Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap Ki Raey: Special Section.....

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aap Ki Raey: Special Section.....

    Assalamo allaikum dosto

    Mujhey Pegham key aik bohat moatbar member ney aik sawaal poochha hai. Magar us per koi bhi decision leney sey pehley main aap logon sey poochhna chahta hoon keh kya aap is key haq mein ho ya nahin?

    Unki tajveez hai keh Pegham per aik aisa section bnaya jaey, jis mein zindagi key talakh aur be'dard pehluoun per baat ki jaey. Jinhein ham English mein best "dark issues of life" key taur per kah saktey hain...

    Is mein bohat sarey aisey masaiil hain jin per aam bandah baat karna gawara nahin karta - jaisey child sexual abuse aur doosrey is tarha key issues...

    Yeh section private ho ga, yani is tak risaii sirf chand khaas members ki ho gi aur un ki jo aisey issues per baat karney ki istidaad rakhtey hain aur jo khud ko mard-o-zann sey nikaal ker aala satah per aa ker sirf masley ki had tak baat karna jantey hoon...

    kya kehtey hain aap???
    24
    Haan
    50.00%
    12
    Nahin
    50.00%
    12
    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

  • #2
    Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

    walaikum salam bro.

    voted for Haan!!
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

      walikum asalam!
      bilkul aisa aik section hona chahiye..kyun kay talkh pehlu bhi tu
      humari he zindagi ka hissa hain..jinhain hum discuss nahe karain
      gay tu aur koun karay ga!!

      Voted for "Haan"

      Comment

      • #4
        Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

        Voted for haan :)
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

          Walikum salam
          mera app sab se aik sawal hia ke asey so called dark issues kisi na kisi guhan ya sangin badkari ka natija hotey hian tu jab asey mozuat pe behs hogi tu un gunahon ka bhi parda fash hoga aur jahan tak meri naqis aqal kaam karti hia Islam hamin buraiyon pe parda dalney ka hukum deta hai na keh unko baqaida discuss karney ka...tu kia asey mozuaat pe discussion karna theek hoga.....aur kia hamarey discuss karney se asey masail ka koi hal nikal sakta hai?

          Comment

          • #6
            Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

            na bura suno na bura kaho na bura dekho na bura karo :embarasse voted for na

            agree with itsy
            Last edited by mano_billi; 21 June 2009, 23:06.

            Comment

            • #7
              Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

              Originally posted by Ibtesam View Post
              Walikum salam
              mera app sab se aik sawal hia ke asey so called dark issues kisi na kisi guhan ya sangin badkari ka natija hotey hian tu jab asey mozuat pe behs hogi tu un gunahon ka bhi parda fash hoga aur jahan tak meri naqis aqal kaam karti hia Islam hamin buraiyon pe parda dalney ka hukum deta hai na keh unko baqaida discuss karney ka...tu kia asey mozuaat pe discussion karna theek hoga.....aur kia hamarey discuss karney se asey masail ka koi hal nikal sakta hai?
              Ibtesam i agree with you .. see depend kerta hai k aik healthy discussion hai ya nahi ... agar healthy discussion hai tau seriously i would never mind...ham log itney mature hein k kisi bhi issue pe baat ker saktey hein even open forum pe bhi ...

              lekin due to certain reasons agar kuch members aik alag sec. chahtey hien jahan wo aeysey issues discuss ker sakein tau phir there is nothing wrong in it nahi??
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                Originally posted by Ibtesam View Post
                Walikum salam
                mera app sab se aik sawal hia ke asey so called dark issues kisi na kisi guhan ya sangin badkari ka natija hotey hian tu jab asey mozuat pe behs hogi tu un gunahon ka bhi parda fash hoga aur jahan tak meri naqis aqal kaam karti hia Islam hamin buraiyon pe parda dalney ka hukum deta hai na keh unko baqaida discuss karney ka...tu kia asey mozuaat pe discussion karna theek hoga.....aur kia hamarey discuss karney se asey masail ka koi hal nikal sakta hai?

                AGREE :thmbup: mera bhi yehi khiyaal he.. aisa section NAHI hona chahiye. reason Ibtesaam ne bilkul thik bataya he.

                Comment

                • #9
                  Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                  [B]well ap log kis baat sy der rahain hain burai ko bynaakab kerny sy ya ayse kisi issue per baat kenry sy? aur jahan tak baat hain k kisi ki burai ko pehlana nhe cyae to ALLAH NY yhe b kaha hain k burai ko dekh ker khamosh rehny wala insan us k sy b zayda bura hota hain kia yeh ap log bhol rahy ho ya yeh bhol rahy ho k jeb tak kud is issue per baat nhe keron gy samjho gy nhe teb tak na kud seekho gy na doseron ko sekhaon gy ek lerka ya lerki ho k nhe just aur just insan ho ker baat kerain kisi ek burai per nhe belkay humrey gher mahol schools office her jaga her jaga per koi b buria hain us per baat kero usy dekho samjho k kia hain kiyon hain srif itna keh dayna k yeh buria gher ys shoro hoti ya baher sy yeh kafi nhe hain aur ek baat humasha main kehti hon k ALLAH tala nye yeh b fermya hain k burai ko roko hath sy nhe to zuban sy zuban sy nhe to dil main he bura jaan lo jo imaan ki seb sy kamzor tareen ilaamet hain to kia hum kamzor ho agye hain jo burai per baat neh kerty bus dil main bura jaan lo kiyon? jeb hum muhabat k baat ki baat ker sakty hain jeb hum poetry main feelings ka inzahr ker sakty hain jeb hum nafrat ka khe sakty hain to hum burai per bat kiyon nhe kerty????????????????? yahan per kisi khas insan ya family ya name ly ker to nhe kerna kuch ek ijtamai toor per baat kenr hain mashery main aur hergiz yeh metlub to neh k kisi k aaib ko byperda kia ja raha yeh to teb ho jeb mazak urahay jaye samjah na jaye ek baat ko discuss kerny sy samjhny sy hal nekalny sy kia burai phlay g ya kisi k aaib ki bynakabi ho g ?[/B]
                  ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                    dark issues k bajaye agar serious issues per baat ki jaye to wo ziada behter hoga... mere raaye me zindagi k musbat pehlowon per nazar rakh kar unsey behter natayej akhaz karna or unhen kaam me lana ziada mufeed hia bajaye dark issues ko zer-e-behs lana...

                    agar muashrey me behteri ki khahish hai to us k liye ham amli tor per aisi buraion sey bach kar or un ka tadaruk kar k ziada achey tareeqey se contribute kar saktey hain...

                    Comment

                    • #11
                      Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                      Assalamualikum ,

                      meri nakhis raye kitni ahmiyath ki hamil hai nahi pata likin itna kahsakti hoon .... Pegham seekho aur sikhao hai .toh yeh usi manzil ki taraf gamzan rahe jahan insaan ki har lihaaz ta'ameer ho . na ke taqreeb.....wo section chand members ke liye rahe ya sab ke liye likin Pegham ka yeh Mayaar qaem nahi rahsake ga .....

                      Vote For No

                      Comment

                      • #12
                        Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                        :clap::clap: byshuk bohat he khubsort baat kahi ap nay per kia yeh discussion burai ko phlnay k liya ki jaye g mera kiyal hain k nhe burai ko dekh ker khamopsh rehna b to burai haon aur kisi ki zaat ko issue nhe banya ja raha hain to pher kia mesla hain me ko samjh nhe rahi burai teb ho g jeb roka ya samjha nhe jaye ga????????? burai ko
                        ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                          Originally posted by Darwaish View Post
                          dark issues k bajaye agar serious issues per baat ki jaye to wo ziada behter hoga... mere raaye me zindagi k musbat pehlowon per nazar rakh kar unsey behter natayej akhaz karna or unhen kaam me lana ziada mufeed hia bajaye dark issues ko zer-e-behs lana...

                          agar muashrey me behteri ki khahish hai to us k liye ham amli tor per aisi buraion sey bach kar or un ka tadaruk kar k ziada achey tareeqey se contribute kar saktey hain...
                          agree :thmbup: bilkul thik kaha aapne..

                          Comment

                          • #14

                            :thmbup:
                            Originally posted by zoniash View Post
                            :clap::clap: byshuk bohat he khubsort baat kahi ap nay per kia yeh discussion burai ko phlnay k liya ki jaye g mera kiyal hain k nhe burai ko dekh ker khamopsh rehna b to burai haon aur kisi ki zaat ko issue nhe banya ja raha hain to pher kia mesla hain me ko samjh nhe rahi burai teb ho g jeb roka ya samjha nhe jaye ga????????? burai ko
                            zoniash hum app main bahut se log asey hian jo abhi un buraiyon se waqif nia ke jo hamarey muashrey main hian ya jo hamarey offices main hoti hain ya jo skols main hain ya jo raat ke andheron main hojati hain app jab yahan discuss karingi tu obviously wo baat khulegi aur jis kisi ko nai pata hoga usske zehen main bhi ya baat ajaey gi
                            aur wo jo kehtey hian na "ignorance is blessing" wo iss lein kehtey hain ke jab tak apko kisi burai ya kisi buri possibility ka pata nai hota apka zehen uss ke barey main nai sochta magar jab apko aik baat pata chal jaey aur app ussi tarhan ki situation main jatey hain tu zehn ussi buri baat ya burai ke barey main zarour sochta hai
                            aur mere sawal ka jawab abhi tak nai diya apney...kia pg pe discuss kareny se un dark issues ka koi solution nikal sakta hai ya solution na bhi ho mujhey serf aik faida bata dein ke inn issues ko discuss kar ke kia hasil hoga

                            Comment

                            • #15
                              Re: Aap Ki Raey: Special Section.....

                              Originally posted by zoniash View Post
                              [B]well ap log kis baat sy der rahain hain burai ko bynaakab kerny sy ya ayse kisi issue per baat kenry sy? aur jahan tak baat hain k kisi ki burai ko pehlana nhe cyae to ALLAH NY yhe b kaha hain k burai ko dekh ker khamosh rehny wala insan us k sy b zayda bura hota hain kia yeh ap log bhol rahy ho ya yeh bhol rahy ho k jeb tak kud is issue per baat nhe keron gy samjho gy nhe teb tak na kud seekho gy na doseron ko sekhaon gy ek lerka ya lerki ho k nhe just aur just insan ho ker baat kerain kisi ek burai per nhe belkay humrey gher mahol schools office her jaga her jaga per koi b buria hain us per baat kero usy dekho samjho k kia hain kiyon hain srif itna keh dayna k yeh buria gher ys shoro hoti ya baher sy yeh kafi nhe hain aur ek baat humasha main kehti hon k ALLAH tala nye yeh b fermya hain k burai ko roko hath sy nhe to zuban sy zuban sy nhe to dil main he bura jaan lo jo imaan ki seb sy kamzor tareen ilaamet hain to kia hum kamzor ho agye hain jo burai per baat neh kerty bus dil main bura jaan lo kiyon? jeb hum muhabat k baat ki baat ker sakty hain jeb hum poetry main feelings ka inzahr ker sakty hain jeb hum nafrat ka khe sakty hain to hum burai per bat kiyon nhe kerty????????????????? yahan per kisi khas insan ya family ya name ly ker to nhe kerna kuch ek ijtamai toor per baat kenr hain mashery main aur hergiz yeh metlub to neh k kisi k aaib ko byperda kia ja raha yeh to teb ho jeb mazak urahay jaye samjah na jaye ek baat ko discuss kerny sy samjhny sy hal nekalny sy kia burai phlay g ya kisi k aaib ki bynakabi ho g ?[/B]
                              burai ko sab se pehley haath se rukney ke lein hukum hua hai ...yahan aik closed section main discuss kar ke app burai ko zaban se bhi nia rok rahey app serf aik mozu le rahey hian behes karney ka aur buraiyon ko talash kar ke unko rokne ka hukum kahin nai hai haan albata buraion pe parda dalney ka hukum zarour hai bajaey kisi buri cheez ko discuss karney ke app log zindagi ke asal magsad ko discuss kiun nai kartey
                              aur poetry main jo feeling bayan ki jati hain kis ne kaha ke sahi hian aur shairi ki kitni percent feeling sachi hoti hian mujhey ye bhi bata dein kon kehta hia muhabbat khuley aam karney ko
                              pg ke aik closed section main discussion karney se ap kisi burai ko kitna rok sakingi? aur serf chand muthi bhar logon ke samajhney se kia faida hasil hoga muashrey ko? ap aik inferadi jurm ya burai ko ijtemai tor pe discuss karingi aur app kehti hain ke ye burai ko phelana nai hai
                              kisi ka mazaq urana benaqabi nai hota...kisi ka ghalat kaam discuss karna hi asal benaqabi hota hai

                              Comment

                              Working...
                              X