Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Friendship with India??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Friendship with India??

    Originally posted by mr_sad View Post
    yaar dosti jiss say b hoo achi hoti hai

    maray khalal main pakistan ki aawam indian ko like karti hai

    bus hakoomat hi drame bazi karti hai.

    may rah ik dost india ka hai us se phone pe bateen hoti hai

    app india ko films dekhtay hoo iss say bar ky kiya ho sati hai dosti ki masaal
    Gul te teri v sai aye chacha :lpop:
    :thmbup:

    Comment

    • #17
      Re: Friendship with India??

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Tu bilkul gadha he, tujay nahi pata ke yahan insaan kuch discuss ker rahay hein :tasali: her jagah apna fitay-moun le ke pohanch jata he :slap:
      main tumhari oakat kee sharat lagany per tiyar hun..k Tum kukar hu....

      chalo ab bataon k idia sy dosti theek hay.....khamkhwah hee hum ny india k apna dushman banaya huwa hay/

      Comment

      • #18
        Re: Friendship with India??

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Nazreen, mein ne bohat acha sa jawaab soocha tha, lekin mujay afsoos he ke aap mere jawaab se mustafeed nahi ho paein ge kyoon ke is gadhay ne mere zehan se sub kuch nikaal diya he :fuming:

        shukriya :blush:
        shukriya

        Comment

        • #19
          Re: Friendship with India??

          Assalam-o-alaikum friends!Bari garma garam debate ho rahi hai.
          Maira khiyal hai ke pahlay to hamain yeh differenciate karna hoga ke do logon ki dosti aur do mulkon ki dosti main zameen aasman ka farq hota hai.Afrad ki dosti main jazba-e-eisaar hota hai jabke mumalik ki dost main diplomacy hoti hai.
          Lihaza do mulkoon ke darmian diplomatic relations international politics ka hissa hain aur India ho ya israel in relations main koi muzaiqa nahin.
          India ke hawalay se ham ne dohra mayaar apnaya hua hai,unki films ham shouq se daikhtay hain,indian kapray se hamari market bhari hui hain,Taqreebat main indian style ke libaas aur zewarat istaimaal hotay hain,phir bhi ham ye kahtay hain ke India se nafrat hai.
          Indian aur Pakistani awam aik doosray se nafrat nahin kartay,diplomatic level per jo masail hain woh bhi politicians hal nahin karna chahtay taake zara ronaq mela rahay.
          Jahan tak Quaid-e-Azam ka ta'aluq hai to woh bohat azeem insaan thay aur azeem insaan waqt aur halaat ko daikhtay huay faislay kartay hain; sirf aik baat par arh nahin jaatay.Quaid ko to is qoum ne jitna apnay maqasid ke liyay istaimaal kiya hai kisi doosri qoum ne nahin kiya hoga.
          Oveall main yehi kahoon gi ke India ur Pakistan hamsaya mulk hain,inkay paas aitmai taaqat bhi hai.Agar ye international level par apna waqar chahtay hain to inhain aapas key ikhtaloafat ko khatm karna hoga.Donoon mumalik ko aapas kay jhagroon ne muashi khush haali se door rakha hua hai.
          Mind Sciences

          Comment

          • #20
            Re: Friendship with India??

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Agreed :blush:
            thanks :)
            "All I have learned from Life is that I know nothing."

            Comment

            • #21
              Re: Friendship with India??

              Originally posted by zapk7 View Post

              Nice...I m agree with u ... laikin sawal yeh hai k yeh ho ga kis tarha
              Kiun k yeh ho gya tu baqol aap k ronaq mela kon dikhaiey ga aur kon daikhay ga
              sigpic

              Comment

              • #22
                Re: Friendship with India??

                aik baat ham yeh bhi kehna chahen gay k hamsaya mamalik hone ki waja se ache taaluqat hona aik bhot zaroori baat hai k khitey hain aman rahe lakin ye tab tak nahi ho sakta jab tak aap bunyadi ikhtalafat ko khatam na karen. aur woh aik nahi bhot sare hain. sirf kehne se kuch nahi hota wese bhi it takes two hands to clap tou dono taraf se compromise kerna zaroori hai
                ham es daleel ko itna strong nahi mante k indian movies dekhi jati hain tou everything must b fine. dekhen jis base per dono mumalik k dermyan aik line khinchi thi woh tou rahe gi na. achi terms establish kerna bhot eham hai lakin ye sochna k dono countries mein koi farq nahi hai ghalat hai.. bunyadi farq hai nazriye ka. woh apni jaga per rahe ga baqi ye ache diplomatic relations per kaam kerna tou zaroori hai he.
                "All I have learned from Life is that I know nothing."

                Comment

                • #23
                  Re: Friendship with India??

                  Assalam-o-Alikum KHL Bhai!:)

                  buhaaat arse baad buhat hi intresting topic per behes ka moqa mila:)
                  mere khiyal main koi bhi country aise nahi hooni chahye jis se Pakistan ka ikhtilaaf ho...sabse beneficial cheez to ye hai her level per.
                  so off course....then there is no need 2 ve conflicts wid India too.
                  lakin KASHMIR is the basic reason jiski waja se thory buhat conflicts hain.
                  ise liye i say k ya aar ho ya paar.....per ab KASHMIR ISSUE ko solve hona chahye.

                  Anyways....wanna add 1 thing......jesi fr.ship hum berha rahy hain India k sath main uskey against hoon.
                  & the reason is......

                  "we r leaving our traditions n following theirs"

                  this is the basic problem.....hum fr.ship karin zaroor karin per aise nahi k jis main hum apni values bhool jain....apne MADHAB ko apne culture ko bhool jain....
                  hamari mohabbat bhi ajeeb hai.....aksar is mohabbat main humin apni cheezon se hi nafrat ho jaati hai.
                  ap media ko dekhin......sab kuch wahi jo k India main hai......hamari rasmin,dresses,glamour sab wasa hi hai...
                  hum apne cinemas per Idian movies dikhana chahte hain....India k sath fr.ship kesi hai k unkey sath mil ker movies banain
                  kiya ye sahee fr.ship hai?

                  i also want k dono countries qareeb ain per aise k hum apni values nahi bhoolain.

                  Thx 4 such a nicoo sharing:)
                  KHUSH RAHYEE!:salam:

                  Comment

                  • #24
                    Re: Friendship with India??

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    mary khial main to pakistan ko is waqat sab se ziyada khud se dosti ki zaroorat hy .:lpop:

                    :thmbup: :thmbup: :thmbup:
                    :kr: :kr: :kr:

                    Comment

                    • #25
                      Re: Friendship with India??

                      Originally posted by Me Here View Post
                      Assalam-o-Alikum KHL Bhai!:)

                      buhaaat arse baad buhat hi intresting topic per behes ka moqa mila:)
                      mere khiyal main koi bhi country aise nahi hooni chahye jis se Pakistan ka ikhtilaaf ho...sabse beneficial cheez to ye hai her level per.
                      so off course....then there is no need 2 ve conflicts wid India too.
                      lakin KASHMIR is the basic reason jiski waja se thory buhat conflicts hain.
                      ise liye i say k ya aar ho ya paar.....per ab KASHMIR ISSUE ko solve hona chahye.

                      Anyways....wanna add 1 thing......jesi fr.ship hum berha rahy hain India k sath main uskey against hoon.
                      & the reason is......

                      "we r leaving our traditions n following theirs"

                      this is the basic problem.....hum fr.ship karin zaroor karin per aise nahi k jis main hum apni values bhool jain....apne MADHAB ko apne culture ko bhool jain....
                      hamari mohabbat bhi ajeeb hai.....aksar is mohabbat main humin apni cheezon se hi nafrat ho jaati hai.
                      ap media ko dekhin......sab kuch wahi jo k India main hai......hamari rasmin,dresses,glamour sab wasa hi hai...
                      hum apne cinemas per Idian movies dikhana chahte hain....India k sath fr.ship kesi hai k unkey sath mil ker movies banain
                      kiya ye sahee fr.ship hai?

                      i also want k dono countries qareeb ain per aise k hum apni values nahi bhoolain.

                      Thx 4 such a nicoo sharing:)
                      KHUSH RAHYEE!:salam:
                      Jee sahi kaha aap nay k ham ko dosti zaroor kerni chahiey laikin apni values ko yaad rakh ker .... agreeeeeeeddddd
                      sigpic

                      Comment

                      • #26
                        Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                        Originally posted by Khalil View Post
                        :salam: salam pakistan

                        w/salam Pakistan

                        Hum PakistanioN ko india say nafrat nahee balkay un logoN say zaror nafrat hai jo hum par bay tukki ilzam tarashi kartay rehtay hain.... india main dengi fever hum nay phailaya, wahan barishain hum nahee honay daytay, sonami indoneshia tak he tha par pakistanion nay is ki kuch lehrain india bhi bhaij deeN :blush:.....
                        India ka problem yeh hai kay woh barabari ki satah par baat nahee karta, aur humara problem yeh hai kay hum "muzakrat" par zoor daytay hain... yani sirf batain karnay par.....
                        Jahan tak Qaid ki baat hai to woh raiy shayad ab badal gai hoti.... aur woh India ka tarz-e-amal daikh kar aik "Mazboob Faisla" karchukay hotay, yani na humain chaiRo na khudh chiRo :blush:
                        That's Enough...!!

                        Comment

                        • #27
                          Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                          ^ true Rullz leykin ye sab sirf gov. kerti hai

                          jitna inteaction meyra indians key sath raha hai us key leyhaz mey ye kahun gi key India key log aeysa nahi kehtey ...

                          plus i think key khl ko Pakistanis/indians key bajaye sirf dono gov. ka reference deyna chahiye tha

                          coz kam sey kam hamari gov. to apney mulk key logon ko nahi represent kerti hai ....
                          jaisey kaha jata hai

                          "
                          Last edited by Z.; 14 December 2006, 12:15.
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #28
                            Re: MUBAHISA: Friendship with India??

                            Originally posted by Xenya View Post
                            ^ true Rullz leykin ye sab sirf gov. kerti hai
                            maiN bhi yeh he kehna chahta thaa.. :blush:

                            Originally posted by Xenya View Post
                            jitna inteaction meyra indians key sath raha hai us key leyhaz mey ye kahun gi key India key log aeysa nahi kehtey ...
                            Bilkul.. Awam main aksar aisa kuch nahee, jaisa kay yahan bhi aksar nay yeh he kaha hai kay hum india say nafrat nahee kartay, laikin yeh bhi to aik sach hai kay humaray darmiyan jitni bhi jangain hoi hain woh hum donoN nay he apnay apnay nisab main jeeti hain :D, agar aap phir kehti haiN kay yeh Govt. ki wajah say hai to yaqinan laikin jab aam aadmi ko baar baar yeh yaad dehani karwai jaiy to woh bhi isay tasleem karnay lagta hai, ya nahee :mm:
                            That's Enough...!!

                            Comment

                            • #29
                              Re: Friendship with India??

                              Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                              aik baat ham yeh bhi kehna chahen gay k hamsaya mamalik hone ki waja se ache taaluqat hona aik bhot zaroori baat hai k khitey hain aman rahe lakin ye tab tak nahi ho sakta jab tak aap bunyadi ikhtalafat ko khatam na karen. aur woh aik nahi bhot sare hain. sirf kehne se kuch nahi hota wese bhi it takes two hands to clap tou dono taraf se compromise kerna zaroori hai
                              ham es daleel ko itna strong nahi mante k indian movies dekhi jati hain tou everything must b fine. dekhen jis base per dono mumalik k dermyan aik line khinchi thi woh tou rahe gi na. achi terms establish kerna bhot eham hai lakin ye sochna k dono countries mein koi farq nahi hai ghalat hai.. bunyadi farq hai nazriye ka. woh apni jaga per rahe ga baqi ye ache diplomatic relations per kaam kerna tou zaroori hai he.
                              Daikhain nazariaat to hamaray bohat se mumalik se mukhtalif hain to kiya ham sab se ta'aluqaat tor lain?Main ne pahlay bhi mention kiya hai diplomatic relations aik mukhtalif baat hai.Donoon mulkon ke darmian dosti ka matlab yeh nahin hai ke ham unhain mukhlis dost samajh lain.Agar ham aisa karain gay to aik india hi kiya kai mulk hamain nuqsaan pohanchain gay.Afghanistan ki misaal hamaray samnay hai,ham ne islami bhai charay ke naam par unhain itna apni zindagion main dakheel kar liya hai ke woh hamaray andar ghus ker hamain nuqsaan pohanchatay hai aur sonay per suhaga unki hakoomat hamain dhamkian bhi daiti hai.
                              Mind Sciences

                              Comment

                              • #30
                                Re: Friendship with India??

                                Originally posted by Me Here View Post
                                Assalam-o-Alikum KHL Bhai!:)

                                buhaaat arse baad buhat hi intresting topic per behes ka moqa mila:)
                                mere khiyal main koi bhi country aise nahi hooni chahye jis se Pakistan ka ikhtilaaf ho...sabse beneficial cheez to ye hai her level per.
                                so off course....then there is no need 2 ve conflicts wid India too.
                                lakin KASHMIR is the basic reason jiski waja se thory buhat conflicts hain.
                                ise liye i say k ya aar ho ya paar.....per ab KASHMIR ISSUE ko solve hona chahye.

                                Anyways....wanna add 1 thing......jesi fr.ship hum berha rahy hain India k sath main uskey against hoon.
                                & the reason is......

                                "we r leaving our traditions n following theirs"

                                this is the basic problem.....hum fr.ship karin zaroor karin per aise nahi k jis main hum apni values bhool jain....apne MADHAB ko apne culture ko bhool jain....
                                hamari mohabbat bhi ajeeb hai.....aksar is mohabbat main humin apni cheezon se hi nafrat ho jaati hai.
                                ap media ko dekhin......sab kuch wahi jo k India main hai......hamari rasmin,dresses,glamour sab wasa hi hai...
                                hum apne cinemas per Idian movies dikhana chahte hain....India k sath fr.ship kesi hai k unkey sath mil ker movies banain
                                kiya ye sahee fr.ship hai?

                                i also want k dono countries qareeb ain per aise k hum apni values nahi bhoolain.

                                Thx 4 such a nicoo sharing:)
                                KHUSH RAHYEE!:salam:
                                Well said:rose
                                Mind Sciences

                                Comment

                                Working...
                                X