Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Assalamalikum

    yeh muqabala 2 teams kay darmeyan hai .....mozoo hai
    Dehati zindagi v Shehre zindagi
    team A main shamil hain

    Team A
    1.yellowsky
    2.Gul
    3.danicool82
    4.Ummid
    5.Naqsh
    6.Scorpion lolz



    Team B

    1.scorpion81
    2.neha ahmad
    3.Munda Sialkoti
    4.Snobbish
    5.aquari
    6.Musaddaq



    Rules..

    time abhi say shuru hai or 15 April shuru hotay hi pakistani time kay mutabiq 2:00 bajye yeh thread close hoo jaye ga ...

    har team nay apnay topic kay favour main points batanay hain ...kisi dosri team pay koi tanqeed nahi karni ...

    topic kay elawa kisi or mozoo pay koi baat nahi ki jaye gee ...is say aik to aap ki post delete kar di jaye gee or dosra marks bhi cut jaian gay ....

    is thread main teams or judges kay elawa koi dosra member koi post na karay woh delete kar di jaye gee ....(dosra thread moujood hai jahan kisi nay kuch kehna hoo to post kar day)

    muqablye kay bad judges jo fasila karain gay us pay kisi ko itraaz nahi hona chaye ...

    judges na sirf aap kay topic pay points daian gay balkay team kay behavior kay bhi points hain ...

    zaida lambi choori taqreeraian nahi likhni yeh NASAR ka muqabala nahi hai ...kam alfaaz main aap apni baat beyan kar saktay hain ...aap kay paas apni baat ko sabit karnay key leye wazeha dalail honay chaye isi pay aap ko points millye gay ...

    zaida gappian marnay say or sirf post ki tadad barhnay say bhi marks cut jaian gay ...

    aik baat pher say bata daiti houn kay har team nay apni baat kehni hai dosri team ki post pay kuch nahi kehna
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by zapk7 View Post
    Mujhay lag raha hai civics 2nd year ki class ho rahi hai,syllabous main yeh topic shamil hai aur main aksar apni 2nd year ki students main yeh debate karwati rahti hoon.Daikhtay hain yahan contestents kiya kamal dikhatay hain.:rose
    yep! :D


    @ Aanchal

    well ..... :lol ......chalo we 'll follow your rules and 'll start with it inshAllah :$
    Last edited by Z.; 10 April 2007, 12:41.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

      me barish ka pehla katra banta hoon

      shehri zindagi: mein is ki favour mein kyoon hoon, is ke kai wajoohaat hein bulke ager mein youn kahon ke shehri zindagi ka matlab insaan ki civilization, insaan ki progress, aur insaan ki behtari ka irtakaa he to yeh be ja na ho ga. Shehri zindagi mein jamood naam ki koi cheez nahi, yahan per her cheez chalti he, shehri zindagi insaan ki quality of life increase kerti he. Aap ko zindagi ki buneyaadi zarooriyat aur deegar aasaish ke hasool ke liye dar-badar nahi phirna perta, her sahoolat aap ki dastarass mein hoti he aur yahi cheez insaan ki life ki quality ko behtar kerti he. Shehri zindagi ko mein prograss se relate karna chahon ga, sheher mein rehnay huay aap ko kai tasks achive kerne pertay hein, apnay aap ko update kerna perta he, update in respect ke aap aik competitive environment mein hotay ho. Jahan aap loogon se sahoolatein le rahay hotay hein usi tarah aap bhi loogon ke liye tameeri kirdaar ada ker rahay hotay hein. Sheher mein rehtay huay aap communication means ko bar-waqt aur har waqt apni zarooriyaat ke mutabik utilize ker saktay hein, dunia aik global village bun ke aap ki muthi mein sama jati he. Aagahi aati he insaan mein, shaoor baidaar hota he. Insaan ba-khabar rehta he...dehaati zindagi mein aap makhan kha ke aur chaati ki lassi pi ke dakaar to maar saktay hein :hehe: chaarpai mein hukka daal ke pi saktay hein aur bagair kuch kiye ounchi ounchi baatein ker saktay hein, lekin insaan ko us ka haq nahi dila saktay. Insaan ka pehlay haq us ki buniyaadi zarooriyat hein...jis mein sub se pehlay mulazmat, kaaroobaar, school, colleges, hospital aur deegar idarajaat shamil hein, dehaat mein yeh sub kahan
      :thmbup:

      Comment


      • #4
        Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

        so Team A are we Ready!


        Shuru Allah key naam sey jo barha Meyharbaan Neyhayat Reyham wala hai...



        Aap sab ko Deyhati Zindagi ka aik idea deyney key liye hum Aghaz karein gey aik tasweer sey....


        Welcome to Deyhat




        Welcome to Deyhati Zindagi

        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

          yeh kis scorpion ki aamad hai kay run kaanp raha hai :blush:
          Attached Files
          That's Enough...!!

          Comment


          • #6
            Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

            :rose
            Attached Files

            Comment


            • #7
              Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

              :)
              Attached Files
              If Allah brings you to it, He will bring you through it.

              Happy moments, praise Allah.
              Difficult moments, seek Allah.
              Quiet moments, worship Allah.
              Painful moments, trust Allah.
              Every moment, thank Allah.



              Comment


              • #8
                Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                yellowsky ne ibtada do tasaveer share ker ke ki, ouper wali tasveer kisi soorat bhi dehaat ki numaindgi nahi kerti, yeh kis retired army officer, kis col. ya kisi baray businessman ka entertainment area lagta he, luxury vilas banaye dikhaye gaye hein, aur na he aisay garon ki deewarein itni chooti hein ke aik ghar mein paktay khanay ki khushbu doosray ghar mein ja sakay, bibi ghareeb loogon aisay makaan kahan banatay hein. aur doosri tasveer ko mein handycraft stuff kahon ga, jis mein kisi purani tehzeeb ko dikhaya gaya he...mukhtasir yeh ke yeh tasaveer kisi soorat mein pakistan ke kisi dehaat ki akaasi nahi kertein. aur na he mazahir ki baatein aik typical dehaat ki akaasi kerti hein.

                Aray Mazahir miyaan, kabi dehaat mein ja ke dekho, aap to barish ke baad soondhi soondhi khushbu ki baat ker rahay ho us barish ke baad ki nakasi'e'aab ka intzaam dekha kabi. aray miyaan bainson ke goober aur keechar ke maleeday se jo taafun uth'ta he kabi usay bhi soongna :hehe: dekh miyaan tu laakh sakeel urdu bool, lekin baat merboot aur logical ker. let me sort out some critical matters which are required ur grave attention.

                Mujay bata, gairat ke naam pe katal kahan hota he dehaat mein...alright.

                Kala jaadu, toonay tootkay, tohmaat, kin ilaakon ki paidawar hein, dehaat ki. zahir si baat he jahan loogon perhay likhay nahi, ba'shaoor nahi, un ka zehan to aisi fazooliyaat ki amaajgaah banay ga he.

                Aaj ki aurat ka istehsaal kahan ho raha he, dehaat mein. Sheher mein aurat ba'shaoor he, apnay hakook ke liye larna jaanti he.

                dehaat mein to loog haath dhoo ke shayad he kabi khana khatay hon. chootay chootay buchon ki larai se chalti chalti baat auraton ki larai aur dheenga mushti pe ja pohanchti he aisa kahan hota he dehaat mein.

                zameen kisi ki, kabza kisi ka. mehnat koi karay, phal koi leta he, kisi pe ehsaan ker ke, kisi ghareeb se chand paison ke iwaz loogon ki betiyon ki sooday baazi kahan hoti he...dehaat mein.

                jungle ka kanoon kahan hota he, dehaat mein. Dehaat mein to koi apnay chauhadry aur wadeeray ke saamnay aankh tak nahi uthata...aisa sheher mein to nahi hota mere pyaar bhai.

                Ub tu khud bata, makaan ki mitti ki soondhi soondhi khushbu ke iwaz insaan apni insaaniyat aur apni zindagi baich daalay, yeh kahan ki akalmandi he...kia baat kerte ho miyaan. Aik mohazab insaan kabi bhi nahi chahay ga ke us ke buchay dehaat ke mahool mein unperh loogon ke dermeyaan perwan charhein.

                Aap loog bataiye...kia aap loog chaho gay ke aap ke buchay dehaaton mein palein barhein? meri is baat ka jawaab zaroor dejiye ga.
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                  ummid aap mera ouper wala matter perhiye, aur bataiye ke aap ko wo mehakta makaan chahiye jahan buniyaad zarooraton ka fukdaan ho, jahan aap haq per awaz na utha sakein, jahan aap ki zubaan ko wadeeray taala laga jaein, jahan loog kasampursi ki zindagi basar karein, jahan beemaron ke liye hasaptaal na ho. Jahan loog aap ke aanay jaanay, khanay peenay pe nazar rakhein, ya aap ko wo makaan chahiye jis pe aap apni merzi se aik ba'izat zindagi basar kare sakein. Jahan aap ko dil aur dimaag ka skoon milay. Bataiye mujay

                  aur NAQSH

                  tumharay dehaat ki gali gandi he...kisi chooray ko kaho ke saaf ker de :blush:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #10
                    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                    Mein aap sub ke logical views ko welcome karon ga, lekin illogical, aur bagair ser pair ki baat na keejiye. We are not living in the dreamland or the world of fantasy. Bahadur loog wo hotay hein jo her kism ke challanges ka samna kerte hein, jo aagay berhtay hein, jo ba'maksad zindagi guzaartay hein. Jinhein apnay insaan honay pe fakhar he, aur jo insaaniyat ki falaah ke liye kaam kerte hein
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                      tum bhi na amir abh khud hee laro khud hee bolo
                      If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                      Happy moments, praise Allah.
                      Difficult moments, seek Allah.
                      Quiet moments, worship Allah.
                      Painful moments, trust Allah.
                      Every moment, thank Allah.



                      Comment


                      • #12
                        Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        ummid aap mera ouper wala matter perhiye, aur bataiye ke aap ko wo mehakta makaan chahiye jahan buniyaad zarooraton ka fukdaan ho, jahan aap haq per awaz na utha sakein, jahan aap ki zubaan ko wadeeray taala laga jaein, jahan loog kasampursi ki zindagi basar karein, jahan beemaron ke liye hasaptaal na ho. Jahan loog aap ke aanay jaanay, khanay peenay pe nazar rakhein, ya aap ko wo makaan chahiye jis pe aap apni merzi se aik ba'izat zindagi basar kare sakein. Jahan aap ko dil aur dimaag ka skoon milay. Bataiye mujay

                        aur NAQSH

                        tumharay dehaat ki gali gandi he...kisi chooray ko kaho ke saaf ker de :blush:
                        aap se yeh kis ne kaha ke kacche anganu.. I mean dehati gharo mein saholiyat ka foqdan hota hai.. yeh baat bilkul hi ghalat hai... dehi zindagi aur kacche gharo mein buniyaadi zaroriyat mayaser hoti hai... aur raha sawal sookon milne ka tu janab Zindagi mein sukoon ho tu na dehi zindagi se koi khas farq perta hai aur na shahri zindagi se.. yeh aik alag topic hai..:na:

                        Comment


                        • #13
                          Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                          Originally posted by NaQsh View Post
                          tum bhi na amir abh khud hee laro khud hee bolo
                          ager yahan hassi allowed hoti to mein bohat ounchi aawaz mein bhi huss sakta tha :khi:

                          chalo ji team A ki aik member to walk out ker gai :khi:
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #14
                            Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                            Originally posted by ummid View Post
                            aap se yeh kis ne kaha ke kacche anganu.. I mean dehati gharo mein saholiyat ka foqdan hota hai.. yeh baat bilkul hi ghalat hai... dehi zindagi aur kacche gharo mein buniyaadi zaroriyat mayaser hoti hai... aur raha sawal sookon milne ka tu janab Zindagi mein sukoon ho tu na dehi zindagi se koi khas farq perta hai aur na shahri zindagi se.. yeh aik alag topic hai..:na:
                            jo mein ne ouper itna lamba lecture diya he usay quote ker ke apnay comments deejiye...come up with solid and logical proof...don't beat about the bushes :lpop:
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #15
                              Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

                              Best of luck 2 my team yani ke Team A
                              tu dosto mein bas abhi thori der mein aaya apne topic ke saath yani ke

                              Dehati Zindgi

                              Comment

                              Working...
                              X