Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Wa Alaikum Aslam!

    mein ager primary ka teacher hota to kai aisi baaton ka khyaal rakhta jin ka aam teacher nahi rakhtay.

    Studies ke ilawa buchoon ko exposure ki zaroorat hoti he ta ke wo time pe confidence gain ker lein jo ke un ki shakhsiyat ki tameer saazi ka aik bohat aham rukn he. Mein students ki stage presence ko yakeeni banata.

    Buchoon mein shaoor paida kerta, ke hum insaan hein, musalman hein, hamaray insaan honay ke naatay taqazay kia hein.

    Physical health ke liye awareness deta

    Unhein roads per chalnay, roads ko cross kerne ke asool sikhata, aur yeh bhi batata ke candies kha ke wrapper neechay phainkna kitni buri baat he. Is se gand perta he aur safai nisf emaan he. Personal hygeine kitni important hoti he. ganday buchay kisi ko achay nahi lagtay jub ke saaf buchay sub ko achay lagtay hein.

    Mein unhein batata ke un ke parents aur un ke behan bhai kitni ehmiyat ke haami hein, yeh un ke liye kitnay zaroori hein. Apnay prime relations ke saath wo fair hoon ge to phir wo puri insaaniyat ke saath bhi fair ho jaein ge.

    Class mein unhein appreciate kerta, raw activities deta jis mein different students different activities perform kerte aur un ki mehnat ke hisaab se unhein appreciate kerta, gift deta.

    Week students per ziada tawaju deta ta ke wo ehsaas-e-kamtari ka shikaar na hoon. Jo bucha buchpan mein he ehsaas-e-kamtari ka shikaar hota he mera yeh maanana he wo adult ho ke bhi ziada effective sabit nahi ho pata.

    Buchon ko media lab le jata, un ke saath cartoon aur movies dekhta, unhein characters ke baray mein samjata, buchay hooli hooli seekhtay hein aur phir achi cheezon ko copy kerte hein.

    Aur bhi kaafi saari cheezein hein, me ko primary ke teacher ki job to de ke dekho :shyy:
    :hii: jab primary teacher bano gay tu pashtao gay..... teacher ki salary itni kam hoti hai k aap one year mein sirf ek patloon bamushkal purchase kar sako gay.......... 372-haha
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار

      Originally posted by safia View Post
      :hii: jab primary teacher bano gay tu pashtao gay..... teacher ki salary itni kam hoti hai k aap one year mein sirf ek patloon bamushkal purchase kar sako gay.......... 372-haha
      Waise aap ki baat mein wazan he. Aap ki is baat per mein yahi kahoon ga

      "Dil ko lagti he baat



















































      bakri ki" :guitar:
      :thmbup:

      Comment


      • #33
        Re: شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار

        aap sab k jawabaat ka be hadd shukria :)
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #34
          Re: شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار

          Originally posted by saraah View Post
          aap sab k jawabaat ka be hadd shukria :)
          tum to khawa makhwa mein sharminda ho rahi ho :guitar:
          :thmbup:

          Comment


          • #35
            Re: شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            tum to khawa makhwa mein sharminda ho rahi ho :guitar:
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #36
              Re: شخصیت کی تکمیل میں پرائمری ٹیچرز کا کردار

              Walekum Salam:hii:
              bohat asar hota he,bache parents se zeada teacher ki baat sunte henis age me.or me ne kabhi socha to nahi job karne ka lekin ager kabhi moka mila to me chote bachon ki teacher ban'na pasand karun gi or un ko piyar piyar se achi achi baton ki taleem doon gi ta k wo bare ho kar ache muslim n ache pakistani bane saken.or corruption na karen

              Comment

              Working...
              X