Originally posted by aabi2cool
View Post
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
! iqbal aur falsafa e khudi !
Collapse
X
-
Aabi Sahib.. Aadaab !!
Iqbaal K Falsafa-E-Khudi Par Yeh Thread Dekh Kar Achha Laga..
Is Havaalay Se Main Bhi Apni Aik Post (Doosray Forum Se) YahaaN Share Karna ChaahooNga.. Jo K Iqbal K Falsafa-E-Khudi Par Mabni Aik User Ki TeHreer Pai Likhi Thhi..
--
POST..
--
.... SaaHiba..
Sub Se Pehlay To Shukriya.. K Aap Nai Nazariya-E-Khudi Aur Phir Hamaaray Haal Pai Aisi Baleegh Aur Khoobsurat TeHreer Share Ki Hamaaray Saath..
Aap Ki TeHreer PaRhtay Dauraan Iqbaal~ Ka Aik Sher Yaad Aaya.. Jo Taqreeban Har Kisi Nai Suna Hoga..
Khudi Ko Kar Buland Itna K Har Taqdeer Se Pehlay
Khuda Banday Se Khud Poochhay.. Bata Teri RaZa Kiya Hai..
HazaaroN Sher Nazar Se Guzray HaiN.. Par Aisa Sher Aaj Tak PaRhanay Ko Nahi Mila..
Lafz "Khudi" Basically Faarsi Zabaan Ka Lafz Hai.. Jis K Ma'ani "Khud-Mukhtaari, Khud Sari, Khud Gharzi Aur Guroor" HaiN..
Lekin Iqbaal K Kalaam Main Dekha Jaye To Lafz Khudi Ko Khud-daari, Ehsaas-E-Gerat-Mandi.. Aur Apni Zaat-O-Sif'faat K Paas-O-Ehsaas Wagera Ka Naam Diya Gaya Hai..
Yeh Samajh Lijiye K Iqbaal K Nazdeek "Khudi" Hi Sub Kuch Hai.. "Khudi" Se Fard-O-Millat Ki Taraqqi.. Tanazzali Hai.. Khudi Ka TaHaffuz Zindagi Ka TaHaffuz Hai.. Aur Khudi Ka IsteHkaam Zindagi Ka IsteHkaam Hai..
Isi Liye UnhoN Nai Apnay Kalaam Main Khudi Ka Zikar Mukhtalif TareeqoN Se Kiya Hai..
Khudi Ka Nasheman Tiray Dil Main Hai
Falak Jis Tarah AaNkh K Til Main Hai..
-----
Qur'aan Aur Hadeec Se Saabit Hai K Qaum K A'maaloN K Mutaabiq Haakim Ya MuSeebateN Aati HaiN.. Jese A'maal HoNgay.. Wesay Haakim MileNgay..
------
Jis Tarah K Haalaat Ka HameN Saamna Hai Wo Sub Hamaari KotaahiyoN Ka Nateeja HeN..
Musharraf SaaHib Apni Kitaab Main Saaf Likh Chukay HaiN K Wo Agar 11 Sept K Baad America Ko Logistic Support Na Kartay To America Pakistan Pai Hamla Kar Deta..
Aisa Lagta Hai K Hum To Jese Koi Taaqat Rakhtay Hi Nahi.. Hum Se Achhay To Afghani, Iraaqi Aur Iraani Bhai Niklay.. Muqaabla To Kar Rahay HaiN..
Aik Fauji Honay K Naatay Musharraf SaaHib Pai Aisay Alfaaz Zeb Nahi Dete..
Lekin Un Ko To Apni Kursi Ki Parvaah Hai.. Chaahay Us K Liye Un K PaRosi Ya Apni Qaum K Loug MareN.. Ya Phir Chief Justice Samet Adliya Pai Shab-E-Maatam Bichhaayi Jaye.. :/
Yeh Koi Kum Almiya Hai K Hamaaray Mulk Ka CHIEF JUSTICE.. Insaaf K Liye Dar Ba-dar Phirta Raha.. Kabhi Rally Ki Shakal Main Isb To Lhr.. Kabhi Isb To Peshawar Etc.. Kabhi Sukkur Main Khitaab To Kabhi Faisalabad Main Khitaab !!
Jub Is Mulk Cheif Justice Ko Tiknay Na Diya To Hamaari Kiya Auqaat Hai.. ??
Saari Hamaari Hi Ghalti Hai.. :/
Agar Hum Iqbaal K TaSavvur-E-Khudi Ko Samajh Lete To Aisay Din Kabhi Dekhnay Ko Na Miltay.. Har Fard Khudi Ki Taraqqi Main Laga Rehta.. Aur Phir Fard Ki Taraqqi Se To Qaum Ki Taraqqi Hoti..
Agar Hum Main Khudii Naam Ki Koi Cheez Hoti To Hum Khud Saraapa-E-Ehtijaaj Ban Jaatay Musharraf K Haaliya (Emergency K) Iqdaam Pai..
Khudi Ki Shokhi-O-Tandi Main Kibr-O-Naaz Nahi
Jo Naaz Bhi Ho To Be-Lazzat Niyaaz Nahi..
------------
Baaqi Phir Kabhi..
Allah HameN Naik Amal Ki Taufeeq De.. Aur HameN Hamaaray Mulk Se MuHabbat Karnay Waala Banaye. (Aameen)Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..
Comment
-
Originally posted by alwaysalone View PostAabi Sahib.. Aadaab !!

Allah HameN Naik Amal Ki Taufeeq De.. Aur HameN Hamaaray Mulk Se MuHabbat Karnay Waala Banaye. (Aameen)
:clap::thmbup:
Comment
-
Originally posted by alwaysalone View PostAabi Sahib.. Aadaab !!
Iqbaal K Falsafa-E-Khudi Par Yeh Thread Dekh Kar Achha Laga..
Is Havaalay Se Main Bhi Apni Aik Post (Doosray Forum Se) YahaaN Share Karna ChaahooNga.. Jo K Iqbal K Falsafa-E-Khudi Par Mabni Aik User Ki TeHreer Pai Likhi Thhi..
--)ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Originally posted by aabi2cool View Postاوہ کچھ سمجھ بھئی آئی کہ خالی خولی بہت خوب اور اگر سمجھ آگئی ہے تو سب یہاں اقبال کے فلسفہ خودی پر کچھ نہ کچھ کلام کرو چاہے نثر میں یا پھر خود اقبال ہی کے دیگر اشعار کی زبان میں:(
Comment
Comment