Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ur Ideal.........?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Ur Ideal.........?

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Ji Allah ne aap ko female aur me ko male banaya he to yeh difference hona he hay :)
    may b....

    Comment

    • #77
      Re: Ur Ideal.........?

      Originally posted by senorita View Post
      me qabristan nahi jati..han ye soch bhi ati h k wo upar kahin janat me hon ge...mere father ki life jese mere leay ideal thi na wese hi un ki death bhi mere leay ideal he..i wish k meri death bhi wese hi ho jese mere father ki hui thi.....me ne unhen aik suit gift kia tha us din unhon ne ghusal kar k zohar ki namaz ki tyari me wohi dress pehna....bawazoo the aik dam heart attack hua...duaen parhte apne qadmon par hospital gaey...wahan bhi un ko namaz ki fikar....kalima parhte rahe or duaen parhte rahe or jo sath the un sab ko tasali bhi dete rahe k me theek hon or daant bhi pilai k yaar meri namaz reh rahi he tum log mujhe yahan zabardasti le aey ho....or bas kalima parha or so gaey:)is leay Allah se umeed he k wo wahan inshAllah ache haal me hon ge lekin yahan ham kitne akele ho gaey un k bagher ye baat abhi sahari nahi jati...or meri buri adat k har baat un se share karni,mashwara karna...ab esa lagta he jese bheer me kahin gum gai hon rasta hi sujhai nahi deta.......

      Aap ke dad lucky thay that he met his Lord peacefully. Merna to aik din sub ko hay, ghaseet ghaseet ker merne se is tarah skoon se merna bhala :) You are lucky ke tum ne us din apnay dad ko gift diya. :thmbup:

      Mere dad Sheikh Zaid hospital mein apna check up kerwanay ki gharz se gaye thay, I was not lucky, jatay huay unhon ne mujay kaha ke "Bhai" tum ne aana he to aa jao (wo mujay pyar se bhai kehtay thay), mein ne kaha ke kapray change kerne hein us din barish bohat hui to dad ne kaha ke tum kapray change kar lo aur hum chaltay hein. unhon ne rastay mein dinner kia, aur gari mein he soo gaye. Jub hospital aaya to mere chotay bhai aur chacha ne unhein uthaya, but wo nahi uthay :)
      :thmbup:

      Comment

      • #78
        Re: Ur Ideal.........?

        Originally posted by senorita View Post
        Allah in sab ko janat me ala mukam ata farmaey.Ameen
        Aameen

        Originally posted by sarah gemini View Post
        aur hona b chahiye...
        Ji sahi kaha, mera bhi yahi khyal he

        Originally posted by senorita View Post
        may b....
        It's a fact
        :thmbup:

        Comment

        • #79
          Re: Ur Ideal.........?

          Ohh Itna zabardast thread me ne aaj dekha .... I m late ... chalain phir bhi abhi entry maar detay hain...

          My Ideal are Both Mom & Dad

          laikin aap ne aik ka poocha hai k ziyadah kon hai.... Wese tu me close ziyada Mom k hoon k kiun k Mom ne hi ham sab behan bhayion ko handle kiya .... laikin Ideal is my father .... jab wo chotay se thay tu Mere Dada ki Death ho gaee ... Mere Father apne brothers & sisters me sab se baray thay ... bhot mushkil waqt dekha unhon ne ... choti see umar me apni parhi bhi jari rakhi laikin halat itne mushkil ho gay k un ko apni parhai chorni parhi aur apni zameeno per kaaam kerne lagay ... apne behn bhaion ko parhaya ... un ki shadiyan kien ... aur phir wo Saudi arabia chalay gay .... jab un ko kuch taraqi milna start hoi tu un k Lung main stones aa gay ... us zmanay main aaj ki tarha lazer operation nahien hoowa kerte thay aik bhot baray operation k baad wo wapis pakistan aa gay .. laikin kaam nahi ker paatay thay ... aik dafa phir bra kara waqt aa para laikin phir unhon ne himat ki aur phir se apni zameenon ko sanbhalna shuroo kiya ... phir kuch arsa baad aik dafa phir wo KSA chalay gay usi Co main ... aur aaj tak wahien hain ... Me ne apne father k saath ziyadah time nahien guzara .... laikin itni qurbaniyan unhon ne hamaray liey deeen ... itni sakhtiyan jheeelien ... kisi se kabhi kuch nahien anga hamesha kuch diya hi hai .... Ham sab behen bhaion ko aik achi life dee .. achi taleem dilwaai ... mere father bhot ziyadah perhe likhay nahien hain .... laikin jab main un ki soch ko pertha hoon tu me proud kerta hoon k He is my father bhot se aala taleem yafta logon se mere father bhot azeem hain ... kabhi kisi ka dil nahien dukhaya ... hamesha her wo baat jo un ko uri lagi ho hans k taal dee ....
          sigpic

          Comment

          • #80
            Re: Ur Ideal.........?

            ami n abu both

            Comment

            • #81
              Re: Ur Ideal.........?

              Originally posted by sky angle View Post
              ami n abu both
              Aik chota sa Dialogue yaad aaya

              "Sawaad mein Kanjoosi"
              :thmbup:

              Comment

              • #82
                Re: Ur Ideal.........?

                Originally posted by sccorpion81 View Post

                ji janab sb se pehlay tou khushi iss baat ki hui k ab MashAllah apk father ab theek han...
                aur ye darust hai k brre behan bhai ko qurbani dena prrti hai...lakin beharhaal ALLAH ajr b deta hai iska....azmaaiyesh k baad jb raahat milti ahi tou yeh ALLAH ki rehmat hai.....aur shukar ada krna chahiye...han yeh aulaad se doori ki qurbani b behrhaal apni jgah pe kuch kam anhi....lakin hamari dua hai k apk father salamat rahain aur ap ko unn k pass zyada se zyda wqt bitanay ka moqa milay...aur ....ALLAH apko unki khidmat ki toufeeq b de.ameeen.
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment

                • #83
                  Re: Ur Ideal.........?

                  Originally posted by miss sng View Post
                  Wa salam,

                  khobsurat topic teddy khush rahoo :)

                  apnay baray mein hum baad mein bataein gay......k
                  abhi apny parents ki batein yaad kr k hamary ansu nikal aiy.....:)
                  ALLAh tala unka saya meray saroon par salamat rekhay...ameen:)
                  ameen sum ameen lakin miss sng....waiting 4 ur precious feelings.:)
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment

                  • #84
                    Re: Ur Ideal.........?

                    I Idealized my Father
                    He was a great person

                    Comment

                    • #85
                      Re: Ur Ideal.........?

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Aik chota sa Dialogue yaad aaya

                      "Sawaad mein Kanjoosi"
                      q

                      Comment

                      • #86
                        Re: Ur Ideal.........?

                        Originally posted by sky angle View Post
                        q
                        Aap ne koi detail jo nai batai
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #87
                          Re: Ur Ideal.........?

                          mera ideal khal nayak:D

                          Comment

                          • #88
                            Re: Ur Ideal.........?

                            ideal to sabhi ke koi na koi hote ahin magar mera ideal aur kaun ho sakta hai sivaaye unke jinhoN ne meri parvarish roz e awwals e kii :)

                            Fall view from inside my car
                            near my work place :)

                            Comment

                            • #89
                              Re: Ur Ideal.........?

                              Originally posted by BUS U HE View Post
                              mera ideal khal nayak:D
                              Yaar tareef tere moun ki nai, baat tu ne aaj tak achi nai ki 372-haha
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #90
                                Re: Ur Ideal.........?

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                Yaar tareef tere moun ki nai, baat tu ne aaj tak achi nai ki 372-haha
                                372-hahabus yaar tumhari suhbat ka asar hai:D

                                Comment

                                Working...
                                X