Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap Ki Raey: Special Section.....

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    Alal'Ailaan Burai karnay par....!!

    g lakin ek aur waja the ?
    wo yeh waja thi k halan k un ki besti main bohat naik log b shamil thay aur farishton ny ALLAH TALA SY POUCHA THA K YA ALLAH IN MAIN TO NAIK LOG B SHAMIL HAIN AP UN KO B SAZA DAY RAHIN HAIN TO ALLAH TALA NY FERMYA K YEH WO NAIK LOG HAIN JO BURAI KO DKEHTY THAY PER UNAHIN ROKTY NA THAY
    THEN muje samjh he nhe arhi k seb jo na na ker rahain hain burai ko discuss kerny sy bhag rahy hain ya apne ird gherd phali gandagi ko saaf kerny ki hemt nhe rekhty ? aj tak jitne socail issues hain kitne ko in na na kerny walo ny discussion ki hain????????????????// to pher yeh kisidark issue per baat kayse ker sakty hain????????? main ny yeh nhe kaha k kisi ki zaat ko hadaf bana ker us per tenqeedd kerty raho belkay burai to burai he hoti jeb tak us ko hum ny samjhy gy nhe rokain gy to khatm kayse hoo g haan aur srif discuss kerna he maqsood nhe belkay us ka bakaida hal nekalna maqsood hain aur usy rookna jeb hum social issue per baat nhe ekr skaty aam choti choti burai ko nhe rok sakty to yeh dark issue per na na kerny waly ek badtareen burai ko rokny k hemt kayse ker sakty hain
    sorry to say burai teb phlay g jeb us ko dakh ker ankhain bandh ki jain g mger ager us per bata ki jaye g usy roka jayse ga hal nekala jaye ga teb roky g burai.
    ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

    sigpic

    Comment


    • #47
      Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

      Originally posted by ummid View Post
      .....................
      here... dint mean that ke haan humare is section se ya discussion se ya whatever yeh sub buriyon ke khatme hojayenge.. here it mean ke lets take a step ahead and make an unit... ager ek banda bhi aap ki awarenss ki wajah se apne ajaam ko pohanchta hai tu yeh ek sucessfull baat hogi... sirf discuss nahi karna... aap ke mulk mein aise issues ke khilaf kya law hai kitne log jaante hain aap mein se?? kaunsi dafaein lagti hai un per??? did anyone know that... kya steps lene hain ager aisa koi issue aap ke samne aaye tu?? jurm sirf ek ka hota hai or saza kisi or ko milti hai... jis ka jurm ho saza usi ko milni chahiye... or jub tak hum in issues per baat nahi kareinge tub tak hume pata kaise chalega ke humare mulk (India, Pakistan, USA, UAE etc etc) ka Qanoon aise logo ke liye kya kehta hai... aabi bhai un ki knowledge zabrdast hai... MashAllah... woh in issues per deen ko nazar mein rakh ker jub baat kareinge tu bauaht se concepts clear honge... humare pass zaraye hain tu faydah kyun na uthaya jaaye??


      let suppose mujhay sub kuch pata chal gaya...to kia mujh me ya kisi aur me, considering k me pakistani ho....itni himmat he k me akela uth k un k khilaf koi action lene ka socho....jo log galat kam kurte he un k piche pora mafia hota he...pakistan me app police station FIR kisi aur k khilaf darj kurwane jate he aur in the end app khud hi phus jate he....app abhi kisi k khilaf awaz uthane ki himmat paida kurte he agle din app ko chup kurwane k lie kisi aziz ki lash app k ghar k bahir pari hoti he......steps,rallies,constitution,law...yeh sub waha acha lagta he jahan insaaf mile....pakistan me nahi:D

      kher enough from my side too
      Rab'Rakha

      Comment


      • #48
        Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

        Originally posted by zoniash View Post
        g lakin ek aur waja the ?
        wo yeh waja thi k halan k un ki besti main bohat naik log b shamil thay aur farishton ny ALLAH TALA SY POUCHA THA K YA ALLAH IN MAIN TO NAIK LOG B SHAMIL HAIN AP UN KO B SAZA DAY RAHIN HAIN TO ALLAH TALA NY FERMYA K YEH WO NAIK LOG HAIN JO BURAI KO DKEHTY THAY PER UNAHIN ROKTY NA THAY
        THEN muje samjh he nhe arhi k seb jo na na ker rahain hain burai ko discuss kerny sy bhag rahy hain ya apne ird gherd phali gandagi ko saaf kerny ki hemt nhe rekhty ? aj tak jitne socail issues hain kitne ko in na na kerny walo ny discussion ki hain????????????????// to pher yeh kisidark issue per baat kayse ker sakty hain????????? main ny yeh nhe kaha k kisi ki zaat ko hadaf bana ker us per tenqeedd kerty raho belkay burai to burai he hoti jeb tak us ko hum ny samjhy gy nhe rokain gy to khatm kayse hoo g haan aur srif discuss kerna he maqsood nhe belkay us ka bakaida hal nekalna maqsood hain aur usy rookna jeb hum social issue per baat nhe ekr skaty aam choti choti burai ko nhe rok sakty to yeh dark issue per na na kerny waly ek badtareen burai ko rokny k hemt kayse ker sakty hain
        sorry to say burai teb phlay g jeb us ko dakh ker ankhain bandh ki jain g mger ager us per bata ki jaye g usy roka jayse ga hal nekala jaye ga teb roky g burai.
        http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...rta-nahee.html

        http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...-siddiqui.html

        http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...3789-bhai.html

        http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...3909-beta.html

        http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...nsaaniyat.html

        yeh threads maiN nay halat-e-hazira maiN post keay thay, mujhay nahe maloom in maiN say kaun say tumharay nazdeek dark issues kay mayar par pora utartay haiN? kioN kay in sub maiN tumhara reply nahe!!!

        Albat'ta in thread maiN say aik (kioN aasmaaN girta nahee) maiN memberz ki sanjeedgi ka muzahira daikha ja sakta hai
        Last edited by RulzZ; 28 June 2009, 09:40.
        That's Enough...!!

        Comment


        • #49
          Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

          Originally posted by Admin View Post
          Mera zaati khiyaal hai keh baaz oqaat insaan ko kisi buraii ki shiddat ka andaza us waqt tak nahin hota jab tak us mein apney haath na rang ley, ashraf-ul-makhlooqat wohi kehlwaney ka haqdar hai jo DOOSRON sey sabaq seekhey. Agar kuchh buzurg log kisi buraii ki nishan'dehi kartey hain to iska matlab yeh hota hai keh doosrey log us sey sabaq seekhein aur us sey bachney ki koshish karein - jo insaan buraii ko buraii jaan ker bhi ussey apnaey ga, us sey barra kam'zarf insaan koi nahin ho ga jissey insaan tak kehlwaney ka haq nahin. Shayid yehi wajah hai keh insaani muashron mein Adaalti nizaam qayim kiyey jatey hain keh log doosron key kardah jaraiim sey sabaq seekhein...

          mere bahi adalati nazam or burai per behs karney me bahut faraq hia... or issi liye mene kaha k hamey b bajaye behs mubahisey k amli tor per kuch karna chahey...
          burai per behs karney, us per sochney, us per raaye deney or tanqeed karney sey ziada sey ziada kya hoga... yahi hoga k kuch logon ko kuch aisi buraion k barey me pata chaley ga jo wo pehley nahi jantey they...
          lekin insan fitiri, shaoori, maholiati or mausharti tor per waqt guzarney or umar bharney k sath in tumam cheezon sey baghair burai kiye ya us ka samna kiye hi jaan leta hia...
          or jo achai or burai ki k faraq or us k asraat ka idraak rakhtey hain wo baton sey nahi bal k amal sey is ka saboot detey hain...

          Comment


          • #50
            Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

            main ny dekhy he ab is ki boaht si wajohaat hain ek yeh k main ny abi pegham k bohat sy section dekhy b nhe hain even muje pata b nhe hain doseri baat k ager meri nazer sy gozerta to main reply zaror kerti aysa ho he nhe sakt k na keron mesla dark issue ya social issue ka neh mesla hain apes main discussion kerny ka abi to main ny itna dekha he nhe pegham ko pahly student help section main lagi rahi us k bad poerty k us k bad gupshup k to aj kal is k lilwa kahin jati nhe hon khair than k ap ny bata diya main ap ko ab wahan b nazer aya keron g
            ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

            sigpic

            Comment


            • #51
              Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

              Originally posted by zoniash View Post
              main ny dekhy he ab is ki boaht si wajohaat hain ek yeh k main ny abi pegham k bohat sy section dekhy b nhe hain even muje pata b nhe hain doseri baat k ager meri nazer sy gozerta to main reply zaror kerti aysa ho he nhe sakt k na keron mesla dark issue ya social issue ka neh mesla hain apes main discussion kerny ka abi to main ny itna dekha he nhe pegham ko pahly student help section main lagi rahi us k bad poerty k us k bad gupshup k to aj kal is k lilwa kahin jati nhe hon khair than k ap ny bata diya main ap ko ab wahan b nazer aya keron g
              yahe to kehnay ka maqsad hai, pg par masha'Allah kafi section haiN ba'z auqat members pora pg bhi nahe daikh patay, mujhay new section par aiteraz nahe aur na us maqsad par agar Admin woh section bana daytay to kisi nay kia kehna aur kia kar lena tha, laikin mujhay takleef aur ghussa sirf is baat par hai kay "raiy" poachnay kay baad Admin fareeq ban gaiy...!! agar aik raiy mustehkam the to us par amal karna chaheay tha, logoN say raiy lay kar apni raiy saheh aur dosray ko ghalat kehna aur ajeeb sawalat karna kia maani rakhta hai? jo mukhalif haiN un say usi qism kay sawalat??

              is cheez ko zubardasti issue bana dia gaya hai, is section kay ban'nay say pehlay he maiN kam az kam 2 thread post kar chuka hoon is unwaan par, aur mera gumaan hai kay shayed Admin ko is section ka mashwara daynay walay qabil-e-aihteram member nay unhaiN daikh kar he isay aik section tak mehdood karnay ka mashwara dia ho, kioN kay un maiN say aik thread maiN nay mardoN ki beThak maiN post kia tha jahaN girls not allowed ka board lagadia, woh thread bhi maiN behes o mubahisa maiN post kar sakta tha laikin maiN nay mutawaqa replies ko mad-e-nazar rakh kar usay sirf mardoN ki beThak maiN he post kardia.... isi terha hum in issues par behes o mubahisa maiN baat kar saktay thay jis nay aana hota woh wahaN zaroor aata aur jisay us par baat karna pasand na hoti woh reply na karta, khuwa'makhuwah is issue ko mutenaza bana dia gaya....
              That's Enough...!!

              Comment


              • #52
                Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                I agree with admin

                or ager woman k leye special section ho jis me hum apas bet ker majsos prob discuss ker sakn to wo b iss k sat sec bana dn

                jb ban jae to mujhe pm ker dn kio k studies ki waja se kam kam online ati ho

                :smilie2:

                Comment


                • #53
                  Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                  Originally posted by Admin View Post
                  Assalamo allaikum dosto

                  Mujhey Pegham key aik bohat moatbar member ney aik sawaal poochha hai. Magar us per koi bhi decision leney sey pehley main aap logon sey poochhna chahta hoon keh kya aap is key haq mein ho ya nahin?

                  Unki tajveez hai keh Pegham per aik aisa section bnaya jaey, jis mein zindagi key talakh aur be'dard pehluoun per baat ki jaey. Jinhein ham English mein best "dark issues of life" key taur per kah saktey hain...

                  Is mein bohat sarey aisey masaiil hain jin per aam bandah baat karna gawara nahin karta - jaisey child sexual abuse aur doosrey is tarha key issues...

                  Yeh section private ho ga, yani is tak risaii sirf chand khaas members ki ho gi aur un ki jo aisey issues per baat karney ki istidaad rakhtey hain aur jo khud ko mard-o-zann sey nikaal ker aala satah per aa ker sirf masley ki had tak baat karna jantey hoon...

                  kya kehtey hain aap???

                  waalikum asslam
                  welllllllll haraj tou koi nae ... lakin iss ka maqsad???
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • #54
                    Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                    اسلام علیکم کافی دنوں سے یہ بحث پڑھ رہا ہوں مگر خاموش ہوںکہ بقول شاعر ۔۔ ۔
                    یہ سوچ کر کہ تیری جبیں پر نہ بل پڑے
                    بس دور ہی سے دیکھ لیا اور چل پڑ ے

                    بہت سے لوگوں نے موضوع کے حق اور مخالفت میں دلائل بھی دیئے اور ووٹنگ کا حق بھی استعمال کیا ۔ ۔ ۔ ۔
                    درج زیل میں ہم تمام دلائل کا مختصر تجزیہ اور پھر اس پر اپنا تبصرہ بصورت محاکمہ پیش کرنے کی جسارت کرتے ہیں ۔۔۔۔۔
                    سب سے پہلے زینیا نے اپنی رائے فقط ووٹ کی صورت میں دی ہے ۔ ۔ ۔
                    پھر بختاور نامی رکن نے ڈارک ایشوز نے موضوع کے حق میں ووٹ دیا اور ساتھ میں دلیل یہ دی کہ ڈارک ایشوز بھی ہماری زندگی کا حصہ ہیں سو ان پر ضرور بحث ہونا چاہیے ۔ ۔ ۔
                    ہمارا تبصرہ :- اچھی دلیل ہے مگر اصل نقطہ کہ جس کی وجہ سے اس سوال کو یہان کرنے کی نوبت پیش آئی اس سے انحراف برتا گیا ہے ۔ ۔ ۔
                    پھر عشاء چوہدری نے فقط ہاں کی صورت میں اپنا ووٹ دیا ہے ۔ ۔ ۔
                    سب سے پہلے ابتسام نے مخالفت میں ووٹ دیا اور دلیل کے طور پر یہ کہا کہ اسلام برائیوں پر پردہ ڈالنے کا حکم دیتا ہے نہ کے انھے ڈسکس کرنے کا اور ویسے بھی ڈسکس کرنے سے کونسا کوئی برائی ختم ہوجاتی ہے ؟؟؟؟؟'
                    ہمارا تبصرہ :- ناقص دلیل ہے ۔ ۔ کیونکہ اسلام میں فی نفسہ برائی پر پردہ ڈالنے کا کوئی حکم نہیں بلکہ اسلام تو اچھائی اور برائی کی تمیز کے ساتھ ساتھ برائیوں کے خاتمے اور اچھائیوں کے نفاذ کے لیے آیا ہے ۔ ۔ پاکیزہ کو غلطی لگی کے انھوں نے دوسروں کے عیبوں پر پردہ پوشی کے مقید حکم کو مطلقا برائی پر پردہ ڈالنے کا حکم سمجھ لیا۔۔۔ اسلام معاشرتی سطح پر ایکدوسرے کے جن عیوب کی پردہ پوشی کا حکم دیتا ہے ان کا تعلق ایسے افراد کے ساتھ خاص ہے کہ جو عادتا ایسے عیوب میں مبتلا نہ ہوں یعنی جن سے نفس کی شامت کی وجہ سے غلطی سے گناہ سرزد ہوگیا ہو مگر وہ کسی بھی جرم کے عادی مجرم نہ ہوں وگرنہ ان کے مقابلے میں وہ افراد جو کہ معاشرتی سطح پر ایسے سنگین جرائم کےعادی ہوں کہ جن کی وجہ سے معاشرے میں ایک سنگین بگاڑ بصورت نقص امن کا اندیشہ ہوتو اسلام ایسے افراد کی بیـخ کنی کا حکم دیتا ہے وہ بھی سختی کے ساتھ ۔ ۔ ۔ ۔ رہ گئی ابتسام کی یہ دلیل کہ کسی بھی برائی پر یہاں ڈسکشن سے اس کا خاتمہ ممکن نہیں تو یہ بھی کمزور دلیل ہے اگر ایسی ہی بات ہے تو پھر یہاں پر کسی بھی برائی یعنی جھوٹ، چغلی ،غیبت ،بے ایمانی ،ملاوٹ ،کرپشن اور اس جیسے دیگر تمام امور پر جو تھریڈ لگائے جاتے ہیں وہ سب بھی نہیں ہونے چاہیں اس دلیل کی رو سے ۔۔ ۔ ۔ ۔
                    اس کے بعد مانو نے ناں میں ووٹ دیا ہے اور دلیل بچگانہ ہے لہذا اس پر کوئی تبصرہ نہیں ہیہیہیہیہیہیہیہیہیہیہیہیہ۔۔۔۔
                    پھر سمرا نے ابتسام کی تائید کرتے ہوئے ناں میں ووٹ دیا ہے ۔ ۔ ۔ ۔ ۔
                    اسکے بعد زونیش نے ہاں کی صورت میں ووٹ دیا ہے اور دلائل کے طورپر برائیوں کو بے نقاب کرنے کی مضبوط دلیل دی ہے ۔ ۔ ۔ ۔
                    ہمارا تبصرہ :- مگر اس نقطے کو انھوں نے بھی نظر انداز کیا ہے کہ جس کی وجہ سے سوال یہاں پوچھا گیا ۔ ۔ ۔ ۔
                    اس کے بعد درویش نامی رکن نے ناں میں میں ووٹ دیتے ہوئے بطور دلیل ڈارک ایشوز کو نان سیریس ایشوز قرار دیا اور زندگی میں مثبت پہلوؤں پر غور کرنے اور انھے کام میں لانے کی بات کرتے ہوئے منفی ایشوز کو ناقابل کلام قرار دیا ۔ ۔ ۔
                    ہمارا تبصرہ :- زندگی مجموعہ ہے نفی اور اثبات کا لہذا اس میں سے کسی ایک پہلو کو بھی نظر انداز نہیں کیا جاسکتا ہے جس طرح مثبت پہلوؤں سیریس ہیں اسی طرح منفی پہلو (یعنی ڈارک ایشوز ) بھی نان سیریس نہیں بلکہ سیریس ایشوز ہی ہیں ۔ ۔ ۔ ۔
                    اس کے بعد مائلسٹون نامی رکن نے ناں کی صورت میں ووٹ دیا ہے اور دلیل کے طور پر پیغام کے لوگو کی طرف توجہ دلاتے ہوئے سیکھو اور سکھاؤ کے تعمیر اور ڈارک ایشوز پر بات کرنے کو تخریب سے تعبیر کیا ہے ۔ ۔ ۔
                    ہمارا تبصرہ :- ہماری دانست میں رکن خود بھی سیکھو اور سکھاؤ کا اصل مفھوم سے آشنا نہیں ۔ ۔ ۔کہ اصل میں کسی بھی ایشو پر بات کرنا اسے ڈسکس کرنا سیکھو اور سکھاؤ ہی کے ضمرے میں آتا ہے اور کسی بھی ایشو کو چاہے وہ برائیوں کے ادراک پر مبنی ہی کیوں نہ ہو اسے مثبت انداز میں ڈسکس کرنا کبھی بھی تخریب کے ضمرے میں نہیں آتا ۔۔۔۔
                    پھر امید اور وصی انجم نے فقط ہاں کی صورت میں ووٹ دیا ہے ۔ ۔ ۔
                    پھر ایم ایس اے نے باتوں کی بجائے عملی اقدامات اٹھانے پر زور دیا ہے ۔ ۔ ۔
                    پھر سمرن خان نے کہا کے سب لوگ ان برائیوں کو جانتے ہیں لیکن ایسے ایشوز اوپن فورم پر ڈسکس نہیں ہوسکتے ۔ ۔ ۔
                    ہمارا تبصرہ :- دلیل مضبوط ہے اور اس میں کسی حد تک اصل نقطہ کی طرف اشارہ ہے کہ جس کی وجہ سے یہ سوال یہاں کیا گیا ۔ ۔ ۔ ۔
                    اس کے بعد یوسف زئی خان نامی رکن نے ہاں میں ووٹ دیا ہے اور دلیل کے طور پر یہ کہا کہ جو باتیں روز مرہ کے ملنے والے افراد سے نہیں پوچھ سکتے وہ نیٹ سے مل جائیں گی ۔ ۔ ۔ ۔
                    ہمارا تبصرہ :- فقط یہی ہے کہ دلیل ناقص ہے ۔ ۔ ۔ ۔
                    پھر ایڈمن بھائی نے اپنے دلائل دیئے ہیں کہ جو حق میں ہیں دلائل پر ہم تبصرہ نہیں کریں گے ۔ ۔ ۔ ۔
                    پھر خوشی نے ناں میں ووٹ دیا ہے اور کہا کہ ایسے ایشوز پر بحث کرنا ہی فضول ہے ۔ ۔ ۔
                    پھر امید نے ہاں میں ووٹ دے کر دلائل دیئے ہیں ان پر بھی ہم کوئی تبصرہ نہیں کرتے ۔ ۔ ۔۔
                    ۔ ۔ ۔ ۔
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment


                    • #55
                      Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                      abhi to section khula bhee nahi to ye haal he sab ka :lahoul:

                      Comment


                      • #56
                        Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                        Originally posted by aabi2cool View Post
                        اس کے بعد مانو نے ناں میں ووٹ دیا ہے اور دلیل بچگانہ ہے لہذا اس پر کوئی تبصرہ نہیں ہیہیہیہیہیہیہیہیہیہیہیہیہ۔۔۔۔

                        :zuban:

                        Comment


                        • #57
                          Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                          :) :) :)
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #58
                            Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                            Originally posted by Admin View Post
                            Ibtisaam aur Samra

                            Mera tum dono bachiyon sey aik sawaal hai. Main aap ko zindagi ki kuchh situations deta hoon aur phir yeh janena chahta hoon keh aap aisi soorat-e-haal mein kya karein gi?:

                            1) aap ki koi aziz kisi sey tuition leti hain. Woh insaan aap ki aziz ko tuition parhaney ki bjaey kuchh 'aur' hi parha raha hota hai. Aap ki aziz apney waldein ki izzat ki khatir chup rehti hain, magar bilaakhir tang aa ker aap sey kah deti hain keh unka tuitor unhein kya parha raha hai... ab aap kya karein gi?

                            2) Hamarey muashrey mein buiyaan sar charh kar bol rahi hain aur yahan tak keh ja'ali peeron ney bhi intihaa kar di hai. Hamarey haan ajab reet ban chuki hai keh ham Allah Tala ki zaat per bharosa rakhney ki bjaey peeri-faqeeri mein ziyada parrey huwey hain. Aap ki aik aziz kisi peer key jaal mein phans gaii hain. Woh ja'ali peer aap ki aziz key saath hawwas ka khail shuru kar deta hai - aap kya karein gi?


                            Darj-e-Bala sirf 2 buraiyaan hain jo hamarey muashrey mein sar charh ker bol rahi hain. Main aisey tuitors ko bhi janta hoon jo parhaney key bahaney kya kya gul khila rahey hain aur ja'ali peeron ki fehrist bhi lambi hai. Yahan tak keh England jaisey mulk mein bhi in naam nehad peeron ney gunah ka jo bazaar garm kiya hai, woh sab on record hai. Kya aap log aisi buraiyon ko be'naqab nahin karein gi takeh doosrey log in sey sabaq seekh sakein????

                            Mujhey aik ajeeb feeling hoti hai. Ham log BUREY ko uski qabar tak nahin chhorrtey aur ussey kisi bhi haal mein bad'naam karney sey daregh nahin kartey jabkh buraii ko khatam karney ki bjaey ussey chhupatey ya ussey dar'guzar kar detey hain - kya yeh aap apney muashrey per ehsaan kar rahey hain????

                            Admin jee :)

                            Aap ne jo saari baat ki hai mai is se Itefaq Nahi kerti. ager baat aisy bachiou ki he jin ke saath aisa hota he... to Qasoor un Larkiou ke parents ka hai... Baat to unke Parents se kerna pare gi ke wo apni ANKHAIn kholain.

                            Aur aisy parents kiou apne bachou ko kisi ke Bharosse chor dete hain??? Kiou wo apne bachou ko aisy Tarbiyaat nahi dete ke wo apni her baat ko apne Maa baap se share kerain?

                            Baat sirf itni he ke.. Be-maqsad behas aur Mubahisa kerne se naa to aisye LOG badlain gai aur NAA hi Burai khatam hogi.

                            JO Log ISLAM ki Taleem per Amal kerahe hain.... wo aisy kisi bhi burai ka Saamna nahi kerte. To pihr humara Maqsad sirf aur sirf Islam ki Taleem ko seekhna aur sikhaana hona chahiye. :rose
                            Last edited by *Samra*; 29 June 2009, 13:15.

                            Comment


                            • #59
                              Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                              Mujhey is baat ki bilkul bhi samajh nahin aa rahi keh main ma'azrat karoon ya afsos keh main ney aap logon sey aik mashwra maanga tha aur aap ney ussey itna barra issue bnaa diya hai :)

                              Mujhey is baat ki khushi hai keh Pegham per aaj tak jitney bhi section baney hain, unmein 99% members key mashwron ya unkey indiya sey baney hain. Koi aik sektion aisa nahin jo main ney zabardasti thonsa ho keh yeh hoga aur bas!

                              Magar kaisi ajeeb si baat hai na keh agar members sey kuchh poochha jaey, to bhi ghalt aur na poochha jaey to bhi ghalt.

                              Aap sab sey is section ki nisbat poochhney ka sab sey barra maqsad yeh tha keh ham yeh jaan sakein keh kya ham khud ko shaoor key us muqaam per samajhtey hain jahan per ham kisi sensetive issue per baat kar sakein keh nahin? Agar ham hain to kaun kaun sa member aisa hai jissey ham iska access dey saktey hain? Issey private rakhney key peechey bhi aik raaz hai. Let me go in details.

                              Is section ka istifsaar aaj sey koi 4 saal pehley Shaim (Shumaila) jo us waqt Halaat-e-Hazira ki moderator thin, unhon ney kiya tha. Unkey paas kuchh aisey sensetive issues they jis per woh baat karna chahti thin, magar woh open forum per nahin karna chaah rahi thin - magar sirf un makhsoos logon key saath jo samajh aur farasat rakhtey hon... main ney us waqt Shumaila ko yeh kah ker inkaar kar diya keh bacha hamarey haan bohat sarey log aisey hain jo MEHDOOD soch key maalik hain. Ham mehdood hain to apni soch mein, mehdood hain to apni zaat mein, mehdood hain to apney ahatey mein, mehdood hain to apney ghar mein, mehdood hain to apni raaey mein - apney aap key siwa hamein har shay PRAII lagti hai aur praii shay ki achaii ya buraii per baat karna ham apni na sirf zaat key khilaaf samjhtey hain balkeh ham yeh kah ker keh SANU KII ya MITTI PAO chup kar jatey hain. Is liyey aisey issues filhaal discuss na hi kiya jaein to behtar hai.

                              Issey private rakhney ki aik aur doosri aur bohat barri wajah yeh bhi hai keh hamarey haan bohat kam log constructive discussion key maaney jantey hain - ziyada tar log behas nahin kartey balkeh zatiyaat ko nishana kartey hain - zara aap Pakistan key ASAL halaat per nazar daalein to aap ko ilm ho ga keh hamarey haan abhi bhi wohi issues hain jo aaj sey 50 saal pehley they -kyun? is liyey keh ham in issues per baat karna hi nahin chahtey...aur agar bhooley sey kar bhi lein to behas-dar-behas, ungli uthaney aur apni apni MAIN mein rehney key siwa kuchh nahin kartey.

                              Yeh bhi sach hai keh open rakhney sey bohat sarey aisey member ka access ho ga, jinhein baat karney ka saleeqa nahin. Nokia_afridi jaisey member ko agar aisey issues mein bolney ka ikhtiyaar dey diya jaey to phir nikaal li ham ney apni islaah ki raah!!!

                              Aur yah kahan ki soch hai keh aap koi bhi issue ho ussey sab key samney discuss karein???? Masaiil uthana awwam ka kaam hai, unhein zer-e-behas lana khaas logon ka kaam hai, phir agar koi hal nikal aaey to ussey qanoon bnana ahkaam-e-bala ka kaam hai - yeh soch bhi main ney Pakistan hi mein dekhi hai keh aap maslon ko har aerey ghairey key samney discuss karein - agar aisa ho to phir awwam apney numaindey chunena chhorr dein aur sar-e-aam sarrkon per nikal ker apney masley masaiil khud discuss karna shuru kar dein - agar aisa ho to mulk tabah ho jatey hain - shayid aisa hi ho raha hai.

                              Ibtisaam bachi ney kaha hai keh aap us bandey ko ibratnaak saza dilwaein gi. - :) - Bacha, pehli baat to yeh keh saza bazat-e-khud ibrat hoti hai agar koi pakarrney wala ho to - ibratnaak saza mehaz aik mafrooza hai! Doosri baat yeh keh chalein farz kiya aap ney us bandey ko ibratnaak saza kahin sey dilwaa bhi di, to woh ibrat kis key liye hui?? Uskey liyey jisney saza paii hai? Uskey liyey jinhon ney saza di hai? Ibrat hasil karney key liyey zaroori hota hai keh fard ya afraad ka hona jinka is process sey ta'aluq na ho - ba'alfaaz aam: awwam. Kyun keh ibrat awwam ko di jati hai keh agar aap ney aisa koi fail kiya to aap ko bhi aisi hi saza mil sakti hai - ab jab aap awwam key samney aisey issues lana HI nahin chahti to phir awwam kaisey ibrat pakrey gi???

                              Mujhey is baat ka intihaii dukh hai keh hamarey mulk mein har woh bandah jisney 4 jumatein parh li hon, woh khud ko shaoor key us muqaam per samajhna shuru kar deta hai jahan per yeh samjha jata hai keh jo MERI SOCH HAI WOHI DRUST HAI ham log un logon sey jinhon ney muashrey ka tajziyah ziyada kiya hota hai, un sey sabaq seekhna gawara nahin kartey. Ashfaq Ahmed kehtey hain keh universties ki taleem woh kuchh nahin sikhati jo insaano ko parhney sey hasil hota hai - muashra insano sey banta hai - kitabon sey nahin!

                              Yeh bhi kaha geya hai keh hamein AMLI taur per kuchh karna chahiyey bjaey discussion key :) kya ajeeb baat hai! Merey dost amal kahan sey aata hai? Kya aap bghair ko lahiya-e-amal tayyar kiyey, amal kar saktey hain? Kya aap yeh jaanein bin keh masla kya hai, daangein sotiyaan utha ker muashrey ko drust karney per tul jaein yeh janein bghair key drust karna KISSEY hai??? Duniya mein aaj tak koi masla us waqt tak amal key zariyey drust nahin huwa jab tak us key liyey koi lahiya-e-amal na ho! Amal key liyey uski tayyari zaroori hai - aur tayyari key liyey mushawrat zaroori hai. Woh mushawrat apney aap sey ho ya majlis-e-shuraa mein, us ka ziker zarooi hai. Aik aik bandah agar apney apney taein uth ker apni apni daurr mein lag jaey to wahan kisi bhi masla ka hal nahin nikalta. Iski main aap ko 2 misalein deta hoon:

                              1) Aap zara Pakistan mein nazar dorra kar dekhein, aap ko lakhon charity key idarey milein gey. Beshak aksar differetn maqasad key liyey kaam kar rahey hain, magar woh jo aik hi maqsad per kaam kar rahey hain - kya woh sab mil ker aik parcham taley jama ho ker kaam nahin kar saktey takeh ziyada sey ziyada benifit haq'daar ko mil sakey? Magar nahin yeh charity bhi aik business ban chuka hai - har bandah apna faidah dhoondta hai.

                              2) Internet per beshumaar Urdu forums ban chukey hain - sab ka kaam kya hai? Aik sa. Kitney forums hain jo mukhtalif noiyyat key hain? Cut and Paste sey log apni WAAH WAAH karwaa rahey hain - kya aik parcham taley jama ho ker bandah kuchh nahin kar sakta? (aur bhi la'tadad misalein hain iski jahan per ham log apni apni jang larr rahey hain, bjaey iskey keh aik parcham taley jama ho jaein)

                              Magar shayid - yak'jaa hona hamari qaum key naseeb mein hi nahin likha. Jahan per jitni sochein hain utney hi amal! Hamari fitrat banti jaa rahi hai keh ham sochney sey pehley amal kar guzartey hain aur phir beth kar sochtey hain keh yeh drust tha keh nahin! Merey nazdeek aazadi-e-soch shaitan ki aejad hai!!! Insaan ko apney buzurgon sey seekhna chahiyey keh woh kya kehtey hain - shayid unka tajarbah, unki soch, unka hasool ziyada qawwi ho - isi soch keh tehat main ney yeh zaroori samjha keh yeh section kuchh khaas logon tak rahey, unki aqli basarat sey jo hasil-e-kalaam aaey, ussey awwam tak laya jaey - magar iskey liyey zaroor hai keh hamarey ander suneney, sochney, samajhney, parakhney aur phir amal karney ka hosla ho - jo kahan tak mumkin hai??? :)

                              Yeh soch ker keh discussion karney sey kya faidah hai? chup kar jana bhi aik ghaflat hai. Jiski ikhlaqi saza honi chahiyey jo insaan khud apney aap ko dey keh aap apney samney aik buraii dekho aur usko bura tak na kaho. Ham ney bohat aasan raah chun li hai keh ham apney dil mein bura kah detey hain aur samajhtey hain farz poora ho geya - aaj kal key daur mein hamarey paas Internet ka sahoolat mojood hai, jis per ham apan PEGHAM doosron tak pohancha saktey hain. Agar ham mein inti saqqat ho keh ham kisi masley ka hal nikaal sakein to koi ajab nahin keh woh baat kal kisi akhbar mein, kisi risaley mein, kisi tv per ya direct hakaam-e-Bala tak pohancha di jaey!! Umeed umeed umeed ka sabaq diya jata hai, magar umeed ki shama roshan karney sey ham khud hi rokna shuru kar detey hain. Aik kiran aazadi ki mishal roshan karti hai! Magar shayid yahan per aa ker patah chalta hai keh kon "umeed sey hai" 372-haha (kitna mazzey ka lafz hai na umeed sey hona 372-haha) aur kaun umeed ki kirnein bujhata hai :)
                              مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                              نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                              Comment


                              • #60
                                Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                                Originally posted by Admin View Post
                                Mujhey is baat ki bilkul bhi samajh nahin aa rahi keh main ma'azrat karoon ya afsos keh main ney aap logon sey aik mashwra maanga tha aur aap ney ussey itna barra issue bnaa diya hai :)

                                Mujhey is baat ki khushi hai keh Pegham per aaj tak jitney bhi section baney hain, unmein 99% members key mashwron ya unkey indiya sey baney hain. Koi aik sektion aisa nahin jo main ney zabardasti thonsa ho keh yeh hoga aur bas!

                                Magar kaisi ajeeb si baat hai na keh agar members sey kuchh poochha jaey, to bhi ghalt aur na poochha jaey to bhi ghalt.
                                aslam o alykum MASOOD bhai :rose
                                aap nay aik sawal sab k samny rakha aur pegham per khuch naya karnay k moamaly main sab ki ray ko jan,na zaroori samjha aap ka ye fail qable tareef hy na k afsoos ka muqaam .. . aap k is pouchny aur mushawarat k amal ko kisi nay bura naheen kaha balk serf jo sawal aap nay poucha hy us ki mukhalifat aur haq main logon nay apni apni ray de hy aur wo ray aap ki us mansha k ayen mutabik hy k jis k tehat aap nay logon ko is qabil samjha k wo is sensitive issue per apni apni ray daieen . . . lehaza aap bad dil na hon aur ab kafi saray members ki ray samny aajany k bad apna final fesla suna deen k aap ye section bana rahy hain ya naheen agar bana rahay hain to un khas logon ki fehrist k sath ye aylan farma den k jo aap ki danist main aysay mozuaat per baar karnay k qabil hain bus qisa khatam . . .. . :salam:
                                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                                Comment

                                Working...
                                X