Re: *میری طرف سے بھی آزادی مبارک*
Patah hai Eshaa - main kisi aur ki baat nahin karta na mujhey kisi aur sey saro-kaar hai - Pegham key bnaney ka aik maqsad yeh bhi tha keh logon mein shaoor bedaar kiya jaey keh asal masla kahan hai - magar hamari bad'qismati yeh hai keh hamarey haan log doosron sey ziyada parhey likhey aur mufakkir pedah huwey hain, har bandah khud ko khird-o-aqal ki us manzil per samajhta hai, jahan per kisi doosri ki baat suneney, samajhney, sochney aur amal karney ki zaroorat hi mehsoos nahin karta - har bandah khud ko shaoor key us muqaam per samajhta hai - aisey mein merey jaisa insaan jo zindagi mushkil sey guzar raha ho, uski himmat jawab dey jati hai - aur yehi huwa hai - main ney ab kuchh kehna hi chhorr diya hai keh be'suri bansuri bjaney sey faidah nahin - main bhi ab yehi kahoon ga: jo hai jaisa hai behtar hai :). There is no need for any struggle jiyo aur jeeney do.....
Originally posted by Eshaa Chaudhry
View Post
Comment