Re: Aap Ki Raey: Special Section.....
Ibtisaam aur Samra
Mera tum dono bachiyon sey aik sawaal hai. Main aap ko zindagi ki kuchh situations deta hoon aur phir yeh janena chahta hoon keh aap aisi soorat-e-haal mein kya karein gi?:
1) aap ki koi aziz kisi sey tuition leti hain. Woh insaan aap ki aziz ko tuition parhaney ki bjaey kuchh 'aur' hi parha raha hota hai. Aap ki aziz apney waldein ki izzat ki khatir chup rehti hain, magar bilaakhir tang aa ker aap sey kah deti hain keh unka tuitor unhein kya parha raha hai... ab aap kya karein gi?
2) Hamarey muashrey mein buiyaan sar charh kar bol rahi hain aur yahan tak keh ja'ali peeron ney bhi intihaa kar di hai. Hamarey haan ajab reet ban chuki hai keh ham Allah Tala ki zaat per bharosa rakhney ki bjaey peeri-faqeeri mein ziyada parrey huwey hain. Aap ki aik aziz kisi peer key jaal mein phans gaii hain. Woh ja'ali peer aap ki aziz key saath hawwas ka khail shuru kar deta hai - aap kya karein gi?
Darj-e-Bala sirf 2 buraiyaan hain jo hamarey muashrey mein sar charh ker bol rahi hain. Main aisey tuitors ko bhi janta hoon jo parhaney key bahaney kya kya gul khila rahey hain aur ja'ali peeron ki fehrist bhi lambi hai. Yahan tak keh England jaisey mulk mein bhi in naam nehad peeron ney gunah ka jo bazaar garm kiya hai, woh sab on record hai. Kya aap log aisi buraiyon ko be'naqab nahin karein gi takeh doosrey log in sey sabaq seekh sakein????
Mujhey aik ajeeb feeling hoti hai. Ham log BUREY ko uski qabar tak nahin chhorrtey aur ussey kisi bhi haal mein bad'naam karney sey daregh nahin kartey jabkh buraii ko khatam karney ki bjaey ussey chhupatey ya ussey dar'guzar kar detey hain - kya yeh aap apney muashrey per ehsaan kar rahey hain????

Comment