Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by Gul View Post
    aap ka Pehla sher Kuch ghalat hai oss Ko theek kijay na..:):khi:
    Aap keejiye na :blush:
    :thmbup:

    Comment


    • #47
      Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

      Wow Team A going So Well

      Comment


      • #48
        Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

        Originally posted by danicool82 View Post
        Wow Team A going So Well
        aap loogon mein aik cheez bari zabardast dekhi he, bagair perhay comments bohat dete ho :khi:
        :thmbup:

        Comment


        • #49
          Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

          Chalein aap Nay kahin Tu Kuch mana...anyway Aap K SO CALLED DALAIL hee itnay mutashir thay K Onn ka jawab rabt mein deynay Ki koshish ki gai...
          Aap yun karein Mr.Munda jee k...MOunh B Otha keh Aur zara Nazar Jhuka K parheinn k jawabta ayn Ossi Istelah mein diyay gay hein ..Jin Ko wazahat Aaap nay jiss tarah Se talb ki thee apnay typical andaz mein ...baqi Har janay wali baat tu Hum nay pehlay hee alag rakhi thee ..:) hum Paspa nahi hotay ..
          Bass Kisi Ki ghalat baat sunn nahi na saktay Ki kariyay :)
          Last edited by Gul; 13 April 2007, 20:26.

          Comment


          • #50
            Last edited by Gul; 13 April 2007, 20:25.

            Comment


            • #51
              Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

              Hum Ko chahiyay K hum Zatiyat se hutt kar baat karein ...Team A mein aap se request karoon gee :) K Aap Jaisa ...Respectfully behave kar rahay hein waisy hee rahiyay :) May Allah bless U ppl..ameen

              Comment


              • #52
                Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                Originally posted by Gul View Post
                Hum Ko chahiyay K hum Zatiyat se hutt kar baat karein ...Team A mein aap se request karoon gee :) K Aap Jaisa ...Respectfully behave kar rahay hein waisy hee rahiyay :) May Allah bless U ppl..ameen
                :D
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #53
                  Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                  Originally posted by Gul View Post
                  Chalein aap Nay kahin Tu Kuch mana...anyway Aap K SO CALLED DALAIL hee itnay mutashir thay K Onn ka jawab rabt mein deynay Ki koshish ki gai...
                  Aap yun karein Mr.Munda jee k...MOunh B Otha keh Aur zara Nazar Jhuka K parheinn k jawabta ayn Ossi Istelah mein diyay gay hein ..Jin Ko wazahat Aaap nay jiss tarah Se talb ki thee apnay typical andaz mein ...baqi Har janay wali baat tu Hum nay pehlay hee alag rakhi thee ..:) hum Paspa nahi hotay ..
                  Bass Kisi Ki ghalat baat sunn nahi na saktay Ki kariyay :)
                  We better let the jurry decide in their own style :) behas baraye behas se na kabi koi positive output nahi nikla he :)

                  Still i would ask u to clarify this statement "buniyadi zarooraton ka fukdaan shaoori he". Still i couldn't extract any sense out of this ambiguous statement. Ji shaoor ko mein achi tarah samajta hoon. Aap ko shaoor ki explanation chahiye to mein zaroor doon ga...aik baat bataiye jub aap ko choot lagti he to aap ko derd to hota ho ga na...aap us derd ki explantion ker sakti hein...aap derd ko explain keejiye phir inshallah mein shaoor ko explain kerta hon :)

                  Originally posted by Gul View Post
                  Hum Ko chahiyay K hum Zatiyat se hutt kar baat karein ...Team A mein aap se request karoon gee :) K Aap Jaisa ...Respectfully behave kar rahay hein waisy hee rahiyay :) May Allah bless U ppl..ameen
                  Well, you may find me a bit aggressive but still i feel i am not as much as many ppl think of me...its my style, this is how i explain the things...ofcourse we also want to keep the spirit of this debate alive :thmbup:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #54
                    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                    Originally posted by yellowsky View Post
                    :D
                    :blush:
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #55
                      Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                      Asalam alaikum again!





                      Deyhat mey aaj bhi log seyhat mand zindagi guzaar rahey hein us ki waja
                      • saaf suthri Hawa
                      • chashmoN ka saaf paani
                      • Taza khaurak
                      • Milawat sey paak doodh:khi:
                      in ki seyhat ka raaz is baat mey bhi hai key Deyhat mey rehney waley aaj agar bohot si sahooliyat sey faida uthatey hein to us key sath wo apney Hathon sey kaam kertey hein, wo log bilkul bhi machinoN pey depend nahi kertey hein.....iss tarhan un ki warzish bhi hoti rehti hai jo key seyhat mandana zindagi ki zamanat hai

                      is key barak's Shehar mey rehney walon ka dawa hai key wo aik civilized zindagi guzaar rahey hein, un ki technology mey barhti hui taraqi inteyha ko phonch gai hai, aur heyrat to iss bat ki hai key wo khoob sey khoob tar ki talash mey Chaand pey phonch gaye hain aur apni Zameen ko bhool gaye??? kya aeysa nahi hai? Aap sheyhar waley kya guarantee dey saktey hein agley kuch saalon ki? aap log apni aaney wali nasslon key liye kya Chaur key ja rahey hein? Sheyhar mey Zindagi aik machini zindagi hai, ye log itney araam talab ho gaye hein key agley kuch saalon mey in logon ko Khana chabaaney aur nigalney key liye bhi kisi machine ki zaroorat ho gi.:khi: ...aur bohot mumkin hai key aik aeysi machine jald ejaad bhi ho jaye!!!

                      Aihsaas-e-muraw'wat ko kuchal detay haiN Aa'lat,,
                      Hai dil kay leay Maut, mashinoN ki Hakumat
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #56
                        Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                        Wow Yellowsky zabardast Keep it up

                        Comment


                        • #57
                          Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                          :)
                          Attached Files
                          That's Enough...!!

                          Comment


                          • #58
                            Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                            Nice Bro Mashallah
                            Keep it Up

                            Comment


                            • #59
                              Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                              Originally posted by yellowsky View Post
                              Asalam alaikum again!





                              Deyhat mey aaj bhi log seyhat mand zindagi guzaar rahey hein us ki waja
                              • saaf suthri Hawa
                              • chashmoN ka saaf paani
                              • Taza khaurak
                              • Milawat sey paak doodh:khi:
                              in ki seyhat ka raaz is baat mey bhi hai key Deyhat mey rehney waley aaj agar bohot si sahooliyat sey faida uthatey hein to us key sath wo apney Hathon sey kaam kertey hein, wo log bilkul bhi machinoN pey depend nahi kertey hein.....iss tarhan un ki warzish bhi hoti rehti hai jo key seyhat mandana zindagi ki zamanat hai

                              is key barak's Shehar mey rehney walon ka dawa hai key wo aik civilized zindagi guzaar rahey hein, un ki technology mey barhti hui taraqi inteyha ko phonch gai hai, aur heyrat to iss bat ki hai key wo khoob sey khoob tar ki talash mey Chaand pey phonch gaye hain aur apni Zameen ko bhool gaye??? kya aeysa nahi hai? Aap sheyhar waley kya guarantee dey saktey hein agley kuch saalon ki? aap log apni aaney wali nasslon key liye kya Chaur key ja rahey hein? Sheyhar mey Zindagi aik machini zindagi hai, ye log itney araam talab ho gaye hein key agley kuch saalon mey in logon ko Khana chabaaney aur nigalney key liye bhi kisi machine ki zaroorat ho gi.:khi: ...aur bohot mumkin hai key aik aeysi machine jald ejaad bhi ho jaye!!!

                              Aihsaas-e-muraw'wat ko kuchal detay haiN Aa'lat,,

                              Hai dil kay leay Maut, mashinoN ki Hakumat
                              Sub se pehlay to mein apnay aap se afsoos karon ga ke jo points mein ne likhay aap mein se kisi ne nahi perhay. aisa lagta he bolnay walay sub hein sunanay wala koi nahi :tauba lagta he kuch baatein phir repeat kerni parein gi :tauba

                              Aap ne kaha dehaat mein loog sehat mund zindagi guzaar rahay hein, aisa aap soochti hein unhein peenay ke liye chashmon ka saaf paani muyasar he.

                              Chalein mujay aik dehaat ka naam bataein jahan koi chashma phoot'ta ho :khi: Aap dehaaton ko Nanga perbat, gashaproom, tirchmir aur K2 mein basa rahi hein kia :khi: dehaaton mein chashmay nahi joohar hotay hein :comfort: aur akser us stinking water se gestrointestinal desease, diarrhea, Tuberculoses, buchon ke pait mein flatworm, aur bhi ganday paani se jo deases hoti hein pheelti hein, shehron mein ghar ghar mein loog filtered water peetay hein, aur is ganday paani ki kai beemaariyon se buchay rehtay hein. Pichlay dinon karachi ke kareeb aik dehaat mein aaluda paani peenay se seenkron loog hospital mein ja pohanchay aur kai to survive bhi na ker sakay. So make it very clear, shehron mein jo pani hota he wo insaani sehat ke liye ziada mufeed he.

                              Shehron mein dhoodh aap ko packing mein mil jata he, saaf suthra khalis dooodh, khooliye aur istamaal keejiye :khi:

                              Aap ne taza khuraak ki baat ki...subziyaan gaoon ke loogon ko easily available hoti hein, acha he ke wo khatay hein, lekin mein ne to yeh bhi dekha he ke dehaaton mein loog kai kai maheenay tak goosht nahi kha paatay, yeh financial reason ki waja se ya aur kisi waja se ho sakta he...lekin aaj ki medical science kehti he ke insaani body ko 22 kism ke amino acids chahiye hotay hein, sabziyon mein sirf 8 kism ke hotay hein jub ke meat product mein yeh 22 amino acids hotay hein, lehaza sheher ke loog enriched protein diet ziada letay hein. gaoon mein aap ko sookhay sookhay loog aur buchay dikhein ge, lekin sheher mein aap ko gool gool red red buchay milein ge :khi: such keh raha hon ke jhoot zaroor batana :khi:

                              Jin loogon ko insaaniyat ki itni perwaah he aur jo insaan ke liye chand pe ja pohanchay hein, wo zameen ko kyoon ker bhoolein ge...aap jis computer pe beth ke PG visit kerti hein, yeh bhi unhi loogon ne banaya he, gaoon ke loog to aap ko sirf sabzi aur doodh ke ilawa kuch nahi dete, baji jo kuch bhi aap ko milta he wo sheher ke loog dete hein...aik to aap ko bhoolnay ki bari aadat he :tauba

                              Jesa ke mein ne pehlay bhi kaha...jo sust loog hotay hein wo haath se kaam kerte hein, aur jo chust loog hotay hein aur wo dimaag se kaam kerte hein...aap mujay yeh bataiye ke mathematics perhna ziada mushkil he ya bakriyaan charana :khi: lehaza...yeh aap maan jaiye ke gaoon ke loog apnay haathon se kitna he kaam kyon na karein wo sheher ke loogon jese chust nahi ho saktay, aur itnay zaheen aur hazir dimaag nahi ho saktay...jism ki warzish ki aap baat kerte ho to sheher mein gymnasiam banay hein, loog parks mein ja ke joging kerte hein, apnay sabi kaam kerte hein her kaam mein aik balance aur symetry maintain rakhtay hein lekin gaon ke loog aur sehni warzish, door door tak koi taaluq nazar nahi aata :lpop:

                              ager mujay bukhaar na chahra hota, aur me easy hota to mein aur bhi bohat kuch likh sakta tha
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #60
                                Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                                scorpio miyaan tu khud gaon ke loogon ko jahil keh raha he, ub mein aur kia kahon :blush: tu ne ashfaq ahmad ki kitaab se jo iktabaas liya he wo yahan pe ziada fit nahi hua :hehe:

                                Aik baat aap apnay dimaag mein bitha lein technology hergiz buri nahi hoti, us ka ghalat istamaal bura hota he. Aap churi se sabzi kaat'tay ho, usi se kisi ko halaak bhi ker saktay ho, to kia churi banana bund ker diya jaye.

                                TV pe aap HBO dekho gay to lagay ga ke yeh achi cheez nahi, lekin ager aap koi informative documentry dekho gay ya Dr. Zakir naik ko suno gay to aap ko idea ho jaye ga ke yeh achi cheez nahi.

                                Computer aisi machine he jo aap kay bohat se kaam ko aasaan ker deti he...isay tum sirf ishq mashooki se kyon mahooz kerte ho. Ager computer na hota to tu kabi karachi se lahore by air an aata. Ager computer na hota to tu aaj internet ke through loogon mein islaam ki awareness kabi na pheelti jitni ke aaj he.

                                aur jahan tak mantak ko mananay na maanay ka sawaal he, to mein yeh kahon ga ke aik ba-akal aur ba-shaoor insaan mantak ko maan ke he aagay berhta he. Mantak aur akal ka chooli daman ka saath he, mantak ko mananay walay loog ziada ba'shaoor aur ziada ba'akal hotay hein, so apnay zehan ka istamaal kerne walay loog hotay hein. Aur aankhein bund ker ke her galat such ko tasleem kerne walay tumharay dehaat ke jahil he kehlaein ge :)
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X