Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bardaasht

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Bardaasht

    ALLAH G Farmaty Hian[/SIZE] K BAYSHAK ALLAH SABAR KARNAY WALON K SATH HAY.Laykin Ham Badny Bashar Kabhi Kabhar Yah Boll Jaty Hiano Or Gusa karny lagty hain.Albata Agar koi Gali Day To Main Palat kar us ko gali Nahin dayta Balkay Yah Kahta Hon K Main tum ko gali day kar apni zuban Gandi nahi kar sakta Albata jo gali tum nay mujhy die hay isy 10 say zarab day kar Mayri tarf say apny liay samjho :fight:[/COLOR]
    :star1:

    Comment


    • #47
      Re: Bardaasht

      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #48
        Re: Bardaasht

        Originally posted by aabi2cool View Post
        yeh kia baat hui
        :thmbup:

        Comment


        • #49
          Re: Bardaasht

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          yeh kia baat hui
          is ghussa aur bardashat per ghussa karnay ki bjaya bardashat k sath click karo :garmi:
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment


          • #50
            Re: Bardaasht

            Originally posted by unity View Post
            Aslamoalikum:hii:

            aj dunya me bardaasht ka din manaya ja raha he,to poochna ye he k....
            ap me kitna bardasht ka mada he?:think:
            ap ki bardasht kab or kahan khatam hone lagti he?
            kabhi koi esa moka aya ho k ap ki bardasht jawab de gai ho or ap ka agle bande se khoob jhagra ho gya ho?372-scare:
            Walaikom Assalam
            mostly bardasht hi karti hoon
            ALLAH kay hawalay hi kar daiti hoon...
            aaj kal main kuch aur sabaq perh rahi hoon.... lets see...)):

            Originally posted by thefire1 View Post
            Walaikum Assalaam

            Aap nay bilkul sahi kaha kay aaj duniya main "International Day for Tolerance" jo kay UNESCO United Nation Educational, Scientific and Cultural Organization nay 1995 main pehli dafa 16 November ko declare kia tha tab say ab tak har saal yeh din manaya jaata hay taakay logon ko Intolerance kay manfi asraat say agaha kia jayay.

            Intolerance bohat see qisam ki hosakti hain jinn main zaati, mazhabi, masharti, taleemi, aur umoomi qisam sar-e-fehrist hain.

            sabar aur bardasht ka hukum ahdihth main kayi baar aaya hay aur ALLAH SWT main Quran-e-Pak main bhi humain saaf lafzoon main kaha hay kay baishak main sabar karnay waaloon kay saath hoon. tou Jab sabar karnay say ALLAH SWT ka saath haasil hota hay tou duniya ka woh bewaqoof aur badnaseeb shakhs hoga jo SABR aur BARDASHT say kaam na lay.

            Jahan tak meri baat hay tou main humesha sabar say kaam laita hoon, aur aksar FORGET and FORGIVE ka jazba rakhta hoon aur auroon ko bhi usski talqeen karta hoon, haan kabhi kisi say argument ho bhi jayay tou uss waqt tak apnay argument ko defend karta hoon jab tak kay baat kisi kisam ki khalish ya ranjish ka shikar na hoo, jahan mujhay mehsoos hota hay kay ab bura mannanay ki noubat aagayi hay tou main chupp hojaata hoon jiss say aglay ko bhi apni ghalti ka ehsaas hota hay aur hum aik mohabbat ki fiza qayim kar kay baat ko achay tareeqay say khatam karnay ki koshish kartay hain.

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
            kia waqai loag ehsaas kar laitay hain ......
            sari umeedain tu ALLAH TALA say hi hoti hain ....

            Originally posted by Masood View Post
            aap kitni achhi ho gai ho keh Urdu mein likhna shuru kar diya hai :)


            @topic

            Bardasht ka aalmi din? :lol :lol :lol :lol :lol :lol (aazadi ney kya kya phandey bnaey hain)

            Rahi baat aap key sawaal ki to Rita mujh mein bardasht ka bohat mada hai. Mera ghussa agar ho bhi to chand lamhon ka hota hai. Yeh alag baat hai keh jin logon sey mujhtey takleef pohunchi ho, main un sey bolna chhorr deta hoon magar iska matlab yeh nahin keh merey dil mein unkey liyey nafrat hai - nafra kabhi nahin karta.

            Merey nazdeek koi mujhey gali bhi dey ley to meri zaat per koi farq nahin parta, mujhey koi zamaney bhar ka bad'tareen insaan kah ley meri zaat per koi farq nahin parta - jabtak mera zameer mutmaiin hain - i don't care "barking dogs".
            yeh baat main kabhi kehti nahin lakin aap kay kehnay per hi mairi himmat hoi hai ... mairay nazdeek bhi aisay loag barkin dogs say zyada ehmiyat nahin rakhtay .....


            Originally posted by thefire1 View Post
            Bohat khoob ScorpioN_RullZ, sahi kaha kay insaan ki bardasht ki hadd hoti hay yahan yeh add karna chahoon ga kay aakhir insaan ki hadd kahan jaa kar toot-ti hay, main nay aksar mushaida kia hay kay aksar insaaan apnay say kamzoor kay aagay apni bardasht ko jald hi khattam kar laita hay aur baaz auqat apnay say kamzoor per haath uthanay say bhi aari nahin rehta... jaisay agar office main kisi junior nay koi baat keh dee tou aap khari kahri suna daitay hain magar yehi baat kisi senior yaa boss nay ki tou aap khamooshi say apnay ghussay ko pee gayay. Baz log waldain kay aagay uff tak nahin kehtay tou baaz auqat main nay waldain per haath uthanay waaalay badzan aur badnaseeb log bhi dekhain hain, koi teacher ki daant ko apnay liye sabaq samajh kar qubool kartay hain tou koi teacher ka bhari class main mazaq uRaanay say bhi nahin katratay.... isi tarhan yehi misaal zindagi kay har shobay main lee jaasakti hay... ALLAH SWT nay har insaan main BARDASHT aur sabr ka maada rakha hay aur saath saath uss ko azmaanay kay liye GHUSSAY ka ansar bhi rakha hay kay kaun GHUSSAY ko sahi waqt per qaboo paa kar SABAR kay imtihaan main poora utarta hay isi liye tou uss PAK PARWARDIGAAR nay iss imtiahan main paas honay walay ko yaani sabar karnay waalay ko apnay saath ka waada kia hay (Inn ALLAHA ma as-sabereen).

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
            yahin aa kar tu kisi kay zarf ka andaza hota hai ......)):
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment

            Working...
            X