Re: ~*~ Urdu ~*~
Walaikum Assalaam (Go kay aap ka salam srif Masood bhai tak tha) :)
Mujhay aap ka nuqta-e-nazar aur Masood sahab ka post karnay ka sabab bakhoobi maloom tha aap ki iss post nay issay mazeed clear kar diya.... ALHAMDULLILAH ALLAH SWT kay fazal say main humesha hi URDU bolnay ko awaleen tarjeeh daita hoon aur humari khandaan main, dostoo say, aur unn sab say jo URDU jaantay hain main URDU main bhi communicate karta hoon, magar afsoos kay duniya main ENGLISH business language maani jaati hay aur roz marra kay official kaam, higher education sab hi english ki demand kartay hain, aap khudh hi iss baat ka muwaazna karain Abbi bhai, kay kia aik URDU main MA kia hua shakhs aik lecturer kay ilawa aur kia job kar sakta hain, zindagi kay maidan main aagay bhaRnay kay liye aur iss madain main kamyabi kay jhanday ghaRnay kay liye humain aik iss foregin language ka sahara laina paRta hay aur yehi waja hay kay main URDU main hi sab ko ENGLISH ki taleem haasil karnay ki talqeen karta hoon.. URDU mulk kay har kounay main booli jaati hay magar duniya bilkhusoos internatinal market main iss ki koi ahmiyat nahin...
Main nay apna nazra-e-amal aur apna routine aap say share kia hay, meri baat ko aap ghalat samjhay mujhay iss per koi gham nahin magar aap apnay cool dimagh say nazr-e-saani zaroor karain.... agar hum URDU say soutaila bartayoo kar rahay hain tou main iss ka matlab ulta samajhta hoon, aik kahani likh raha hoon iss say aaap ko SOUTAILAYPAN ki ahmiyat ka andaaza hojayay ga.
"aik aurat kay do baitay thay jinn main say aik soutaila tha, woh humesha soutailay baitay ka bohat khayal rakhti thi, uss ki har khushi ka khayal rakhna aur uss ki har khuwahish poori karna aur ussay kisi bhi kaam kay liye apni jagah say uthnay na diana woh aurat apna farz samjh kar karti thi, uss kay bilaks woh sagay baitay per zulm karti thi, ussay mehnat aur mushaqat karwaati, uss say ghar ki safayi aur saaray kaam kaj karwaati, nateeja yeh huwa kay jab Soutaila beta jawaan hua tou usay HADDHARMI ki aadat hogayi aur woh kaam apnay bhai ki madad kiye baghair nahin karsakata tha jab kay SAGA baita zindagi ki har azmayish ko mintoon main apni madad aap kay tehat hal kardaita tha"
Yeh kahani humaray ustaad nay humain sunayi thi aur guess what, uss waqt bhi kisi nay URDU KAY SOUTAILA honay ka zikar kia tha, unhoon nay iss say humari himmat bandhwayi aur humain sikhaya kay aap har cheese ko POSITIVE andaaaz say bhi dekh saktay hain bashart yeh kay aap ka khudh ka attitude kitna POSTIVE hay..
Aaj humain aik POSITIVE attitude ki zaroorat hay, humari kawaishain chahay jitni hi mehdood hoon magar INSHALLAH yeh zaban humesha hi humaray mulk aur humaray diloon per raaj karay gi.
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi Amaan ALLAH

Comment