Re: 'Express yourself'
To iska matlab hai keh shareef insaan ko jab tang kiya jaey to woh bhi gali galooch per utar aaey? Awal to yeh baat hi insaniyat key khilaf hai keh insaan apney saber ka daman torr dey aur taish mein aa jaey.... main aap ko aik film ki kahani sunata hoon...
Sweden Television per Iran ki aik 25-minut ki film dikhaii gaii thi. Film mein Djengiz Khan ki fauj key 2 sipahi tabahiyaan kartey huwey aik weeraney ki taraf chaley gaey, wahan per aik darwaish ko aik drakht key neechey apney aap mein sudh'budh dekha - un sipahiyon ney us darwaish ko bhi na bakhsha aur us per zulm torrney shuru kar diyey - magar darwaish apni duniya mein magan raha aur aik laft tak na kaha - na talwaron key war sey aah tak na ki - kaii ghanton ki is chherr'chhar key baad woh dono sipahi aapis mein larrney lagey - larrtey larrtey dono ney aik doosrey ko halaak kar diya - is per woh darwaish utha aur raqs mein mehw ho geya - hasil kalaam yeh keh sabar sey badi fatah koi nahin - agar yeh log apni burdbari ko chhorr ker gali galooch karney per tul aaein to inhein koi fatah nahin ho gi...
Originally posted by munda_sialkoty
View Post

Comment