Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

    aanchal sister bohat acha topic hai....mai is bare mai yehi kahoongi kai...mai ne jaha taleem haasil ki waha to her tarah se larkou kai bijh mai hi taleem haasil kerni thi. yaha tak kai outdoor kai programes bih hua kerte the...lekin allah kai fazal se abih aisea koi Masla mere liye nahi hua...
    Mere college mai larkou ko yeh maloom tha kai mere saath kis tarah se baat ker saktey hain aur kis tarah se Nahi....wo muslims nahi the , akser muslims bih the...lekin kabih kisi ne mere pardeh per yaa kisi aur maamle mai aitraaz nahi kiya aur nahi koi muskil ki .
    iss per inshallah tafseel se mazeed likhoongi.
    :)

    Comment


    • #17
      Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

      Originally posted by aroosa
      aanchal sister bohat acha topic hai....mai is bare mai yehi kahoongi kai...mai ne jaha taleem haasil ki waha to her tarah se larkou kai bijh mai hi taleem haasil kerni thi. yaha tak kai outdoor kai programes bih hua kerte the...lekin allah kai fazal se abih aisea koi Masla mere liye nahi hua...
      Mere college mai larkou ko yeh maloom tha kai mere saath kis tarah se baat ker saktey hain aur kis tarah se Nahi....wo muslims nahi the , akser muslims bih the...lekin kabih kisi ne mere pardeh per yaa kisi aur maamle mai aitraaz nahi kiya aur nahi koi muskil ki .
      iss per inshallah tafseel se mazeed likhoongi.

      :)
      Ji aisa hi hota hai aroosa...lekin wo conservative mind wale log naa mante hain naa haqiqat jaante haiN...
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #18
        Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

        aaj se kuch saal pehle mai yeh dua kiya kerti thi kai kaash maira school aur college larkou kai saath naa ho.....mai apne aap ko ziada free mehsoos kerti.......lekin kabih sochti hoon acha hua jo larko kai saath hi taleem haasil ki...Iss tarah se mujhe Larkou ka saamna kerna bih agaeya ...aur unse her tarah se muqabla kerna bih......... mere nazdeek ager tarbiyaat aur apni shksiyaat ITni mazboot ho...to kabih KOI bih masla nahi asaakta...aur khaas tor per jaab Khuda tallah kai Fazal maanga jaey.......:)

        Comment


        • #19
          Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

          hmm coll topic,,,,,,,,,mei to khud hi aise school aise college aur aise univeristy mei parhhoun.....lekin woh is liye kjunke is mulaq mei har jeez co hoti hai hahahaha.........yahan ke muashre mei aur wahan ke muashre mei bohat farq.......lekin jaise admin ne kaha hai,,,,ke apna aap sahi hona cahiye to phir koi problem nahi hogi.......

          Comment


          • #20
            MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

            Assalam-o-Alikum pegham.net!!!

            Mera aj ka topic buhat common hai or iss per thoori discussion honi chahiye becoz it deals with youth…n their career….!

            Co-education ko ap kis nazarye se dekhte hain?
            Kia apk khiyal mai co-education Islamic society k liye nuqsaan-de hai ya iska hoona koi ghalat baat nahi.

            Apne replies mai reasons zaror dijiye ga k either u like co-edu or not…….y n y not?

            Kia co-edu hamari society mai bura asar dal rahi hai ya nahi?
            Wo institutions jo co hain or jo separate hain un mai kia farq hai…

            Waiting 4 ur precious rai!
            KHUSH RAHIYYE

            WASALAM!

            Comment


            • #21
              Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

              Acha mOzo hay Barish main apne comments le kar aaon ga InshAllah :)
              Allah

              Comment


              • #22
                Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                Nice
                G main to co.education k Hak main hun
                kiun k main ny co education kee hay
                ..........................
                1 sab sy pehly to pakistan main to es k buhat hee faidy hain
                aik to yeh k es gharib mulak main buhat hee kam institute hay jo k alag alag hun male aur female k liy.....
                to yehan aik kee college main taleem huny chayee
                2
                kiun k female zra imaginative huti hain un sy hum new new idiaz b ly sakty hain
                3 mukably ka ruhjan paida huta hay...

                4 aur last main sab sy aham
                hamra islamic socity b es kee ejazat daita hay heeran hain na kaisy
                wo aisy k
                1400 sall pehly Jang main mardoon k shanabashana female ny jang lari hay
                aur sutdent k qalam kee siyahii shaheed k khoon sy ziyada afzal hay
                to aurtain mardon k sath jang larr sakti hay mil ker to kia taleem nahi hasal ker sakti
                aur baakee
                burra zehan her jaga huta hay
                .....................................
                main to co education ko hee prefer kronga

                Comment


                • #23
                  Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                  I am totally against of your thoughts,

                  Jab Pegham shuru shuru mein aaya tha to issi tarah ka related subject tha mujhe yaad nahi aa raha hai, shayad Aanchal ji ka start kiya huwa thread tha,
                  aap search karen wahan answer mil jayega

                  Co ed kisi bhi ma'eyne mein bura nahin hai balke co ed se qualified boys girls ek kaamyab mentality ka personality hota hai, kahin bhi job talash karney ya self settle honey mein ussey koi dushwari nahin hoti hia, unka thinking deegar logon (students) ke comparatively higher hota hai.
                  personal experience
                  Maine 8th standard tak Co ed mein padha, saath hi 4 years ka co ed public school (MRB Public School, Delhi) mein teaching bhi kiya.
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • #24
                    Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                    Aayie Co Education ke fayede ginwata hoon,

                    1.) Aaj puri duniya mein co education hai, jahan nahin hai (as mainly reason of obstacle is Islam) wahan ka education standard globally bahut low hai. exampale Middle East.
                    2.) Co ed schools mein bhejne wale students ke parents bhi qualified hotey hian, unhen regular students ke status se update kiya jata hai, parents bhi bahut attentive and active hotey hain
                    3.) Co ed mein chunke monthly fees deni padti hai, iss liye coparatively Govt. School ke students se Co ed ke students 1000 times better hotey hain, aur teachers they are punctual, active, attentive, inspiring, homely, caring, loving and friendly behave, iss liye students aur teachers mein koi deewar nahin hota, students behichak problem pucchhtey hain, jisk solve karna teachers ka DUTY hota hai, kyon ke unn teachers ke uper bhi kisi ka monitor hota hai, controled by some one.
                    4.) Co ed mein students ke problems ko baareek bini se dekha jaata hai, parents ke complains bareek bini se dekha jaata hai, uske feed back within time hota hia
                    5.) Co ed mein dull students ke uper special care hota hai, special class lagayi jati hai.
                    6.) Advance technology, yaa alag alag ways se students mein taalim di jaati hai.
                    7.) and many more.

                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment


                    • #25
                      Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                      Boys and Girls mein competition ke jazbaat jaagtey hain, ek dusrey ko peechhey chhorney ke liye deeply study kartey hian jiska result bahut hi achha hota hia.
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • #26
                        Re: Apka Khiyaal About Co-Education?


                        HMMMMMMMMM
                        NICE TOPIC HAI.....
                        1. CO-EDUCATION SAI THOUGHTS MAIN WUS-AT AATI HAI....
                        2. COMPETITION KI WAJAH SAI INTEREST BARHTA HAI.... (DEPENDS ON TEACHERS AS WELL)
                        3. CONFIDENCE DEVELOP HOTA HAI.

                        BAQI BURAY ACHAY LOG HAR JAGAH HOTAY HAIN.....

                        CHIPKOOOOOOOOOOOO

                        Comment


                        • #27
                          Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                          Originally posted by Spy009
                          Boys and Girls mein competition ke jazbaat jaagtey hain, ek dusrey ko peechhey chhorney ke liye deeply study kartey hian jiska result bahut hi achha hota hia.
                          nice thoughts:phool:

                          Comment


                          • #28
                            Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                            Originally posted by Withoutsoul

                            HMMMMMMMMM
                            NICE TOPIC HAI.....
                            1. CO-EDUCATION SAI THOUGHTS MAIN WUS-AT AATI HAI....
                            2. COMPETITION KI WAJAH SAI INTEREST BARHTA HAI.... (DEPENDS ON TEACHERS AS WELL)
                            3. CONFIDENCE DEVELOP HOTA HAI.

                            BAQI BURAY ACHAY LOG HAR JAGAH HOTAY HAIN.....
                            nice thinking:masha

                            Comment


                            • #29
                              Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                              co-education..........
                              i think humein co-education ko incourage nahi karna chahiye.
                              hum jis maashrey mein pale badhe hai wahan per ladkey or ladkiyon ke liye alag alag hoodod or qwanin hai. phir sub se badh kar fitarat ne marad or aurat ke bich jo kashish rakhi woh darasal ek ghar takhlikh karney ke liye ideal hai bus agar aap behtarin ghar takhlikh karna chahtey hai (jo hamari masharati zindagi ka sooton hai) tu aap ko mard or aurt keh har chor raste ki nafi karni chahiye. lakin is keh bajay hum or aap kya karte hai????????
                              hum jalti hoi aag per tail daltey hai or saath bachao bachao keh nare lagate hai or koi bewaqoof bhi hamein bachane nahi aata.
                              i think mein ne apni baat kafi clear kardi hai.
                              (this words are not my own words. kafi time pehle kahi padhey jo mere khayalat ki akkasi kar rahe hai)

                              Comment


                              • #30
                                Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                                Originally posted by ummid
                                co-education..........
                                i think humein co-education ko incourage nahi karna chahiye.
                                hum jis maashrey mein pale badhe hai wahan per ladkey or ladkiyon ke liye alag alag hoodod or qwanin hai. phir sub se badh kar fitarat ne marad or aurat ke bich jo kashish rakhi woh darasal ek ghar takhlikh karney ke liye ideal hai bus agar aap behtarin ghar takhlikh karna chahtey hai (jo hamari masharati zindagi ka sooton hai) tu aap ko mard or aurt keh har chor raste ki nafi karni chahiye. lakin is keh bajay hum or aap kya karte hai????????
                                hum jalti hoi aag per tail daltey hai or saath bachao bachao keh nare lagate hai or koi bewaqoof bhi hamein bachane nahi aata.
                                i think mein ne apni baat kafi clear kardi hai.
                                (this words are not my own words. kafi time pehle kahi padhey jo mere khayalat ki akkasi kar rahe hai)
                                Dear Umm
                                Choar rasty her jaga huty hain
                                jehan na b hun wohan b banay ja sakty hain...
                                ager hum co eduction k es liy khilaf hain k mard aur aurat koi khair ekhlaqi herkat na ker dain
                                to yeh baat theek nahi hay......
                                jehan coeducation nahi wohan b yeh sab kuch huta hay



                                waisy aap kee baat ny b kafee akasi kee hay:cc:

                                Comment

                                Working...
                                X