Re: Bardaasht
Bohat khoob ScorpioN_RullZ, sahi kaha kay insaan ki bardasht ki hadd hoti hay yahan yeh add karna chahoon ga kay aakhir insaan ki hadd kahan jaa kar toot-ti hay, main nay aksar mushaida kia hay kay aksar insaaan apnay say kamzoor kay aagay apni bardasht ko jald hi khattam kar laita hay aur baaz auqat apnay say kamzoor per haath uthanay say bhi aari nahin rehta... jaisay agar office main kisi junior nay koi baat keh dee tou aap khari kahri suna daitay hain magar yehi baat kisi senior yaa boss nay ki tou aap khamooshi say apnay ghussay ko pee gayay. Baz log waldain kay aagay uff tak nahin kehtay tou baaz auqat main nay waldain per haath uthanay waaalay badzan aur badnaseeb log bhi dekhain hain, koi teacher ki daant ko apnay liye sabaq samajh kar qubool kartay hain tou koi teacher ka bhari class main mazaq uRaanay say bhi nahin katratay.... isi tarhan yehi misaal zindagi kay har shobay main lee jaasakti hay... ALLAH SWT nay har insaan main BARDASHT aur sabr ka maada rakha hay aur saath saath uss ko azmaanay kay liye GHUSSAY ka ansar bhi rakha hay kay kaun GHUSSAY ko sahi waqt per qaboo paa kar SABAR kay imtihaan main poora utarta hay isi liye tou uss PAK PARWARDIGAAR nay iss imtiahan main paas honay walay ko yaani sabar karnay waalay ko apnay saath ka waada kia hay (Inn ALLAHA ma as-sabereen).
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

Originally posted by ScorpioN_RulzZ
View Post
Comment