Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ur Ideal.........?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Ur Ideal.........?

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Here it is my dad :)
    Allah ap ke father ko janat me buland mukam ata farmaen.ameen
    or bas aik baat kahun gi Aamir k aap bohat bahadur ho:)

    Comment


    • #47
      Re: Ur Ideal.........?

      Originally posted by sarah gemini View Post
      sarah ka salam qabool kijiye......

      title dekh k zaiada excited honay ki lorr nae........kiyon k.....kiyon k ap ne apne ideal k baray me tou batana hai.. but.....regarding mother/father....

      mera matlab hai k aap apne mother or father me se kis ko idealize krtay han n kiyon....?

      jesa k me apne abu ko idealize krti hun....kiyon he is a selfmade person....i like selfmade people........n u???


      n kindly dont get prejudiced by any member,s detailed reply n comment over that as well........kiyon parents sb ki zindagi me ma`anay rakhtay han.....so app sb ki precious feelings mere liye ma`anay rakhti han....:)....... do share ur precious feelings wid us....prayers
      Wa salam,

      khobsurat topic teddy khush rahoo :)

      apnay baray mein hum baad mein bataein gay......k
      abhi apny parents ki batein yaad kr k hamary ansu nikal aiy.....:)
      ALLAh tala unka saya meray saroon par salamat rekhay...ameen:)

      Comment


      • #48
        Re: Ur Ideal.........?

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Bohat zabardast thread he :thmbup:

        Mein ne is dunia mein 2 loogon se bohat ziada inspiration li Aik mere dad se aur doosray Dr. Zakir Naik se. Mere dad mere Ideal hein kyoon ke wo totally self-made person thay.

        Mein kabi apnay dad ki pics yahan zaroor share karon ga, maybe isi thread mein karon :)
        bohat bohat acha laga apk dad k baray mein jaan kr....:)
        he was really a hard woking man ALLAH tala unko Jannat mein jagha ata farmaein.ameen :)
        khush rahiy hamesha :)

        Comment


        • #49
          Re: Ur Ideal.........?

          Originally posted by miss sng View Post
          Wa salam,

          khobsurat topic teddy khush rahoo :)

          apnay baray mein hum baad mein bataein gay......k
          abhi apny parents ki batein yaad kr k hamary ansu nikal aiy.....:)
          ALLAh tala unka saya meray saroon par salamat rekhay...ameen:)

          aaaaaaawwwww yeah i know its an emotional thing to talk about :) plz do share with us whenever u feel comfortable :) thank you

          Fall view from inside my car
          near my work place :)

          Comment


          • #50
            Re: Ur Ideal.........?

            Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
            good thread


            humaray Ideal humaray amma N Baba Jaani hain ...Baba jaani apni mehnat aur :hug: jis terha se unho'N nay Ups n downs mein saath diya , aur sabr kiya .........
            Aur :alhamd:, Shukar :alhamd: aaj wo dono pursukoon aur mutmaai'N hain ...AUr uska AJAR ALLAH TALA unhein aata kartay rahein ...Aameen
            ahaan

            bohat acha laga dear apk parents k baray mein jaan kr........:)
            ALLAH Tala say dua hay k wo hamesha mutmaain aur khushioon say bhar pur zindgi guzarein...ameen..

            khushi hoti bohat ye jaan kr k ao'laad bhe apnay parents ka khyal rekhti hy...:)

            aur dukh bhe hota hay jab kabhi kahin say khabar milay k......ao'laad apny parents k sath acha salook nhi karti.......:(..ALLAH Tala un loogoon ko sedha rasta dekhaiy...ameen

            khush rahoo hamesha dear teddy

            Comment


            • #51
              Re: Ur Ideal.........?

              Originally posted by SherAli View Post
              aaaaaaawwwww yeah i know its an emotional thing to talk about :) plz do share with us whenever u feel comfortable :) thank you
              gee :insha: ap sub k sath share karoon gi jald he :)

              Comment


              • #52
                Re: Ur Ideal.........?

                Originally posted by senorita View Post
                mere ideal mere piyare abou...jinho ne zindagi me bohhat mehnat ki,un k parents bachpan me hi wafat pa agey the to unhon ne apne sab bhaiyon ko parhaya ,khud taleem hasil ki,dusron ki behad help ki,har kisi se dosti kar lene wale....jin k bare me ab me itna sochti hon k bas ager me un k bare me likhne lagun to shaed aik book likh doon...meri zindagi ka mehwar the wo....mujhe unhon ne har achi cheez di sochne ko bhi or dunyavi bhi.me un k ird gird itna ghoomti thi k sab mujhe un ki chamchi keh ker cherte the...abou ki chamchi...ab koi nahi kehta kion k kuch arsa pehle wo aik dam se itni khamoshi se hamari life se nikal gaey k aaj bhi yakeen nahi ata.....jo meri ankh me aik asnoo bhi bardasht nahi kar sakte the mere tarap tarap k rone par bhi khamoshi se chale gaey jese ham se koi nata hi na tha....wo mujhe behad yaad ate hen lekin aik ajeeb baat he k me un ki pic nahi dekh pati..meri ammi ne apne room me un ki pic bari kar k lagai he lekin me us taraf nahi dekhti...pata nahi kion mere dil ko kuch hone lagta he...

                :embarasse ALLAH Tala ap k father ki magfirat farmaein.aur unhein jannat mein jagha ata farmein...ameen.
                hum kuch kuch samjh sakty hain apki takleef ko...ALLAH Tala apko sabar ata farmaiy...ameen:dua
                khush rahoo

                Comment


                • #53
                  Re: Ur Ideal.........?

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Here it is my dad :)
                  ahaan :)

                  kafi resemblence hy...shakal sy pata chalta hay k ap k father hain :)

                  Comment


                  • #54
                    Re: Ur Ideal.........?

                    Originally posted by sarah gemini View Post
                    oh janoo sweet heart...u made me sad yara.....ALLAH paak apko sbr e jameel ataa frmaye....ameen......u r too senstive jani...toot k pyar arah hai muje aap pr......yar janay walay waqee khamoshi se chalay jatay han....leaving behind a gap not to b filled.........................................
                    ap mat roya kro.aap k baba jani ko uss dunia me be qrari ho gi k unki itni ladli beti blk "chamchi beti":)..udass hai......so ayenda aap nae royen gi ok na......:rosewo jb jb aap ko yaad ayen aap unko liye kuch prh k eesal e swaab kr den....apko bohat sakoon milay ga inshALLAH.:dua
                    han me un k leay har waqt hi dua karti rehti hon k Allah mere abou ko bohat piyar se rakhna jese wo hamen rakhte the:)

                    Comment


                    • #55
                      Re: Ur Ideal.........?

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Be a Big Girl Senorita, life mein yeh sub hota he, mein ne apnay dad ko khud Kabar ki aagoosh mein utaara aur aisay waqt mein bhi zabt se kaam lia, yeh sooch ker ke yeh Allah ki taraf se imtehaan he aur Allah ki merzi he aur aisa to hona he tha. Janay walay bhooltay to nahi, but no harm in thinking it in another perspective :thmbup:

                      Allah tumhein sabar de aur is ki compensation karay :)
                      ap bohat bahadur ho....me to ye soch kar hi depress ho jati hon k mere father matti k neeche hen....ham ghar me sab reh rahe hen or barish,sardi,garmi wo wahan qabristan me akele...

                      Comment


                      • #56
                        Re: Ur Ideal.........?

                        Originally posted by SherAli View Post

                        aapki baten padh kar meri ankhon men bhi ansu aa gaye. ek beti ke dil par kia beeti hogi aur kai beet rahi hogi iska mujhe bakhusbi andaza he. Allah tum sab ko sabr e jamil aur apke abbu ko jannat ukll firdaus men ala maqam hasil ho. aameen, summ aameen
                        ameen

                        Comment


                        • #57
                          Re: Ur Ideal.........?

                          Originally posted by miss sng View Post
                          :embarasse ALLAH Tala ap k father ki magfirat farmaein.aur unhein jannat mein jagha ata farmein...ameen.
                          hum kuch kuch samjh sakty hain apki takleef ko...ALLAH Tala apko sabar ata farmaiy...ameen:dua
                          khush rahoo
                          ameeen

                          Comment


                          • #58
                            Re: Ur Ideal.........?

                            Originally posted by senorita View Post
                            ap bohat bahadur ho....me to ye soch kar hi depress ho jati hon k mere father matti k neeche hen....ham ghar me sab reh rahe hen or barish,sardi,garmi wo wahan qabristan me akele...

                            dear ye to haqeqat hy k har insan ko mutti mein ja milna hay...
                            ALLAH karam farmaiy unpar ....jin par ALLAH ka karam hota hay...ALLAH unko bohat araam say rekhta hay.........app ye subsoch kr depress honay ki bajaiy......app unk isal-e-sawaab k liay parhti raha karein ...aur ALLAh say unk liay dua kia kijiay......aur apny liay bhe k ALLAH apko sabar ata farmaiy...

                            Comment


                            • #59
                              Re: Ur Ideal.........?

                              Originally posted by miss sng View Post
                              dear ye to haqeqat hy k har insan ko mutti mein ja milna hay...
                              ALLAH karam farmaiy unpar ....jin par ALLAH ka karam hota hay...ALLAH unko bohat araam say rekhta hay.........app ye subsoch kr depress honay ki bajaiy......app unk isal-e-sawaab k liay parhti raha karein ...aur ALLAh say unk liay dua kia kijiay......aur apny liay bhe k ALLAH apko sabar ata farmaiy...
                              han me janti hon k ham sab ko hi aik din matti k neeche chale jana he,chahe jese bhi haseen hon aik din matti me gal sar jane ge...insan ko is haqeeqat ka sahi idrak tab hota he jab koi apna piyara hamare samne matti me chala jaey tab zindagi ka mafhoom hi badal jata he....or dua to yakinan me un k leay dheron mangti rehti hon...

                              Comment


                              • #60
                                Re: Ur Ideal.........?

                                Originally posted by senorita View Post
                                han me janti hon k ham sab ko hi aik din matti k neeche chale jana he,chahe jese bhi haseen hon aik din matti me gal sar jane ge...insan ko is haqeeqat ka sahi idrak tab hota he jab koi apna piyara hamare samne matti me chala jaey tab zindagi ka mafhoom hi badal jata he....or dua to yakinan me un k leay dheron mangti rehti hon...

                                bahna yeh ek kaRvaa sach hai, insan kii yehii Haqeeqat hai. ham sab ko jaanaa hai, koi kal gayaa to koi aaj jaa rahaa hai to koi kal jaayegaa. ham sab kii manzil e maqsood ek hii hai. ham is liye yahan bheje gaye is dunya emn k apni maut ko yaad karte rahe aur beshak ham usii kii taraf palaT kar jaane waale haiN. hamaaraa jasd e Khaaki Khaak meN hii vaapas jaataa hai. bas Allah se raftagaan ke liye du'aa-e-maGhfirat karte arheN aur apne liye Khaatma-bil-Khair kii du'aayeN maangte raheN. aameen

                                Fall view from inside my car
                                near my work place :)

                                Comment

                                Working...
                                X