Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bardaasht

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Bardaasht

    Aslamoalikum:hii:

    aj dunya me bardaasht ka din manaya ja raha he,to poochna ye he k....
    ap me kitna bardasht ka mada he?:think:
    ap ki bardasht kab or kahan khatam hone lagti he?
    kabhi koi esa moka aya ho k ap ki bardasht jawab de gai ho or ap ka agle bande se khoob jhagra ho gya ho?372-scare:

  • #2
    Re: Bardaasht

    few days ago... bus mein senior se larai ho gai... us ne gali di.....
    i started crying... and cried awl d way home... that was crossing my limit... meine b usay "FATTY PATTY" keh dia... moti kaheen ki!!!

    Comment

    • #3
      Re: Bardaasht

      Originally posted by Strawberry View Post

      lekin ache bache to larai nahi karteager esa kuch ho to just ignore

      Comment

      • #4
        Re: Bardaasht

        Originally posted by unity View Post
        lekin ache bache to larai nahi karteager esa kuch ho to just ignore
        meine kahan larai ki... but i stood up for my ryts

        Comment

        • #5
          Re: Bardaasht

          Originally posted by Strawberry View Post
          meine kahan larai ki... but i stood up for my ryts
          ahaann

          Comment

          • #6
            Re: Bardaasht

            Walaikum Assalaam

            Aap nay bilkul sahi kaha kay aaj duniya main "International Day for Tolerance" jo kay UNESCO United Nation Educational, Scientific and Cultural Organization nay 1995 main pehli dafa 16 November ko declare kia tha tab say ab tak har saal yeh din manaya jaata hay taakay logon ko Intolerance kay manfi asraat say agaha kia jayay.

            Intolerance bohat see qisam ki hosakti hain jinn main zaati, mazhabi, masharti, taleemi, aur umoomi qisam sar-e-fehrist hain.

            sabar aur bardasht ka hukum ahdihth main kayi baar aaya hay aur ALLAH SWT main Quran-e-Pak main bhi humain saaf lafzoon main kaha hay kay baishak main sabar karnay waaloon kay saath hoon. tou Jab sabar karnay say ALLAH SWT ka saath haasil hota hay tou duniya ka woh bewaqoof aur badnaseeb shakhs hoga jo SABR aur BARDASHT say kaam na lay.

            Jahan tak meri baat hay tou main humesha sabar say kaam laita hoon, aur aksar FORGET and FORGIVE ka jazba rakhta hoon aur auroon ko bhi usski talqeen karta hoon, haan kabhi kisi say argument ho bhi jayay tou uss waqt tak apnay argument ko defend karta hoon jab tak kay baat kisi kisam ki khalish ya ranjish ka shikar na hoo, jahan mujhay mehsoos hota hay kay ab bura mannanay ki noubat aagayi hay tou main chupp hojaata hoon jiss say aglay ko bhi apni ghalti ka ehsaas hota hay aur hum aik mohabbat ki fiza qayim kar kay baat ko achay tareeqay say khatam karnay ki koshish kartay hain.

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

            Originally posted by unity View Post
            Aslamoalikum:hii:

            aj dunya me bardaasht ka din manaya ja raha he,to poochna ye he k....
            ap me kitna bardasht ka mada he?:think:
            ap ki bardasht kab or kahan khatam hone lagti he?
            kabhi koi esa moka aya ho k ap ki bardasht jawab de gai ho or ap ka agle bande se khoob jhagra ho gya ho?372-scare:
            sigpic

            Comment

            • #7

              Walikum Salam.... chiips

              Mere me bohut hai bardast ka mada :otay:

              Jab koi Ilzam lagae ya jooth bore to bilkul chup ho jata hoo....Bilkul ignor ker deta ho...or Link hamesha k leye Finish

              Comment

              • #8
                Re: Bardaasht

                Originally posted by Strawberry View Post
                few days ago... bus mein senior se larai ho gai... us ne gali di.....
                i started crying... and cried awl d way home... that was crossing my limit... meine b usay "FATTY PATTY" keh dia... moti kaheen ki!!!
                aap kitni achhi ho gai ho keh Urdu mein likhna shuru kar diya hai :)

                @topic

                Bardasht ka aalmi din? :lol :lol :lol :lol :lol :lol (aazadi ney kya kya phandey bnaey hain)

                Rahi baat aap key sawaal ki to Rita mujh mein bardasht ka bohat mada hai. Mera ghussa agar ho bhi to chand lamhon ka hota hai. Yeh alag baat hai keh jin logon sey mujhtey takleef pohunchi ho, main un sey bolna chhorr deta hoon magar iska matlab yeh nahin keh merey dil mein unkey liyey nafrat hai - nafra kabhi nahin karta.

                Merey nazdeek koi mujhey gali bhi dey ley to meri zaat per koi farq nahin parta, mujhey koi zamaney bhar ka bad'tareen insaan kah ley meri zaat per koi farq nahin parta - jabtak mera zameer mutmaiin hain - i don't care "barking dogs".
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9

                  Originally posted by Masood View Post

                  Super :thmbup:

                  Meri terha

                  Comment

                  • #10
                    Re: Bardaasht

                    bardasht to bohat hai or bohat bardasht b karti houn...or koshish karti houn k ignore kar do...

                    par agar wohi baat bar bar ki jaye to phir bardasht hatam ho jati hai or phir372-shed
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: Bardaasht

                      Originally posted by soni kudi View Post
                      par agar wohi baat bar bar ki jaye to phir bardasht hatam ho jati hai or phir
                      phir koi aap key ghazzab sey bachey haina? :D
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Bardaasht

                        Originally posted by Masood View Post
                        phir koi aap key ghazzab sey bachey haina? :D

                        nahi itna b nahi k main batmeez ho jati houn par thora gusa to ajata hai naa:fuming:
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Bardaasht

                          Originally posted by soni kudi View Post
                          nahi itna b nahi k main batmeez ho jati houn par thora gusa to ajata hai naa:fuming:
                          thora? isko biyaan kijiyey from 1-10 :p
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: Bardaasht

                            Originally posted by Masood View Post
                            thora? isko biyaan kijiyey from 1-10 :p

                            :mm:

                            2
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: Bardaasht

                              Originally posted by soni kudi View Post
                              :mm:

                              2
                              agar sirf 2 hai to phir to pyari si shakal bnaa ker dikhaein na aisey
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X