Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ur Ideal.........?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ur Ideal.........?

    mere ideal mere piyare abou...jinho ne zindagi me bohhat mehnat ki,un k parents bachpan me hi wafat pa agey the to unhon ne apne sab bhaiyon ko parhaya ,khud taleem hasil ki,dusron ki behad help ki,har kisi se dosti kar lene wale....jin k bare me ab me itna sochti hon k bas ager me un k bare me likhne lagun to shaed aik book likh doon...meri zindagi ka mehwar the wo....mujhe unhon ne har achi cheez di sochne ko bhi or dunyavi bhi.me un k ird gird itna ghoomti thi k sab mujhe un ki chamchi keh ker cherte the...abou ki chamchi...ab koi nahi kehta kion k kuch arsa pehle wo aik dam se itni khamoshi se hamari life se nikal gaey k aaj bhi yakeen nahi ata.....jo meri ankh me aik asnoo bhi bardasht nahi kar sakte the mere tarap tarap k rone par bhi khamoshi se chale gaey jese ham se koi nata hi na tha....wo mujhe behad yaad ate hen lekin aik ajeeb baat he k me un ki pic nahi dekh pati..meri ammi ne apne room me un ki pic bari kar k lagai he lekin me us taraf nahi dekhti...pata nahi kion mere dil ko kuch hone lagta he...

    Comment

    • #17
      Re: Ur Ideal.........?

      Originally posted by sarah gemini View Post
      ..jb jb ap unka zikar krti han..muje bohat achaa lghta hai.....coz me apni mother k itna qareeb nae hun.........
      forgot to add this thing .....
      dear kabhi, kisi waqto'N mein hum bhi itna close nhin thay ..///humara mukhlisana mashwara hay apko k koshish kiya kijiey close hoon mother se .........
      Betiyo'N k liey Maa'n se berh k koi saheli nahin hoti..........

      grade 9th mein thay hum tab humnay aik baar suna tha kisi se k "Maa'N khoo(kunwa'n) hondi hay oday wich jo wee paao gay kadee wapis nahin aaey ga"

      matlab Maa'n ko mushabihat de gaey hay kunwein se k jis mein jo daalo k kabhi laut k nahin aeyga.....yani koi baat ho kuch bhi kisi se share kar lo to wo hazaron ko bataey ga per Maa'n sambhal k rakhty hay :)

      bs tab se hum amma se close hotay chalay gaey:rose
      sigpic

      Comment

      • #18
        Re: Ur Ideal.........?

        Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
        Sum Aameen aur :jazak:dear

        Parents se pyr to sab ko hee hota hay dear teddy lekin humaree bas aik ye soch :alhamd: humesha rahi hay k parents apnay bacho'N k liey kya kuch nahin kartay , waqt pernay per apna aaram sakooN , aur khuda na khwasta kisi per zyada hee mushkil time ho to baaz gharo'N mein parents apna khana peena tak yani k apnay munh ka luqma tak apnay bacho'N ko de k khud bhookay pyasay rehtay hai'N ...........sirf is soch per k un ki aulad bhooki na rahay un ki khair hay..................:)
        to jab wo ye sab kar saktay hai'N to un ki bachay honay k naatay agar hum log sirf itna karei'N k khud ko sambhal k , seedhay raastay per chalei'N aur aissa koi kaam na karei'N k jis ki waja se un ki tarbiyat per harf aaey ...to aissa kar k hum un k us pyr ka 100% to nahin , haan shayad 1% to lauta detay hai'N na ......................

        bas yehee soch aur yehee duaa rahee hay humesha k ALLAH TALA humesha humein wessa rakhay jessa humaray parents chahtay hain k un ki aulad ho ...aameen :dua
        aur baqi sab ko bhi naik rakhay :dua

        bilkul Eshaa 1% wali baat theek kahi.....wo kehtay han na"haq tou yeh k haq ada na hua".bs hr wqt iss aml me lgy rehna chahiye....jis din ap ne yeh soch liya k haq ada hogaya.uss din aap ki chutti........
        apne abu ji ki baat krun tou sb milnay walay jantay han k mere abu ne grandma ka kis hadd tak khayaal rakhaa bt my abu ji.....kbhi tasleem nahee krtay k unhon ne kuch kiya hai...yehi unka zarf hai...esa hi hona chahiye...
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment

        • #19
          Re: Ur Ideal.........?

          aap sab kii fahm o zakaa kii baaten padh kar achha lagaa. insan ka ideal koi bhi ho par deen o dunya ki kamiyabi ke liye amal laazmi he aur anthak mehnat aur lagan :) Allah kii madad shaamil e hal rahi aur agar yeh hamare haq men behtar hua to zarur sarfarazi o kamrani hamara muqaddar banegi :)

          mere ideal mere valid aur mere baRe bhai hen jo apni misal aap hen alHamdollillah. valid to ab rahe nahin magar Allah kare bhai ka saya hamesha qaayam rahe aameen :)

          Fall view from inside my car
          near my work place :)

          Comment

          • #20
            Re: Ur Ideal.........?

            Originally posted by senorita View Post
            mere ideal mere piyare abou...jinho ne zindagi me bohhat mehnat ki,un k parents bachpan me hi wafat pa agey the to unhon ne apne sab bhaiyon ko parhaya ,khud taleem hasil ki,dusron ki behad help ki,har kisi se dosti kar lene wale....jin k bare me ab me itna sochti hon k bas ager me un k bare me likhne lagun to shaed aik book likh doon...meri zindagi ka mehwar the wo....mujhe unhon ne har achi cheez di sochne ko bhi or dunyavi bhi.me un k ird gird itna ghoomti thi k sab mujhe un ki chamchi keh ker cherte the...abou ki chamchi...ab koi nahi kehta kion k kuch arsa pehle wo aik dam se itni khamoshi se hamari life se nikal gaey k aaj bhi yakeen nahi ata.....jo meri ankh me aik asnoo bhi bardasht nahi kar sakte the mere tarap tarap k rone par bhi khamoshi se chale gaey jese ham se koi nata hi na tha....wo mujhe behad yaad ate hen lekin aik ajeeb baat he k me un ki pic nahi dekh pati..meri ammi ne apne room me un ki pic bari kar k lagai he lekin me us taraf nahi dekhti...pata nahi kion mere dil ko kuch hone lagta he...

            oh janoo sweet heart...u made me sad yara.....ALLAH paak apko sbr e jameel ataa frmaye....ameen......u r too senstive jani...toot k pyar arah hai muje aap pr......yar janay walay waqee khamoshi se chalay jatay han....leaving behind a gap not to b filled.........................................
            ap mat roya kro.aap k baba jani ko uss dunia me be qrari ho gi k unki itni ladli beti blk "chamchi beti":)..udass hai......so ayenda aap nae royen gi ok na......:rosewo jb jb aap ko yaad ayen aap unko liye kuch prh k eesal e swaab kr den....apko bohat sakoon milay ga inshALLAH.:dua
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment

            • #21
              Re: Ur Ideal.........?

              Originally posted by senorita View Post
              mere ideal mere piyare abou...jinho ne zindagi me bohhat mehnat ki,un k parents bachpan me hi wafat pa agey the to unhon ne apne sab bhaiyon ko parhaya ,khud taleem hasil ki,dusron ki behad help ki,har kisi se dosti kar lene wale....jin k bare me ab me itna sochti hon k bas ager me un k bare me likhne lagun to shaed aik book likh doon...meri zindagi ka mehwar the wo....mujhe unhon ne har achi cheez di sochne ko bhi or dunyavi bhi.me un k ird gird itna ghoomti thi k sab mujhe un ki chamchi keh ker cherte the...abou ki chamchi...ab koi nahi kehta kion k kuch arsa pehle wo aik dam se itni khamoshi se hamari life se nikal gaey k aaj bhi yakeen nahi ata.....jo meri ankh me aik asnoo bhi bardasht nahi kar sakte the mere tarap tarap k rone par bhi khamoshi se chale gaey jese ham se koi nata hi na tha....wo mujhe behad yaad ate hen lekin aik ajeeb baat he k me un ki pic nahi dekh pati..meri ammi ne apne room me un ki pic bari kar k lagai he lekin me us taraf nahi dekhti...pata nahi kion mere dil ko kuch hone lagta he...

              aapki baten padh kar meri ankhon men bhi ansu aa gaye. ek beti ke dil par kia beeti hogi aur kai beet rahi hogi iska mujhe bakhusbi andaza he. Allah tum sab ko sabr e jamil aur apke abbu ko jannat ukll firdaus men ala maqam hasil ho. aameen, summ aameen

              Fall view from inside my car
              near my work place :)

              Comment

              • #22
                Re: Ur Ideal.........?

                Originally posted by SherAli View Post
                aap sab kii fahm o zakaa kii baaten padh kar achha lagaa. insan ka ideal koi bhi ho par deen o dunya ki kamiyabi ke liye amal laazmi he aur anthak mehnat aur lagan :) Allah kii madad shaamil e hal rahi aur agar yeh hamare haq men behtar hua to zarur sarfarazi o kamrani hamara muqaddar banegi :)

                mere ideal mere valid aur mere baRe bhai hen jo apni misal aap hen alHamdollillah. valid to ab rahe nahin magar Allah kare bhai ka saya hamesha qaayam rahe aameen :)

                ji sher ali being a muslim hum mazhab se duuri afford ane krsaktay.means...1st prefrence mazhab hai yaqeenan..lakin maa baap ki ahmiyat se koi inkar nae krsakta.....

                dfntli ideal.... idea se nikla hai......yani khyaal ....tou jhb tak usko aml ki jaag nae lgay gi....its of no worth...

                ALLAH ap k waalid ko jawar e remat me jgha ata frmaye...........aur aap k bhai ko slamat rakhya.........aameen
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment

                • #23

                  apki bat se kise inkar ho sakta hai. apka kahna solah aane durust he. maN bap bhai bahen ki ahmiyat atal hai :)

                  shukria duaoN ke liye. jazaak Allaho Khair
                  :)

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment

                  • #24
                    Re: Ur Ideal.........?

                    Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                    Sum Aameen aur :jazak:dear

                    Parents se pyr to sab ko hee hota hay dear teddy lekin humaree bas aik ye soch :alhamd: humesha rahi hay k parents apnay bacho'N k liey kya kuch nahin kartay , waqt pernay per apna aaram sakooN , aur khuda na khwasta kisi per zyada hee mushkil time ho to baaz gharo'N mein parents apna khana peena tak yani k apnay munh ka luqma tak apnay bacho'N ko de k khud bhookay pyasay rehtay hai'N ...........sirf is soch per k un ki aulad bhooki na rahay un ki khair hay..................:)
                    to jab wo ye sab kar saktay hai'N to un ki bachay honay k naatay agar hum log sirf itna karei'N k khud ko sambhal k , seedhay raastay per chalei'N aur aissa koi kaam na karei'N k jis ki waja se un ki tarbiyat per harf aaey ...to aissa kar k hum un k us pyr ka 100% to nahin , haan shayad 1% to lauta detay hai'N na ......................

                    bas yehee soch aur yehee duaa rahee hay humesha k ALLAH TALA humesha humein wessa rakhay jessa humaray parents chahtay hain k un ki aulad ho ...aameen :dua
                    aur baqi sab ko bhi naik rakhay :dua
                    Aameen.

                    You are lucky. Allah tumhaay waledein ka saya tum per salamat rakhay
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #25
                      Re: Ur Ideal.........?

                      Originally posted by senorita View Post
                      mere ideal mere piyare abou...jinho ne zindagi me bohhat mehnat ki,un k parents bachpan me hi wafat pa agey the to unhon ne apne sab bhaiyon ko parhaya ,khud taleem hasil ki,dusron ki behad help ki,har kisi se dosti kar lene wale....jin k bare me ab me itna sochti hon k bas ager me un k bare me likhne lagun to shaed aik book likh doon...meri zindagi ka mehwar the wo....mujhe unhon ne har achi cheez di sochne ko bhi or dunyavi bhi.me un k ird gird itna ghoomti thi k sab mujhe un ki chamchi keh ker cherte the...abou ki chamchi...ab koi nahi kehta kion k kuch arsa pehle wo aik dam se itni khamoshi se hamari life se nikal gaey k aaj bhi yakeen nahi ata.....jo meri ankh me aik asnoo bhi bardasht nahi kar sakte the mere tarap tarap k rone par bhi khamoshi se chale gaey jese ham se koi nata hi na tha....wo mujhe behad yaad ate hen lekin aik ajeeb baat he k me un ki pic nahi dekh pati..meri ammi ne apne room me un ki pic bari kar k lagai he lekin me us taraf nahi dekhti...pata nahi kion mere dil ko kuch hone lagta he...
                      Be a Big Girl Senorita, life mein yeh sub hota he, mein ne apnay dad ko khud Kabar ki aagoosh mein utaara aur aisay waqt mein bhi zabt se kaam lia, yeh sooch ker ke yeh Allah ki taraf se imtehaan he aur Allah ki merzi he aur aisa to hona he tha. Janay walay bhooltay to nahi, but no harm in thinking it in another perspective :thmbup:

                      Allah tumhein sabar de aur is ki compensation karay :)
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #26
                        Re: Ur Ideal.........?

                        Originally posted by SherAli View Post
                        aap sab kii fahm o zakaa kii baaten padh kar achha lagaa. insan ka ideal koi bhi ho par deen o dunya ki kamiyabi ke liye amal laazmi he aur anthak mehnat aur lagan :) Allah kii madad shaamil e hal rahi aur agar yeh hamare haq men behtar hua to zarur sarfarazi o kamrani hamara muqaddar banegi :)

                        mere ideal mere valid aur mere baRe bhai hen jo apni misal aap hen alHamdollillah. valid to ab rahe nahin magar Allah kare bhai ka saya hamesha qaayam rahe aameen :)
                        Aameen :)
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #27
                          Re: Ur Ideal.........?

                          Meri mom bhi meri ideal he, aur yeh aisa nahi ke wo meri mom hein, bulke mein un ke kirdaar ke hawalay se sooch ker baat ker raha hoon.

                          Mere dad hamari hoosh mein ziada der UK rahay, aur meri mom ne he ham behan bhaiyon ko handle kia. Mere khush'kismati yeh he ke mujay mere parents perhay likhay milay. Meri mom mere nanyaal ki taraf se first graduate lady bananein. Aur mein apni mom ki management se bohat mutasir hoon, un ke kaam kerne ke saleekay se, wo waqee saleeka pasand khatoon hein. Mein ne apni life mein apnay mom aur dad ke dermeyaan aik bhi talakh kalami nahi dekhi, siwaye 1, 2 baar chooti si behas hui mere dad ki death se kuch pehlay, wo bhi mere dad irritate huay hospital mein admit honay ki advise se. We are 7 aur meri mom ne sub buchon ko apna akloota bucha samaj ker paala aur terbiyat di. Sabi buchon ko khud perhaya aur hamein kabi tuition ki taraf dekhna nahi para, aur jub mere dad aatay thay to wo yeh zumadaari le lete thay, hamara ghar to mujay tuition center he lagta tha...lolz. aur yahi waja he ke mere sabi behan bhai apnay apni classes ke dada niklay :hehe: Meri mom ki personality mein her wo baat he jisay meain idealize ker sakta hoon.

                          Aur shayad yahi waja he ke mere sabi relatives mein mere mom dad ko jo makam hasil he, wo kisi aur ko nahi
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: Ur Ideal.........?

                            Originally posted by sarah gemini View Post
                            apne abu ji ki baat krun tou sb milnay walay jantay han k mere abu ne grandma ka kis hadd tak khayaal rakhaa bt my abu ji.....kbhi tasleem nahee krtay k unhon ne kuch kiya hai...yehi unka zarf hai...esa hi hona chahiye...
                            Very nice, waqee hona bhi aisa he chahiye, aulaad kabi bhi apnay waldein ka kerz nahi chuka sakti :salam:

                            Mere abu 3nd number out of 4, aur meri daadi ko sub se ziada muhabat bhi unhein se thi, meri dadi ko cancer tha, jub sabhi doctors ne unhein jawaab de diya aur discharge ker diya ke baki waqt apnay ghar kaatein, mere dad us waqt dubai gaye thay, aur Dadi ke discharge honay se 2, 3 din pehlay aaye. Wo apni amaan ko apnay bazuon mein utha ke pura ghar gumatay, chutt per le jate, unhein choomtay, pyaar kerte aur is dooran roo roo ker nadhaal ho jatay. Kai din tak yahi silsila chalta raha aur phir Dadi Allah ko pyari ho gaein
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #29
                              Re: Ur Ideal.........?

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Meri mom bhi meri ideal he, aur yeh aisa nahi ke wo meri mom hein, bulke mein un ke kirdaar ke hawalay se sooch ker baat ker raha hoon.

                              Mere dad hamari hoosh mein ziada der UK rahay, aur meri mom ne he ham behan bhaiyon ko handle kia. Mere khush'kismati yeh he ke mujay mere parents perhay likhay milay. Meri mom mere nanyaal ki taraf se first graduate lady bananein. Aur mein apni mom ki management se bohat mutasir hoon, un ke kaam kerne ke saleekay se, wo waqee saleeka pasand khatoon hein. Mein ne apni life mein apnay mom aur dad ke dermeyaan aik bhi talakh kalami nahi dekhi, siwaye 1, 2 baar chooti si behas hui mere dad ki death se kuch pehlay, wo bhi mere dad irritate huay hospital mein admit honay ki advise se. We are 7 aur meri mom ne sub buchon ko apna akloota bucha samaj ker paala aur terbiyat di. Sabi buchon ko khud perhaya aur hamein kabi tuition ki taraf dekhna nahi para, aur jub mere dad aatay thay to wo yeh zumadaari le lete thay, hamara ghar to mujay tuition center he lagta tha...lolz. aur yahi waja he ke mere sabi behan bhai apnay apni classes ke dada niklay :hehe: Meri mom ki personality mein her wo baat he jisay meain idealize ker sakta hoon.

                              Aur shayad yahi waja he ke mere sabi relatives mein mere mom dad ko jo makam hasil he, wo kisi aur ko nahi

                              hmmm.....tahts great too:).......
                              dfntly aurat ke educated hona bohat behtar hota hai apni nasal k liye....bohat zaroori....my parents r not educated....thts why thay were very eager 2 educate us(me n my bro) n they did....abu apne hawalay se ye kmi bohat mehsoos krtay han k kash wo prrhay hotay.(as he has to face problems in his buisness)..bt hmen dekh k un ko tamaniat hojati hai...bt despite being un educated .... asool pasandi me abu aur sleeqay me ami family me AALA MUQAM rakhtay han:).........even wo muje b nae bkhshtay....agr me koi kaam khraab kr dun.:)..bohat daant prrti ha kbiiiiiiiiiiiiiiii kbiiiiiiiiiiii
                              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                              Comment

                              • #30

                                Good to know about your parents especially their conscience and eagerness towards education despite of being not educated. Aap mujay saleeka'mand lagti he, lekin aap ko phir bhi kabi kabi daant per jati he, me saleeka mand nahi hoon, lekin phir bhi daant nai perti :D: Maja aa gaya
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X