Assalamo Allaikum
Allama Iqbal key hawaley sey haal hi mein aik aham din guzra hai... Merey zehan mein unka aik shair ghoom raha hai:
Yun mehsoos hota hai keh Urdu key saath hamesha soteeli maan ka salook kiya geya hai aur Urdu ko woh haq nahin diya geya jo iska asal haq hai.
Mujhey us waqt logon ki soch sey shadeed nafrat hoti hai jab woh Hindustani filmon ko HINDI filmein kehtey hain, kyun keh asal hindi bohat mukhtalif hai - woh Urdu key marhoon-e-minnat hain - magar is baat ko qabool nahin kartey...
Hamarey haan bhi logon ka haal kuchh achha nahin. Yahan per bhi Urdu ko woh muqaam nahin dilwaya geya jo Urdu ka hai..
To aap yeh btaiyey keh aap KHUD kitney Urdu'daan hain? Apney roz-mar'rah mein kahan tak Urdu istimaal kartey hain? Gharon mein, madrison mein, kaam per ya jahan bhi aap wabasta hain.. Kahan tak Urdu istimaal kartey hain aur doosron ko iskey istimaal ki targheeb detey hain???

gaisu-e-Urdu abhi minnat pazeer-e-shaana hai
shama yeh sodaii-e-dil'sozi-e-parwana hai

Comment