Re: NaSeehat
Zahir hai hadees k samny waqye ki koi ahmiat nahi (iss say kisse ku inkar bhi nahi)....lykin dear! aap hadees ka sahi mafhoom nahi samjhay....iss ka matlab yeh hai k kisse ku forran yeh nahi keh daina chahye k tum naseehat na karo pehlay amal karo.....lykin zahir hai naseehat kernay walay ku bhi tu apna tarze amal change kerna chahye..ye tu nahi k dosoroon ku naseehat kerta phiray aur apany aap ku theek na karay..Prophet Muhammad (s.w) ki tableegh say iss liye hi tu bari tadad main loogoon nay aik bohut qaleel arsay main islam qabool kia..k aap (s.w) nay sab say pehlay khood loogon ku amalee namona ban k dekhaya.
Originally posted by nomi sialkoti
View Post
Comment