Re: شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار
Wa Alaikum Aslam!
mein ager primary ka teacher hota to kai aisi baaton ka khyaal rakhta jin ka aam teacher nahi rakhtay.
Studies ke ilawa buchoon ko exposure ki zaroorat hoti he ta ke wo time pe confidence gain ker lein jo ke un ki shakhsiyat ki tameer saazi ka aik bohat aham rukn he. Mein students ki stage presence ko yakeeni banata.
Buchoon mein shaoor paida kerta, ke hum insaan hein, musalman hein, hamaray insaan honay ke naatay taqazay kia hein.
Physical health ke liye awareness deta
Unhein roads per chalnay, roads ko cross kerne ke asool sikhata, aur yeh bhi batata ke candies kha ke wrapper neechay phainkna kitni buri baat he. Is se gand perta he aur safai nisf emaan he. Personal hygeine kitni important hoti he. ganday buchay kisi ko achay nahi lagtay jub ke saaf buchay sub ko achay lagtay hein.
Mein unhein batata ke un ke parents aur un ke behan bhai kitni ehmiyat ke haami hein, yeh un ke liye kitnay zaroori hein. Apnay prime relations ke saath wo fair hoon ge to phir wo puri insaaniyat ke saath bhi fair ho jaein ge.
Class mein unhein appreciate kerta, raw activities deta jis mein different students different activities perform kerte aur un ki mehnat ke hisaab se unhein appreciate kerta, gift deta.
Week students per ziada tawaju deta ta ke wo ehsaas-e-kamtari ka shikaar na hoon. Jo bucha buchpan mein he ehsaas-e-kamtari ka shikaar hota he mera yeh maanana he wo adult ho ke bhi ziada effective sabit nahi ho pata.
Buchon ko media lab le jata, un ke saath cartoon aur movies dekhta, unhein characters ke baray mein samjata, buchay hooli hooli seekhtay hein aur phir achi cheezon ko copy kerte hein.
Aur bhi kaafi saari cheezein hein, me ko primary ke teacher ki job to de ke dekho :shyy:
Originally posted by saraah
View Post

Comment