Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Friendship with India??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: MUBAHISA: Friendship with India??

    Originally posted by waqar_masood View Post
    Assalam o Alaikum

    buhut accay mozo ka intekhaab kia gaya he

    Meray khayal mein awaam kisi bhi religion se taluq rakhtee ho woh apas mein mil jul ker rehna chahtay hein, jab aap kisi ke religion mein interfere kerain gay to koye bardasht nahi keray ga, apni zaat per accha bura her koye bardasht ker leta he, religion ik jazbaatee muaamla he,

    baqee hamara culture bar e saghir ka sadioon se aik dosray ke saath mila julaa he , aap mazhabi revayaat ko na dekhein, muaashartee ya ilaaqayee revaayaat ko dekhain, ham ne kayee revayaat ik dosray ke elaaqoon se acquire ki hein, beherhaal meray khayal mein awami sataah per her pakistani indian people se friendship chahtaa he, agar friendship nahi to kam az kam jhagra ya nafrat nahi chahtaa,

    Hamesha problems hakoomti satah per hoti hein, aur awaam ko bhatkanay walay bhi yeh apni seyasat chamkanay walay leaders hotay hein ,jinhein shoohrat ka koye na koye bahana chahyee hotaa he,

    meri koye baat ghalat he to bila jhijhak rehnumaye farmaye ga, shukria

    wassalam
    walaikum salam,

    Nah......hamarey aur indian culture mey bohot farq hai.....yahi farq hai to Pakistan bana ......??
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #62
      Re: MUBAHISA: Friendship with India??

      Originally posted by zapk7 View Post
      Mairay piyaray jazbati naujawan bahan bhaiyo!
      Hamara sab se bara masla yeh hai ke ham samnay ki baat to daikhtay hain laikin cause and effect ke usool ko nazar andaaz kar daitay hain.
      .....................Main to yehi kahoon gi ke hamain pakistan ke halaat darust karnay ke liyay kisi inqalab ki zaroorat nahin hai agar har fard apna aihtisaab khud karna shuru kar dey to halat darust honay main dair nahin lagay gi.
      mey inshAllah issey zaroor discuss karun gi leykin abhi yahan nahi :)

      thanks for your detailed reply

      khush rahein:rose
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #63
        Re: MUBAHISA: Friendship with India??

        @Ms. Rashid

        dosti aur Muhabbat do alag lafz hein .......jin key alag maa'ini hein theek?
        koi bhi indians sey muhabbat ki baat nahi ker raha hai ..... to phir aap ney ghaddar ka lafz kyun isteymaal kiya :donno:


        Mey sirf ye kehna chahun gi key agar hum apney ander tolerance paida ker lein to is mey kuch bura nahi hai........?aur ye to Islam ney hamein seykhaya hai ......as Islam is a relegion of peace and tolerance

        and there is a v beautiful hadith about friendship with your rivals i will try to find it inshALlah


        ab in saari baaton ka ye matlab nahi hai key hum un key culture ko adopt karein ...no ---never.........hamari apni values hein jo hamein bohot azeez hein

        leykin hum indians sey nafrat bhi nahi kertey hein .........keepin in mind that our culture and values are totally different from them ....we do repect the way they are and thats it......

        i hope im clear...


        and just one thing Ayesha ...Pakistanion key liye Paki ka lafz mat isteymaal kiya karein :thmbup:

        khush rahein
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #64
          Re: MUBAHISA: Friendship with India??

          Hmmmmmm discussion is going nice:lpop: :lpop: :clap: :clap:
          Keep it up all

          Comment


          • #65
            Re: MUBAHISA: Friendship with India??

            Asalamaalaikum..

            woh baat kar jisay duniya bhi mu'tbar samjhay
            tujhay khabar hai zamana badalta jata hai...



            Khush rahiye..
            Allah haafiz .:)
            Last edited by ummid; 20 December 2006, 17:48.

            Comment


            • #66
              Re: MUBAHISA: Friendship with India??

              XENYA

              Apko behas ka onwan dobara parhana chahye.kiun k uss mein mohabbat ka lafz hai.
              ok

              aur mohabbat ki baat A MAN OF LETTERS nay ki zara tawaju karen tou har baat ka jawab mill jae ga.

              Ap sada khush o khuram rahen

              Sapurd-e-Maunla

              Comment


              • #67
                Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                Originally posted by Ayesha_Rashid View Post
                ASSALAM O ALAIKUM
                Originally posted by Ayesha_Rashid View Post
                mera kehna ye hai k jo log Pkiistan sy Indianz ki mohabbat ki baat karty hain tou wo bohat bholay hain jo un ki baton pe yaqeen karty hain.kiun k Indianz k dil mein kabhi bhi Pakistanis k liay koi jazba nahi tha na he koi jazba ho sakta hai kiun k ham Alhamdulillah musalman hain aur hindu kabhi bhi musalmano k dost nahi ho saktay phir Indianz kese hamary dost ho saktay hain?un k dil mein muhabbat kese ho sakti hai?:
                mujhe ye baat samajh nahi aati k jo loag Pakistan aur India ki "DOSTI" ki baat karty hain wo ye kiun bhool jaty hain k india hamara hamesha se dushman raha qayam-e-pakistan sy qabl koi ghar koi khandan aisa na tha jis pe inhe "INDIAN DOSTON" ne mazalim dhae.kiun k wo Pakistan ka mutaliba karta tha.phir aj kese inn indianz k dilon mein Pakistan aur Pakiz k liay muhabbat ho sakti hai.
                dosti ki baat karne waly ye kiun bhool jatay hain k ye wohi indianz hindu hain jo Pakistan k qayam ki mukhalfat kartay thay/jin indianz sy ap dosti ki baat kartay hain wo un lakhon musalmanon k qatil hain jinhon ne Pakistan k qayam k liay jaan qurban ki magar aj ye waqt hai k aj unhi shohada ki naslain indianz ki muhabbat k daway kartay hain.unhe indianz ko apna hero mantay hain.
                unhi bal thakray.wajpai. manmohan aur partab mukhar ji sy muhabbat kartay hain jin k aba o ajdad sirf Pakistan ka nam lene ki waja sy talwar ka shikar hue.INDIA SY DOSTI AUR MOHABBAT KI BAT KARNAY WALAY YE KIUN BHOOL GAE HAIn k indianz aj bhi Pakistan sy nafrat kartay hain.aj indian army Kashmir mein mazallim dha rahi hai uss Kashmir par jiss ny Pakistan sy ilhaq ka aelaan kiya magar INDIAN DOSTON NE issy baich dia aur Kashmiriz jo aj bhi Pakistan ka nam letay hain tou agla lamha un k lashay zameen par tarap rahe hotay hain.
                SORRY TO SAY magar haqiqat tou ye hai k aj INDIA SY DOSTI ki bat karnay walay,,INDIANZ KI MUHABBAT KA DAMBHARNAY WALAY har qurbani har takleef bhool cjkay hain aj in k dil sirf Indianz ki muhabbat mein khoay hain.aur afsos say kehna par raha hai k ye laug sareeh gumrahi mein hain.
                aur agar koi PAkistani INDIA SAY MOHABBAT AUR PIYA KA DAWAY DAR HAI TOU USS SAY BARA GHADDAR KOI NAHI.

                aur onwan ki mutabiqat say he aik bat ko aur zaroor shamil karna chahoion gi keh
                aur indianz k liay ye nafrat kabhi khatm na honay wali hai .
                inn indianz k liay tab tak nafrat rahe gi jab tak ye Kashmir par apne mazalim khatm nahi kartay.jab tak ye Pakistan k liay apnay dil mein keena aur bughaz rakhain gay in k liay mohabbat paida na hogi.

                aur jahan tak Quaid ka taaluq hai tou main bhi un ki hamayat karti hoon k ham india say jung nahi chahtay magar hum unsay mohabbat bhi nahi karsaktay.


                bohat si batain bohat talkh hain magar mujhe koi afsos nahi .bohat say loag kahen gay k mujh jesy logon ki waja say Indo Pak relations barh nahi paty tou bhi mujhe koi sharmindagi nahi kiun k jo maiin ne kaha sab aikk talkh haqiqat hai jiska samana koi bhi nahi karna chahta.
                agar kisi k un logon k jo BAAL THAKRAY AUR INDIA SAY MOHABBAT K DAWAY DAR HAIN UNN K EHSASAT MAJROOH HUE TOU MAAZRAT MAGAR HAQIQAT KA SAMNA KARNE SAY INSAN KO FAIDA HOTA HAI.

                Sapurd-e-Maula



                Yehi nafrat jo aap k dill main hy yehi to khatam huni chayee...
                aur mery khiyal sy es k khatmy sy hee dono mulak tarakee ker sakty hian...
                mazzi main jo batian hui wo sab janty hain kitny hee talakh hakaik hain.
                lakin hum maazi ko lye ker baith nahi jana chayee balky mustakbil kee rah hamwar kerni chayee....
                hum india sy her kisam ka trade ker rahy hain ager aap Pakistan main to shaid aap ko pata huna chayee....
                aap Piyaz cheeni aur dalian aur buhat see ashyae khurd o noosh india kee kha rahi hain.......
                to pher kiun k es trade ko bee dosti main badal dia jay dono mulik aik dosery kee rah main kanty bicha daity hian.....
                indian kee films sab sy ziyada pakisatn main dekhi jati hian......aur un ka yeh bee industry shaid pakisatan kee waja sy hee chal rahi hay.....
                At GOVT level mery khiyal main koi nahi chayee ga es ko dosti main badla
                Kashmir aur bakee sab point to aik Hakoomat kerny ka zariya hayn....
                aur hamary loag wakee boly hain Un ka kisi na kisi side per dhiyan laga rakhna yeh to hamari govt kee policy hain wo chayee Kashmir hu ya koi aur mozo..............

                main yeh bee kehna chahoonga k akher humain Kashmir per hee kiun laraya ja raha hay...Kabhi aap ny Kashmiron ko bee suna hay...wo kabi bee Pakistan main shamil huna chaye gay??? Kabi nahi....................

                my dear apny under sy nafrat nikalin....mery under bee pehly buht thee..lakin jab apny mulik k halat dekhty hain k loag ghurbat aur bhook sy mar rahy hian..
                aur hamari Army jo sab khaa rahi hain Aalishan mahaloon main reh rai hay...to pher yeh soch aye k kiun na dosti hu.lakin ager dosti hu to hamary bary bary Miltry k loag kaha sy khayee gy???

                Comment


                • #68
                  Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                  Originally posted by Xenya View Post
                  @Ms. Rashid

                  dosti aur Muhabbat do alag lafz hein .......jin key alag maa'ini hein theek?
                  koi bhi indians sey muhabbat ki baat nahi ker raha hai ..... to phir aap ney ghaddar ka lafz kyun isteymaal kiya :donno:


                  Mey sirf ye kehna chahun gi key agar hum apney ander tolerance paida ker lein to is mey kuch bura nahi hai........?aur ye to Islam ney hamein seykhaya hai ......as Islam is a relegion of peace and tolerance

                  and there is a v beautiful hadith about friendship with your rivals i will try to find it inshALlah


                  ab in saari baaton ka ye matlab nahi hai key hum un key culture ko adopt karein ...no ---never.........hamari apni values hein jo hamein bohot azeez hein

                  leykin hum indians sey nafrat bhi nahi kertey hein .........keepin in mind that our culture and values are totally different from them ....we do repect the way they are and thats it......

                  i hope im clear...


                  and just one thing Ayesha ...Pakistanion key liye Paki ka lafz mat isteymaal kiya karein :thmbup:

                  khush rahein
                  Kash aap ko samaj ajay....yeh aik hee chez huti hay.................

                  Comment


                  • #69
                    Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                    @Ms.Rashid

                    My appology ....:rose


                    Now bohot generally.....ye sirf India sey ta'lokaat ki baat nahi balkey is mey sabhi countries aati hein.......

                    hamarey Relations jis tarhan aur non muslim countries key sath hein waisey hi India key sath honey chahiyein......kyun key aik mulk sab sey cut ker nahi survive ker sakta hai.....Pakistan bhi nahi ker sakta hai....
                    agar aap key neighbours Indian hon to aap key un key sath kaisey ta'lukaat hon gey?wud u prefer "nafrat aur larai" everyday? ya koi aur tareeka ho ga un key sath rehney ka?


                    meyrey nazdeek is ka aik hi hal hai aur wo hai "tolerance"....
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #70
                      Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                      Originally posted by Khalil View Post
                      Kash aap ko samaj ajay....yeh aik hee chez huti hay.................
                      :tauba
                      Imagine
                      Musharraf goes to india and says to the President .....Mey aap ki taraf dosti ka hath barhata hun kyun key mujhey aap sey Muhabbat hai
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #71
                        Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                        Originally posted by Xenya View Post
                        :tauba
                        Imagine
                        Musharraf goes to india and says to the President .....Mey aap ki taraf dosti ka hath barhata hun kyun key mujhey aap sey Muhabbat hai
                        dosti aur muhabat ka aik alag topic hain...............

                        lakin aap many na many.......mush ko India sy bee muhabat hay

                        Comment


                        • #72
                          Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                          shabaash sabi bool lo, mein end pe boolon ga :blush:
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #73
                            Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                            Originally posted by Xenya View Post
                            @Ms.Rashid

                            My appology ....:rose


                            Now bohot generally.....ye sirf India sey ta'lokaat ki baat nahi balkey is mey sabhi countries aati hein.......

                            hamarey Relations jis tarhan aur non muslim countries key sath hein waisey hi India key sath honey chahiyein......kyun key aik mulk sab sey cut ker nahi survive ker sakta hai.....Pakistan bhi nahi ker sakta hai....
                            agar aap key neighbours Indian hon to aap key un key sath kaisey ta'lukaat hon gey?wud u prefer "nafrat aur larai" everyday? ya koi aur tareeka ho ga un key sath rehney ka?


                            meyrey nazdeek is ka aik hi hal hai aur wo hai "tolerance"....

                            Tolorance...aur kitni qurbani dain gay ham india k liey.........Pakistan Bana tu lakhon logon nay apni jaan ki qurbani dee..hazaroon aurton nay apni izat ki qurbani dee...1971 main Bagladesh ki qurbani dee...aur abhi mazi qareeb main jeeti hoee jang ham haar gay yeh bhi aik qurbani aur kitni qurbanian dain ham...aur kis liey us dushman k liey jo dosti ki aar main ham per peeth per bhi war kernay sat baaz nahien aaey ga///////????????? kiiiiiiuuuuunnnnnnnnn??????
                            sigpic

                            Comment


                            • #74
                              Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                              Originally posted by sccorpion81 View Post
                              Tolorance...aur kitni qurbani dain gay ham india k liey.........Pakistan Bana tu lakhon logon nay apni jaan ki qurbani dee..hazaroon aurton nay apni izat ki qurbani dee...1971 main Bagladesh ki qurbani dee...aur abhi mazi qareeb main jeeti hoee jang ham haar gay yeh bhi aik qurbani aur kitni qurbanian dain ham...

                              mey ney apney reply mey ye baat mention ki thi key ye bohot generally hai....

                              aur Bangladesh ki qurbani?.......India ki waja sey di thi Pakistan?.....nahi.....




                              I coudnt find that hadith....us ka mafoom ye tha key ...
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • #75
                                Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                shabaash sabi bool lo, mein end pe boolon ga :blush:
                                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                                Comment

                                Working...
                                X