Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Urdu ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~ Urdu ~*~

    Originally posted by aabi2cool View Post
    teri bolti jo band hogai ab sharam kahayy kiii :fly:
    chal tu khush ho ja teri bolti to khul gai na 372-haha
    :thmbup:

    Comment


    • Re: ~*~ Urdu ~*~

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      chal tu khush ho ja teri bolti to khul gai na 372-haha
      main to rehta hi khush hon meri bolti band karnay wala hajay jammia ee naee
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • Re: ~*~ Urdu ~*~

        Originally posted by aabi2cool View Post
        main to rehta hi khush hon meri bolti band karnay wala hajay jammia ee naee
        teri gul da jawaab aye


        372-haha372-haha372-haha372-haha
        :thmbup:

        Comment


        • Re: ~*~ Urdu ~*~

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          teri gul da jawaab aye


          372-haha372-haha372-haha372-haha
          :tasali::tasali::tasali:
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment


          • Re: ~*~ Urdu ~*~

            Originally posted by aabi2cool View Post
            :tasali::tasali::tasali:
            372-haha chal ub ziada serious nahi hona 372-haha
            :thmbup:

            Comment


            • Re: ~*~ Urdu ~*~

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              372-haha chal ub ziada serious nahi hona 372-haha
              oh ja kum kar jak monh munda mar kisay khurli wich
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment


              • Re: ~*~ Urdu ~*~

                Originally posted by aabi2cool View Post
                oh ja kum kar jak monh munda mar kisay khurli wich
                Mein tera jootha khana nai khana 372-haha
                :thmbup:

                Comment


                • Re: ~*~ Urdu ~*~

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Mein tera jootha khana nai khana 372-haha
                  maynoon pata ayy tum mera jhoota nahene khanda balk tu hameesha mera juta ee khada ayyy
                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment


                  • Re: ~*~ Urdu ~*~

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    maynoon pata ayy tum mera jhoota nahene khanda balk tu hameesha mera juta ee khada ayyy
                    Chal ghussa na ker, paani pur ke rakhya ker apnay ander 372-haha
                    :thmbup:

                    Comment


                    • Re: ~*~ Urdu ~*~

                      Kis qadar dil'jami key saath ham log apni hat'dharmi per qayim rehtey hain aur us sey aik ratti braber bhi peecheey nahin hat'tey....

                      Urdu ko technology ki zuban na kehney walon sey mera aik sawal hai:

                      Aap log technology key barey mein jantey hi kya ho?
                      - kya aap ney kabhi koi C++ mein program bnaya hai?
                      - kya aap ney kabhi koi aisa interface tayyar kiya hai jis mein aam users ki janib address kiya geya ho?

                      Haqeeqat yeh hai keh aap log PRESENTATION ki zuban ko TECHNOLOGY ki zuban samajh ker mughalta khaa rahey ho. Technology ki sirf aik zuban hai ussey ham BINARY language kehtey hain. Jitney bhi processors hain woh sirf BINARY zuban jantey hain aur binary zuban hindson ki zuban hai na ka alfaaz ki. Binary mein sirf 0 aur 1 ko samjha jata hai. Baqi duniya ki koi bhi barri sey barri zuban processors key samajh mein nahin aati.

                      Processors aaj kal ki duniya mein almost har shay mein paaey jaaney lagey hain, yahan tak keh aik toast roaster tak mein processors kaam karney lagey hain. In processors ko English ki samajh nahin aati - sirf 0 aur 1 ki samajh aati hai.

                      Jab ham programmers koi program likhtey hain to woh us zuban mein hotey hain jo hamari samajh mein aati hai, ab yeh zuban chahey English ho, German ho, French ho ya Urdu in romanize tarz per hi kyun na ho, woh aik compiler key key paas jati hai jissey compiler hindson mein convert kar key 0 aur 1 kar deta hai, un zeros aur ones ko processors process kar key phir sey zeros aur ones compiler ko wapis karta hai, compiler un zeros ya ones ko phir sey usi zuban mein convert kar key screen per lata hai jo hamari samajh mein aati hai. Ab is mein koi qayid nahin keh yeh mehz English ho.

                      Yeh bilkul alag baat hai keh PRESENTATION key liyey aaj kal ziyada tar English istimaal ki jati hai kyun keh duniya mein software ki sab sey barri mandi, USA, mein english chalti hai.
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~*~ Urdu ~*~

                        Merey thread ka jo maqsad tha us per behas kam ki gaii hai :)

                        Mujhey is baat sey qatii dil'chuspi nahin thi keh Urdu kab, kahan sey shuru hui aur kaisey kaisey aik zuban ka darjah rakhtey huwey yahan tak pohunchi.

                        Balkeh yeh tha keh agar Quaid-e-Azam ney Urdu ko Pakistan ki qaumi zuban key taur per announce kar hi diya tha (jo keh merey nazdeek aik ghalti thi :)) to phir ham ney ba'haisiyat Pakistani apni zuban ko kahan tak apnaya hai aur issey kahan tak tarveej di hai ya deney ki koshish ki hai. Kya ham ney us amanat ka haq ada bhi kiya hai, jo Baba-e-Qaum ney hamein sonpa tha?

                        Aamir ney aik bohat jahilana baat ki keh "agar urdu mein dam kham hota...." - dam kham zuban mein tha jabhi to ussey Hindustan ki aik intihaii aham tareen zuban honey ka sharf haasil huwa tha. Dam kham tha jabhi to Quaid-e-Azam ney issey East aur West Pakistan ko milaney key liyey chuna tha! Dam kham tha jabhi to yeh duniya keh 10 barri zubanon mein shumar ki jati hai.

                        Aur agar Aamir ki baat ko aik lamha bhar key liyey qabool bhi kar liya jaey to iska matlab to yeh hai keh Pakistani ba'haisiyat qaum bhi aik intihaii nakaam tareen qaum hain, jo apney asason ko hifazat nahin kar saktey :)

                        Zubano ki hifazat karna qaumon ka kaam hota hai - dictionariyon ka naihn :)

                        Sach yeh hai keh hamarey mulk mein har shay ki tarha Urdu ko bhi la'parwaii ka shikaar kiya geya hai. Aur dushman ney issey mazeed aag bharrkaney key liyey lasaniyaat ka shikaar kar diya hai...

                        Meri Urdu ki taleem sirf 3 jumaaton tak mehdood hai. Mujhey apni in teen jumaaton per fakhar hai keh inhon ney mujhey jo sikhaya hai, woh mera asasa hai. Main ney Urdu ko seekhney key liyey aik aik lafz ka matlab lughat mein talash ki hai aur phir ussey apni sochon ka hissah bnaya hai. Hamarey ghar mein shuru sey punjabi boli jati thi, magar meri har soch Urdu mein huwa karti thi.

                        Mujhey shairi ka shughaf huwa to meri rooh ko taskeen mili keh Urdu ko bohat bareeki mein seekhney ka moqa mila - magar main hanooz aik talib-e-ilm hoon :)

                        Pegham Urdu sey meri muhabbat ki aik aisi hi karri hai jisney mujhey aaj sey 7-8 saal pehley aik website bnaney per majboor kiya jo mukamil InPage mein likhi gaii thi...

                        Warna Urdu aik intihaii muhazzab aur saleeqa'shuaar zuban hai.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~*~ Urdu ~*~

                          Originally posted by Masood View Post
                          Aamir ney aik bohat jahilana baat ki keh "
                          I do warn you as well as everybody else that I will not be reluctant to make an offensive move in response to such a stupid comments. If you people are supposed to discuss any particular issue, then please come up with your decent approach and comments. Hope you wouldn't mind it.
                          :thmbup:

                          Comment


                          • Re: ~*~ Urdu ~*~

                            Originally posted by Masood View Post
                            Kis qadar dil'jami key saath ham log apni hat'dharmi per qayim rehtey hain aur us sey aik ratti braber bhi peecheey nahin hat'tey....

                            Urdu ko technology ki zuban na kehney walon sey mera aik sawal hai:

                            Aap log technology key barey mein jantey hi kya ho?
                            Again you are personalizing this statement anyhow I take it as ur question.

                            Mere bhai jisay aap hat'dharmi keh rahay ho, wo mera point of view he jo ke aap ke point of view se differentiate kerta he. Ager mera point of view aap ke point of view se competible nahi to isay hat'dharmi ka naam dena munasib nahi ho ga, instead you could have come up with your logical comment to convince me. Aur raha technoloogy kay baray mein aap ka sawaal to mein aap se yeh poochna chahoon ga ke kia technology C++ he hay? Aur kia C++ seekhnay walay urdu ke hami hotay hein, rediculous na?


                            Originally posted by Masood View Post
                            - kya aap ney kabhi koi C++ mein program bnaya hai?
                            - kya aap ney kabhi koi aisa interface tayyar kiya hai jis mein aam users ki janib address kiya geya ho?

                            Haqeeqat yeh hai keh aap log PRESENTATION ki zuban ko TECHNOLOGY ki zuban samajh ker mughalta khaa rahey ho. Technology ki sirf aik zuban hai ussey ham BINARY language kehtey hain. Jitney bhi processors hain woh sirf BINARY zuban jantey hain aur binary zuban hindson ki zuban hai na ka alfaaz ki. Binary mein sirf 0 aur 1 ko samjha jata hai. Baqi duniya ki koi bhi barri sey barri zuban processors key samajh mein nahin aati.

                            Processors aaj kal ki duniya mein almost har shay mein paaey jaaney lagey hain, yahan tak keh aik toast roaster tak mein processors kaam karney lagey hain. In processors ko English ki samajh nahin aati - sirf 0 aur 1 ki samajh aati hai.

                            Jab ham programmers koi program likhtey hain to woh us zuban mein hotey hain jo hamari samajh mein aati hai, ab yeh zuban chahey English ho, German ho, French ho ya Urdu in romanize tarz per hi kyun na ho, woh aik compiler key key paas jati hai jissey compiler hindson mein convert kar key 0 aur 1 kar deta hai, un zeros aur ones ko processors process kar key phir sey zeros aur ones compiler ko wapis karta hai, compiler un zeros ya ones ko phir sey usi zuban mein convert kar key screen per lata hai jo hamari samajh mein aati hai. Ab is mein koi qayid nahin keh yeh mehz English ho.

                            Yeh bilkul alag baat hai keh PRESENTATION key liyey aaj kal ziyada tar English istimaal ki jati hai kyun keh duniya mein software ki sab sey barri mandi, USA, mein english chalti hai.
                            Mere bhaiya mein ne apni previous replies mein aik baar bhi programming ka word use nahi kia? Ager kia he to aap sabit keejiye? Aur aap programming ko ander le he aaye hein to aap se mera yeh question he ke Pakistan mein jo bhi syllabous aa raha he, wo ziada tar kahan se aa raha he? China se, Japan se, french se? Nahi. Zahir si baat he english countries se aa raha he, isi liye mein yahan angreezi ka rona peet raha hoon. Aur ager tum reforms per itna he believe kerte ho to mujay aik baat batao ke aaj tak computer programing urdu zuban mein kyoon nahi mutaaraf kerwai gai? Kasoor is mein zuban ka ho ya ehl-e-zuban ka, ground facts pe baat karo, aur established facts ki baat karo. I still stand firm ke "urdu zuban mein itna dum'khum hota to yeh apnay aap ko technology ki zuban ke toor per manwa chuki hoti" ub hum isay technology ki zuban bananay ke liye naye siray se reform karaein kia? Wouldn't it be a back step?


                            Originally posted by Masood View Post
                            Merey thread ka jo maqsad tha us per behas kam ki gaii hai :)

                            Mujhey is baat sey qatii dil'chuspi nahin thi keh Urdu kab, kahan sey shuru hui aur kaisey kaisey aik zuban ka darjah rakhtey huwey yahan tak pohunchi.

                            Balkeh yeh tha keh agar Quaid-e-Azam ney Urdu ko Pakistan ki qaumi zuban key taur per announce kar hi diya tha (jo keh merey nazdeek aik ghalti thi :)) to phir ham ney ba'haisiyat Pakistani apni zuban ko kahan tak apnaya hai aur issey kahan tak tarveej di hai ya deney ki koshish ki hai. Kya ham ney us amanat ka haq ada bhi kiya hai, jo Baba-e-Qaum ney hamein sonpa tha?

                            Aamir ney aik bohat jahilana baat ki keh "agar urdu mein dam kham hota...." - dam kham zuban mein tha jabhi to ussey Hindustan ki aik intihaii aham tareen zuban honey ka sharf haasil huwa tha. Dam kham tha jabhi to Quaid-e-Azam ney issey East aur West Pakistan ko milaney key liyey chuna tha! Dam kham tha jabhi to yeh duniya keh 10 barri zubanon mein shumar ki jati hai.

                            Aur agar Aamir ki baat ko aik lamha bhar key liyey qabool bhi kar liya jaey to iska matlab to yeh hai keh Pakistani ba'haisiyat qaum bhi aik intihaii nakaam tareen qaum hain, jo apney asason ko hifazat nahin kar saktey :)

                            Zubano ki hifazat karna qaumon ka kaam hota hai - dictionariyon ka naihn :)

                            Sach yeh hai keh hamarey mulk mein har shay ki tarha Urdu ko bhi la'parwaii ka shikaar kiya geya hai. Aur dushman ney issey mazeed aag bharrkaney key liyey lasaniyaat ka shikaar kar diya hai...

                            Meri Urdu ki taleem sirf 3 jumaaton tak mehdood hai. Mujhey apni in teen jumaaton per fakhar hai keh inhon ney mujhey jo sikhaya hai, woh mera asasa hai. Main ney Urdu ko seekhney key liyey aik aik lafz ka matlab lughat mein talash ki hai aur phir ussey apni sochon ka hissah bnaya hai. Hamarey ghar mein shuru sey punjabi boli jati thi, magar meri har soch Urdu mein huwa karti thi.

                            Mujhey shairi ka shughaf huwa to meri rooh ko taskeen mili keh Urdu ko bohat bareeki mein seekhney ka moqa mila - magar main hanooz aik talib-e-ilm hoon :)

                            Pegham Urdu sey meri muhabbat ki aik aisi hi karri hai jisney mujhey aaj sey 7-8 saal pehley aik website bnaney per majboor kiya jo mukamil InPage mein likhi gaii thi...

                            Warna Urdu aik intihaii muhazzab aur saleeqa'shuaar zuban hai.

                            Yahan pe to aap khud maan gaye ke Urdu zuban ko pakistan ki koomi zuban ki hesiyat ka derja dena aik ghalti thi. Aap to apni he nafi ker bethay yahan.

                            I am very much clear in my concept, ke hum Urdu zuban ki terveej ke liye koi aisa risk lene ke mut'hamal nahi ho saktay jis se Pakistan aagay ki bajaye peechay jaye. For the sake of arguments hum Urdu ko sarkaari toor per raij ker lete hein, phir kia ho ga? Her kisi ko urdu seekhni paray gi, angreezi suban se waqfiyat kum ho jaye gi. Aur hum jaantay hein ke hamein technology ko angreezi zuban mein he import ker rahay hein Pakistan mein. Ub aap naye siray se kin kin cheezon ko Urdu mein convert kerte phirein ge? Official documents ko, bankaari nazaam ko, taleemi adaaron ko, medical science ko, engineering ko, kis kis ko? Isn't it better ke hum urdu ki hat'dharmi ko he choor ker apni taraki per he tawaju dein, aur urdu ko aik adab ki zubaan samaj ker parallel chalatay rahein?

                            Aur jahan tak aap ke personal life ka taaluq he ke aap ne urdu seekhi, nahi seekhi, kahan implement ki aur kahan nahi aur aap urdu daan banay or whatever, is se mujay kuch bhi lena dena nahi

                            Last but not the least, If I say use the word "technology" it by default corresponds not only computers but also business, medical science, engineering, economics, banking and other related subjects.
                            Last edited by Mr. Sialkoty; 19 November 2009, 12:21.
                            :thmbup:

                            Comment


                            • Re: ~*~ Urdu ~*~

                              Assalaam-O-Alaikum Masood Bhai

                              Bohat bohat shukriya, aap ki baatain bhi bohat khoob lagi, main nay aap ki thread main URDU kay background say iss liye sab ko wqaif kia taakay paRhnay waloon ko URDU ki history kay baaray main pata chalay kiyonki meri yeh koshish hoti hay kay apni maloomat ko auroon tak muntaqil karoon, agar aap ko yeh nagawar guzri tou main maazrat chahta hoon :)

                              URDU AIK NIHAYAT MUHAZZIB AUR SALEEQ SHAOUR ZABAN HAY... yehi aap ki post kay aakhri alfaaz hain na tou main nay bhi apni tamam posts main yehi kehnay ki koshish ki hay kay BOTTOM LINE yehi hay kay yeh srif aik muhazzib aur saleeq shour zaban hay aur hum nay issay srif aur srif ADAB tak mehdood kardiya......

                              Main srif apni misaal aap ko daita hoon, ziyda door nahin jaoon ga... ALHADULLIALH huaramy ghar main bhi sab URDU hi boltay, mera waalid ka ta'aluq Punjab say jabkay walida Memon community say ta'aluq rakhti hain, yehi waja hay kay do mukhtalif zabanoon kay bolnay waaloon nay apnay liye aur apnay bachoon kay liye URDU ka hi intikhaab kia aur hum sab bhai behanoon nay bachpan say URDU ko bolna seekha, saath saath jaisay jaisay baRay huay apni waalida kay rishtay daroon say Memon/Sindhi aur walid kay rishtaydaroon say Punjabi seekhi... kiyonki aksar punjab main humaray buzurg URDU say waqif nahin thay tou unn say communication kay liye tooti phooti punjabi aur issi tarhan ammi kay rishtadaroon say tooti phooti memon language seekhni paRee...

                              ASAL baat tou iss main POINT OUT karna chahoon ga kay jab aik ghar main 2 mukhtilf zaban bolnay walon nay apni zaban ko tarjeeh na daitay huway URDU ka initkhaab kia tou aap samajh saktay hain kay humaray nannay zehnoon main URDU say mohabbat aur URDU ki ahmiyat kiss qadar bas gayi hogi... yehi waja hay kay aaj humaray ghar main aur even buzurg jo Urdu nahin bol saktay thay hum say URDU main baat kartay hain kiyonki hum sab nay unhain iss say roshnas karwaya... yeh koi karnaama nahin hay... indidually hum nay itna tou kia magar asal baat yeh hay kia hum akailay iss ko pooray mulk per raaij kar saktay hain...? Humaray mulk ki jitni bhi muraslaat hoti hain woh english main hoti hay, Urdu humari qoumi zaban honay kay bawajood sarkaari aur taleemi idaaroon main woh muqam haasil nahin karsaki jis ki woh haqdaar hay, iss ki sab say baRi waja aik taraf tou humari hukumat ki NA-AHLI hay aur dosri humari Urdu say doori hay.... har waldain ki yehi khuwahish kay unki aulaad ENGLISH medium main taleem hasil karain kiyonki humaray mulk ka sarkaari nizam Urdu ko nahin English ko tarjeeh daita hay... chahay woh cadet exam hoon, yaa medical addmission, school admission hoon yaa phir job application.. sab hi tou English main hi horaaha hay ab inn haalaat main aap humain yeh suggest karain kay sab kay sab Urdu ko apna kar iss ko apni mulk ki DOMINATING language bana dain tou yeh kaisay mumkin hay, agar aap kay paas koi behtar hal hay tou hum zaroor sunna chahain gain.

                              May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: ~*~ Urdu ~*~

                                Originally posted by thefire1 View Post
                                Urdu humari qoumi zaban honay kay bawajood sarkaari aur taleemi idaaroon main woh muqam haasil nahin karsaki jis ki woh haqdaar hay, iss ki sab say baRi waja aik taraf tou humari hukumat ki NA-AHLI hay aur dosri humari Urdu say doori hay.... har waldain ki yehi khuwahish kay unki aulaad ENGLISH medium main taleem hasil karain kiyonki humaray mulk ka sarkaari nizam Urdu ko nahin English ko tarjeeh daita hay... chahay woh cadet exam hoon, yaa medical addmission, school admission hoon yaa phir job application.. sab hi tou English main hi horaaha hay ab inn haalaat main aap humain yeh suggest karain kay sab kay sab Urdu ko apna kar iss ko apni mulk ki DOMINATING language bana dain tou yeh kaisay mumkin hay, agar aap kay paas koi behtar hal hay tou hum zaroor sunna chahain gain.

                                May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
                                This is the point which no one is willing to understand. They want Urdu keep going everywhere just because they love Urdu. But they don't see the amount of loss which Pakistan has to bear. I am also awaiting Mr. Masood's answer on your question.
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X