Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolay to URDU...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    ye ham se kese ho gaya :blush: maazrat Xenya..aap ne pehle es baat ka ziker kiya tha. muaazrat :blush: :blush: :blush:

    aur shukria
    koi baat nahi .....koi baat nahi


    @ topic

    Urdu mey good morning ko subha bakhair kehtey hein aur good evening ko kya kehtey hein :mm:
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • Re: Bolay to URDU...!!

      Originally posted by yellowsky View Post
      koi baat nahi .....koi baat nahi


      @ topic

      Urdu mey good morning ko subha bakhair kehtey hein aur good evening ko kya kehtey hein :mm:
      As salam o alaikum

      ji jaysay good morning ko subh bakhair aur good night ko shab bakhair kehty hien aysay hee meray khyaal mien good evening ko shaam bakhair:mm:
      waysay good evening ko kabhi kisi ko kuchh kehty suna to nhi......:embarasse
      bas aatay huay salam aur jaaty huay Allah nighebaan:)

      Comment


      • Re: Bolay to URDU...!!

        hamien maloom karna hay " jal thal " ki tafseel
        hamien yeh lafz boht acha lagta hay...shayad iska ridham aysa hay ya nah jaanay kya wajah hay....to soocha k chalien ap say hee iski tafseel maloom kar layty hien...

        Comment


        • Re: Bolay to URDU...!!

          Originally posted by sumera View Post
          As salam o alaikum

          ji jaysay good morning ko subh bakhair aur good night ko shab bakhair kehty hien aysay hee meray khyaal mien good evening ko shaam bakhair:mm:
          waysay good evening ko kabhi kisi ko kuchh kehty suna to nhi......:embarasse
          bas aatay huay salam aur jaaty huay Allah nighebaan:)
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • Re: Bolay to URDU...!!

            Originally posted by sumera View Post
            hamien maloom karna hay " jal thal " ki tafseel
            hamien yeh lafz boht acha lagta hay...shayad iska ridham aysa hay ya nah jaanay kya wajah hay....to soocha k chalien ap say hee iski tafseel maloom kar layty hien...
            meyri choti si urdu lughat kaheen idher udher seyr kerney chali gai hai :hehe: warna mey zaroor is ka theek theek matlab bata deyti :khi:

            ab aap ya to meyri lughat key wapas aaney ka inteyzaar karein ya phir RUllz aur Lala ka :D
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • Re: Bolay to URDU...!!

              Originally posted by Gul-e-Lala View Post
              acha lakin ager seedha rhne den tou baqi sab ulta ho jaye ga :embarasse
              Chalein ulta he ker lein, waise bhi hum ne kabi aap ki baat taali he :embarasse
              :thmbup:

              Comment


              • Re: Bolay to URDU...!!

                Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                ham Algebra nahin hain :blush:
                aljebra itna mushkil hota he kia :embarasse
                :thmbup:

                Comment


                • Re: Bolay to URDU...!!

                  Originally posted by sumera View Post
                  hamien maloom karna hay " jal thal " ki tafseel
                  hamien yeh lafz boht acha lagta hay...shayad iska ridham aysa hay ya nah jaanay kya wajah hay....to soocha k chalien ap say hee iski tafseel maloom kar layty hien...
                  ummm hamara andaza hai k Jal kehte hain Pani ko aur jal thal kehte hain jab pani jee bher k berse.her shay ko bhigoo dey.


                  shayed Sham bakher kehte hun lakin zayada suna nahi hai es lafz k bare mein.

                  Urdu waquii apne ander bhot se naye alfaz jazab ker leti hai. wese bhi Urdu ka matlab "Lashker" jo tehra tou esi liye her tarah ki sipah mojood hai :lol wese ham ne kahin perrha tha k Urdu bazat e khud Turki zaban ka lafz hai aur esi liye Arbi, Farsi aur kisi had tak Turki k bhot se lafz Urdu ka hisa hain.

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  meyri choti si urdu lughat kaheen idher udher seyr kerney chali gai hai :hehe: warna mey zaroor is ka theek theek matlab bata deyti :khi:

                  ab aap ya to meyri lughat key wapas aaney ka inteyzaar karein ya phir RUllz aur Lala ka :D

                  aap ki lughat se hamain bhi ye khyal aya k Urdu lughat pass honi chahye. pehli he fursat mein es ka bando bast kerte hain :) aur hamara khyal hai Rulzz es Jal Thal k bate mein zayada behter bata saken ge k Shaair log es lafz ka khub estmaal kerte hain shaairy mein :)
                  "All I have learned from Life is that I know nothing."




                  Comment


                  • Re: Bolay to URDU...!!

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Chalein ulta he ker lein, waise bhi hum ne kabi aap ki baat taali he :embarasse
                    thankoo :)


                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    aljebra itna mushkil hota he kia :embarasse
                    :lol nahi aap ko ghalat fehmi ho rahi hai hamain tou mushkil ka matlab bhi nahi maloom. wese aapas ki baat hai hamain Algebra kabhi bhi mushkil nahi laga sab sawal theek kerte thay ham. haan Geometry mein zara si maar kha jate thay:khi:
                    "All I have learned from Life is that I know nothing."




                    Comment


                    • Re: Bolay to URDU...!!

                      Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                      ummm hamara andaza hai k Jal kehte hain Pani ko aur jal thal kehte hain jab pani jee bher k berse.her shay ko bhigoo dey.
                      hmm khoob
                      jee haan ji jal ka matlab aap nay bataya to hamien jal pari yaad aa gai:blush: ....matlab k 'jal' pani ko hee kehtay hien:)

                      chaloo Rullz ka intizaar karty hien wazahat k liay:embarasse
                      waysay ik aur sawaal bhi hay jo abhizehn mien aaya
                      yeh jaldarhaqeeqat kis zubaan ka lafz hay...?:cc:

                      Comment


                      • Re: Bolay to URDU...!!

                        salam u alaikum janab kaise hai sub umeed hai sub theek thaak honga

                        Comment


                        • Re: Bolay to URDU...!!

                          Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                          aap ki lughat se hamain bhi ye khyal aya k Urdu lughat pass honi chahye. pehli he fursat mein es ka bando bast kerte hain :) aur hamara khyal hai Rulzz es Jal Thal k bate mein zayada behter bata saken ge k Shaair log es lafz ka khub estmaal kerte hain shaairy mein :)
                          aur hamaray paas to pehlay hee urdu lugat mojood hay Gul-e-lala, scorpion rulzz aur yellowsky ki shakal mien:wk :blush: :blush:
                          khush rahiay:rose

                          Comment


                          • Re: Bolay to URDU...!!

                            Originally posted by شاھین View Post
                            salam u alaikum janab kaise hai sub umeed hai sub theek thaak honga
                            wa alaikum salam
                            ji sab ka to pata nhi magar humachhay hien:blush:
                            aur bolay to urdu mien khush aamdeed:)

                            Comment


                            • Re: Bolay to URDU...!!

                              Originally posted by sumera View Post
                              wa alaikum salam
                              ji sab ka to pata nhi magar humachhay hien:blush:
                              aur bolay to urdu mien khush aamdeed:)

                              hamara istiqbal karna ka boht boht shukriya ... :phool:

                              Comment


                              • Re: Bolay to URDU...!!

                                Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                                thankoo :)




                                :lol nahi aap ko ghalat fehmi ho rahi hai hamain tou mushkil ka matlab bhi nahi maloom. wese aapas ki baat hai hamain Algebra kabhi bhi mushkil nahi laga sab sawal theek kerte thay ham. haan Geometry mein zara si maar kha jate thay:khi:
                                :salam:

                                Aap ko mushkil ke matlab ka nahi pata...Hi Allah :blush: yeh to aisi baat hui ke Hitlor ko dictatorship ka nahi pata aur Einstein ko Science ka nahi pata :D Lekin ager aap chahti hein ke hum aap ki baat aankhein khool ke maan lein to hamaray paas aur koi chara nahi Aap ka Aljebra acha tha, lekin doosron ka Aljebra kabi acha nahi hua...yeh bhi aik lehaz se mathematics ka ghunda he :tauba aur is ka hal wohi ker saktay hein jo mushkil loog hotay hein, lekin aap to aisi larki he nahi hein...so me still in perplexed state of mind :embarasse
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X