Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

!عورت بمقابہ مرد !

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Originally posted by aabi2cool View Post
    :taubaoh bibi kaya samajh main naheeen araha mera to demagh ghoom gaya hy kon se zuban urdu naheen hy aap batlao k main nay kon sa lafaz urdu ka istimal naheen kiya hy:fuming:
    Originally posted by Xenja View Post
    consider mey ney kuch bhi nahi kaha :thmbup:
    xenia aap explain ker do ke aap ko koon se words pe objection tha? Jahan tak mein aap dono ko understand ker raha hoon aap ne waqee aabi bhai ke dimaag ka dahi bana diya he :khi:
    :thmbup:

    Comment


    • Originally posted by aabi2cool View Post
      اسلام علیکم پیغامینز ۔ ۔ ۔


      عورت کا ہمارے معاشرے میں بڑا استحصال ہوا ہے یہی وجہ ہے کہ عورت کو اس کہ بنیادی حقوق دلوانے کہ نام پر حقوق نسواں کا فلک شگاف نعرہ بلند کرتے ہوئے کئی ایک ایسی نام نہاد این جی اوز وجود میں آگئی ہیں کہ جنھوں نے حقوق نسواں کہ نام پر قدرت کی اس خوبصورت تخلیق کو اس کی اصل سے دور ہٹانے کی کوشش شروع کردی ہے وہ یوں کہ عورت کا تقابل اب مرد کی ذات سے کیا جانے لگا ہے اور اس کے لیے ایک نئی اصطلاح (شانہ بشانہ کی) وضع کی گئی ہے ۔ ۔ ۔ لہزا اس پس منظر میں ہم آپ سب کی خدمت میں ایک نہایت ہی اہم موضوع لیکر حاضر ہوئے کہ جس کا عنوان ہے کہ
      ۔ ۔ ۔ ۔

      آیا کیا جینیاتی مغایرت یعنی جنیٹک ڈیفرنس کہ باوجود مرد اور عورت برابر ہیں ؟
      جاسکتا ۔ ۔ ۔ ۔

      AB CHOON K KUCH NYE MEMBERS AAYE HAIN.....
      WO B ZRA ROSHNI DALAIN ISS TOPIC PR.....:lpop:



      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • Bohut acha aur knowledgable thread start kia hai..abbi bhai apnay. :thmbup:

        Main Team 'A' k hawaly say baat kerna chahoon ga. Zahir hai aik group choose kerna hai. Iss ka ye matlab nahi..k main group 'B' k points say mutaffiq nahi.....(ager aap nay ijaazat dee tu group 'B' ki favour main bhi baat kesakta hon).

        Yahan main ye kehna chahoon ga k...mard aur aurat barabar nahi hain. Insaani taur per tu aap ye keh saktay hain k Allah nay sab mard aur aurtoon ku insaan hi banaya hai. Yani insaniyat k natay tu woh barabar hain...lykin jibbilli hasayiat say woh barabar nahi hain. Aurat ki jibbilat mard say qataee mukhtalif hai. Aap khetay hain k duniya main bay shumaar aurtain hain jo apnay kamal ku pouhchee hain. Aur unhoon nay mardoon waly kam kiya, yani jung main hissa liya bahadari k johar dekhaye, bari bari post per tainaat raheen, prime minister raheen, aur baray baray idaroon main kam kertee raheen.....lykin in facts k bawajood hum dekhtay hain...k ye aurtain bahsaiat-e-majmoee muashrya ya tareekh per koi positive effect dalnay main kamyaab nahi hoo saki.

        Hum dekhtay hain k woh loog jinhoon nay tareekh main aham kirdar ada kiye aur tareekh per musbat asraat daly ya apna asar-o-rsookh qaim kia woh sirf mard hi thy. Iss ki pehlee misaal tu Anbia kiram (a.s) thay...Allah nay jitnay nabi iss dunia main bhejay woh sab mard thay...qata nazar iss k k unn ku janam dainy wali aurtain he theen. Akhir kia wajah thee k aurat ku Allah nay nabi nahi banaya...Hum dekhtain hain k Hazrat Ibrahim (a.s) ku aag main dala ja raha hai..lykin aak k azam aur yaqeen main koi farq nahi ata...aap uss waqat Allah hi per tawakkal kertay hain. Aurat ka yaqeen aur tawakkal itna shadeed nahi hota. Phir yahee Hazrat Ibrahim (a.s) hain jinn ku hukum hota hai k apnay baitay ku qurban ker do...zahir hai k ager koi aurat unn ki jagah hotee tu ye hukum uss k liye baja lana mumkin na hota...Agy chalain tu jitnay khulfa-e-islam thay woh sab mard hi thay...aur unhoon nay history per baray doorras nataeej daly...misal k taur per hazrat Umer (r.z) nay apnay dooray khilaafat main dunia k baishtar hissa fatah kia...aur aap k hukumat door tak phalee..Muhammad bin Qasim, Tariq bin zyyad, jaisay jungjoo in hi ialqoon main paida hoye jo hazrat umer k door main fatah hoye thay. Hazrat Ali (r.z) faisaly jo apnay apnay door-e-khilaafat main liye..woh aaj bhi hum muslmano k liye aik mashal-e-rah ki hasyat rakhtay hain...koi bhi aurat un k level pay na poochch saki aur na poohch sakay gee. Sirf yahi nahi aur bohut say mardoon k name aap ku asiay milainy gay jinhoon nay muashray aur tareekh main bohut ahma kirdar ada kia ...maslan...Hujaj bin yousaf, Sultan salhudin Ayubi, Noor udin zangi....pichlee 02 sadyoon main..Tipu sultan, Sir syed Ahmad khan, syed Ahmd shaheed, Muhammad Ali Jinnah, Allam Iqbal, Hitlor waghira...ji hoon nay tareekh k dharay badal daye...main manta hoon k aurtoon na bhi tareekh main aham kirdar ada kiye...lykin woh tareekh main bahsiyat-e-majmoee koi positive asar dalnay maion nakam rahi hain. Infridee taur per tu mardoon k shana bashan rahi hai..lykin poori terhan..muashray per asar andaz nahi ho sakeen. Aur iss k main wajha yahee hai...k banawatee taur per Allah nay aurat ku asia banaya hai...k woh ghar aur bachon ki tarbiyaat main apna waqat sarf karay naa k jung-o-jadal ya siasat main apna hissa dalay. Kyuon k agar woh mard k saath in kamoon main participate kertee bhi hai..tu bahsiyat-e-majmoee koi positive effect nahi hota maushray per...kyuon k uss ka ye kam hi nahi hai..han albatta bachoon ki tarbiyat aur ghar k skoon bahaal rakhnay main woh ahma kerdar ada kertee hai...aur yahee wajah hai...k jitnay baray bary mard iss dunia main aye..chahe woh nabi hoon ya khalifa hoon ya leader hoon un sab ki maa auratain hi theen...iss lihaz say dekha jaye to aurtoon ki contribution bhi kam nahi..kyuon bhar haal k jo muashra mard k wajood say chal raha hai..uss k peecha aurat ka hi haath hai.

        Waslam!



        Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

        Comment

        Working...
        X