Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~KirDaaR~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: ~*~KirDaaR~*~

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Wa Alaikum Aslam,

    In questions ke answers to understood he hein, lekin ager phir bhi inhein alfaaz mein dhaalna he to mein yeh kahon ga.

    1- kirdaar yani charactor yani trait insaan ki bohat saari sifaat / hasoosiyat ka majmoo'aa hota he.
    2- Kirdaar ki tashkeel, ya kirdaar saazi ke liye bohat say awamal asar andaaz hotay hein. Is mein aap ki surroundings bohat aham kirdaar ada kerte hein. Ghar aur school ka mahool aur wahan se hasil honay wali terbiyat, Shaoor, human genetics, social & ethical values insaan ki kirdaar saazi mein aham kirdaar ada kerti hein.
    3- Kirdaar ki takmeel mere nazdeek kabi nahi ho pati, hameesha is mein behtari ki gunjaish baki rehti he.
    4- Insan ka insaan se taaluq bananay mein insaan ka kirdaar he sub se ziada ahmiyat ka hamil hota he. Kirdaar ko yahan amal se tashkeel doon ga, kirdaar ko mein yahan amal se tashbeeh doon ga ke

    Amal se zindagi banti he janat bhi jahanam bhi
    yeh khaki apni kismat mein na noori he na nari he

    thinki
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment


    • #32
      Re: ~*~KirDaaR~*~

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      tum trait ke spelling ghalat likh ker muj se wazahatein maango gi ub, kia yeh din dekhna baki reh gaya tha

      spelling appnay ghalat likhi hai trait ka matlab hota hai Imtiazi Rung
      aur tret ka matlab kirdar

      Comment


      • #33
        Re: ~*~KirDaaR~*~

        Originally posted by MuQadas View Post
        spelling appnay ghalat likhi hai trait ka matlab hota hai Imtiazi Rung
        aur tret ka matlab kirdar
        372-haha
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #34
          Re: ~*~KirDaaR~*~

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Wa Alaikum Aslam,


          Amal se zindagi banti he janat bhi jahanam bhi
          yeh khaki apni kismat mein na noori he na nari he

          aur she,r b bohat achaa hai.....///
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment


          • #35
            Re: ~*~KirDaaR~*~

            Originally posted by saraah View Post
            372-haha
            kai how
            :donno:

            Comment


            • #36
              Re: ~*~KirDaaR~*~

              Originally posted by MuQadas View Post
              Behavior, Tret ,Character, Role ,Delineator
              har insna ka moashray main koi na koi kirdar zaror hota hai acha ya bura
              kirdar ki takmeel panay say kia murad hai kia acha kirdar kaysya takmeel pata hai yeh pochna hai appko :donno:
              haan yehi samjh lein k acha kirdaar kese takmeel pata he?:mm:

              Comment


              • #37
                Re: ~*~KirDaaR~*~

                Originally posted by senorita View Post
                haan yehi samjh lein k acha kirdaar kese takmeel pata he?:mm:
                chalo main to samajh lon ge baqi sab kaysay samjhain gay apnay sawal main add karain:khi:

                Comment


                • #38
                  Re: ~*~KirDaaR~*~

                  rita me ne aap se poocha athaa....shaksiat aur kirdaar me kya faraq hai.......kya koi faraq hai???
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • #39
                    Re: ~*~KirDaaR~*~

                    Originally posted by saraah View Post
                    rita me ne aap se poocha athaa....shaksiat aur kirdaar me kya faraq hai.......kya koi faraq hai???
                    shaksiyat k peeche kirdaar hota he...acha ho ya bura

                    Comment


                    • #40
                      Re: ~*~KirDaaR~*~

                      Behavior, character aur personality yeh insaan ke levels hain...

                      jaise ke communication skills rakhna, influence strategies,aur positive thinking rakhna essential hain kamiyaabi ki.

                      aur issi tarah aik shakhsiyaat banane kai liye meri nazar me 3 chiezou ki zaroorat hoti hai.

                      1. Maturity

                      2. Integrity- saab ko "same" treat kerna ..... conforming reality to our words ! apne wadou aur Baatou per poora utarna...Being loyal to those jo present naa hou.

                      3. Abundance Mentality - aik Gheri soch rakhna...
                      Last edited by *Samra*; 2 March 2009, 17:29.

                      Comment


                      • #41
                        Re: ~*~KirDaaR~*~

                        Originally posted by senorita View Post
                        shaksiyat k peeche kirdaar hota he...acha ho ya bura
                        ok.....rita kirdar ki tashkil...takmeel e zaat se hoti hai..aur takmeel e zaat zindagi ka ek barra maqsad hai....shyd sab s ebarra maqsad......
                        iss ka matbaadil khud aagaahi hai....yani self realization.....apni mumkina khwaabeda salaheeton ko bharpoor tareeqay se ujaagar krna tehqeeq e zaat hai......kya khyaal hai.....:mm:
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment


                        • #42
                          Re: ~*~KirDaaR~*~

                          nice topic. bad main replay karta hoon......
                          ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                          Comment


                          • #43
                            Re: ~*~KirDaaR~*~

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Amal se zindagi banti he janat bhi jahanam bhi
                            yeh khaki apni kismat mein na noori he na nari he
                            کیوں حضرت اقبال علیہ رحمہ کی روح کو ٹرپاتے ہو ۔ ۔ ۔

                            عمل سے زندگی بنتی ہے جنت بھی جہنم بھی
                            یہ خاکی اپنی فطرت میں نہ نوری ہے نہ ناری ہے
                            Originally posted by saraah View Post
                            aur she,r b bohat achaa hai.....///
                            u nay bhi theek naheen kiya shar ko
                            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                            Comment


                            • #44
                              Re: ~*~KirDaaR~*~

                              Originally posted by Samra_Khan View Post
                              Behavior, character aur personality yeh insaan ke levels hain...

                              jaise ke communication skills rakhna, influence strategies,aur positive thinking rakhna essential hain kamiyaabi ki.

                              aur issi tarah aik shakhsiyaat banane kai liye meri nazar me 3 chiezou ki zaroorat hoti hai.

                              1. Maturity

                              2. Integrity- saab ko "same" treat kerna ..... conforming reality to our words ! apne wadou aur Baatou per poora utarna...Being loyal to those jo present naa hou.

                              3. Abundance Mentality - aik Gheri soch rakhna...
                              hhhhmmmm right:thmbup:

                              Comment


                              • #45
                                Re: ~*~KirDaaR~*~

                                Originally posted by MuQadas View Post
                                chalo main to samajh lon ge baqi sab kaysay samjhain gay apnay sawal main add karain:khi:
                                samjh jaen ge...jese jese hamari baat agey chale gi to samjh jaen ge:)

                                Comment

                                Working...
                                X