Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~KirDaaR~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~KirDaaR~*~

    Aslamoalikum:salam:
    kuch sawalaat le kar phir ap ko tang karne aei hon:embarasseis dafa me Kirdaark hawale se ap se poochna chahun gi...

    1.Kirdaar kia hota he?
    2.is ki kese tashkeel hoti he?
    3.ye kese takmeel pata he?
    4.insan ka jab insan se taluk banta he to is me kirdaar ki kia ehmeyat he?

    filhal in k jawab mil gaey to mazeed sawal karun gi.....:)


  • #2
    Re: ~*~KirDaaR~*~


    yeh me ne jo seekha us ke hisab se tha..... aage or bhi jawab tu aayenge hi... let see sub ke kya reply aate hain.... :embarasse

    Comment


    • #3
      Re: ~*~KirDaaR~*~

      Originally posted by ummid View Post
      Waalikumasalam… khush raho…:rose
      Me ne kahein parha tha or me ke ustad ne bhi batai thi yeh baatein… shohrat or kirdar ka farq…. Shohrat who hoti hai jub log aapis mein tumhara ziker kare.. or
      • Kirdar who hota hai jub Allah ke farishte tumhaari Misaal de…
      • Is ki tashkeel “tawqal tu Allilah” se hoti hai..
      • Yeh Takmeel “Allah ki raza mein raazi hone per pata hai…
      • Or Insaan ka jub Insaan se taluk banta he tu is kirdar ki ehmyat yeh hoti hai ke “jub do log Allah ke liye milte hain” tu Allah unhe Mehboob rakhta hai…
      yeh me ne jo seekha us ke hisab se tha..... aage or bhi jawab tu aayenge hi... let see sub ke kya reply aate hain.... :embarasse
      thanx 4 ur reply ummid:)
      dekte hen baki members is bare me kia kehte hen....phir mazeed baat karen ge

      Comment


      • #4
        Re: ~*~KirDaaR~*~

        rita barra mushkil swaal le k aayi ho.........372-scare
        krtay hain kuch.....:mm:
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #5
          Re: ~*~KirDaaR~*~

          Originally posted by saraah View Post
          rita barra mushkil swaal le k aayi ho.........372-scare
          krtay hain kuch.....:mm:
          itna mushkil nahi he:embarasse

          Comment


          • #6
            Re: ~*~KirDaaR~*~

            Originally posted by senorita View Post
            itna mushkil nahi he:embarasse
            phir tumain iska jawaab aata hoga.........
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #7
              Re: ~*~KirDaaR~*~

              Originally posted by saraah View Post
              phir tumain iska jawaab aata hoga.........
              ata hota to poochti kion?:embarasse
              mera matlab ye tha k koi bhi baat mushkil nahi hoti....koshish karo to jawab mil sakta he372-scare

              Comment


              • #8
                Re: ~*~KirDaaR~*~

                Originally posted by senorita View Post
                ata hota to poochti kion?:embarasse
                mera matlab ye tha k koi bhi baat mushkil nahi hoti....koshish karo to jawab mil sakta he372-scare
                achaa achaa me dhoondh rahi hoon........///
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~KirDaaR~*~

                  Originally posted by saraah View Post
                  achaa achaa me dhoondh rahi hoon........///
                  me waiting

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~KirDaaR~*~

                    hmmmm i think .... :mm:personality kay sub aspects jese appearance, social habbits, psychological reactins, living, dressing. talking, behaves, aur even thinking, ko agar log pasand karein tu samjh lain yeh shaks achay kirdaar ka maalik hai........ :lpop:
                    :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~KirDaaR~*~

                      Originally posted by ummid View Post

                      yeh me ne jo seekha us ke hisab se tha..... aage or bhi jawab tu aayenge hi... let see sub ke kya reply aate hain.... :embarasse
                      aap ki es thread se islam se muhabbat ki jhalak zaroor nazar aati hai....... lakin islam se agar hat kar baat karein tu kirdaar vo nahi jo aap nay bataya.... agar kirdaar sirf vo hai jo farishtey misaal dain tu es duniya mein bahut kam log hoongay jin ka kirdaar hai............. barhaal mein aap se etefaak nahi karta aur islam mein kirdaar ki mukhtalif defination hai jis ko aap nay abhi touch bhi nahi kiya................ :lpop:
                      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~KirDaaR~*~

                        Originally posted by senorita View Post
                        me waiting
                        rita kahan ho aap....
                        aao zra mil kr discussion krennn.....

                        achaaa ek baat batao k shakhsiat aur kirdar me kya faraq hai.....:mm:
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~KirDaaR~*~

                          Originally posted by saraah View Post
                          rita kahan ho aap....
                          aao zra mil kr discussion krennn.....

                          achaaa ek baat batao k shakhsiat aur kirdar me kya faraq hai.....:mm:
                          personality outward behaviour ki khasosiyat hai yaa yeh kahin ka personality insaan ka visible pehloo hota hai......jab kay kirdaar inward behaviour ki khasosiyat hai.......... jo aksar insaan kay moral aur ethical pehloo se taluk rahkta hai..... however, i am still confuse...... :mm:

                          :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~KirDaaR~*~

                            Originally posted by rehman View Post
                            hmmmm i think .... :mm:personality kay sub aspects jese appearance, social habbits, psychological reactins, living, dressing. talking, behaves, aur even thinking, ko agar log pasand karein tu samjh lain yeh shaks achay kirdaar ka maalik hai........ :lpop:
                            Originally posted by rehman View Post
                            personality outward behaviour ki khasosiyat hai yaa yeh kahin ka personality insaan ka visible pehloo hota hai......jab kay kirdaar inward behaviour ki khasosiyat hai.......... jo aksar insaan kay moral aur ethical pehloo se taluk rahkta hai..... however, i am still confuse...... :mm:
                            oopar jo saari cheezian aap ne personality k ''sab aspects'' kaha hai......wo mil k kirdar banati hain.....aap k mutabiq

                            2nd post me aap keh rahay ho...personailty zaahir hai....aur kirdaar baatin.....hmmmm.....:mm:
                            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*~KirDaaR~*~

                              Originally posted by rehman View Post
                              aap ki es thread se islam se muhabbat ki jhalak zaroor nazar aati hai....... lakin islam se agar hat kar baat karein tu kirdaar vo nahi jo aap nay bataya.... agar kirdaar sirf vo hai jo farishtey misaal dain tu es duniya mein bahut kam log hoongay jin ka kirdaar hai............. barhaal mein aap se etefaak nahi karta aur islam mein kirdaar ki mukhtalif defination hai jis ko aap nay abhi touch bhi nahi kiya................ :lpop:
                              tu me ne kub kaha ke aap me se itefaaq karein.... :lpop:...
                              aap apni khud ki raaye de dijye... me ki knowledge mein bhi izafa hojana hai.... :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X