol kar parhiyey ga keh keh aap ki yeh baat kis qadar muzahika'khez hai! Agar YEHI soch Pakistan key ghairat mand nau'jawano ki hai jo aap ney kahi to .............. Pakistan ka Allah hi hafiz hai!
      غلطی کی معافی چاہتا ہوں میں اسہی زمین کا فرد ہوں اور اسہی زمین کےافراد کی طرح سوچتا ہوں۔اور میں کوئی بھی حکم نہیں کرتا اس کا شوق تو اُن کو ہے جو ایڈمن ہیں۔جی یہی سوچ اس وقت اس پاکستان کے بسنے والوں کی ہے اسہی وجہ سے تمام تر برائیاں ہمارے معاشرے میں پائی جاتی ہیں جن کی حقیقت کی جانب میں نے اشارہ کیا۔کوئی ایسی انہونی بات نہی کی جو میرے پاکستان میں نہیں ہو رہی ۔اگر ایسا کچھ نہ ہورہا ہوتا تو یہ واقع اور نہ جانے ایسے کتنے واقعات روز پاکستان میں وقوع پزیر نہ ہوتے۔بجائے اس کے کہ ہم ایک عام فرد کے جزبات کی قدر کرتے ہوئےکہ وہ کہہ رہا ہےکہ مجھے یہ سب اچھا نہیں لگا اُسے اپنی باتوں سے اس طرف راغب کر رہے ہیں کہ آئندہ ایسا دیکھو تو اپنے دکھ کا اظہار ہم سے نہ کرنا ۔ورنہ ہم تو ؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟باتوں کے تم سے بڑے غازی ہیں
      :star1:

      Comment


      • #63
        Re: An alarming issue - your comments required.

        Originally posted by Admin View Post
        Main aap ko nahin janta. Main aap ki zaat sey waqif nahin. Main aap ki taleem key level sey waqif nahin - main aap ko sirf Pegham ki had tak dekhta hoon aur aap ki postings sey aap ki shakhsiyat ka andaza laga sakta hoon - mujhey be'intihaa afsos hai keh merey nazdeek aap ko abhi bohat ziyada maturity ki zaroorat hai.

        Meri zaat per tabsra karney sey pehley Pegham per mojood merey mazameen parhiyey keh main naam nehad maulviyon, ulmaa aur in tanzeemo ka kitna sakht mukhalif hoon jo Kashmir aur Afghanistan mein JEHAD ko badnaam kar rahi hain. Main aisey logon ka sakht mukhalif hoon jo ISLAM ko apney mufaad key liyey istimaal karein chahein woh Kashmir ho ya Pegham ki postings!

        Main apni zaat main apney asoolon ka sakht paband hoon aur main Islam ko aisey badnaam nahin karta na hi Islam ko kisi aisi baat mein shamil karta hoon jo merey apney aemalon mein nahin!

        Agar aap mujhey janena hi chahtey hain keh meri fitrat kaisi hai to main aap ko aik misaal deta hoon jis sey aap jaan saktey hain agar main Aamir ki jaggah hota to kya karta....

        Main Pakistan sey wapis Denmark aa raha tha, Islamabad Airport per FIA ney mujhey rok liya keh merey papers wapsi sey aik roz pehley chori ho gaey they aur unhon ney mujhey photocopies per safar karney sey rok diya. Baat thi asool thi - I accepted it.

        Magar itney main FIA ka aik barra officer aaya to kehney laga keh "sir ham aap ko janey detey hain aap hamein itni raqm dey dijiye" - main yeh jantey huwey bhi keh shayid main kabhi ab Denmark kabhi wapis nahin aa paoun ga, I said to him keh sir meri kamaii haraam ki nahin keh main aap ko rishwat doon - I prefer to be held back!!

        Mujhey na maut ka khof hai na apney nuqsaan ka jo baat haq hai woh haq hai!
        میں بھی آپ ہی کی طرح ایسے جہادیوں کے خلاف ہوں جو ایک عام مسلمان پر سوالیہ نشان لگا رہے ہیں اس بات کا کھلا اظہار میں "بھٹکتی روح جی کے تھریڈ اسلام اور جہاد" میں ابو دجانہ صاحب کے ساتھ کر چکا ہوں
        آپ نےاپنا جو زاتی واقع سنایا میں اس کی قدر کرتا ہوں ہر فرد کی زندگی میں کبھی کبھار ایسا مرحلہ آجاتا ہے جہاں وہ ایک اچھا سٹینڈ لیتا ہے اس سے ملتا جلتا واقع میرے ساتھ بھی ہوا ۔میں زندگی میں پہلی مرتبہ پاکستان سے باہر نکل رہا تھا اور میرے میڈیکل کے لئے مجھے کہا گیا کہ میڈیکل مت کرواو کوئی نہ کوئی بات نکل آتی ہے بس ویسے ہی کچھ دے دلا کر رپوٹس بنوا لو تو اُس مرحلے پر چب میرا پہلا چانس تھا باہر آنے کا تو میں بھٹک جاتا لیکن میں نےکہا کہ نہیں اگر اللہ کو منظور ہے میرا باہر جانا تو میں کسی صوت رک نہیں سکتا سو میں تو صحیح طریقے سے میڈیل رپورٹس حاصل کروں گا۔
        الحمدُللہ میں اس وقت آپ کے ساتھ پاکستان سے ہمکلام نہیں ہوں
        :star1:

        Comment


        • #64
          Re: An alarming issue - your comments required.

          Assalaam-O-Alaikum Aamir Bhai

          Yehi tou almiya hay kay hum apni ankhain band kar laitay hain aur KHAMOSHI main hi afiyat jaantay hain, magar yeh sahi amal nahin! Yeh zaroori nahin kay aap unhain GHUSSA karkay rouktay, kiyonki woh IKHLAQ kay dairay main reh kar aisi nazaiba harkat kar rahay thay magar aap apnay IKHLAQ kay dairay main reh kar unhain mana'a kar saktay thay, meri ankhon kay samnay bhi barha aisay waqaiyat guzray hain, jaisay koi shakhs Beer ki T-Shirt pehan kar Juma ki namaz ki adayegi kay liye aaya, main nay namaz kay ikhtitaam per uss say musaafa kia, apna taruf karwaya, HASHIM AMLA cricket ki misaal di (kay woh south Africa ki team sponsor jo kay aik beer company hay ka logo apni shirt per nahin lagata kay liqour humaray mazhab main haraam hay) wagahira, meray IKHLAQI rawayay say na srif uss nay ainda aisa karnay say ijtinaab kia balkay ALLAH say mua'afi maangi aur mujh say dosti ki!!!

          Har baat ko suljhanay ka aik tareeqa hay, humari Noujawaan nasal jinn tareekion main gharq hay uss kay zimayada kuch hadh tak hum, humara mua'ashra, humaray waldain bhi hain, agar ghar main Maa betiyon samait Indian films, indian gaanay, Indian daramay dekhain gi aur saath main yeh tawaqoo karay gi kay jo kuch hum dekh rahay hain woh srif ENTERTAINMENT hay aur uss say bachoon ki zehniyat main koi farq nahin paRay ga tou yeh sarasar apnay aap ko DHOKAY main rakhnay ki baat hay.

          Yeh ishq-O-mohabbat, galay milna, kissing karna, iss kay liye aayay din nayay nayay tehwaar, yeh sab humara CULTURE ka hissa nahin, yeh aik aisa POISON hay tou jo SILENTLY humaray ZAMEER ko aur humaray IKHLAQ ko, humaray IMAAN ko andar hi andar roz-ba-roz QATAL karta jaa raha hay!!!

          ALARMING ISSUE yehi hay kay humain khudh BA-KIRDAAR hokar auroon ko achay KIRDAAR ki daawat daini chayeh, KHAMOOSHI ka hukum uss waqt hay jab aap ko yeh lagay kay aap bilkul BAYBUS hain!!

          ALLAH SWT humain deen kay raastay per chalnay ki aur achi aur sachi baatain seekhnay aur uss per amal karnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN

          FI amaan ALLAH


          Originally posted by munda_Sialkoty View Post
          Aap ka jawaab bhi kafi pasand aaya mujay aur is baar aap ke jawaab mein mujay aik aggression aur force nazar aai jo pehlay nisbatun kum nazar aati thi. Aap ne bilkul sahi kaha ke is waqee ki ehmiyat is liye ziada he ke yeh Islami jamhooriya pakistan mein waqu pazeer hua. Pakistan se bahir to is se kai ziada scene nazaron se guzray aur dimaag se bhi oojhal ho gaye, who cares. Wahan per loog kafi ziada thay aur mein ne kafi helpless feel kia ke mein inhein khud na rook saka. Aur aisay mein kuch noojawaano ko in se aur sheh mil gai ho gi aur wo bhi waqt aanay per aisi deeda'daleeri ka muzahira kerne se shayad na chookein.

          Hamara Pakistan kafi liberal ho gaya he. Chand aik members se mein yeh topic MSN per discuss ker chuka, lekin mein hairat'zada hoon ke mujay jawaab mila ke "tum kyoon tension lete ho" aur mere concern per hata ke huss ker dikhaa dia gaya jese mein koi Alien hoon aur abi abi in ke mulk mein tashreef laya hoon. Kia baaz loogon ka aisa attitude he aisi be'sharmi ko instigate kerne mein moaawan sabit nahi ho raha?

          Aap ke views ki aur aap ke jazbaat ko mein kafi kadar se dekhta hoon. Plz accept reputation from my side.
          sigpic

          Comment


          • #65
            Re: An alarming issue - your comments required.

            Assalaam-O-alaikum

            Mera yeh PEGHAM kisi MEMBER ki jaanib khaas ishaara nahin hay, balkay yeh har MEMBER ko aik GENERAL PEGHAM hay!!!

            PEGHAM taqreeban pichlay 5 saloon say moujood hay aur inn 5 saaloon main hazaroon members aayay, lakhoon ki tadad main posting hoyee, laatadad THREADS banay, mujhay iss forum per srif 7 mahinay huway hain aur mujhay khushi hay kay main nay yahan say 7 mahinoon main bohat kuch SEEKHA aur ainda bhi seekhnay ki khuwahish hay!!!

            Ibtida kay chand dinoo main hi mujhay ADMIN KI WARNING mili jo meray liye aik sabaq tha aur ALHAMDULLILAH uss kay baad kabhi bhi main nay kabhi koi aisay alfaaz istimaal nahin kiye jo kay aik family forum main ada nahin honay chayeh, yaani srif aik MAHINAY main meri soch badli...... tou kia iss forum per rehnay waalay meray saathi members pichlay 5 saloon main apni soch badal nahin saktay!!!!

            Hosakta hay jo guftaar ka ghaazi tha woh aaj kirdaar ka bhi shaheed honay ka khuwahishmand ho, magar kisi aisi waja ki bina per aisa amal nahin karsaka ho jo naqbil-e-bayan aur ho sakta hay kay khudh ussay bhi iss baat ka ilm na ho kay aakhir uss nay aisa kiyon kia!!!

            Meri tamam MOHTARAM MEMBERS aur ADMIN say guzaarish hay kay jiss baat ka yaha zikar ki gaya hay uss ko samjhain aur sab ko aik aisa PEGHAM dain kay ainda aisa hotay dekh kar apni ankhoon ko BAND na karain, aur apnay dil main imaan ki ROSHNI ko jagayain taakay aisay kamoon ko mazeed honay say rouka jayay, yeh PEGHAM humaray liye SEEKHNAY aur SIKHAANAY ka zarya hona chayeh naa kay aik dosray per ilzaam taraaashi karnay aur diloon main nafratain paida karnay ka!!!

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

            Fi amaan ALLAH
            sigpic

            Comment


            • #66
              Re: An alarming issue - your comments required.

              و عليكم السلام و رحمة الله

              lala g ab yeh koi hairat ki baat nahii...na hi i think itna shock lagna chahye..frankly ab tu is sub ka aadii hojana chahye..kyun ki yeh tu aney waley dour ka trailor hai ..wo kehtey hain na Film abhi baqi hai...
              khair..ba'haisiyat'e'musalmaan dukh bhut hota hai jub yeh sub hota dekhein or wo bhi aik muslim country main or yeh gunaah karney waley bhi musalmaan hoon tu ...tu bus..

              well kuch din pehley ki bat hai me n ma brother beach par gaye they..wahan achanak bhai ne kaha utho yahan se...mujhe foran samaj agayii ..kuch na kuch ho raha hai aas paas..human nature hai..curiousity ki maari main idher udher dekhney lagii ..thorrey hi faasley par aik couple which was apparently irish busy they...

              mai ja kar car main baithii n bhai ne police ko cal ki phir un k paas gaye or kaha.."sorry 2 disturb laikin main ne police ko call kar di hai or ap un k aney tuk ja nai saktey"

              wo log sorry karney lagey ..but until den police ayi bhai ne unhein sub bataya n den pata nai us case ka kya howa...

              jahan tuk rahi yeh baat k main kya karti agar wahan hoti tu mera ghlat kaam ko rokney ka style thorra alag hai..

              once mera number xams main larrkoon k saath aya tha...15 -17 boys they or mai akeli..khair paper finis hkar k main baithii thii ab dekha k paas waley row main baitha larka chit haath mai lay k likh raha hai ..mujhey itna ghussa aya ..mai ne usey kaha..."waah gr8 keep going on"...us ne jaldii se chit apney munh mai daal dii..or phir paper khatam honey k baad us ne akar maafi maangii or promise kiya k aisa ayinda nai karey ga...baqii us ka apna eemaan..

              tu simple agar main wahan hotii...uth k zor se clapping kartii or daad detii un ko aisey k wo tu kya un ki anii wali naslein bhi sudhar jatii...
              .......................!!!!!

              Comment


              • #67
                Re: An alarming issue - your comments required.

                Originally posted by thefire1 View Post
                Assalaam-O-alaikum

                Mera yeh PEGHAM kisi MEMBER ki jaanib khaas ishaara nahin hay, balkay yeh har MEMBER ko aik GENERAL PEGHAM hay!!!

                PEGHAM taqreeban pichlay 5 saloon say moujood hay aur inn 5 saaloon main hazaroon members aayay, lakhoon ki tadad main posting hoyee, laatadad THREADS banay, mujhay iss forum per srif 7 mahinay huway hain aur mujhay khushi hay kay main nay yahan say 7 mahinoon main bohat kuch SEEKHA aur ainda bhi seekhnay ki khuwahish hay!!!

                Ibtida kay chand dinoo main hi mujhay ADMIN KI WARNING mili jo meray liye aik sabaq tha aur ALHAMDULLILAH uss kay baad kabhi bhi main nay kabhi koi aisay alfaaz istimaal nahin kiye jo kay aik family forum main ada nahin honay chayeh, yaani srif aik MAHINAY main meri soch badli...... tou kia iss forum per rehnay waalay meray saathi members pichlay 5 saloon main apni soch badal nahin saktay!!!!

                Hosakta hay jo guftaar ka ghaazi tha woh aaj kirdaar ka bhi shaheed honay ka khuwahishmand ho, magar kisi aisi waja ki bina per aisa amal nahin karsaka ho jo naqbil-e-bayan aur ho sakta hay kay khudh ussay bhi iss baat ka ilm na ho kay aakhir uss nay aisa kiyon kia!!!

                Meri tamam MOHTARAM MEMBERS aur ADMIN say guzaarish hay kay jiss baat ka yaha zikar ki gaya hay uss ko samjhain aur sab ko aik aisa PEGHAM dain kay ainda aisa hotay dekh kar apni ankhoon ko BAND na karain, aur apnay dil main imaan ki ROSHNI ko jagayain taakay aisay kamoon ko mazeed honay say rouka jayay, yeh PEGHAM humaray liye SEEKHNAY aur SIKHAANAY ka zarya hona chayeh naa kay aik dosray per ilzaam taraaashi karnay aur diloon main nafratain paida karnay ka!!!

                May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                Fi amaan ALLAH


                :jazak:

                Reputation Qabool Keejiey...:rose
                :oldie:
                S T I L L W A I T I N G
                sigpic

                Comment


                • #68
                  Re: An alarming issue - your comments required.

                  Just to check my font size
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #69
                    Re: An alarming issue - your comments required.

                    Me ka font size theek ho gaya :ys:
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #70
                      Re: An alarming issue - your comments required.

                      yeh waqat b ana tha
                      میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                      Comment


                      • #71
                        Re: An alarming issue - your comments required.

                        Originally posted by crystal_thinking View Post
                        yeh waqat b ana tha
                        waqat ka kuch pata chalta he :wink
                        :thmbup:

                        Comment

                        Working...
                        X