Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolay to URDU...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
    Dearoo:blush: hum koshish kertay hain batanay ki:blush: ....k "Amr bel" kya hoty hay...:wk

    "Amr bel" ..ye bel darakhton waghera per lagty hay...greenish yellow see bel hoty hay jis bhi darakht per lagay usey kha jatee hay:( ...I mean wo thoray hee arsay mein apni haryaali kho k sookh jata hay .........
    :( :( :( :( itni gandi bail hay...kohji

    thnku dear:rose ap nay boht achhay andaaz mien bataya.....thora thora to hum bhi jaantay thay....k kuchh aysa he ho ga

    magar hum mazeed jaan'na chahtay hien...is lafz ka istemaal kahan kahan hota hay...kin manoo'n (meanings) mien

    Comment

    • Re: Bolay to URDU...!!

      Originally posted by sumera View Post

      ma pleasure dear

      Umera Ahmed k novel mein is word ko Rishton ki meaning mein bhi use kiya gaya tha k Kuch Rishtay bhi Amr bel ki terha hotay hain, saath hotay hain lekin unka Hona hee insaan ko aahista aahits kha jata hay..khatam ker deta hay ya maar deta hay

      Wessay hum khud soch rahay hain k aaj kya ho gaya humein .....inni serious baatein karnay lagay hum:tauba :tauba :tauba
      Last edited by Eshaa Chaudhry; 19 April 2007, 07:00.
      sigpic

      Comment

      • Re: Bolay to URDU...!!

        Originally posted by sumera View Post
        hamien maloom karna hay k..."amr bail" ka kya matlab hay.....
        Aamir ko bail kehtay huay aap ko chammo aani chahiyein :tauba
        :thmbup:

        Comment

        • Re: Bolay to URDU...!!

          Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
          ma pleasure dear

          Umera Ahmed k novel mein is word ko Rishton ki meaning mein bhi use kiya gaya tha k Kuch Rishtay bhi Amr bel ki terha hotay hain, saath hotay hain lekin unka Hona hee insaan ko aahista aahits kha jata hay..khatam ker deta hay ya maar deta hay

          Wessay hum khud soch rahay hain k aaj kya ho gaya humein .....inni serious baatein karnay lagay hum:tauba :tauba :tauba
          thnk u dear:rose .....aap to sachh muchh sayaani hoo......(:hathora ):clap:
          kabhi kabhi serious batien bhi kar layni chahien...dimaag par asar nhi hoota:cc: ...:D

          thnks again...ap nay hamari uljhan suljhaii....khush rahiay sadaa:)

          Comment

          • Re: Bolay to URDU...!!

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Aamir ko bail kehtay huay aap ko chammo aani chahiyein :tauba

            tobah.....aap kaysay aysay mazaaq kar laytay ho...khud k saath
            boht mushkil kaam hay:embarasse

            Comment

            • Re: Bolay to URDU...!!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Aray sahib, sharm-o-heya ka packer honay ke saath saath inkesaari aur aajzri buchpan se hum mein koot koot ke bhari gai yani pehlay nahi thi phir bharnay ke liye hamein koota gaya (bailan ke saath) :blush: aur aap apnay faraiz bakhoobi seranjaam dene ki kaameyaab kooshish ker rahi hein, aik taraf hamari awaam apnay zaati faraiz se mustashna ho ke khulay aam aur khulay bazaar goom rahi he aur doosri taraf aap hein ke puri koom ka fareeza bakalam khud apnay ser pe liye anjaam de rahi hein...ager mein ne fooji wardi pehni hoti :blush: aur neechay polish huay fooji boot bhi pehnay hotay :blush: to mein zameen per eerhi maar ke aap ko salute bhi ker sakta tha :salam: aap samaj rahi hein na mein kia keh raha hon :blush:
              khanjer chale kisi pe ,tarrapte hain ham ameer
              sare jahan ka dard hamare jiger mein hai.
              aap ko nahi maloom k kaum k gham mein khurrna kaumi farz k sath sath as a Fashion bhi in hai. es liye ham ne socha k ham bhi ese he karen. wese bhi kisi ko tou barish ka pehla qatra ban'na he hai na. aur ager salami ka chabutra kahin hamare aas pass hota tou ham aap ko fauji werdi aur boot arrange ker dete salute k liye :lol aap samjh rahe hain na ham kiya keh rahe hain
              "All I have learned from Life is that I know nothing."

              Comment

              • Re: Bolay to URDU...!!

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                mein jackall :tauba i mean jack of all trade jo thehra
                :shh:BOLEY TOU URDU!!!!! aap apne aap ko her fun maula bhi keh sakte thay
                "All I have learned from Life is that I know nothing."

                Comment

                • Re: Bolay to URDU...!!

                  yahan kia ho raha hai :hhh:
                  That's Enough...!!

                  Comment

                  • Re: Bolay to URDU...!!

                    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                    yahan kia ho raha hai :hhh:
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • Re: Bolay to URDU...!!

                      jee aap bilkul baja farma rahi haiN :blush:, ab aap zara yeh to bataeay kay aap ajnabi haiN ya baRi, jo hum aap say itni sharafat say baat kar'rhay haiN :khi:
                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • Re: Bolay to URDU...!!

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                        jee aap bilkul baja farma rahi haiN :blush:, ab aap zara yeh to bataeay kay aap ajnabi haiN ya baRi, jo hum aap say itni sharafat say baat kar'rhay haiN :khi:
                        na hi mey ajnabhi hun aur na hi baRi :P balkey mey to aik Muta'bar hasti hoti hun :lol :$
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • Re: Bolay to URDU...!!

                          Originally posted by yellowsky View Post
                          na hi mey ajnabhi hun aur na hi baRi :P balkey mey to aik Muta'bar hasti hoti hun :lol :$
                          hmmmm :khi: par muta'bar nahi mau'tbar :wk
                          That's Enough...!!

                          Comment

                          • Re: Bolay to URDU...!!

                            aaj mien ik shop par gai to wahan mukhtalif masaaloon k lafafay daykhty huay ik lafafy par likha hua tha..."goond kateera"
                            ab hamien maloom karna hay k yeh kya hay
                            hamari behna kehti hay k yeh woh jo darakhtoon par goond si lagi hooti hay na woh hay...:D:
                            ab aap hee bataien yeh kya hay :)

                            Comment

                            • Re: Bolay to URDU...!!

                              Originally posted by sumera View Post
                              aaj mien ik shop par gai to wahan mukhtalif masaaloon k lafafay daykhty huay ik lafafy par likha hua tha..."goond kateera"
                              ab hamien maloom karna hay k yeh kya hay
                              hamari behna kehti hay k yeh woh jo darakhtoon par goond si lagi hooti hay na woh hay...:D:
                              ab aap hee bataien yeh kya hay :)
                              shop nahi dukaan :blush:

                              wesay mera bawarchi khanay say aisa koi tal'luq nahi hai :cc: par lagta hai aap ki behna baja farma rahi haiN :mm:
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              • Re: Bolay to URDU...!!

                                Originally posted by sumera View Post
                                aaj mien ik shop par gai to wahan mukhtalif masaaloon k lafafay daykhty huay ik lafafy par likha hua tha..."goond kateera"
                                ab hamien maloom karna hay k yeh kya hay
                                hamari behna kehti hay k yeh woh jo darakhtoon par goond si lagi hooti hay na woh hay...:D:
                                ab aap hee bataien yeh kya hay :)
                                aap ki behna ka khyal sahi hai. ye darkhton se nikalne wala Fluid( angrezi k liye maazrat) hai aur herbal adwyat mein estmaal hota hai. jis darakht se ye hasil kiya jata hai uss ka botanical naam Cochlospermum religiosumhai :)
                                "All I have learned from Life is that I know nothing."

                                Comment

                                Working...
                                X