Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Friendship with India??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: MUBAHISA: Friendship with India??

    Originally posted by Khalil View Post
    oey ab main teri baat ka ghusa kiun karonga...jabky main tumhary bary main janta hun......yeh choti choti batian na kia ker.................

    aur yaar to yeh janta hay k crush india k baij milty they...aur pakistan indian ka koi bee kisi kisam ka match ho to aik jang ka nazara huta hay...

    lagta hay to apni yadashat khoo chuka hay.....
    thory syy raani khet k injection lagwa
    :fuming: :fuming: :fuming:

    Dekh, khawa makhwa mein tu pakistan pe ilzaam tarashi ker raha he...match ki baat aur he, bulke yeh doono countries sirf sports mein he arch rivals hein :blush: whereas on public level mahool bohat doostana he...Halanke tu Gahda he lekin beri paglon jesi baaton se lagta he ke tujay Mad Cow desease ho gai he
    :thmbup:

    Comment

    • #47
      Re: MUBAHISA: Friendship with India??

      Originally posted by NaQsh View Post
      lolz@logic aur gadha :kr:
      Dekhiye na naqsh ji...halanke isay pata he ke yeh musalsal bewakoof aur lagataar chulla he, phir bhi mere jese musalsal seyaanay aur lagataar geneous bunday se behas baraye behas ker ke apne aap ko mazeed bewakoof sabit kerne ki kaamyaab kooshish ker raha he :blush:
      :thmbup:

      Comment

      • #48
        Re: MUBAHISA: Friendship with India??

        Originally posted by Khalil View Post
        yehi to prblem hay...sara income tax aur zar e mubadila...afwaj ko chala jata hay....
        ager dushmani nhi hugee to pher zahir hay sab halat theek hu jain gy...
        kia aap ko pata hay kitna budget ka hissa fowj ko jata hay?
        tu bara kub ho ga bay :fuming:
        :thmbup:

        Comment

        • #49
          Re: MUBAHISA: Friendship with India??

          Originally posted by Xenya View Post
          @Zap

          jis tarhan key "thaat" hamari fauj key hain.....us ki base per ye sab kaha jata hai...

          mey is ko explain nahi karun gi kyun key aap jaanti hain?
          Mairay piyaray jazbati naujawan bahan bhaiyo!
          Hamara sab se bara masla yeh hai ke ham samnay ki baat to daikhtay hain laikin cause and effect ke usool ko nazar andaaz kar daitay hain.
          Agar aap ke paas waqt ho to main yahan apnay tajrubaat aur mushahidaat ka khulasa paish karna chahoon gi.
          Main aik civillian hoon,government servant hoon.Govt job main tamam departments main pay scale yaksaan hota hai,yeni aik grade ke tamam afraad khua woh kisi department main hoon unki basic pay aik hi hoti hai,iske allawa duty ke hisaab se mara'at hoti hain jo zahir hai alag alag hoti hain.Maslan maira 17 grade hai aur main college rickshaw main jaati hoon,jabke aik 16 grade ke thanaidaar ke paas gari hoti hai.Ab agar main is per aitraaz karoon to mairay khiyaal main ghalat hoga.Isi tarah fouj ka bhi sirf yehi farq hai.Yeh log jaan hatheli per liyay phirtay hain.Sirf siachin hi ki misaal lay lain,ham wahan aik din bhi nahin guzaar pain gay laikin yeh wahan kaafi kaafi arsa duty daitay hain,mairay khiyaal main to inhain mara'at ham se ziada milna hi chahian.
          Jo aapko ziada ameer afrad milain gay unhoon ne iraq-kuwait jang main saudia main duty lagwai ya bosnia main faraiz anjaam diyay.
          Iske illawa fouj ko jo cheez mazboot karti hai woh discipline hai.Phir inke haan corruption ham se kaafi kam hai.main inhain corruption se bilkul paak nahin samajhti laikin manna paray ga ke corruption is idaray main kam zaroor hai.In ke haan muamilaat ko uljhaya bhi nahin jaata,mushkilaat bhi nahin paida ki jaatin.Aik fouji jahan kahin bhi rahay apnay course mates ki ya un logon ki jo kisi jagah unke saath rahay hoon uki khabar rakhta hai.
          Aur bhi bohat se awamil,agar aap ameeq nazron se jaiza lain gay to, nazar aa jain gay.
          Jabke hamaray haan apna jaiz haq bhi rishwat ke baghair nahin milta.Maslan main ne apni career ki pahli salary rishwat de kar nikalwai thi.Phir main beemaar pari,taweel chuttian lin,govt job honay ki wajah se mairi mulazimat khatm to nahin hui laikin dobara joining ke baad phir pahli tankhua ke liyay mujhay rishwat daina pari.
          Main to aksar apnay dostoon se kahti hoon ke ham main se koi janat main nahin jai ga kiyunke agar ham rishwat laitay nahin hain to daitay to zaroor hain,kiya karain majboori hai.
          Hamain apnay gareebaan main bhi jhankna chahiyay,yunhi ilzamaat nahin lagana chahiyain.Main to yehi kahoon gi ke hamain pakistan ke halaat darust karnay ke liyay kisi inqalab ki zaroorat nahin hai agar har fard apna aihtisaab khud karna shuru kar dey to halat darust honay main dair nahin lagay gi.
          Mind Sciences

          Comment

          • #50
            Re: MUBAHISA: Friendship with India??

            Originally posted by zapk7 View Post

            very nice acha laga aap ka reply dekh ker
            main siraf yeh add kerna chahta hun k
            jo hamrai Army ko saholiyat hay kash aap dekh sakti.....

            Comment

            • #51
              Re: MUBAHISA: Friendship with India??

              Originally posted by Khalil View Post
              very nice acha laga aap ka reply dekh ker
              main siraf yeh add kerna chahta hun k
              jo hamrai Army ko saholiyat hay kash aap dekh sakti.....
              Mairi nazar is baat per hai ke hamaray fouji na masaid halaat main bhi mulk ki hifazat ka kathan fareeza anjaam daitay hain.:rose
              Mind Sciences

              Comment

              • #52
                Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                Originally posted by waqar_masood View Post
                Assalam o Alaikum

                buhut accay mozo ka intekhaab kia gaya he

                Meray khayal mein awaam kisi bhi religion se taluq rakhtee ho woh apas mein mil jul ker rehna chahtay hein, jab aap kisi ke religion mein interfere kerain gay to koye bardasht nahi keray ga, apni zaat per accha bura her koye bardasht ker leta he, religion ik jazbaatee muaamla he,

                baqee hamara culture bar e saghir ka sadioon se aik dosray ke saath mila julaa he , aap mazhabi revayaat ko na dekhein, muaashartee ya ilaaqayee revaayaat ko dekhain, ham ne kayee revayaat ik dosray ke elaaqoon se acquire ki hein, beherhaal meray khayal mein awami sataah per her pakistani indian people se friendship chahtaa he, agar friendship nahi to kam az kam jhagra ya nafrat nahi chahtaa,

                Hamesha problems hakoomti satah per hoti hein, aur awaam ko bhatkanay walay bhi yeh apni seyasat chamkanay walay leaders hotay hein ,jinhein shoohrat ka koye na koye bahana chahyee hotaa he,

                meri koye baat ghalat he to bila jhijhak rehnumaye farmaye ga, shukria

                wassalam
                I agree:rose
                Mind Sciences

                Comment

                • #53
                  Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                  Originally posted by zapk7 View Post
                  Mairi nazar is baat per hai ke hamaray fouji na masaid halaat main bhi mulk ki hifazat ka kathan fareeza anjaam daitay hain.:rose
                  Os lehaz sy to main bee qadar kerta hun afwaj kee:salam:

                  Comment

                  • #54
                    Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                    Originally posted by waqar_masood View Post
                    Assalam o Alaikum

                    buhut accay mozo ka intekhaab kia gaya he

                    Meray khayal mein awaam kisi bhi religion se taluq rakhtee ho woh apas mein mil jul ker rehna chahtay hein, jab aap kisi ke religion mein interfere kerain gay to koye bardasht nahi keray ga, apni zaat per accha bura her koye bardasht ker leta he, religion ik jazbaatee muaamla he,

                    baqee hamara culture bar e saghir ka sadioon se aik dosray ke saath mila julaa he , aap mazhabi revayaat ko na dekhein, muaashartee ya ilaaqayee revaayaat ko dekhain, ham ne kayee revayaat ik dosray ke elaaqoon se acquire ki hein, beherhaal meray khayal mein awami sataah per her pakistani indian people se friendship chahtaa he, agar friendship nahi to kam az kam jhagra ya nafrat nahi chahtaa,

                    Hamesha problems hakoomti satah per hoti hein, aur awaam ko bhatkanay walay bhi yeh apni seyasat chamkanay walay leaders hotay hein ,jinhein shoohrat ka koye na koye bahana chahyee hotaa he,

                    meri koye baat ghalat he to bila jhijhak rehnumaye farmaye ga, shukria

                    wassalam
                    :salam:

                    Comment

                    • #55
                      Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                      Assalam o Alikum
                      Mozo acha laga is liye likhna para
                      Mere Point of view se bahut se lugon ko ikhtalaf ho ga me is bhes ko zara or andaz se dekhta hoon India or pakistan ki dosti (political level per) to namumkin hay is liye k ye dono mumalik apes ki dushmani hi ko bunyad bana kar apna atomic or mizile program agy barha rahe hen
                      likin me yahan ye pochna chahta hon k Pakistan banana ki zarorat hi kia thi hum ne pakistan bana kar india se dushmani mol li us k bad Pakistan k do tokre kar k bagladesh walon se bhe dushmani mol li hum ne ek bahut bare ur mazbut mulk k 3 tukre kar diye approximately aj pakistan me 16000000 or bangladesh me 15000000 or India me 22000000 muslim hen hum(pakistanio ni) 53000000 muslims ko 3 hison me taksim kar dia aj ager ye ekathe hote to shed hindostan ki sab si bari qowat hote or hasil kia kiya ajj hamare mulak me bhi wohi nizam hay jo India me hay to is doshmani k banana ki zarorat kia thi jo aj hum rorahy hen k ye doshmani kab khatem ho gi
                      Is sari bat se meri har giz ye murad nahi hy k Pakistan banna hi nahi chahiye tha balky meri murad ye hye k hum ne ab tak serif dushmani banai hye Pakistan hum ab tak bana hi nahi saky is liye k Pakistan to nezame Mustafa k lye hasel kia gia tha or ise liye hum ne itni bari doshmani mol li thi tu hame chahiye k hum India se doste ya doshmani se pehle pakistan to bana len os k bad nizame Mustafa jis se dosti ka hukam de ga hum os se dosti Karen gay or jis se doshmani ka hukam de ga hum os se doshmani Karen gay pher koi bhi politician apni marze ka fesla nahi kar saky ga
                      Or akher me ye kahon ga k hindostan sara musalmano ka hye or islam is ka moqader hey Hazor Pak ki hadis me ghazwatal hind ka zekar milta hye or is me shamil hone walon ko bagher hisab k jannat ki basharat bhi milti hye Allah hume bhi oon khosh nasib logon me shmel fermaye ameen
                      Sory shaid kafi lamba lecture pela dia

                      Comment

                      • #56
                        Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                        Originally posted by Khalil View Post
                        :salam: salam pakistan
                        baat nafrat ki nahen hai bhaii ..
                        aik hadees main parha tha "bukhari shareef" Rasool Allah (PBUH) ne fermaya .. "na apna nuqsaan kero aur na doosron ka ".
                        ab samajhney ki baat hai .. Qaid e millat ki jaan ka sadqa poori life di islamic-based home for muslims ke liye .. to kia sabit kertey hein Pakistani Indians se dosti ker ke ?? sochney ki baat hai ..
                        india dosti ke baad se .. Pakistan Tv Channels dekhney ke qaabil nahen reh gaye..
                        sochney ki baat hai .. India-dosti ke baad .. Pakistani bachey .. poochtey hein Khuda kia hai .. (Media affects)
                        sochney ki baat hai .. gali mohallon se guzro to beebyon ke sar shayed dhakey chupey kabhi miltey hon lekin ab ??
                        sochney ki baat hai Pakistan main Saas bahu jhagrrey .. Rating ab pehley se 60% ziada hai
                        sochney ki baat hai .. Pakistani mothers ke liye is dosti-influence se pehley apney ghar ko deney ke liye, husband, bro, family, kids ko deney parhaney likhaney ke liye time thaa.. ab bachey aafat museebat lagtey hein ..
                        sochney ki baat hai .. early morning to night Pakistan .. streets, roads including Ramadan month .. Allah ka naam kasrat se thaa ab .. "SONY, STARPLUS" goonjtey hein .. :)

                        friendship with india = politically,economically, socially damaging Pakistan ..
                        ham tab samajhtey hein .. jab hidayat ki roshni na dikhey :)
                        kher ..
                        u guys can observe these conditions ...
                        basic reason to Kashmir tha naa .. ?? Look at the recent map of Pakistan .. from the time Musharaf is President .. map main wo jagah jahan Maqbooza kashmir tha .. sirey se Cut ker di gayee hei..

                        So what kinda friendship it is ?? just to keep givin n leavin every self-based thing??

                        One of my arabic friend recently visited Pakistan n India .. she is harlf Pakistani half Saudian :)
                        n I have ARY, GEO, PTV @ home ..
                        Last edited by Aania; 20 December 2006, 07:52.
                        Visit My Early PS Work
                        You Are Welcome To Comment

                        Comment

                        • #57
                          Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                          Originally posted by Aania View Post

                          Jeee Ohhh Shairnieeeyyy Dil Khush Ker Dita Eaahhhh
                          sigpic

                          Comment

                          • #58

                            yeh aap ka weham hy aisa kuch nahi hay......

                            =============================
                            main to yehan govt base per dosti kee baat ker raha hun......
                            kiun k hamari economy ka jitna hisa Defah per kharach hujata hay.....ager koi muhahida ya dosti hugee to wo sab education aur falahi kaamon per kharach huga...

                            Comment

                            • #59
                              Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                              Originally posted by M_Mehmood View Post
                              likin me yahan ye pochna chahta hon k Pakistan banana ki zarorat hi kia thi
                              Baqool Dr. Javed Iqbal, humaray pass aur koi rasta he nahee thaa...!! isleay 2 Nazriyati Agenda sa'mnay lay aaiy....

                              Originally posted by M_Mehmood View Post
                              hum ne pakistan bana kar india se dushmani mol li us k bad Pakistan k do tokre kar k bagladesh walon se bhe dushmani mol li hum ne ek bahut bare ur mazbut mulk k 3 tukre kar diye approximately aj pakistan me 16000000 or bangladesh me 15000000 or India me 22000000 muslim hen hum(pakistanio ni) 53000000 muslims ko 3 hison me taksim kar dia
                              Dushmani mool leee....?? woh to mool laini he paRti hai, neechay aap he nay to likha hai kay poray india ISLAM kayleay hai, kia "tab" dushmani mool nahe lain gaiy?? aur reh gai baat muslimz ki taqseem ki to dunia bhar kay muslim aaj kaun say aik hain jo "hum bar-e-shaghir kay muslman" aik ho jatay.... doriyaN "sarhad" say nahee "nazriyat" say paida hoti hain

                              Originally posted by M_Mehmood View Post
                              aj ager ye ekathe hote to shed hindostan ki sab si bari qowat hote
                              SHAYED !!

                              Originally posted by M_Mehmood View Post
                              Is sari bat se meri har giz ye murad nahi hy k Pakistan banna hi nahi chahiye tha
                              :cc:

                              Originally posted by M_Mehmood View Post
                              Pakistan to nezame Mustafa k lye hasel kia gia tha or ise liye hum ne itni bari doshmani mol li thi
                              again Dr. Javed Iqbal said.......

                              Originally posted by M_Mehmood View Post
                              Or akher me ye kahon ga k hindostan sara musalmano ka hye or islam is ka moqader hey
                              kia is baat say nazuk mizajoN kay dil maiN dushmani paida nahee hogee?? matlab pehlay aap keh rhay thay kay dushmani mool lee, kia yeh "dushmani" Mool laynay wali baat nahee.....
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              • #60
                                Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                                ASSALAM O ALAIKUM
                                mera kehna ye hai k jo log Pkiistan sy Indianz ki mohabbat ki baat karty hain tou wo bohat bholay hain jo un ki baton pe yaqeen karty hain.kiun k Indianz k dil mein kabhi bhi Pakistanis k liay koi jazba nahi tha na he koi jazba ho sakta hai kiun k ham Alhamdulillah musalman hain aur hindu kabhi bhi musalmano k dost nahi ho saktay phir Indianz kese hamary dost ho saktay hain?un k dil mein muhabbat kese ho sakti hai?:
                                mujhe ye baat samajh nahi aati k jo loag Pakistan aur India ki "DOSTI" ki baat karty hain wo ye kiun bhool jaty hain k india hamara hamesha se dushman raha qayam-e-pakistan sy qabl koi ghar koi khandan aisa na tha jis pe inhe "INDIAN DOSTON" ne mazalim dhae.kiun k wo Pakistan ka mutaliba karta tha.phir aj kese inn indianz k dilon mein Pakistan aur Pakiz k liay muhabbat ho sakti hai.
                                dosti ki baat karne waly ye kiun bhool jatay hain k ye wohi indianz hindu hain jo Pakistan k qayam ki mukhalfat kartay thay/jin indianz sy ap dosti ki baat kartay hain wo un lakhon musalmanon k qatil hain jinhon ne Pakistan k qayam k liay jaan qurban ki magar aj ye waqt hai k aj unhi shohada ki naslain indianz ki muhabbat k daway kartay hain.unhe indianz ko apna hero mantay hain.
                                unhi bal thakray.wajpai. manmohan aur partab mukhar ji sy muhabbat kartay hain jin k aba o ajdad sirf Pakistan ka nam lene ki waja sy talwar ka shikar hue.INDIA SY DOSTI AUR MOHABBAT KI BAT KARNAY WALAY YE KIUN BHOOL GAE HAIn k indianz aj bhi Pakistan sy nafrat kartay hain.aj indian army Kashmir mein mazallim dha rahi hai uss Kashmir par jiss ny Pakistan sy ilhaq ka aelaan kiya magar INDIAN DOSTON NE issy baich dia aur Kashmiriz jo aj bhi Pakistan ka nam letay hain tou agla lamha un k lashay zameen par tarap rahe hotay hain.
                                SORRY TO SAY magar haqiqat tou ye hai k aj INDIA SY DOSTI ki bat karnay walay,,INDIANZ KI MUHABBAT KA DAMBHARNAY WALAY har qurbani har takleef bhool cjkay hain aj in k dil sirf Indianz ki muhabbat mein khoay hain.aur afsos say kehna par raha hai k ye laug sareeh gumrahi mein hain.
                                aur agar koi PAkistani INDIA SAY MOHABBAT AUR PIYA KA DAWAY DAR HAI TOU USS SAY BARA GHADDAR KOI NAHI.

                                aur onwan ki mutabiqat say he aik bat ko aur zaroor shamil karna chahoion gi keh
                                aur indianz k liay ye nafrat kabhi khatm na honay wali hai .
                                inn indianz k liay tab tak nafrat rahe gi jab tak ye Kashmir par apne mazalim khatm nahi kartay.jab tak ye Pakistan k liay apnay dil mein keena aur bughaz rakhain gay in k liay mohabbat paida na hogi.

                                aur jahan tak Quaid ka taaluq hai tou main bhi un ki hamayat karti hoon k ham india say jung nahi chahtay magar hum unsay mohabbat bhi nahi karsaktay.

                                bohat si batain bohat talkh hain magar mujhe koi afsos nahi .bohat say loag kahen gay k mujh jesy logon ki waja say Indo Pak relations barh nahi paty tou bhi mujhe koi sharmindagi nahi kiun k jo maiin ne kaha sab aikk talkh haqiqat hai jiska samana koi bhi nahi karna chahta.
                                agar kisi k un logon k jo BAAL THAKRAY AUR INDIA SAY MOHABBAT K DAWAY DAR HAIN UNN K EHSASAT MAJROOH HUE TOU MAAZRAT MAGAR HAQIQAT KA SAMNA KARNE SAY INSAN KO FAIDA HOTA HAI.

                                Sapurd-e-Maula

                                Comment

                                Working...
                                X