Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Friendship with India??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Friendship with India??

    Originally posted by zapk7 View Post
    Daikhain nazariaat to hamaray bohat se mumalik se mukhtalif hain to kiya ham sab se ta'aluqaat tor lain?Main ne pahlay bhi mention kiya hai diplomatic relations aik mukhtalif baat hai.Donoon mulkon ke darmian dosti ka matlab yeh nahin hai ke ham unhain mukhlis dost samajh lain.Agar ham aisa karain gay to aik india hi kiya kai mulk hamain nuqsaan pohanchain gay.Afghanistan ki misaal hamaray samnay hai,ham ne islami bhai charay ke naam par unhain itna apni zindagion main dakheel kar liya hai ke woh hamaray andar ghus ker hamain nuqsaan pohanchatay hai aur sonay per suhaga unki hakoomat hamain dhamkian bhi daiti hai.
    hamara khyal hai k ham ne bhi esi point of view ko expalin kerne ki koshish ki hai aur ham Khalil se ye kehna chah rahe thay k Diplomacy aur MOhabbat mein bhot farq hai. humain aitraz sirf es baat per hai k dou countries k strategic relations mein Mohabbat ya Nafrat k alfaz ka estmaal appropriate nahi hai
    "All I have learned from Life is that I know nothing."

    Comment

    • #32
      Re: Friendship with India??

      Originally posted by Gul-e-Lala View Post
      hamara khyal hai k ham ne bhi esi point of view ko expalin kerne ki koshish ki hai aur ham Khalil se ye kehna chah rahe thay k Diplomacy aur MOhabbat mein bhot farq hai. humain aitraz sirf es baat per hai k dou countries k strategic relations mein Mohabbat ya Nafrat k alfaz ka estmaal appropriate nahi hai
      I agree.:rose Aisa to mumkin hai ke aik indian aur aik Pakistani fard ki gahri dosti ho jaye aur hamesha chalay kiyunke woh bhi insaan hain aur unse hamaray interests match kar saktay hain aur dost ke long term relations build ho saktay hain.Laikin bahasiat qoum hamari unke saath aisi dosti nahin ho sakti,sirf diplomatic relations hi qayam ho saktay hain.Aur khushgawaar diplomatic relations waqt ki zaroorat hai.Hamain iska faisla jald karna hoga.
      Last edited by zapk; 15 December 2006, 17:33.
      Mind Sciences

      Comment

      • #33
        Re: Friendship with India??

        Originally posted by zapk7 View Post
        Assalam-o-alaikum friends!Bari garma garam debate ho rahi hai.
        Maira khiyal hai ke pahlay to hamain yeh differenciate karna hoga ke do logon ki dosti aur do mulkon ki dosti main zameen aasman ka farq hota hai.Afrad ki dosti main jazba-e-eisaar hota hai jabke mumalik ki dost main diplomacy hoti hai.
        Lihaza do mulkoon ke darmian diplomatic relations international politics ka hissa hain aur India ho ya israel in relations main koi muzaiqa nahin.
        India ke hawalay se ham ne dohra mayaar apnaya hua hai,unki films ham shouq se daikhtay hain,indian kapray se hamari market bhari hui hain,Taqreebat main indian style ke libaas aur zewarat istaimaal hotay hain,phir bhi ham ye kahtay hain ke India se nafrat hai.
        Indian aur Pakistani awam aik doosray se nafrat nahin kartay,diplomatic level per jo masail hain woh bhi politicians hal nahin karna chahtay taake zara ronaq mela rahay.
        Jahan tak Quaid-e-Azam ka ta'aluq hai to woh bohat azeem insaan thay aur azeem insaan waqt aur halaat ko daikhtay huay faislay kartay hain; sirf aik baat par arh nahin jaatay.Quaid ko to is qoum ne jitna apnay maqasid ke liyay istaimaal kiya hai kisi doosri qoum ne nahin kiya hoga.
        Oveall main yehi kahoon gi ke India ur Pakistan hamsaya mulk hain,inkay paas aitmai taaqat bhi hai.Agar ye international level par apna waqar chahtay hain to inhain aapas key ikhtaloafat ko khatm karna hoga.Donoon mumalik ko aapas kay jhagroon ne muashi khush haali se door rakha hua hai.
        :salam: very nice...........pata nahi pher gvt kab sochy gee?

        Comment

        • #34
          Re: MUBAHISA: Friendship with India??

          main yehan kuch add kerna chaonga k humary india k sath her kisam ka karobar huta hay....hum ziyada ter import india sy hee kerty hian....

          to pher hamary zehon main CRUSH INDIA bher dia gia hay.....
          aab esy khatam huna chayee.....
          hamari sari mehnat kee kamail Afwaj pak. ko ja rahi hay...taka india sy jang main kaam asaky..to kiun ny pher DOSTI hu

          Comment

          • #35
            Re: Friendship with India??

            Originally posted by zapk7 View Post
            I agree.:rose Aisa to mumkin hai ke aik indian aur aik Pakistani fard ki gahri dosti ho jaye aur hamesha chalay kiyunke woh bhi insaan hain aur unse hamaray interests match kar saktay hain aur dost ke long term relations build ho saktay hain.Laikin bahasiat qoum hamari unke saath aisi dosti nahin ho sakti,sirf diplomatic relations hi qayam ho saktay hain.Aur khushgawaar diplomatic relations waqt ki zaroorat hai.Hamain iska faisla jald karna hoga.
            agreed :)
            "All I have learned from Life is that I know nothing."

            Comment

            • #36
              Re: MUBAHISA: Friendship with India??

              Originally posted by Khalil View Post
              main yehan kuch add kerna chaonga k humary india k sath her kisam ka karobar huta hay....hum ziyada ter import india sy hee kerty hian....

              to pher hamary zehon main CRUSH INDIA bher dia gia hay.....
              aab esy khatam huna chayee.....
              hamari sari mehnat kee kamail Afwaj pak. ko ja rahi hay...taka india sy jang main kaam asaky..to kiun ny pher DOSTI hu
              Mere pyaaray Gadhay bura nahi manana lekin mein ager tujay gadha kehta hoon to bohat logical ho ke kehta hoon, kyoon ke tu hay he gadha, dikhnay mein na sahi lekin akal se to tu puray ka pura gadha he he :blush:

              Yeh CRUSH INDIA ka word tu ne khud nikala ya kisi buchay ne boola jo sun ke tu yahan laga raha he...ub tu bara ho gaya he, buchon wali baatein na kia kar, aisa koi masla nahi pakistan mein...sabi loog peace aur doosti chahtay hein...tu fazool mein dheechon dheechon ker raha he

              P.S. Khalil ager tujay meri koi baat buri lagi to me tujay moaaf ker deta hoon :blush:
              :thmbup:

              Comment

              • #37
                Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                Originally posted by munda_sialkoty View Post

                oey ab main teri baat ka ghusa kiun karonga...jabky main tumhary bary main janta hun......yeh choti choti batian na kia ker.................

                aur yaar to yeh janta hay k crush india k baij milty they...aur pakistan indian ka koi bee kisi kisam ka match ho to aik jang ka nazara huta hay...

                lagta hay to apni yadashat khoo chuka hay.....
                thory syy raani khet k injection lagwa

                Comment

                • #38
                  Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                  Originally posted by Khalil View Post
                  main yehan kuch add kerna chaonga k humary india k sath her kisam ka karobar huta hay....hum ziyada ter import india sy hee kerty hian....

                  to pher hamary zehon main CRUSH INDIA bher dia gia hay.....
                  aab esy khatam huna chayee.....
                  hamari sari mehnat kee kamail Afwaj pak. ko ja rahi hay...taka india sy jang main kaam asaky..to kiun ny pher DOSTI hu
                  Darust kaha khalil! Mujhay sirf aik jumlay par aitraaz hai.Aap ne kaha "Hamari mehnat ki kamai afwaj pak ko ja rahi hai." is se yun maloom hota hai aap hamari afwaj ko alien samajh rahay hain.Hamaray haan badget main sab departments ka hissa hota hai difa'a ke mahakmay ko ziada hissa milta hai jo ke zahir hai india aur pakistan ki dushmain ki wajah se hai.Laikin is ke liyay yeh samajhna ke hamari mehnat ki kamai fowj kha jati hai mairay khiyaal main darust nahin hai.
                  Mind Sciences

                  Comment

                  • #39
                    Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                    Originally posted by zapk7 View Post
                    Darust kaha khalil! Mujhay sirf aik jumlay par aitraaz hai.Aap ne kaha "Hamari mehnat ki kamai afwaj pak ko ja rahi hai." is se yun maloom hota hai aap hamari afwaj ko alien samajh rahay hain.Hamaray haan badget main sab departments ka hissa hota hai difa'a ke mahakmay ko ziada hissa milta hai jo ke zahir hai india aur pakistan ki dushmain ki wajah se hai.Laikin is ke liyay yeh samajhna ke hamari mehnat ki kamai fowj kha jati hai mairay khiyaal main darust nahin hai.
                    yehi to prblem hay...sara income tax aur zar e mubadila...afwaj ko chala jata hay....
                    ager dushmani nhi hugee to pher zahir hay sab halat theek hu jain gy...
                    kia aap ko pata hay kitna budget ka hissa fowj ko jata hay?

                    Comment

                    • #40
                      Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                      Originally posted by Khalil View Post
                      yehi to prblem hay...sara income tax aur zar e mubadila...afwaj ko chala jata hay....
                      ager dushmani nhi hugee to pher zahir hay sab halat theek hu jain gy...
                      kia aap ko pata hay kitna budget ka hissa fowj ko jata hay?
                      Mujhay maloom hay bachay! Main to aik jumlay per aitraz kiya tha jis se mairi nazar main afwaj-e-Pakistan ki touheen ka pahloo nikalta hai.
                      Agar aap yeh jumla ke " Hamari mehnat ki kamai afwaj ko jarahi hai" ki bajay yeh kahtay ke "Is dushmani ki wajah se hamain difaai badget barhaana parta hai" to munasib hota.Mujhay to aap ke jumlay se yum maloom hua ke aap afwaj-e-Pakistan ko ghasib samajhtay hain jo hamari mehnat ki kamai harap kar jaati hai.Maira aitraz sirf yeh hai.
                      Mind Sciences

                      Comment

                      • #41
                        Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Mere pyaaray Gadhay bura nahi manana lekin mein ager tujay gadha kehta hoon to bohat logical ho ke kehta hoon, kyoon ke tu hay he gadha, dikhnay mein na sahi lekin akal se to tu puray ka pura gadha he he :blush:

                        Yeh CRUSH INDIA ka word tu ne khud nikala ya kisi buchay ne boola jo sun ke tu yahan laga raha he...ub tu bara ho gaya he, buchon wali baatein na kia kar, aisa koi masla nahi pakistan mein...sabi loog peace aur doosti chahtay hein...tu fazool mein dheechon dheechon ker raha he

                        P.S. Khalil ager tujay meri koi baat buri lagi to me tujay moaaf ker deta hoon :blush:

                        lolz@logic aur gadha :kr:
                        If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                        Happy moments, praise Allah.
                        Difficult moments, seek Allah.
                        Quiet moments, worship Allah.
                        Painful moments, trust Allah.
                        Every moment, thank Allah.

                        Comment

                        • #42
                          Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                          Originally posted by zapk7 View Post
                          Mujhay maloom hay bachay! Main to aik jumlay per aitraz kiya tha jis se mairi nazar main afwaj-e-Pakistan ki touheen ka pahloo nikalta hai.
                          Agar aap yeh jumla ke " Hamari mehnat ki kamai afwaj ko jarahi hai" ki bajay yeh kahtay ke "Is dushmani ki wajah se hamain difaai badget barhaana parta hai" to munasib hota.Mujhay to aap ke jumlay se yum maloom hua ke aap afwaj-e-Pakistan ko ghasib samajhtay hain jo hamari mehnat ki kamai harap kar jaati hai.Maira aitraz sirf yeh hai.
                          shaid kuch halat hee aisy hain k foaj khilaf batian kerny ko dil kerta hay....:mm:

                          Comment

                          • #43
                            Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            maiN bhi yeh he kehna chahta thaa.. :blush:

                            Bilkul.. Awam main aksar aisa kuch nahee, jaisa kay yahan bhi aksar nay yeh he kaha hai kay hum india say nafrat nahee kartay, laikin yeh bhi to aik sach hai kay humaray darmiyan jitni bhi jangain hoi hain woh hum donoN nay he apnay apnay nisab main jeeti hain :D, agar aap phir kehti haiN kay yeh Govt. ki wajah say hai to yaqinan laikin jab aam aadmi ko baar baar yeh yaad dehani karwai jaiy to woh bhi isay tasleem karnay lagta hai, ya nahee :mm:
                            jangon wali baat sahih hai :hehe:

                            koi bhi shaks ye zaroor tasleem kerney lagey ga agar us ki apni observations na hon tab...

                            balkey mulk sey bahar aik foreigner bhi aik Pakistani aur Indian key darmayaan dosti deykhta hai to yahi kehta hia" your countries are always in war with each other right'.."

                            abhi jab India aur Us key darmayaan nuclear deal hui hai to aik french news paper ki front page per itni barhi headline thi "Arms race between India and Pakistan continues....
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #44
                              Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                              @Zap

                              jis tarhan key "thaat" hamari fauj key hain.....us ki base per ye sab kaha jata hai...

                              mey is ko explain nahi karun gi kyun key aap jaanti hain?
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              • #45
                                Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                                Assalam o Alaikum

                                buhut accay mozo ka intekhaab kia gaya he

                                Meray khayal mein awaam kisi bhi religion se taluq rakhtee ho woh apas mein mil jul ker rehna chahtay hein, jab aap kisi ke religion mein interfere kerain gay to koye bardasht nahi keray ga, apni zaat per accha bura her koye bardasht ker leta he, religion ik jazbaatee muaamla he,

                                baqee hamara culture bar e saghir ka sadioon se aik dosray ke saath mila julaa he , aap mazhabi revayaat ko na dekhein, muaashartee ya ilaaqayee revaayaat ko dekhain, ham ne kayee revayaat ik dosray ke elaaqoon se acquire ki hein, beherhaal meray khayal mein awami sataah per her pakistani indian people se friendship chahtaa he, agar friendship nahi to kam az kam jhagra ya nafrat nahi chahtaa,

                                Hamesha problems hakoomti satah per hoti hein, aur awaam ko bhatkanay walay bhi yeh apni seyasat chamkanay walay leaders hotay hein ,jinhein shoohrat ka koye na koye bahana chahyee hotaa he,

                                meri koye baat ghalat he to bila jhijhak rehnumaye farmaye ga, shukria

                                wassalam
                                Rabb e Zidni Elmaa"

                                Comment

                                Working...
                                X