Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap Ki Raey: Special Section.....

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

    Ibtisaam aur Samra

    Mera tum dono bachiyon sey aik sawaal hai. Main aap ko zindagi ki kuchh situations deta hoon aur phir yeh janena chahta hoon keh aap aisi soorat-e-haal mein kya karein gi?:

    1) aap ki koi aziz kisi sey tuition leti hain. Woh insaan aap ki aziz ko tuition parhaney ki bjaey kuchh 'aur' hi parha raha hota hai. Aap ki aziz apney waldein ki izzat ki khatir chup rehti hain, magar bilaakhir tang aa ker aap sey kah deti hain keh unka tuitor unhein kya parha raha hai... ab aap kya karein gi?

    2) Hamarey muashrey mein buiyaan sar charh kar bol rahi hain aur yahan tak keh ja'ali peeron ney bhi intihaa kar di hai. Hamarey haan ajab reet ban chuki hai keh ham Allah Tala ki zaat per bharosa rakhney ki bjaey peeri-faqeeri mein ziyada parrey huwey hain. Aap ki aik aziz kisi peer key jaal mein phans gaii hain. Woh ja'ali peer aap ki aziz key saath hawwas ka khail shuru kar deta hai - aap kya karein gi?

    Darj-e-Bala sirf 2 buraiyaan hain jo hamarey muashrey mein sar charh ker bol rahi hain. Main aisey tuitors ko bhi janta hoon jo parhaney key bahaney kya kya gul khila rahey hain aur ja'ali peeron ki fehrist bhi lambi hai. Yahan tak keh England jaisey mulk mein bhi in naam nehad peeron ney gunah ka jo bazaar garm kiya hai, woh sab on record hai. Kya aap log aisi buraiyon ko be'naqab nahin karein gi takeh doosrey log in sey sabaq seekh sakein????

    Mujhey aik ajeeb feeling hoti hai. Ham log BUREY ko uski qabar tak nahin chhorrtey aur ussey kisi bhi haal mein bad'naam karney sey daregh nahin kartey jabkh buraii ko khatam karney ki bjaey ussey chhupatey ya ussey dar'guzar kar detey hain - kya yeh aap apney muashrey per ehsaan kar rahey hain????
    Last edited by Admin; 26 June 2009, 11:57.
    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

    Comment

    • #32
      Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

      Originally posted by Darwaish View Post
      agar muashrey me behteri ki khahish hai to us k liye ham amli tor per aisi buraion sey bach kar or un ka tadaruk kar k ziada achey tareeqey se contribute kar saktey hain...
      Mera zaati khiyaal hai keh baaz oqaat insaan ko kisi buraii ki shiddat ka andaza us waqt tak nahin hota jab tak us mein apney haath na rang ley, ashraf-ul-makhlooqat wohi kehlwaney ka haqdar hai jo DOOSRON sey sabaq seekhey. Agar kuchh buzurg log kisi buraii ki nishan'dehi kartey hain to iska matlab yeh hota hai keh doosrey log us sey sabaq seekhein aur us sey bachney ki koshish karein - jo insaan buraii ko buraii jaan ker bhi ussey apnaey ga, us sey barra kam'zarf insaan koi nahin ho ga jissey insaan tak kehlwaney ka haq nahin. Shayid yehi wajah hai keh insaani muashron mein Adaalti nizaam qayim kiyey jatey hain keh log doosron key kardah jaraiim sey sabaq seekhein...
      Last edited by Admin; 26 June 2009, 12:11.
      مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
      نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

      Comment

      • #33
        Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

        Originally posted by MSA View Post
        Action Speaks Louder than words....
        What's ACTION? Sit on the Internet and shout "action speaks louder than words" and at the end of the road there are CD/DVD Shops where all the semi-p**no DVD's are available? How many shop have you been involved in closing? How many salesmen have you reported to the authorties???
        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

        Comment

        • #34
          Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

          nahi ...q k subi sections.......... Special Section hain .....:)
          Last edited by ChaMpioN PaKiStaNi; 26 June 2009, 12:51.

          I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

          Comment

          • #35
            Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

            Originally posted by Admin View Post
            Ibtisaam aur Samra

            Mera tum dono bachiyon sey aik sawaal hai. Main aap ko zindagi ki kuchh situations deta hoon aur phir yeh janena chahta hoon keh aap aisi soorat-e-haal mein kya karein gi?:

            1) aap ki koi aziz kisi sey tuition leti hain. Woh insaan aap ki aziz ko tuition parhaney ki bjaey kuchh 'aur' hi parha raha hota hai. Aap ki aziz apney waldein ki izzat ki khatir chup rehti hain, magar bilaakhir tang aa ker aap sey kah deti hain keh unka tuitor unhein kya parha raha hai... ab aap kya karein gi?

            2) Hamarey muashrey mein buiyaan sar charh kar bol rahi hain aur yahan tak keh ja'ali peeron ney bhi intihaa kar di hai. Hamarey haan ajab reet ban chuki hai keh ham Allah Tala ki zaat per bharosa rakhney ki bjaey peeri-faqeeri mein ziyada parrey huwey hain. Aap ki aik aziz kisi peer key jaal mein phans gaii hain. Woh ja'ali peer aap ki aziz key saath hawwas ka khail shuru kar deta hai - aap kya karein gi?

            Darj-e-Bala sirf 2 buraiyaan hain jo hamarey muashrey mein sar charh ker bol rahi hain. Main aisey tuitors ko bhi janta hoon jo parhaney key bahaney kya kya gul khila rahey hain aur ja'ali peeron ki fehrist bhi lambi hai. Yahan tak keh England jaisey mulk mein bhi in naam nehad peeron ney gunah ka jo bazaar garm kiya hai, woh sab on record hai. Kya aap log aisi buraiyon ko be'naqab nahin karein gi takeh doosrey log in sey sabaq seekh sakein????

            Mujhey aik ajeeb feeling hoti hai. Ham log BUREY ko uski qabar tak nahin chhorrtey aur ussey kisi bhi haal mein bad'naam karney sey daregh nahin kartey jabkh buraii ko khatam karney ki bjaey ussey chhupatey ya ussey dar'guzar kar detey hain - kya yeh aap apney muashrey per ehsaan kar rahey hain????
            :clap::clap:
            ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

            sigpic

            Comment

            • #36
              Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

              Walikumslaam

              Voted 4 naah...:)

              Reason iss tarah baat aur barhegi...behas karne ka koi faidah nahi hai...jo baat jahan ho finish hogyai..uska ap log topic de ke...uss pe behas karke kia result deinge hamien ???
              kisi ke personal matters pe discuss karna i dun thk so its gud...
              na he ye idea acha laga...aur har koi serious reply nahi karega....un baton ka mazaq bhi bananya ja sakta hai....thts yy mera personal opinion yehi hai ke ye step na lia jaye
              baqi apki marzi jesa ap theek smajhien..:thmbup:

              Comment

              • #37
                Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                Originally posted by *khushi* View Post

                to ap kehti hain k burai ko chupaya diya jaye yeh keh ker k personal matter hain ? to pher rokay ga kon aur burai khatm kayse ho g jeb is per bat he nhe ho g to /?hazret nooh ki qoom per azaab kiyon aya tha did u know that?
                ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                sigpic

                Comment

                • #38
                  Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                  Originally posted by Admin View Post
                  Ibtisaam aur Samra

                  Mera tum dono bachiyon sey aik sawaal hai. Main aap ko zindagi ki kuchh situations deta hoon aur phir yeh janena chahta hoon keh aap aisi soorat-e-haal mein kya karein gi?:

                  1) aap ki koi aziz kisi sey tuition leti hain. Woh insaan aap ki aziz ko tuition parhaney ki bjaey kuchh 'aur' hi parha raha hota hai. Aap ki aziz apney waldein ki izzat ki khatir chup rehti hain, magar bilaakhir tang aa ker aap sey kah deti hain keh unka tuitor unhein kya parha raha hai... ab aap kya karein gi?

                  2) Hamarey muashrey mein buiyaan sar charh kar bol rahi hain aur yahan tak keh ja'ali peeron ney bhi intihaa kar di hai. Hamarey haan ajab reet ban chuki hai keh ham Allah Tala ki zaat per bharosa rakhney ki bjaey peeri-faqeeri mein ziyada parrey huwey hain. Aap ki aik aziz kisi peer key jaal mein phans gaii hain. Woh ja'ali peer aap ki aziz key saath hawwas ka khail shuru kar deta hai - aap kya karein gi?

                  Darj-e-Bala sirf 2 buraiyaan hain jo hamarey muashrey mein sar charh ker bol rahi hain. Main aisey tuitors ko bhi janta hoon jo parhaney key bahaney kya kya gul khila rahey hain aur ja'ali peeron ki fehrist bhi lambi hai. Yahan tak keh England jaisey mulk mein bhi in naam nehad peeron ney gunah ka jo bazaar garm kiya hai, woh sab on record hai. Kya aap log aisi buraiyon ko be'naqab nahin karein gi takeh doosrey log in sey sabaq seekh sakein????

                  Mujhey aik ajeeb feeling hoti hai. Ham log BUREY ko uski qabar tak nahin chhorrtey aur ussey kisi bhi haal mein bad'naam karney sey daregh nahin kartey jabkh buraii ko khatam karney ki bjaey ussey chhupatey ya ussey dar'guzar kar detey hain - kya yeh aap apney muashrey per ehsaan kar rahey hain????
                  merey sawal ka jawab ap ne bhi nia dia
                  mujhey serf itna bata dein ke kia pakey discussion se jo aik CLOSED section main hoga uss ka out come nikleyga?kia apkey discuss karney se ye buraiyan khatam hojaingi ya ruk jaingi? kia apka discussion in buraiyon ka solution nikal sakey ga?
                  aur jo MSA ne kaha ke actions speak louder than words tu inn buraiyon ka serf aik hi solution hai ke inko sare aam ibrat naak saza de jaey

                  aur apney jo do examples de hain unke hal ke lein bhi main koi discussion nai karongi jahan tak mumkin hoga discreatly un problems ka solution nikalongi aur koshish karongi ke un mujremon ko ibrat naak saza miley
                  hamarey moashrey ki buraiyon ka solution discussion nai hai
                  saza hia kuch time pehley saudia ke sare aaam saza deney ko extremism kaha gaya tha mera magar hamarey moashrey ki buraiyon ka yehi solution hai

                  Comment

                  • #39
                    Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                    Originally posted by zoniash View Post
                    :clap::clap:
                    kindly tell me is ur claps n discussion going to find a solution to the exampled problems?

                    Comment

                    • #40
                      Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                      Originally posted by admin View Post
                      mujhey aik ajeeb feeling hoti hai. Ham log burey ko uski qabar tak nahin chhorrtey aur ussey kisi bhi haal mein bad'naam karney sey daregh nahin kartey jabkh buraii ko khatam karney ki bjaey ussey chhupatey ya ussey dar'guzar kar detey hain - kya yeh aap apney muashrey per ehsaan kar rahey hain????
                      اسلام علیکم ، مسعود بھائی میری ایک تجویز ہے گر قبول افتد زهے عزّ و شرف کہ اگر ان برائیوں پر ڈسکشن اتنی ہی ناگزیر ہوچکی ہے کہ معاشرہ ان کی وجہ سے شدید پستی کا شکار ہوچلا ہے تو پھر ہمیں چاہیے کہ ہم انہیں اوپن فورم پر ڈسکس کریں پھر پلیز یہ پرائیویٹ کی شرط ہٹا دیں تاکہ سب کا بھلا ہوسکے ۔ ۔ ۔ والسلام ۔۔
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment

                      • #41
                        Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                        Originally posted by Admin View Post
                        What's ACTION? Sit on the Internet and shout "action speaks louder than words" and at the end of the road there are CD/DVD Shops where all the semi-p**no DVD's are available? How many shop have you been involved in closing? How many salesmen have you reported to the authorties???
                        :)
                        app k discus kune se wo shop bund ho jae gi??
                        uncil aik to app wo section mehdood kur rahe hein us me jo log discus kurein ge unhe to already pata hi ho ga.....to wo khud samjhne ki salahiat rakhte he...to unhe bata k kia milna he??.....agur app public awareness k lie kurein aur sub k lie open rakhein aur logon ko safety precautions batein to samjh bhi aati he....

                        baki i think in maslon ka aik hi hal he....ibrat'naak mout....abb hamari qoum discussion aur self awareness se sahi hone wali nahi...jub tuk ibrat naak sazae'in nahi hoge'in hum theakh nahi hone wale...unless aur untill Allah hamare dilo'n ko badal de....

                        app ne hi kahi kaha tha shayd k batein to hum 60 saalo se kur rahe he....(shayd "kash me dictator hota" wale thread me)

                        baki me net pe koi 3-3.5 saal se ho...aur a/c to my observation....aisa koi section kholna acha nahi hoga is forum k lie....both in limited access and in open access....

                        Comment

                        • #42
                          Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          اسلام علیکم ، مسعود بھائی میری ایک تجویز ہے گر قبول افتد زهے عزّ و شرف کہ اگر ان برائیوں پر ڈسکشن اتنی ہی ناگزیر ہوچکی ہے کہ معاشرہ ان کی وجہ سے شدید پستی کا شکار ہوچلا ہے تو پھر ہمیں چاہیے کہ ہم انہیں اوپن فورم پر ڈسکس کریں پھر پلیز یہ پرائیویٹ کی شرط ہٹا دیں تاکہ سب کا بھلا ہوسکے ۔ ۔ ۔ والسلام ۔۔

                          Originally posted by MSA View Post
                          :)
                          app k discus kune se wo shop bund ho jae gi??
                          uncil aik to app wo section mehdood kur rahe hein us me jo log discus kurein ge unhe to already pata hi ho ga.....to wo khud samjhne ki salahiat rakhte he...to unhe bata k kia milna he??.....agur app public awareness k lie kurein aur sub k lie open rakhein aur logon ko safety precautions batein to samjh bhi aati he....

                          baki i think in maslon ka aik hi hal he....ibrat'naak mout....abb hamari qoum discussion aur self awareness se sahi hone wali nahi...jub tuk ibrat naak sazae'in nahi hoge'in hum theakh nahi hone wale...unless aur untill Allah hamare dilo'n ko badal de....

                          app ne hi kahi kaha tha shayd k batein to hum 60 saalo se kur rahe he....(shayd "kash me dictator hota" wale thread me)

                          baki me net pe koi 3-3.5 saal se ho...aur a/c to my observation....aisa koi section kholna acha nahi hoga is forum k lie....both in limited access and in open access....
                          Geo Shehzado :thmbup:
                          That's Enough...!!

                          Comment

                          • #43
                            Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                            Originally posted by zoniash View Post
                            hazret nooh ki qoom per azaab kiyon aya tha did u know that?
                            Alal'Ailaan Burai karnay par....!!
                            That's Enough...!!

                            Comment

                            • #44
                              Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                              Originally posted by Admin View Post

                              1) aap ki koi aziz kisi sey tuition leti hain. Woh insaan aap ki aziz ko tuition parhaney ki bjaey kuchh 'aur' hi parha raha hota hai. Aap ki aziz apney waldein ki izzat ki khatir chup rehti hain, magar bilaakhir tang aa ker aap sey kah deti hain keh unka tuitor unhein kya parha raha hai... ab aap kya karein gi?

                              2) Hamarey muashrey mein buiyaan sar charh kar bol rahi hain aur yahan tak keh ja'ali peeron ney bhi intihaa kar di hai. Hamarey haan ajab reet ban chuki hai keh ham Allah Tala ki zaat per bharosa rakhney ki bjaey peeri-faqeeri mein ziyada parrey huwey hain. Aap ki aik aziz kisi peer key jaal mein phans gaii hain. Woh ja'ali peer aap ki aziz key saath hawwas ka khail shuru kar deta hai - aap kya karein gi?
                              kia mujhay yeh kehnay ki ijazat hai kay yeh aik nehayat he jahilana tareeqa hai...??

                              jin say aap yeh sawal kar rahay haiN unhoN nay section bananay ki mukhalfat ki hai aur agar aqal-e-shareef istemal ki jaiy to yeh baat wazeh ho sakti hai kay unhoN nay is ki mukhalfat isi leay ki hai kay woh sar-e-aam aisi cheez discuss nahe karna chahteeN.

                              Dear Admin!!

                              aap aik section banaeay aur yeh sawalat wahaN ka access rakhnay waloN say kareay. :rose
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              • #45
                                Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                                .....................
                                hmmm... yeh baat humari mom ne hum se kahi thi... Red light area ke baare mei

                                "unho ne hume sumjhaya tha ke yeh kya hai?? or yahan kya hota hai?? phir kaha tha ke ek waqt woh tha jub aisi baatein parents baccho se nahi karte the ke kahein woh bigar na jaaye or ek waqt yeh hai ke hum aap ko yeh sub is liye batana chahte hain ke kahein aap pata na hone ki wajah se bigar na jao..."

                                humari mom ek waqt tak chote baccho ke liye cartoons waale Artcals apne haatho se likhti thi... jo is issue per the... woh chahti thi ke baccho ko pata ho un ke saath kuch ghalat tu nahi ho raha.... bauaht choti si koshish thi un ki... per kamyaab rahi kaafi had tak... yeh unho ne kisi award ke liye nahi kiya tha... bus ek bacchi ke saath howa hadsa dekh ker unho ne yeh kaam shoro kiya tha...

                                I work for an place jahan I and my coleagues deal with such kinda cases.... masoom bacchiyaan hoti hai woh... they just dont know ke un ke saath kya howa hai...

                                baat yahan sirf discuss karne ki nahi.. or na hi kisi ki buraiyon ko parde mein rakhne ki hai.. or na hi kisi ko sar e aam zaleel karne ki... baat hai ek unit banane ki.. kind of chain... jis mein aap aise logo ke khilaf ek step barhayen or unhe un ke ibrat naak maqam tak pohanchaye.... jub yahan GS hosakti hai.. Rishte ban sakte hain... sahi ghalat per behas hosakti hai.. tu isey ek burai ke khatme ke liye kyun use nahi kiya jaa sakta???

                                here... dint mean that ke haan humare is section se ya discussion se ya whatever yeh sub buriyon ke khatme hojayenge.. here it mean ke lets take a step ahead and make an unit... ager ek banda bhi aap ki awarenss ki wajah se apne ajaam ko pohanchta hai tu yeh ek sucessfull baat hogi... sirf discuss nahi karna... aap ke mulk mein aise issues ke khilaf kya law hai kitne log jaante hain aap mein se?? kaunsi dafaein lagti hai un per??? did anyone know that... kya steps lene hain ager aisa koi issue aap ke samne aaye tu?? jurm sirf ek ka hota hai or saza kisi or ko milti hai... jis ka jurm ho saza usi ko milni chahiye... or jub tak hum in issues per baat nahi kareinge tub tak hume pata kaise chalega ke humare mulk (India, Pakistan, USA, UAE etc etc) ka Qanoon aise logo ke liye kya kehta hai... aabi bhai un ki knowledge zabrdast hai... MashAllah... woh in issues per deen ko nazar mein rakh ker jub baat kareinge tu bauaht se concepts clear honge... humare pass zaraye hain tu faydah kyun na uthaya jaaye??

                                khud ke liye, apne haq ke liye tu her koi awaz utha hi leta hai.. dosro ke haq ke liye larna is a difficult task... burae kaam ko haath se roko.. haath se na rok sako tu zubaan se roko.. or phir bhi kuch na ho tu usey dil mein bura jaanu... per hum last stage per hi reh gaye hain... hum ek qadam or aage barh sakte hain..

                                aitraaz ager yeh hai ke alehda section na banaya jaaye... aitraaz ager yeh bhi hai ke mard w aurat ki tafreeq na ki jaaye... aitraaz ager yeh bhi hai openly discuss na kiya jaaye or jo jaisa chal raha hai chalne diya jaaye... tu jo munasib lage kijye... phir tu behas w mubahisa or her tarah ke country, game etc etc issues bhi discuss na hi ho tu accha hai... kyun ke un se bhi forum ko koi faydah nahi ho raha...sahi woh hota hai jo aap ko sahi lage or ghalat woh jo aap ko ghalat lage isi liye ikhtelaaf e raaye ka hona jaaiz hai...so hum her kisi ki soch ka ehtraam karte hain.... enough from my side...

                                khush rahein.. wasalam... :rose

                                Comment

                                Working...
                                X