Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Vat do u think about wedding?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Vat do u think about wedding?

    Assalam-o-Alikum every1!!

    Aj kal wedding season chal raha hai,jahan dekho shadian ho rahi hain,Eid ke baad wasse bhi season start ho jata hai na....:)

    Mera ik aam sa sawal hai per shaid buhat important sawal bhi hai...ke...

    Ap shadi ke baare main kia sochte hain?
    shadi kerna hamare MAZHAB main hum per farz hai...

    per ap ka kia khiyaal hai shaddi kerni chahiye ya nahin?

    Kia shaadi ke baad zindagi main accha change ata hai ya nahin?

    i think this thread is mostly related 2 the married couples...wase ap bachlers bhi reply ker sakte hain apni soch n observation ke mutaabiq:D:

    Kia ap mai se koi aisa hai jo shadi k against ho?
    ager hai to plz do reply n tell us the xact reason.

    KHUSH RAHIYYE

  • #2
    Re: Vat do u think about wedding?

    W salaam


    Ji baarish aap nien ek bahoot umdeh sawaal kiyaa hai :thmbup: shaadi humaare muzhab mien farz qaraar di gayi hai isliye isske against jaanaa mazheb ke against jaanaa hogaa , khair shaadi bahooot achchi nemat hai ab yeh alag baat hai ke shaadiyaan kitni qaamyaab hooti hai aur yeh sab bahoot hud tak auratoon per munhasir hai ke wo apni iss nayi zindagi ko kaise qamyaab banaati hain :) main auaratoon kaa zikr isliye ker rahaa ke ek larki apnien baabul kaa ghar chhoor ek anjaan jageh jaati hai to saare adjustment usse hi kernien perte hain kam az kam wo 20/21 saal ek jageh reh ker phir doosri jageh jaati hai to usse her cheez nayi lagti hai shuru shuru mien use paraayaa pan bhi mehsoos hootaa hai lekin yeh paraayaa pan sirf chand dinoon ka hai thoore din guzernien ke baad sab normal ho jaataa hai :) to main to kam az kam shadi ke khilaaf nahin hun Mashaah Allaah se im married n having 3kids :lpop:
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: Vat do u think about wedding?

      hamara mazhab aik fitri mazhab he or us ke mutabik shadi farz he jo ke ain insani fitrat ot zarurat he is leay shadi karni chaey or ache tareeke se nibhani bhi chaey.wese bhi kehte hen ke ye shadi wo ladoo hen jo khaey wo bhi pachtaey or jo na khaey wo bhi pachtaey:D: to jab pachata hi he to phir kha kar kiun na pachtaen:wk :lol

      Comment


      • #4
        Re: Vat do u think about wedding?

        Originally posted by khurram_shaikh
        W salaam


        Ji baarish aap nien ek bahoot umdeh sawaal kiyaa hai :thmbup: shaadi humaare muzhab mien farz qaraar di gayi hai isliye isske against jaanaa mazheb ke against jaanaa hogaa , khair shaadi bahooot achchi nemat hai ab yeh alag baat hai ke shaadiyaan kitni qaamyaab hooti hai aur yeh sab bahoot hud tak auratoon per munhasir hai ke wo apni iss nayi zindagi ko kaise qamyaab banaati hain :) main auaratoon kaa zikr isliye ker rahaa ke ek larki apnien baabul kaa ghar chhoor ek anjaan jageh jaati hai to saare adjustment usse hi kernien perte hain kam az kam wo 20/21 saal ek jageh reh ker phir doosri jageh jaati hai to usse her cheez nayi lagti hai shuru shuru mien use paraayaa pan bhi mehsoos hootaa hai lekin yeh paraayaa pan sirf chand dinoon ka hai thoore din guzernien ke baad sab normal ho jaataa hai :) to main to kam az kam shadi ke khilaaf nahin hun Mashaah Allaah se im married n having 3kids :lpop:
        Mazhab ke lihaaz se apne bilkuul theek kaha bhai!
        ji bilkuul i agree 95% lerki per depend kerta hai or taqreeban 5% lerke per .......lakin ageer lerka wo 5% bhi naa nibha pai...ager woo rude ho,careless ho,loviing bhi nahi ho to lerki buhat zoor se toot jaati hai na?
        husbands ko bhi thora loving n caring hona chahiye jaab ke mere khiyaal main lerkon main ye qualities fitri tor per buhat kaam hoti hain ?

        Nice 2 know that u r married n quite very happy:) :masha :clap:

        Comment


        • #5
          Re: Vat do u think about wedding?

          Originally posted by shy
          hamara mazhab aik fitri mazhab he or us ke mutabik shadi farz he jo ke ain insani fitrat ot zarurat he is leay shadi karni chaey or ache tareeke se nibhani bhi chaey.wese bhi kehte hen ke ye shadi wo ladoo hen jo khaey wo bhi pachtaey or jo na khaey wo bhi pachtaey:D: to jab pachata hi he to phir kha kar kiun na pachtaen:wk :lol
          Buhat shukerya 4 ur kind comments sister....
          per after marriage apko apni poori life ik person ke sath guzarni hoti hai,ager apki or uski understanding na ho to babies per bhi buhat buraa asaar parta hai,or rooz rooz ki larayon se zindagii kitni mushkil bhi hoo jaati hai....talking about those who are not successful after marriage...

          Lerki ko her tarah se compromize kerna chahiye,per lerke ko bhi thora loving or caring hoona chahiye......warna lerkion ke dil buhaat naazuk hote hain woo baare araam se toot bhii jaate hain or toote hoe dil main phir zindagii ki aas bhi khatam hoo jaati hai.....

          Comment


          • #6
            Re: Vat do u think about wedding?

            Shadi bilkul karni chaye.......par pata nai meri kab ho gi :p
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: Vat do u think about wedding?

              I am glad to see such nice topic being discussed here
              Originally posted by Barish
              Aj kal wedding season chal raha hai,jahan dekho shadian ho rahi hain,Eid ke baad wasse bhi season start ho jata hai na....
              Haan ji shadiyon ka season bhi cricket season ki tarha hota hai, jab aata hai khoob hangama hota hai :lol

              Originally posted by Barish
              Ap shadi ke baare main kia sochte hain?
              shadi kerna hamare MAZHAB main hum per farz hai...
              per ap ka kia khiyaal hai shaddi kerni chahiye ya nahin?
              Sab sey pehli baat yeh sochni chahiye keh Islam mein nikah ko ahmiyyat kyun di jati hai. Hazrat Aadam AS ki pedaish key baad jab woh jannat mein rehney laggey to unhi fitri tor per "kisi cheez" ki kami rehti thi. Aik "bechaini" thi unhein, kon si bechaini yeh to woh bhi nahin jaantey they. Magar Allah Tabarak-o-Tala ney nasl-e-insaani ko aagey bharhaney ka iradah kar rakha tha aur uski zaat ko yeh bhi ilm tha keh aisa kaisey mumkin hai. Yeh aik aurat aur mard key bghair mumkin nahin, mard ki tashkeel to ho gaee, magar aurat ki tashkeel abhi baqi thi. Yehi woh "bechaini" thi jo Aadam key dil mein rehti thi keh "koi ho". Phir jab unki talab bharhi to Allah Tala ney unki pasli sey hazrat Hawa ko pedah kar key unkey samney laa kharra kiya. Apni jins sey mutzaad jins dekh kar Aadam hairan bhi huwey aur khush bhi. To Allah Tala ney unka nikah baandha key bghair nikah key aurat ki sohbat haram hai. Yeh woh buniyadi qaeedah hai hamarey mazhab ka jahan halaal aur haram per bohat tawajoh di gaee hai, aurat bhi halaala hai magar siraf woh jinki sey nikah huwa ho.

              Ab insaan insaan hai! Aap issey hawas kah lein, lalach kah lein, fitrat kah lein ya koi bhi naam dein lein - aurat ki kashish apni jaggah mustahkam hai! Lekin Mazhab ney yahan per hamein raastah dikhaya hai keh jab larki aur larka baligh ho jaein to inka nikah kar do. Is liye keh haram kaam na kiya jaa sakey. Haramzadgi gunah hai aur hamara mazhab hamein inhi baton sey bachata hai aur isi liye nikah (shadi) karna ham per farz hai. Merey nazdeek yeh hukm-e-khuda wandi hai jis sey ham inkaar nahin kar saktey. To haan, shadi karna hamari ibadat ka aik hissah hai.


              Originally posted by Barish
              Kia shaadi ke baad zindagi main accha change ata hai ya nahin?
              It's difficult to say! Very difficult!
              Aik haqeeqat hai keh jo cheez mil jaey uski qadar kho jati hai. Shadi har koi karna chahta hai magar phir zehni tor per ussey poora karney key liye tayyar bhi rehna chahiye. Jo zahiri change hai woh to sab key samney hai, pehley aap akeley they, ab kisi key saath wabasta hain, pehley sochon ka mehwar aur tha ab un mein koi doosra bhi shamil hai. Pehley tanhaee ka andaaz aur tha ab woh andaaz nahin. Pehley timing aur thin ab change hain, pehley doston, saheliyon ki mehfilon ki ronaq aur thi, ab families mein uthna baithna hai to zahir ki change hai. Magar sab sey bada sawaal yahan per yeh hai keh kya aap is change mein khush bhi hain??? Kya yeh change sakoon laya hai??? Kya aap is change sey nibah kar saktey hain??? Yeh elahda baat hai!

              Originally posted by Barish
              Kia ap mai se koi aisa hai jo shadi k against ho?
              Hain kuchh log hain. Khasoosan larkiyon ki soch aur hoti hai. Aur unki is soch mein bohat sey pehloo hotey hain. Waldein sey doori, behan'bhaiyon ko chhorna, kisi 'mard' ko apna aap dena jo bohat si larkiyon key liye accept karna mushkil hota hai....
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Vat do u think about wedding?

                Assalam-o-Alikum WR WB

                AIk to Mazrat ky late dekhi ya post .... well sawal ya nehayt hi umda hay ... aur ya wo sawal hay jo her periods main New ka New hi rhta hy ...

                Originally Posted by Barish
                Ap shadi ke baare main kia sochte hain?
                shadi kerna hamare MAZHAB main hum per farz hai...
                per ap ka kia khiyaal hai shaddi kerni chahiye ya nahin?

                By Islam ... Shadi aik to Sunaty Rasool hay dosra ya hy ky bhot si buriyo ka bachna ka sab sey ahim aur acha pahlu hy ........ Masood nay to bhot hi umda tareeky sey is malay per roshni daal di hy .. mazeed un hi ki baat ko barhaty hui yahi kho .. ky aik Mard ko Allah pak ny her cheez sey nawaza hay ... jsi main aik hisa khuish bhi hy ... khuish chay jasi bhi ho ... akyly zindagee guzrna aik nehyat hi mushkil pahlo hy ... per baz hazart asy bhi hay is dunya main jin ky liya in ki koi ahmiyat nahi hy .... Allah pak ny ya Adam per aik trha sey bhot acha ahsaan kya hay ky wo burai ky rasty per dakhil na ho aur hamray Mazhab nay us ki Tareef byan ki hy Nikha ki surat main ... aik mard aur aik aurat ka milan chay wo zahni ho ya jismani ho us per aik parda rakha hay .. aur us parday ko girnay ky liya Allah Pak aur hamary Mazhab islam ny aik acha aur munfarid rasta byan kya hay jo ky Nikha hy ...

                Nikha sey pahly hamri sari khuishaat Haram kar di jati hy per Nikha ky baat whi khuishat aik Ibadat ka roop lyti hy .

                Quote:
                Originally Posted by Barish
                Kia shaadi ke baad zindagi main accha change ata hai ya nahin

                Agr Shadi Islam ky zabat khyal rakh kar ki jay to us main barkat ati hy .... is main koi shak nhi hy ky bhot si shadiay asi ho jati hy jo Nakam bhi sabit ho ti hy ... per un ki wajoohat agr aap islam per thop dey to wo ghalt hy ... isi liya Allah Pak ny Aurat ki kabooliyat ka haq diya hay ... agr do fareek Allah ko hazir nazir jaan kar Nikha main bandh jatay hy to Allah Pak bhi un ki zindagee ko asan aur bahter bana deyta hay ... kai log aap ko is dunya main asy nazar ay gy jin ki zindagee shadi sey pahly bilkul bayrang ho ti hay ... dukho aur mushkilat ka smana ho ta hy per Nikha ky baad bhot sey asy masail khtam ho jaty hay khud bakhud Allah pak ki traf sey muhbat barh jati hy bass shart ya ky Nikha dono fareeko ki marzi sey ho , agr koi aik fareek bhi kamzoor hay to zindagee bhot hi mushkilat main aajti hy


                Originally Posted by Barish
                Kia ap mai se koi aisa hai jo shadi k against ho?

                Hotay hy asy log is jhaan main jo shadi ky khlaf ho tay hy .... meri nazar main ya un ky ander ILM ki kami ki waja sey ho ta hay .... ilm ya nhi ky Dr ho Ya Eng ho aik ilm insaan ka iman bhi ho ta hay . aik khuish bhi ho ti hy . meri nazar main jo log asi soch rakhty hy wo nehyat hi bahtkay hui hy

                FeamanAllah
                Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                Comment


                • #9
                  Re: Vat do u think about wedding?

                  Barish jii nice topic :thmbup:

                  bas mein itna kahana chahti hoon .......

                  Hazrat Mohammad (SAW) ni farmay haii

                  نکاح من سنتی فمن رغب عن سنی فلیس منی

                  Nekha karna sunt hai or jo bi ais si sarkashii karii woo meree Omat our din mein si nahi haii

                  aur baqii sab member nii buht haii umdeh replay dia haii :thmbup:
                  Last edited by *Hala*; 14 November 2005, 09:02.
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Vat do u think about wedding?

                    Originally posted by Adnan
                    Shadi bilkul karni chaye.......par pata nai meri kab ho gi :p
                    :cc: :lol ager apko shoq hai to hum apk liye DUA GOO hain k apki shadi ho jai jaldee se....:dua

                    Comment


                    • #11
                      Re: Vat do u think about wedding?

                      Originally posted by Masood
                      I am glad to see such nice topic being discussed here

                      Haan ji shadiyon ka season bhi cricket season ki tarha hota hai, jab aata hai khoob hangama hota hai :lol



                      Sab sey pehli baat yeh sochni chahiye keh Islam mein nikah ko ahmiyyat kyun di jati hai. Hazrat Aadam AS ki pedaish key baad jab woh jannat mein rehney laggey to unhi fitri tor per "kisi cheez" ki kami rehti thi. Aik "bechaini" thi unhein, kon si bechaini yeh to woh bhi nahin jaantey they. Magar Allah Tabarak-o-Tala ney nasl-e-insaani ko aagey bharhaney ka iradah kar rakha tha aur uski zaat ko yeh bhi ilm tha keh aisa kaisey mumkin hai. Yeh aik aurat aur mard key bghair mumkin nahin, mard ki tashkeel to ho gaee, magar aurat ki tashkeel abhi baqi thi. Yehi woh "bechaini" thi jo Aadam key dil mein rehti thi keh "koi ho". Phir jab unki talab bharhi to Allah Tala ney unki pasli sey hazrat Hawa ko pedah kar key unkey samney laa kharra kiya. Apni jins sey mutzaad jins dekh kar Aadam hairan bhi huwey aur khush bhi. To Allah Tala ney unka nikah baandha key bghair nikah key aurat ki sohbat haram hai. Yeh woh buniyadi qaeedah hai hamarey mazhab ka jahan halaal aur haram per bohat tawajoh di gaee hai, aurat bhi halaala hai magar siraf woh jinki sey nikah huwa ho.

                      Ab insaan insaan hai! Aap issey hawas kah lein, lalach kah lein, fitrat kah lein ya koi bhi naam dein lein - aurat ki kashish apni jaggah mustahkam hai! Lekin Mazhab ney yahan per hamein raastah dikhaya hai keh jab larki aur larka baligh ho jaein to inka nikah kar do. Is liye keh haram kaam na kiya jaa sakey. Haramzadgi gunah hai aur hamara mazhab hamein inhi baton sey bachata hai aur isi liye nikah (shadi) karna ham per farz hai. Merey nazdeek yeh hukm-e-khuda wandi hai jis sey ham inkaar nahin kar saktey. To haan, shadi karna hamari ibadat ka aik hissah hai.



                      It's difficult to say! Very difficult!
                      Aik haqeeqat hai keh jo cheez mil jaey uski qadar kho jati hai. Shadi har koi karna chahta hai magar phir zehni tor per ussey poora karney key liye tayyar bhi rehna chahiye. Jo zahiri change hai woh to sab key samney hai, pehley aap akeley they, ab kisi key saath wabasta hain, pehley sochon ka mehwar aur tha ab un mein koi doosra bhi shamil hai. Pehley tanhaee ka andaaz aur tha ab woh andaaz nahin. Pehley timing aur thin ab change hain, pehley doston, saheliyon ki mehfilon ki ronaq aur thi, ab families mein uthna baithna hai to zahir ki change hai. Magar sab sey bada sawaal yahan per yeh hai keh kya aap is change mein khush bhi hain??? Kya yeh change sakoon laya hai??? Kya aap is change sey nibah kar saktey hain??? Yeh elahda baat hai!


                      Hain kuchh log hain. Khasoosan larkiyon ki soch aur hoti hai. Aur unki is soch mein bohat sey pehloo hotey hain. Waldein sey doori, behan'bhaiyon ko chhorna, kisi 'mard' ko apna aap dena jo bohat si larkiyon key liye accept karna mushkil hota hai....
                      Buhat acchi discussion ki apne....really appreciated!!!
                      jo history apne batai,uska andaz buhat khoobsorat tha...apki baton se ye to zahiir hai k ISLAM ne isko kiyon or kese farq qarar dia...

                      per jo baat apne ki...k kiya ap in changes se KHUSH bhi hain?
                      yahii wo point hai jo basically is discussion ka maqsad hai....ager kissse ko b4 marriage laage ke wo is sab se shaid khush nahi reh sake ga....reason ye ho ke usse laage ke wo ik aisee insaan ke sath hi reh sakta hai joo loving or caring ho...perr usse ye khoof ho ke ageer wo loving or caaring nahii nikla to????

                      Main ne buhaat se lerkion ko dekha hai jo apnii shaadi k waqt buhat khush hooti hain or unhe dekh ker mujhe aksar buhaat herat bhi hoti hai

                      Anywaays lerkii ke dil main sab see aham khiyaal to yahii hai ke uska sensitive heart care orr love chahta hai...jo usse na mile to wahi sensitive heart toot ker bikhar jata hai shaid yahii wo darr hai jo buhat se lerkion ke dil se nahi jaata....

                      Thx 4 comments!
                      KHUSH RAHIYYE!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Vat do u think about wedding?

                        Originally posted by Bheegi-Palkain
                        Assalam-o-Alikum WR WB

                        AIk to Mazrat ky late dekhi ya post .... well sawal ya nehayt hi umda hay ... aur ya wo sawal hay jo her periods main New ka New hi rhta hy ...

                        Originally Posted by Barish
                        Ap shadi ke baare main kia sochte hain?
                        shadi kerna hamare MAZHAB main hum per farz hai...
                        per ap ka kia khiyaal hai shaddi kerni chahiye ya nahin?

                        By Islam ... Shadi aik to Sunaty Rasool hay dosra ya hy ky bhot si buriyo ka bachna ka sab sey ahim aur acha pahlu hy ........ Masood nay to bhot hi umda tareeky sey is malay per roshni daal di hy .. mazeed un hi ki baat ko barhaty hui yahi kho .. ky aik Mard ko Allah pak ny her cheez sey nawaza hay ... jsi main aik hisa khuish bhi hy ... khuish chay jasi bhi ho ... akyly zindagee guzrna aik nehyat hi mushkil pahlo hy ... per baz hazart asy bhi hay is dunya main jin ky liya in ki koi ahmiyat nahi hy .... Allah pak ny ya Adam per aik trha sey bhot acha ahsaan kya hay ky wo burai ky rasty per dakhil na ho aur hamray Mazhab nay us ki Tareef byan ki hy Nikha ki surat main ... aik mard aur aik aurat ka milan chay wo zahni ho ya jismani ho us per aik parda rakha hay .. aur us parday ko girnay ky liya Allah Pak aur hamary Mazhab islam ny aik acha aur munfarid rasta byan kya hay jo ky Nikha hy ...

                        Nikha sey pahly hamri sari khuishaat Haram kar di jati hy per Nikha ky baat whi khuishat aik Ibadat ka roop lyti hy .

                        Quote:
                        Originally Posted by Barish
                        Kia shaadi ke baad zindagi main accha change ata hai ya nahin

                        Agr Shadi Islam ky zabat khyal rakh kar ki jay to us main barkat ati hy .... is main koi shak nhi hy ky bhot si shadiay asi ho jati hy jo Nakam bhi sabit ho ti hy ... per un ki wajoohat agr aap islam per thop dey to wo ghalt hy ... isi liya Allah Pak ny Aurat ki kabooliyat ka haq diya hay ... agr do fareek Allah ko hazir nazir jaan kar Nikha main bandh jatay hy to Allah Pak bhi un ki zindagee ko asan aur bahter bana deyta hay ... kai log aap ko is dunya main asy nazar ay gy jin ki zindagee shadi sey pahly bilkul bayrang ho ti hay ... dukho aur mushkilat ka smana ho ta hy per Nikha ky baad bhot sey asy masail khtam ho jaty hay khud bakhud Allah pak ki traf sey muhbat barh jati hy bass shart ya ky Nikha dono fareeko ki marzi sey ho , agr koi aik fareek bhi kamzoor hay to zindagee bhot hi mushkilat main aajti hy


                        Originally Posted by Barish
                        Kia ap mai se koi aisa hai jo shadi k against ho?

                        Hotay hy asy log is jhaan main jo shadi ky khlaf ho tay hy .... meri nazar main ya un ky ander ILM ki kami ki waja sey ho ta hay .... ilm ya nhi ky Dr ho Ya Eng ho aik ilm insaan ka iman bhi ho ta hay . aik khuish bhi ho ti hy . meri nazar main jo log asi soch rakhty hy wo nehyat hi bahtkay hui hy

                        FeamanAllah
                        Walikum Assalam

                        koi baat nahii sister....ap ki nazar late pari,per pari to na:)

                        jii or baat ko mazeed apne bhi buhat khobsorti se berhaya...beshak is baat se koi inkaar nahii ke NIKKAH chunk ISLAM main farz hai to yaqenan kerna chahiye...per after marriage consequences sometimes buhat pathetic hoote hain...buhaat se log un halaat se darr jaate hain...:alhamd: in my family i 'vent seen something pathetic after marriage but i've observed it in our society...

                        buhaat se love marriages jin main dono sides equally satisfied orr khush hoti hain wo bhi nakaam ho jaati hain orr shaid waja yee hoti hai ke b4 marriage wo ik dosre se buhat kuch xpect ker leete hain per after marriage iik dosre kii xpectations per poora nahi uterte....
                        shaid ik doosre se xpect nahii kerna chahiye kuch bhi....right?:)

                        :tauba bhattkey hoe?
                        jii ya shaiid daree hoe?

                        Thx 4 ur coments sister!
                        KHUSH RAHIYE!

                        Comment


                        • #13
                          Re: Vat do u think about wedding?

                          Originally posted by Hala
                          Barish jii nice topic :thmbup:

                          bas mein itna kahana chahti hoon .......

                          Hazrat Mohammad (SAW) ni farmay haii

                          نکاح من سنتی فمن رغب عن سنی فلیس منی

                          Nekha karna sunt hai or jo bi ais si sarkashii karii woo meree Omat our din mein si nahi haii

                          aur baqii sab member nii buht haii umdeh replay dia haii :thmbup:
                          pasandeedgi ka buhat shukerya hala sister:)

                          Ji apne bhi nihayat khoobsorat baat ki hai ik HADEES k referance se...:thmbup: :masha

                          After wedding.......life ko khoobsorat orr mushkilaat se paak hona chahiye jo ke buhat bar aisa nahi bhi hota or yehi wo baat hai jo buhat afsosnaak hai

                          Comment


                          • #14
                            Re: Vat do u think about wedding?

                            Originally posted by Barish
                            pasandeedgi ka buhat shukerya hala sister:)

                            Ji apne bhi nihayat khoobsorat baat ki hai ik HADEES k referance se...:thmbup: :masha

                            After wedding.......life ko khoobsorat orr mushkilaat se paak hona chahiye jo ke buhat bar aisa nahi bhi hota or yehi wo baat hai jo buhat afsosnaak hai
                            thanks barish sis pasand karni ka........ yeah shadi shooda zandagi ko kamyab banany ki lieyy donoo tarf si sincerety and understanding lazamy bat haii ... agar dono mein yeh sefat hoon to zandagi kushi si quzar jayigee :rose
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Vat do u think about wedding?

                              Abhi nahin huwi hai, jab hoga tab experience bataonga...:hathora iska aur naa jaane kiska kiska.

                              Jaise ek sahab ne puchha (according to hindu) shaadi shuda aurton ki pehchan hai uski maang mein sindoor hona, shaadi shuda mardon ki kya pehchan hai
                              usne jawab diya : uska chehra latka huwa hota hai, raunaq ja chuki hoti hai.

                              Jahan tak main samajhta hoon ke shaadi farz nahin sunnat hai, dusri yeh ke iski zaroorat padti hai, suppose koi ladka ya ladki jab 35-40 ya 50 ho jaye yaa iss se bhi zyadah umr ho jaye, tab usse lagta hoga ke wo budha ho raha hai aur unke budhape ki dekhbhal koun karega. Agar wo beemar ho jata hai to unka dawa daaroo koun karega, shayad issi liye yeh Qudrat ki qanoon hai ke shaadi kare aur aulad wala ho take wo aulad uske budhape ka sahara bane, uske khandan chalaye,

                              Jo samajhtey hain budhape ka sahara na bane, lekin phir bhi shaadi ki zaroorat padti hi hai. Kya aisa nahin lagta ke koi bahut hi qareeb ho, hamdard ho...shayad isi liye "Ek saathi ki zaroorat padti hai har ek ko..."
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              Working...
                              X