Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolay to URDU...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    :tauba Ghalti se mistake ho gai, yeh akser ho jaya kerti he, jese kai baar mein apna chashma laga ke chashma dhoondta rehta hoon jo puray room mein kahin nahi milta :tauba khair mazratun.

    Tabsara mazay ka kia hona he Lala ji, us ka naam he aisa he, aap to mashallah perhi likhi hein, ghoor karein gi to pata chal he jaye ga aap ko :tauba
    ye chashmay lagane walon ki aik mushtrika khubi hoti hai. hamare school mein aik teacher thein aik din unn ka chashma ghum ho gaya. sari class mohim per nikli. kamrey mein kiya poore school mein dhondh li. sab logon se pooch dala. nahi mila :( aakhir thak ker jab unhon ne apney mathey per hath maara:tauba esay tou pata chala chashma tou unn k mathey per tika hua hai shayed bey-dhyani mein zara der ko ooper kiya aur bhool gayen. tab se hamare samne jab bhi koi apna chashma dhonshne ki tayari kerta hai ham usse uss ka maatha dekhne ko zaroor kehte hain :lol(ya ALLAH ye check kerne ki Urdu ne hamare 5 min zaaya ker diye):khi:

    ye sciency naam ese he hote hain. Allah bhala kare LATIN ka zaban khud tou murda ho gae hai lakin science perrhne walon ka kaam poora ker gae hai :lol
    "All I have learned from Life is that I know nothing."

    Comment

    • Re: Bolay to URDU...!!

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post

      maz'rat nahi bolay to urdu yahi to woh baat hai jis kayleay dhaga shoro kia tha :embarasse, matlab milawat na ki jaiy
      ji hamain maloom hai lakin rawan jumla nahi likh paa rahe thay na es liye esa hua :blush: lakin ainda muhtat rahen ge boley tou
      "All I have learned from Life is that I know nothing."

      Comment

      • Re: Bolay to URDU...!!

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post

        is dhagay ki badolat ma'badolat ki kafi ijjat ho rahi hai :blush:, sab he humaray shukarguzar ho rahay haiN , wesay humaray yahan bhi yeh cheez bawarchi'khanay maiN nahi hoti.... ab isi say andaza lagaeay kay humaiN bawarchi'khanay maiN janay say kitni dilchaspi hai :lpop:, balkay aik qis'sa sunatay hain...

        aik baar humaray ghar walay Islamabad gaiy humaiN tanha choR kar, ab janab bazar say khana lana aur khana humari aadat ban gai aik haftay kay leay... aik haftay baad jab ghar walay wapis aaiy to bawarchi khanay ka haal daikh kar unhaiN haal aanay lagay :khi:, kioN kay bazar say khana la la kar hum saray bartan kharab kar chukay thay par dhonay ki zehmat nahi ki , ab aap khud andaza lagaeay kay aik haftay tak bawarchi khanay ki safai na ho to kia haal ho sakta hai , khair jo howa so howa par dukh ki baat yeh hai amma nay to kuch na kaha par abba nay kuch kuch kaha tha ab woh kuch kuch suna nahi saktay kion kay yahan humari kuch izzat hai :blush:
        ye aik esi khubi hai jo sab bhayun mein baderja utam pae jati hai.hamare chhote bhae ne apni uni(jamia :blush:) k pass gher liya hua hai jahan woh apne aik dost k sath rehte hain. aik din hamain un ki lib se kuch kitaben leni thein tou ham pehli baar un k sath un k flat(gher :blush:) gaye. MASHALLAH aap k bayan kerda halaat se milte julte haalat thay wahan bhi. halanke woh bazar se khana nahi late phir bhi :lol. unn k dost tou uni mein thay lakin jo haal tha bawerchi khaney ka aur baqi gher ka hamare 2 ghante lag gaye cheezen sambhalte. aur woh janab kehte rahe aap na karen na kyun k hamain (un ko aur un k dost ko) 3-4 dino k baad josh aata hai aur ham her cheez saleeqey se rakh lete hain agla aik hafta aaram se guzer jata hai:khi:ham ne bhi aap k baba ki tarah unn ki khub dhulae ki :lol mazeed dhulaae hui un ki jab hamare barrey bhyya Pak se wapsi per unn k pass aik hafta rahe. aik hafte mein ye haal ho gaya k "jangle ka jangle hara ho gaya" :khi:
        "All I have learned from Life is that I know nothing."

        Comment

        • Re: Bolay to URDU...!!

          Originally posted by sumera View Post
          :) :) :)
          shukriya.....kuchh nah batanay k liay ...aap to sayaany ho gy ho..:)
          waysay kya aap sachh muchh goond kateeray ko doodh mien mila k peetay ho...woh to kuchh ajeeb sa tha,....aysa to nhi tha woh to koi khaanay wali cheez lagti thi...peenay waali ..bilkul nhi....:na:
          aap pair khaiye aam na giniye :khi: aik musalsal seyaana aur lagataar zaheen bunda aap ko yeh mashwara de raha he, baki aap ki merzi isay khaiye ya is ka surma bana ke aankhon mein daaliye :khi:
          :thmbup:

          Comment

          • Re: Bolay to URDU...!!

            Originally posted by Gul-e-Lala View Post
            ye chashmay lagane walon ki aik mushtrika khubi hoti hai. hamare school mein aik teacher thein aik din unn ka chashma ghum ho gaya. sari class mohim per nikli. kamrey mein kiya poore school mein dhondh li. sab logon se pooch dala. nahi mila :( aakhir thak ker jab unhon ne apney mathey per hath maara:tauba esay tou pata chala chashma tou unn k mathey per tika hua hai shayed bey-dhyani mein zara der ko ooper kiya aur bhool gayen. tab se hamare samne jab bhi koi apna chashma dhonshne ki tayari kerta hai ham usse uss ka maatha dekhne ko zaroor kehte hain :lol(ya ALLAH ye check kerne ki Urdu ne hamare 5 min zaaya ker diye):khi:

            ye sciency naam ese he hote hain. Allah bhala kare LATIN ka zaban khud tou murda ho gae hai lakin science perrhne walon ka kaam poora ker gae hai :lol
            Aap ki teacher ke baray mein sun ker meri to aankhon mein aansu aa gaye :lol aur us per aap jese taabeedaar shagird...jinhon ne na kabi teacher ko nazar utha ke he nahi dekha ke kahin ser pe moojood chashma he nazar na aa jaye :kr:

            Latin zuban walon ne to aap jese bohat se masoom loogon se badla le liya, lekin aap fiker na karein, mein aap ka badla un se zaroor loon ga...mein un ke liye bohat ziada mehnat ker ke, din raat aik ker ke, urdu zubaan mein science ke mazameen likhon ga ta ke wo unhein perh he na sakein
            :thmbup:

            Comment

            • Re: Bolay to URDU...!!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              aap pair khaiye aam na giniye :khi: aik musalsal seyaana aur lagataar zaheen bunda aap ko yeh mashwara de raha he, baki aap ki merzi isay khaiye ya is ka surma bana ke aankhon mein daaliye :khi:
              hmmm....khaanay ka to iraada nhi hay aur surma hum lagaatay nhi hien
              haan albatta sayaanay banday ko beenaai tayz karnay k liay iski zaroorat ho gi:khi:
              agar kehty ho to surma bana k parcel kar doon:mm:

              Comment

              • Re: Bolay to URDU...!!

                hum nay parha tha kahin...."aap boht shusta(shasta) urdu bolty hien"
                shasta ka kya matlab hay...?

                Comment

                • Re: Bolay to URDU...!!

                  Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                  ji hamain maloom hai lakin rawan jumla nahi likh paa rahe thay na es liye esa hua :blush: lakin ainda muhtat rahen ge boley tou
                  :na:

                  Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                  ye aik esi khubi hai jo sab bhayun mein baderja utam pae jati hai.hamare chhote bhae ne apni uni(jamia :blush:) k pass gher liya hua hai jahan woh apne aik dost k sath rehte hain. aik din hamain un ki lib se kuch kitaben leni thein tou ham pehli baar un k sath un k flat(gher :blush:) gaye. MASHALLAH aap k bayan kerda halaat se milte julte haalat thay wahan bhi. halanke woh bazar se khana nahi late phir bhi :lol. unn k dost tou uni mein thay lakin jo haal tha bawerchi khaney ka aur baqi gher ka hamare 2 ghante lag gaye cheezen sambhalte. aur woh janab kehte rahe aap na karen na kyun k hamain (un ko aur un k dost ko) 3-4 dino k baad josh aata hai aur ham her cheez saleeqey se rakh lete hain agla aik hafta aaram se guzer jata hai:khi:ham ne bhi aap k baba ki tarah unn ki khub dhulae ki :lol mazeed dhulaae hui un ki jab hamare barrey bhyya Pak se wapsi per unn k pass aik hafta rahe. aik hafte mein ye haal ho gaya k "jangle ka jangle hara ho gaya" :khi:
                  :khi: yeh to such hai kay ziadah tar aisay he hotay hain, dar'asl hum loog bohot takhleeqi zehen kay hamil hotay hain :blush: hum say koi kaam he nahi hota jab tak phailawa na karaiN
                  That's Enough...!!

                  Comment

                  • Re: Bolay to URDU...!!

                    Originally posted by sumera View Post
                    hum nay parha tha kahin...."aap boht shusta(shasta) urdu bolty hien"
                    shasta ka kya matlab hay...?
                    shusta kehtay hain nastaleeq ko :blush:, yani aap bohot nastaleeq urdu boltay hain :lpop:..
                    ab nastaleeq ka matlab lala jee batain gee :khi:
                    That's Enough...!!

                    Comment

                    • Re: Bolay to URDU...!!

                      Originally posted by sumera View Post
                      hmmm....khaanay ka to iraada nhi hay aur surma hum lagaatay nhi hien
                      haan albatta sayaanay banday ko beenaai tayz karnay k liay iski zaroorat ho gi:khi:
                      agar kehty ho to surma bana k parcel kar doon:mm:
                      meri beenai bohat tez he...aik baar kharbooza kaat diya tha beenai se is liye mujay apnay kaanon mein surma nahi lagana :tauba
                      :thmbup:

                      Comment

                      • Re: Bolay to URDU...!!

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                        shusta kehtay hain nastaleeq ko :blush:, yani aap bohot nastaleeq urdu boltay hain :lpop:..
                        ab nastaleeq ka matlab lala jee batain gee :khi:
                        :slap: ( :blush: ) ab hamien nastaleeq ka matlab maloom karnay k liay lala jee ka intizaar karna paray ga:embarasse
                        aa jaoo lala jee k hamari kashti kinaaaray lagay

                          Aap ghalt Urdu kyun seykha rahey hien
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • Re: Bolay to URDU...!!

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Aap ki teacher ke baray mein sun ker meri to aankhon mein aansu aa gaye :lol aur us per aap jese taabeedaar shagird...jinhon ne na kabi teacher ko nazar utha ke he nahi dekha ke kahin ser pe moojood chashma he nazar na aa jaye :kr:

                            Latin zuban walon ne to aap jese bohat se masoom loogon se badla le liya, lekin aap fiker na karein, mein aap ka badla un se zaroor loon ga...mein un ke liye bohat ziada mehnat ker ke, din raat aik ker ke, urdu zubaan mein science ke mazameen likhon ga ta ke wo unhein perh he na sakein
                            :lol achi mansooba bandi hai badla lene ki lakin kyun k aap bhi aik Party k serbrah hain es liye Wa'adey k poora hona zara mashkook lag raha hai :khi:
                            "All I have learned from Life is that I know nothing."

                            Comment

                            • Re: Bolay to URDU...!!

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                              :na:

                              :khi: yeh to such hai kay ziadah tar aisay he hotay hain, dar'asl hum loog bohot takhleeqi zehen kay hamil hotay hain :blush: hum say koi kaam he nahi hota jab tak phailawa na karaiN
                              kiya kehne Takhleeqi zehno k. wese yahan aap ko kehna chahye tha. "ham KO koi kaam he nahi hota phailawa kerne k ILAWA" :lol

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                              shusta kehtay hain nastaleeq ko :blush:, yani aap bohot nastaleeq urdu boltay hain :lpop:..
                              ab nastaleeq ka matlab lala jee batain gee :khi:
                              ye tareef hai kiya hamari Urdu dani ki :hhh: ya :blush:
                              "All I have learned from Life is that I know nothing."

                              Comment

                              • Re: Bolay to URDU...!!

                                Originally posted by sumera View Post
                                :slap: ( :blush: ) ab hamien nastaleeq ka matlab maloom karnay k liay lala jee ka intizaar karna paray ga:embarasse
                                aa jaoo lala jee k hamari kashti kinaaaray lagay

                                ham yahin hain na Sumera dear. jahan tak hamara ilm kehta hai Shusta Urdu bolnay ka matlab hai bhot saaf lehje mein Urdu bolna...ab phir Rulez aitraz karen ge :blush: lakin hamain sahi samjh nahi aa rahi kese wazahat karen..Shusta ko aap Pure ya Neatness k maane mein le sakte ho jese Lakhnow walon ki misal di jati hai Shusta urdu bolne k liye.. yani zaban bolne k tamam asoolon per amal kiya jata hai.
                                jab k Nastaleeq ko aasan lafzon mein keh sakte hain Gharri urdu. jis mein ham bhari bherkam Saqeel qisam k lafz istmaal kerte hain.

                                Shusta aur Nastaleeq mein farq ye hai k shusta aik saad se rawan lehje ko kehte hain..
                                * ye hamara mehdood ilm kehta hai lakin ham kisi Urdu daan se bhi es ki tasdeeq kerwaen ge jald he

                                Working...
                                X