Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolay to URDU...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    aap ki behna ka khyal sahi hai. ye darkhton se nikalne wala Fluid( angrezi k liye maazrat) hai aur herbal adwyat mein estmaal hota hai. jis darakht se ye hasil kiya jata hai uss ka botanical naam Cochlospermum religiosumhai :)
    hmm acha jee...thnku for info...magar yeh "Goond kateera" wahan masaloon mien kya kar raha tha......:mm:

    Comment

    • Re: Bolay to URDU...!!

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
      shop nahi dukaan :blush:

      wesay mera bawarchi khanay say aisa koi tal'luq nahi hai :cc: par lagta hai aap ki behna baja farma rahi haiN :mm:
      oh sorry....i mean...oh ho:tauba
      mera matlab hay k mien mazrat chahti hoon......shop k liay:D
      waysay hamien samajh nhi aai k iska bawarchi khaaanay say kya ta'aluq hay:mm:

      Comment

      • Re: Bolay to URDU...!!

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Yeh wo hota je jo germiyon mein hum akser Tukh-malangay ke saath mila ke jam-e-sheerein ki bootal undheel ke doodh mein daal ke pee jatay hein :blush: is se jism ke saath saath dimaag bhi thunda rehta he...aap wo packet kharediye, half chamach tukh malangay ko ziada se paani mein daaliye, phir dekhiye yeh paani pi pi ke kitna moota ho jaga he...aur jub yeh bohat moota ho jaye, phir aap is ke saath jo chahay salook ker sakti hein, mujay koi aitraaz na ho ga :blush:
        acha to aap garmiyoon mien yeh kaam karty hien:khi: ...tukh maloongay ki to samajh aati hay magar is baloongay ki samajh nhi aati k iska doodh mien kya kaam.....hah samajh aa gai...dimaag bhi thanda rehta hay:khi:
        ji mashwaray ka shukriya ...hamaray chotay bhai sahab ko hum aysay dramay karty aksar daykhty hien.....abhi kal hee sahab doodh mien rooh afza daaal k pee rahay thay aur farma rahay thay....agar is mien tukh maloonga bhi hota (jo abhi khatam hua hay) to maza he aa jata...:tauba :tauba
        Allah ap k mashwaroon say hamien mehfooz rakhay:dua

        Comment

        • Re: Bolay to URDU...!!

          Originally posted by sumera View Post
          oh sorry....i mean...oh ho:tauba
          mera matlab hay k mien mazrat chahti hoon......shop k liay:D
          waysay hamien samajh nhi aai k iska bawarchi khaaanay say kya ta'aluq hay:mm:
          dear jahan tak hamara knowledge hai es ka direct kitchen se koi link banta nahi hai. haan ye hai k bhot si internal problems(eng k liye maazrat) k ilaj k liye estmaal hota hai lakin woh bhi in combinition with some other herbs. ab ye kitchen section mein kiya ker raha tha ye ham nahi jante mager ye baat tay hai k es ka khanon mein direct estmaal nahi hota
          "All I have learned from Life is that I know nothing."

            ok dear......matlab k yeh shay hamaray matlab ki nhi

              ji han es liye k amoman es tarah k raisins khanon mein raw form mein nahi esmaal hote.
              "All I have learned from Life is that I know nothing."

              Comment

              • Re: Bolay to URDU...!!

                Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                ye Tukh Malanga nahi Gond Katira ka botanical(nabatati :lol) naam hai.
                wese naam per tabsra mazey ka hai :lol
                :tauba Ghalti se mistake ho gai, yeh akser ho jaya kerti he, jese kai baar mein apna chashma laga ke chashma dhoondta rehta hoon jo puray room mein kahin nahi milta :tauba khair mazratun.

                Tabsara mazay ka kia hona he Lala ji, us ka naam he aisa he, aap to mashallah perhi likhi hein, ghoor karein gi to pata chal he jaye ga aap ko :tauba
                :thmbup:

                Comment

                • Re: Bolay to URDU...!!

                  Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                  janab ye bhi aik achhi baat hai k bataur e faishion he sahi log kaum ka dard mehsoos tou kerte hain na :lol aap k itne lambe tabsrey se hamian aur kuch nahi tou PAYE tou zaroor yaad aa gaye hain. aik woh jo hamari Dadi Maan k zamaney k bhaare Chinyuti palang k paye thay aur aik woh jo Hamari amma ney Baqer Eid per shaheed Baqrey k banaye thay :lol
                  Aap ki mahanata, aala zarfi, door andeeshi, bareek-beeni ka mein arsa pehlay se he kail tha, ub aap ne apnay dard aur fashion ka jo haseen imtazaaj pesh kia he, Bakhuda pehlay kisi ne pesh kerne ki ehlaaki jurat nahi ki Ager beengi aankhon se dekha jaye to aap islamic sciencedaan lag rahi hein. Aap jese loogon ki is mulk mein is tarah kami he jese suger ke mareez ko insuline aur kamzoor hadiyon walay babay ko calcium ki hoti he :tauba Aap samaj rahi hein na mein kia keh raha hoon :blush:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • Re: Bolay to URDU...!!

                    Originally posted by sumera View Post
                    acha to aap garmiyoon mien yeh kaam karty hien:khi: ...tukh maloongay ki to samajh aati hay magar is baloongay ki samajh nhi aati k iska doodh mien kya kaam.....hah samajh aa gai...dimaag bhi thanda rehta hay:khi:
                    ji mashwaray ka shukriya ...hamaray chotay bhai sahab ko hum aysay dramay karty aksar daykhty hien.....abhi kal hee sahab doodh mien rooh afza daaal k pee rahay thay aur farma rahay thay....agar is mien tukh maloonga bhi hota (jo abhi khatam hua hay) to maza he aa jata...:tauba :tauba
                    Allah ap k mashwaroon say hamien mehfooz rakhay:dua
                    Theek he aainda tumhein koi mashwara nahi doon ga :lpop: ub Goond Kateera Bilkul bhi na khareedna, Ub usay Paani mein bhi bilkul na Bigoona, Aur na he ub tum isay doodh mein daal ke mazay mazay se peena aur na he Goond Kateera pi ke farhat aur thandak hasil kerna :na: Aur mein tumhein yeh bhi nahi bataon ga ke yeh good kateera goond wali barfi ke ouper istamaal hota he, tumhein kuch batanay ka faida nahi :tauba
                    :thmbup:

                    Comment

                    • Re: Bolay to URDU...!!

                      Originally posted by sumera View Post
                      oh sorry....i mean...oh ho:tauba
                      mera matlab hay k mien mazrat chahti hoon......shop k liay:D
                      waysay hamien samajh nhi aai k iska bawarchi khaaanay say kya ta'aluq hay:mm:
                      masalay bawarchi khanay maiN he to hotay haiN :cc:

                      Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                      dear jahan tak hamara knowledge hai es ka direct kitchen se koi link banta nahi hai. haan ye hai k bhot si internal problems(eng k liye maazrat) k ilaj k liye estmaal hota hai lakin woh bhi in combinition with some other herbs. ab ye kitchen section mein kiya ker raha tha ye ham nahi jante mager ye baat tay hai k es ka khanon mein direct estmaal nahi hota
                      maz'rat nahi bolay to urdu yahi to woh baat hai jis kayleay dhaga shoro kia tha :embarasse, matlab milawat na ki jaiy
                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • Re: Bolay to URDU...!!

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Theek he aainda tumhein koi mashwara nahi doon ga :lpop: ub Goond Kateera Bilkul bhi na khareedna, Ub usay Paani mein bhi bilkul na Bigoona, Aur na he ub tum isay doodh mein daal ke mazay mazay se peena aur na he Goond Kateera pi ke farhat aur thandak hasil kerna :na: Aur mein tumhein yeh bhi nahi bataon ga ke yeh good kateera goond wali barfi ke ouper istamaal hota he, tumhein kuch batanay ka faida nahi :tauba
                        :) :) :)
                        shukriya.....kuchh nah batanay k liay ...aap to sayaany ho gy ho..:)
                        waysay kya aap sachh muchh goond kateeray ko doodh mien mila k peetay ho...woh to kuchh ajeeb sa tha,....aysa to nhi tha woh to koi khaanay wali cheez lagti thi...peenay waali ..bilkul nhi....:na:

                        Comment

                        • Re: Bolay to URDU...!!

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                          masalay bawarchi khanay maiN he to hotay haiN :cc:
                          bajaa farmaaya aap nay:khi: masalay bawarchi khaanay mien hee hotay hien magar yeh masaala to hargiz nhi ...khayr ab issay jahan bhi rakhien hamari balaa say...koi farq nhi parta...humien iski haqeeqat say aagahi ho gai hay ...is dhaagay ki badoolat...aur yeh dhaaga banany k liy shukriya:)

                          Comment

                          • Re: Bolay to URDU...!!

                            Originally posted by sumera View Post
                            bajaa farmaaya aap nay:khi: masalay bawarchi khaanay mien hee hotay hien magar yeh masaala to hargiz nhi ...khayr ab issay jahan bhi rakhien hamari balaa say...koi farq nhi parta...humien iski haqeeqat say aagahi ho gai hay ...is dhaagay ki badoolat...aur yeh dhaaga banany k liy shukriya:)

                            is dhagay ki badolat ma'badolat ki kafi ijjat ho rahi hai :blush:, sab he humaray shukarguzar ho rahay haiN , wesay humaray yahan bhi yeh cheez bawarchi'khanay maiN nahi hoti.... ab isi say andaza lagaeay kay humaiN bawarchi'khanay maiN janay say kitni dilchaspi hai :lpop:, balkay aik qis'sa sunatay hain...

                            aik baar humaray ghar walay Islamabad gaiy humaiN tanha choR kar, ab janab bazar say khana lana aur khana humari aadat ban gai aik haftay kay leay... aik haftay baad jab ghar walay wapis aaiy to bawarchi khanay ka haal daikh kar unhaiN haal aanay lagay :khi:, kioN kay bazar say khana la la kar hum saray bartan kharab kar chukay thay par dhonay ki zehmat nahi ki , ab aap khud andaza lagaeay kay aik haftay tak bawarchi khanay ki safai na ho to kia haal ho sakta hai , khair jo howa so howa par dukh ki baat yeh hai amma nay to kuch na kaha par abba nay kuch kuch kaha tha ab woh kuch kuch suna nahi saktay kion kay yahan humari kuch izzat hai :blush:

                              :hehe: :hehe: :hehe:
                              kahani mazay ki hay:kr: :kr: magar yeh hamaray ghr mien bhi paysh aati rahee hay :tauba jab hamaray bhai ghar mien akaylay hoty thy to yehi karty thay....
                              waysay hayrat hay apki amma jani nay apko kuchh nahi kaha warna hamari amma jani to ik din k liay bhi kahin jaatien thien to wapas aa kar hamari khoob khabar laytien:embarasse ...halan k hum har kaam dhayaan say kartay magar phir bhi kuchh nah kuchh reh he jata tha ya galat ho jata tha ...aur phir amma kehti thien.....thori dayr k liay bhi kahin chali jaoon ghar ki haalat hee badal jaati hay:D :D :D
                              aur yeh ap k baba nay jo kuchh kuchh kaha tha ....munh say hee kaha tha na:mm: yaaa:khi: :khi:

                                yeh bhai loog hotay he aisay hain :khi:, dar'asl humaiN danday ki zuban samajh he nahi aati is leay baba nay munh say he keh dia jo kehna tha
                                That's Enough...!!

                                Comment

                                Working...
                                X