Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Collapse
X
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Jo bhi Ho ap Iss se Inkar nahi kar saktay Jo Khushboo matti Ki Aap Aamir sahib Gaoon mein Mehsoos kar saktay wo Shehar K mehngay se mehngay Airfreshner mein b nahi....Nakasi-e-aab ka tazkara kia aap nay kafi hansi aai..
Karachi defence mein barish k baad ka haal...deykha kabhi...LAhore Allama Iqbal Town mein barsih k bd haal deykha....Array Bhiya jee Gaoon mein Pani ki ziadti Khetoun ko sairab karti hai...whan kahan aisa Kuch hota hai Jo K shehroun mein draining system ka problem hota hai....
[U][B] Chotay Chotay bachoun wali baat...Last edited by Gul; 13 April 2007, 20:22.
Comment
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View Postummid aap mera ouper wala matter perhiye, aur bataiye ke aap ko wo mehakta makaan chahiye jahan buniyaad zarooraton ka fukdaan ho, jahan aap haq per awaz na utha sakein, jahan aap ki zubaan ko wadeeray taala laga jaein, jahan loog kasampursi ki zindagi basar karein, jahan beemaron ke liye hasaptaal na ho. Jahan loog aap ke aanay jaanay, khanay peenay pe nazar rakhein, ya aap ko wo makaan chahiye jis pe aap apni merzi se aik ba'izat zindagi basar kare sakein. Jahan aap ko dil aur dimaag ka skoon milay. Bataiye mujay
aur NAQSH
tumharay dehaat ki gali gandi he...kisi chooray ko kaho ke saaf ker de :blush:
Comment
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Originally posted by aquari View Post
Shorrow Allah k naam sey jo bara mehrban nehyata rehm kerney wala haii
Shehri Zindagi
Hum shehroo main rehney waley loogo ko loog bemurawat,khud gharz ,adam bezar etc etc is qism k alfazoo sey nawaztey hain ...kunk humari zindagiya bauht fast chal rahi haii..hum waqt k saath qadm sey qadm mila ker chalney ki koshish main kabhi kabhi apni zaati zindagi ko peechey choor detey hain...hum is main huqbajanib bhi tu haii kal ko koi bura waqt aye gaa tu kon kifalat ki zimdari bharey gaa....shehri zindagi kum sey kum humain apney pairoo main khara kerti haii ,humari imlak kisi jagirdar k pass qarz main liya howey $ k awez girwi nahi parii hoti ..hum sey ghalat kaghazoo per anghootey nahi lagwayee jateyy k ,larkiyoo k gher k under taleem sey dur nahi rakhaa jata na hi kisi jhagrey ko sort out kerney k liyaa humaain khoon baha main diya jata haii...aurtoo k liya sirf faraiz ki adayegii ki baatnahi ki jatii haqooq bhi bataye jatey hain...
Is shehr ki bheer main her koi masroof zaroor hai pr woh janta haii kis simt ko jaraha hai,ussey itna sha'or apni taleem ,apney ird gird k mahool sey milta haii k woh poori duniya main kahi bhi asani sey move krsakain ...
ager sirf larkkiyoo ki taleem k hawaley sey hi baat ki jayee tu saaf farq nazar ata haii dehat ki larki ager 4jama'tain bhi parh jaye tu bari baat hai jub k yahan larkiya school colleges universities her jaga talemm asani sey hasil ker sakti hai or kisi bhi gher ko chalney k liyaa isrf $ hi tu nahi chhayeaa us ki gher ki aurat ko bhi taleem k zewar sey arsta hona zaroori hai..werna woh sahi tarbiyat kaisey karey gii jub khud hi us ko haqooq ka nahi pata tu woh baqioo ko kya sikhaye gii...us ek k taleem yafta or bashao'or honey per poora konba depend kerta haii..
Is k elawa shehrii mahool insan ko sha'or deta haii ...kum sey kum khandani jhagroo ki bhent nahi charhta koi nau'jawan...na hi jaidad ki masloo main parta haii ussey maloom hota hai k virasat k kya usool haii....jirga k hatdharam or janibadrana faisloo k agey ussey sir nahi jhukana partaa..woh apni zindagi k faisley khud ley sakta haii ..zaberdsati k faisley koi musalat nahi kerta kunk woh itna basha'our hota haii k sahi or ghalat dekh sakain or jis ghr main tarbeet pata haii us k parents bhi ager taleem yafta or sensible loog hai tu woh apni aulad ko is maqam tak poohnch adetey hain k un ki aulad sahi or ghalat main tameez ker sakain na k khandi jhagroo or faltoo ki baatoo main woh apni aulad ki khushi ka hi gala khount dey ...k ager tum ney baat na manii tu humain nuqsan hojaye gaa ya etc etc
Meri nazar main shehri zindagi ka sub sey behtren faida taleem,aurat ka maqam or sha'or haii
Wahi chand jumlay ...vahi cand batein..
Wahi Roknay ki koshish wahi Chand Ghatein:)
Jhagroun ka zikr na karein ...Wo Kia shehar mein nahi hotay, Virasat K jhagroun mein Loag apnay behan bahi Ko Bhool jatay hein ..... Koi eduacted say educated person inheritance ko lay K ek dum Ojaad ganwar ho jatay hein....Jab Shehri Loagoun ka yeh haal hai tu....Gaoon ka kia zikrLast edited by Gul; 13 April 2007, 20:24.
Comment
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Originally posted by sccorpion81 View Postبسم الله الرحمن الرحيم
Assalam o ALaikum
Tu junab baat yeh hai k main shari zindagey k haq mian is liey hoon k jaisa k mere dosy Aamir nay kaha k dahi zindagey main jahalat k siwa kuch nahien..rozgar wahan per muyasar nahien...Taleem wahan nahien...Medical ki sahoolat gaown main nahien mil pati...agar raat ko kisi time per koee beemar per jata hai tu pahli baat tu education na honay k wajha say log sirf us ko choti moti takleef samjhtay hain aur daisi totkon ki madad hasil kertay hain aur agar koee bashaoor insan usay hospital ley janay ki sochta bhi hai tu us k liey is dor main bhi transportation hasil kerna muskil ho jata hai aur agar khuda na Khwasta agar mareez ki halat ziyada nazuk ho tu wo api jaan say bhi chala jata hai aur is tarha aik qeemti jan ka nuqsan ho jata hai..aur yahi waqia agar shaher main ho jaey tu aap ko yaqeenan koee takleef na ho gee agar aap private transport ka bandobast nahien ker saktay tu Hospital say aap ambulance mangwa saktay hain...jo k 24 hrs mojood hoti hai...
2. Bachon ka bahtreen mustaqil...aaj kal k taraqi yafta dor main kon sa insan chahay ga k us ki olad achi taleem na hasil keray...aur wo dunya ki is dor main na shamil ho...tu dehati zindagey main tulogon ko Siwa apni zameenon k aur dhor dangron k ilawa kuch nazar hi nahien aata..main khud aik gaon ka rahnay wala hoon jab tak main gaon main raha is dunia k baray main mujhay kuch Pata nahie tha ... halan k main aik perhi likhi faimily say tualuq rakhta tha laikin mere apnay palay kuch bhi na tha...laikin jaisay hi main Gaown say bahir nikla tu mujahy maloom howa k main tu kuch bhi nahien janta dunya k baray main...
Manta hoon k gaown ki fiza saaf suthri hoti hai ... Gaown k log sada mizaj hotay hain ... laikin agar aap in sahoolyat ko daikhain jo aap ko gaown main muyasar nahein hain tu aap ko pata chalay ga k Shaher ki zindagey Gaown say bhot bahatar hai
Comment
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Originally posted by danicool82 View PostAsslam o Alycum
Dear Munda Sialkoti sb
Mein ap ke baat se itifaaq karta hoon ke insaan ke zindgi mein jo chezzein ap ne apni post mein beyaan ki hain zaroori hain, laiken jaise ke aap jante hain ke aaj ka daur Sceince n Tchnology ka hai.... Jitna is cheezon se shehar mein rehne wale loog faida utha rahein hain meray khayal mein itna hi faida Dehatoon mein rehne wale loog bhi utha rahein hain. And ab ye kon sa aisa zamana hai jaise pehle waqtoo mein tha ke loog pedal safar karte the or unhein aik jaga se dosri jaga jaane mein kai kai din lag jate the. Bhai mere aab tu har bande ke pass apni sawari hai or agar apni sawar na hu tu har kisam ki sawari dastyaab hoti hai. And for ur kind information araz karta chaloon ke agar aap survey kar ke dekh lein ke aaj jitne loog bhi achi posts per bethein hoye hain un mein se zayada taar logo ka talaaq dehatoon se hain . Is ki ki misaalein mere apne gaon mein hain agar aap kehte hein tu mein bata deta hoo. ehatoon ke log bhi seherion ki tarah har kisam ki saholat rakhte hain Deehatoon mein light hai buhat kaam aise dehat hoon ge jahan light na hoo, is ke ilawa Television, Computer, Internet iske ilawa har new technology se deehati log faida utha rahe hain. So mera nehi kahayal ke in tamam cheezoon ka faida uthane kaliye loogo ko shehroon mein rehna chahiye.
Abhi bass yaha taak

Abhi bass yaha taak:thmbup:
Comment
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
aap muj se behas zaroor keejiye, lekin logical ho ke :na: meri di gai daleelon ko kisi daleel ke tehat he aap ghalat sabit ker sakti hein. Moun utha ke aap keh dein ke aap reh gaye, aap haar gaye doesn't make any sense.
Aap loog khud confuse lag rahay ho, kabi aap dehaat ki soondhi soondhi mitti ki khusbhu ka ziker kerte ho aur chooti dewaron ka ziker kerte ho.
doosray lamhay aaap dehaat mein villas bana lete ho.
aur is pe aap ke dehaat mein gaariyaan aa jati hein, TV, bijli aur is se berh ker internet bhi lag jata he...aap sub confused soul lag rahay ho yahan.
aap ne saari muntashir si baatein kein, aisa laga jese aap neend mein thein. Is baar thoori si hoosh ker ke hamary points ko perhiye, hamari posts ko perhay bagair aap reply mut keejiye ga, game ki spirit kharab ho gi, maza kharaab ho ga...you know sawaal gandum jawaab chana, kuch jachta nahi...aap valid points ke saath aaiye, aur dehaat ka aik thoos concept le ke aaiye aur pehlay hamein yeh bataiye ke aap ka dehaat hay kesa, aik sada dehaat he jahan murg ke aawaz se loog uthtay hein ya bari bari gaariyon aur internet wala dehaat he :khi::thmbup:
Comment
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Originally posted by Gul View PostJo bhi Ho ap Iss se Inkar nahi kar saktay Jo Khushboo matti Ki Aap Aamir sahib Gaoon mein Mehsoos kar saktay wo Shehar K mehngay se mehngay Airfreshner mein b nahi....Nakasi-e-aab ka tazkara kia aap nay kafi hansi aai..
Karachi defence mein barish k baad ka haal...deykha kabhi...LAhore Allama Iqbal Town mein barsih k bd haal deykha....Array Bhiya jee Gaoon mein Pani ki ziadti Khetoun ko sairab karti hai...whan kahan aisa Kuch hota hai Jo K shehroun mein draining system ka problem hota hai....
Chotay Chotay bachoun wali baat...
Aap khatmi raaye dene se pehlay facts & figures ki thoori si calculation ker liya karein. Katal to Johanasburg aur Jamika mein bhi hotay hein aur Riyadh mein bhi...kia aap yeh keh ke justify ker saktay hein ke teeno cities mein katal hotay hein, to teeno aik jese hein, bilkul nahi. Curruption Norway mein bhi hoti he aur Ivory Cost mein bhi, kia aap doono ko currpt contries keh ke justify ker sakti hein, bilkul nahi :na: is liye baat kerne se pehlay tool liya karein, yahaan baat aksariyat ki hoti he...blackshees are everywhere you can't rule out this fact, but you have to rationally evaluate the things in order to give your final say. Jo baat mein ne aap ke dehaat ke baray mein ki he, aap ne bari dhatai se wohi baat shehar ke baray mein ker di...aap ki personal assessment aur observation sirf itni he kia. Aray sheher mein aur bhi kai flaws hoon ge, aap unhein dhoondiye aur sort out keejiye...hamari cheezein hamaray moun pe maar ke aur wo bhi bagair kisi ser pair waali daleel ke aap points einthna chah rahi hein...not fair.
Aap loog mil beth ke study karo ke shaher mein kia kia flaws hein, unhein achi tarah se compile karo, and then come up with some valid and solid points and again plz don't beat about the bushes...i am not really becoming harsh, but still you should look into the matter fairly.:thmbup:
Comment
-
Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi
Originally posted by Gul View PostBaqi Jo Husan-e-Zindgee Allah taalah Nay Nature mein rakha hai WO banawat mein tu hai hee nahi na....Ba Izat Zindgee K liyay Zehnoun ki SAFAI ki zroorat hai na K Kisi CHOORAY say safai karwanay ki....
Zehnoun mein palti howi Gandgi...Insan Ko kahin B sakoon ka sans nahi laynay deyti...
whereas rest of the things, wo muj pe utni he apply hoti hein jitni ke aap pe:thmbup::thmbup:
Comment
Comment