Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ind- o- pak History

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: !s!...Aanchal come here.....!

    Muhamamd bin Qasim kay bad Ghaznawi khandaan 962 main aya ...1186 tuk hakoomat rahi ..

    zaida famous Mahmood ghaznawi hain ....(997-1030)

    Sindh or Multan kay bad Punjaab musalmaan hamlawaroo ki zid main aya ..is baar ARBOO ki bajaye TURKOO nay hindustan ka rukh kia .....Mehmood ghaznawi nay Hindustan pay 17 hamlye keye ..or punjab par is khandaan ki hakoomat 150 saal rahi ...us ka eham hamla SOMNAAT par hamla hai ...yeh aik mandir tha jis main but t hey ...yeh SHEOJI ka buhat bara or mashoor mandir tha ..shoji ko tamam dewataoo say afzal or tamam butoo ka sardaar tasawur kia jata tha ...
    Malik ayaaz ka naam suna ho ga ..wo Mahmood ka mashoor ghulaam tha......."Mehmood o Ayaaz" wala aik shair bhi hai na : d
    30 april 1030 Tuesday ko wafaat paai ...

    mehmood ky baray main kuch Mourakheen kehtay hain aik dako lutera tha hindustan jo sonay ki chirya kehlata tha beshumaar dolat the usay lotnay aya tha , koi kehta hai Islam ka naam roshan karnay jahad kay leye aya tha ....yeh har aik ka apna point hai : d ...us kay jansheen bhi guzrye hain koi khas karnama saranjaam nahi dia unhoo nay jo likha jaye : d ....
    pher Ghori khandaan ki hakoomat a gi ...
    me aik alug topic pay in sub badshaoo ki tameerat kay baray main likhoo gee ...
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #17
      Re: !s!...Aanchal come here.....!

      @saraah
      Mehmood ghaznawi kay bad GHORI khandan ki hakoomat ai ...
      aik khandan main kai loog atay hian na history main zaida un ka likha jata hai jinhoo nay koi eham karnama saranjaam dia joo ....is khandan main Sultan Shahb ud din ghori kafi famous h ain ...ghori Afghan nasal say taluq rakhtay they ....1178 main Sultan Muhammad ghori nay hindustan ka rukh kia ...un ki jangian hoti rehian ..bus akhirkar us nay Hindustan fatah kar lia ...bari sagheer par us nay 11 hamlye keye they ...or aik Azeem us sham islamic saltanat ki bunyaad rakhi ...is say pehlay Muhaam bin Qasim or Mehmood ghaznawi ki taraha wo jaldbaaz ya sirf hamla kar kay wapsi ka rasta ikhteyar nahi kia ...un kay zehan main indo pak main aik islamic saltanat qayam karnay ka mansooba tha ....
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #18
        Re: !s!...Aanchal come here.....!

        KHANDAN I GHULAMAA

        1206-1290


        saltan i Dehli ki hakoomat hai is main ghulam bhi badhasha ban kay aye : d .. ..1206 main Muhammad ghori ki wafat kay bad us ka ghulam Qutb ud din Aebak dehli ka sultan bana ....

        13 sadi main jitnay badsha dehli kay takhat pay bethay sub kay sub apnay ibtedai door main ghulaam they ya kisi ghulam ki aulaad they is leye Aebak say 1290 tuk Dehli kay tamam salaten ko ..KHANDAN I GHULAMAA kaha jata hai ...

        12, 13 sadi main Ghulami ka rewaaj aam tha ..shahi darbaar main TURKEY nasal kay ghulamo ko pasan dkia jata tha ...in TURKeY GHULMAOO main kai aik achay Jarneel peda hovey ...yeh taraqqi kartay kartay badshahat tuk pounchay in main Qutab ud din Abek bhi tha ...
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #19
          Re: !s!...Aanchal come here.....!

          Originally posted by Aanchal View Post
          @saraah
          Mehmood ghaznawi kay bad GHORI khandan ki hakoomat ai ...
          aik khandan main kai loog atay hian na history main zaida un ka likha jata hai jinhoo nay koi eham karnama saranjaam dia joo ....is khandan main Sultan Shahb ud din ghori kafi famous h ain ...ghori Afghan nasal say taluq rakhtay they ....1178 main Sultan Muhammad ghori nay hindustan ka rukh kia ...un ki jangian hoti rehian ..bus akhirkar us nay Hindustan fatah kar lia ...bari sagheer par us nay 11 hamlye keye they ...or aik Azeem us sham islamic saltanat ki bunyaad rakhi ...is say pehlay Muhaam bin Qasim or Mehmood ghaznawi ki taraha wo jaldbaaz ya sirf hamla kar kay wapsi ka rasta ikhteyar nahi kia ...un kay zehan main indo pak main aik islamic saltanat qayam karnay ka mansooba tha ....

          good...ok...
          Originally posted by Aanchal View Post
          KHANDAN I GHULAMAA

          1206-1290


          saltan i Dehli ki hakoomat hai is main ghulam bhi badhasha ban kay aye : d .. ..1206 main Muhammad ghori ki wafat kay bad us ka ghulam Qutb ud din Aebak dehli ka sultan bana ....

          13 sadi main jitnay badsha dehli kay takhat pay bethay sub kay sub apnay ibtedai door main ghulaam they ya kisi ghulam ki aulaad they is leye Aebak say 1290 tuk Dehli kay tamam salaten ko ..KHANDAN I GHULAMAA kaha jata hai ...

          12, 13 sadi main Ghulami ka rewaaj aam tha ..shahi darbaar main TURKEY nasal kay ghulamo ko pasan dkia jata tha ...in TURKeY GHULMAOO main kai aik achay Jarneel peda hovey ...yeh taraqqi kartay kartay badshahat tuk pounchay in main Qutab ud din Abek bhi tha ...
          waiting for next:rose
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment


          • #20
            Re: ind- o- pak History

            Quab uddin Abik ...1206-1210

            chaand girhan kay waqat Qutub din ki choti ungli toot gai the is leye is kay naam kay sath "abik" lafz ka izafa ho gaya ..Turkey main "ai" kay meaning "chaand" or "buk" kay mani "chaand aqa ya chaand dewta kay hian ...

            Dehli main Ghulam salateen ki hkaoomat ka aghaaz Qutub din abik say hota hai....nasal kay itabar say turkey ka rehnay wala tha ..bachpan main aik sodagar nay khareed kay NEESHAPUR lay aya ..yaha us nay QAZI FAKHARDU DIN ABDULAZIZ KOOFI kay hath farookht kar dia ...in kay ghar main Quran parhna shuru kia ..or QURAAN KHAWA kay naam say mashoor ho gay ...pher in ki wafat kay bad dobra beech dia gaya or biktay bikaatay MUHAMMAD SHAB UD DIN GHORI ki khidmat main pesh kia gaya jinhoo nay aik bari raqam day kar isay khareed lia ...

            Qutb din din kay ausaaf ki waja say wo apnay aaqa ki nazar main dilpasand banta gaya ...sub say zaida wo apnay is ghulam ko pasand karta tha ...sultan kay sath kai larraoo main shareek h owa or fatha paai ...

            Qutb din sultan bannay say pehlay NAAYAB I SALTAN raha tha ..

            shab ud din ki ghoori kay shaheed honay kay bad us kay warisoo nay Qutub din din ko sultan ka khitaab dia or unhaoo nay hakoomat sanbhali ..
            sultan bannay kay bad 4 saal hakomat ki ...androni or berono muhimmat main hissa lia ...aik buhat acha Intazam i saltan mulk main qayam kia ..mulk main aman o aman qayam kia ...buhat adil sultan they ....in ki adal nawazi ki bina pay kaha jata hai kay "lomrri or hiran sheer kay paas or bheerraya bakri kay paas raha karta tha"..

            apni sakhwat ki waja say LUK BAKSH(LAKH BAKSNAY WALA) bhi mashoor they ..

            4Nov 1210 ko ghorray say girr paraye chot ai ..or usi choot ki waja say wafat paai ....
            Lahore main Anarkali say mutasil aik choti si sarak par us ka mazar hai ..or isi munasabat say wo sarrak Abik road kehlaati hai ..
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #21
              Re: ind- o- pak History

              Sultan Shams ud din Altamash ...1220-1236

              altamash Qrakhtaai turkoo kay aik buhat baray gharanay ka beta tha ...baap ka naam ELUM KHAN tha wo Albari Qabeelay ka sardar tha ...apni shakal o surat k lihaaz say bhi wo apnay tamam baheoo say zaida mumtaaz tha ..us ka baap bhi usay sub bachoo main say zaida pasand karta tha ...Altamash kay bahi us say kush na they ..or usay aik sodagar kay hath farookht kar dia ......

              yeh sudagar usay BUKHARA lay aya ...yeh bhi kai baar bika ..akhir QUTUB DIN nay isay apnay aaqa SHAB DIN GHORI kay leye khareed lia ...apnay beetay ki taraha tarbeyat ki ..

              ghair mamoli zahanat kay bayas wo mukhlataf uhdoo pay fayaz reh kar tarraqi karta gaya ...

              Qutb din din kay bad Aram shah takhat nasehn howa tha wo na ehal sultan sabit howa ..usay shikhsat day kay Altamash Sultan bana ....inhoo nay bhi kai markay maraye or fatha paai ...
              30th April 1236 main taweel bemari kay bad wafat paai .... in ka maqbara MASJID QUWWAT AL ISLAM kay shumal maghrabi kona main waqea hai ...


              Next ..Razia sultan hai ..
              (jo sultan zaida mashoor hain main un kay waqeyat likh rahi houn ..aik sultan kay marnay kay bad kai chotay motay atay rehay jinhoo nay koi khas karnama sar anjaam nahi dia ..is leye wo zaida dair hakoomat main nahi reh sakye na koi acha kaam kia jin ka tazkara zarori ho jaye karna : d to yaha ham un ki discussion karaian gay jo mashoor sultan they or history main aik ehman maqam paya .. : ))
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #22
                Re: ind- o- pak History

                Razia sultana ...1236-1240


                Razia Altamash ki beti the ...altamash nay apni zindagi hi main Razaia ko apna jansheen muqqarar kar dia tha ..or umraa kay pouchnay par unhoo nay kaha tha kay mery beetay aish o ehsrat main mashgool hain main unhay hukmarani kay qabil nahi samjhta ..or razia bazahir aik aurat hai lekan aqal or pukhtagi kay lihaaz say wo haqeeqat main aik marad hai ...

                Altamash kay marnay kay bad umra nay un kay beetay Rukan ud din ko takhat pay betha dia tha ..lekan wo na ehal sabit howa ..or Razia nay us ka muqabla kia or fatha hasil kar kay khud sultan ban gai .....us nay "Jalal ud din" ka laqab ikhteyar kia .. pehlay wo parda karti the ..phir parda karna choor dia ...or bazaroo main benaqab hathi par sawar niklati or medan i jang main bhi mardana libaas main Afwaaj ki qeyadat karti the ....

                Razia nay apnay door main aik habshi ghulaam "YA QOOT" par kuch khasosi anayaat ki ..jis ki waja say baki umra us kay khelaf ho gay they..

                us kay door kay Umra ay baghawat kar di ...aik to wo aurat ki hukmarani nahi qabool kar pa rehay they ..dosra yaqoot pay zaida anaytian unhay pasand nahi theian ..Razia ki be pardagi unhay pasand nahi the ...or "umraa chelgha" yani jo Altamash kay door kay khas 40 umra they Razia nay un ki taqat kam kar di the ...yeh sari wajoohat the jis ki waja say un umraa nay baghawat kar di ...

                Razia kay muqablay pay sub aye razia nay b hi muqabla kia ...unhoo nay yaqoot ko halak kar dia or Razia ko Bathinda kay malik ..malik Altonia kay hawalye kar dia ..jis nay usay qilla main nazar band kar dia ..

                Razia qilla main qaid ho kay b hi mulki halat pay nazar rakhye hovey they ...sultana ko qaid karwaay kay bad Altamash kay beetay "Behraam shah" ko takhat par betha dia gaya tha ....or idher Razia nay Altonia say shadi kar kay dobra say iqtadar par qabza karna chahaha ..Altonia bhi us kay sath shamil ho gaya ...
                behraam shah say Razia or altonia ki fouj ka muqal ahowa ..donoo bar Razia ko shikshat hovi...

                Razia ki mot kay baray main bhi kuch confirm nhi hai kuch murkheen k akhayal hai kay jang say bhaag kar donoo miyaan biwi kehi chup kay bethay they kay un kay qeemti libas ko dekh kar lalach main hindu dakoo nay unhay qatal kar dla ...kuch kehtay hian behraam shah nay unhay qatla kar dala tha ...


                Razia sultana ka maqbara DEHLI main hai ....
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #23
                  Re: ind- o- pak History

                  شکریہ آنچل میں جلد ہی حاضر ہوتی ہوں
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • #24
                    Re: ind- o- pak History

                    Razia kay bad behraam shah 1240-1242 aya ...or bad main Alao din Masood 1242-1246 aya .....in logoo nay koi khas karnmay sar anjaam nahi deye or mulk ka nizaam darham barham kar dia ...donoo ka anjaam Qatal hi hova tha ...

                    Nasir ud din Mehmood ....1246-1266
                    Altamash ka sub say chota beta tha ..Altamash nay is ki taleem o tarbet ki taraf khasosi tawajoo di ... 10 june 1246 ko hakoomat kay takhat par beetha ...

                    Nasir ud din nay BALBAN ko apna wazeer banaya ....jis nay hukmarani kay faraiz bakhoobi saranjaam deye ...balkay kaha yeh jata hai kay Nasir sirf naam ka badshah tha sara kaam BALBAN hi kia karta tha ...

                    Aug 1249 main Nasir nay BALBAN ki beti say shadi ki or youn in kay talauqaat zaida mazboot ho gay ..

                    1253 main EMAAD UD DIN REHANI ki sazish ki waja say NASIR nay BALBAN ko uhday say hata dia ...or REHANI ko naiab i saltanat bana dia ...Emaad ud din rehani aik naehal insaan tha us ki waja say saltanat main badnazmi ki fizza aam ho gai ....
                    pher Nasir nay umraa kay mashwarye pay BALBAN ko dobra say uhda day dia or rehani ko bartaraf kar dia ...

                    Nasir ud din mehmood nay 18 feb 1266 ko wafaat paai ...22 say kuch zaida hakoomat ki ...us ki moot kay baray main Murkheen nay kuch nahi likha kay wafat hovi kesY ? kuch ka khayal hai kay BALBAN nay zehar day kay marwaya tha kuch ka kay Taabai mout mara tha ...
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #25
                      Re: ind- o- pak History

                      SULTAN GHAYAAS UD DIN BALBAN ....1266-1287

                      Balban aik TURK ghulaam tha ..biktay bikaatay pher Altamash nay isay khareeda ...(kaha jata hai kay 1232 main dheer saray ghulam Sultan Altamash ki khidmat main peesh keye gay ..Altamash nay saray ghulam khareed leye or BALBAN ko us ki Badsurti ki waja say na khareeda...is par balban nay poucha kay yeh ghulaam aap nay kis leye khareeday hain ? sultan nay jawab dia kay ..apnay leye .....to BALBAN nay kaha kay aik KHUDA k leye bhi khareed lo ...is par Altamash muskraya or usay bhi khareed lia ...

                      balban ko Altamash nay fooj main batoor mulazim rakha tha pher wo tarraqai kartay kartay altmash kay UMRAI CHEAL GANI(Altamash k khas 40 umra) main shamil ho gaya ..

                      Nasir ud kay ehad main Wazarat or pher NAIB i saltanat kay faraiz sar anjaam deye ...

                      Feb 1266 main NASIR UD DIN ki wafat kay bad umraa nay BALBAL ko sultan bana dia ...
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #26
                        Re: ind- o- pak History

                        BALBAN aik sakhat geer sultan tha ....jub wo takhat par betha to DEHLI kay janglaat ko saaf karwaya or jo looteeray vohan fasaad kartay they un sub ka khatma kia ..aas paas kay elakoo ko dakoo say paak kia ..BALBAN aik shan o shukat wala sultan tha ..bari shan say takhat pay bethta tha ...jashan bhi bari dhoom dhaam say munaqid karta ...Mulk bhar main jasoso ka jaal bichaya hoya tha jo jasoos la parwai karta usay qatal karwa deta ....Jageerdari nizaam ko khutem karnay ki kushish ki ....Umra- cheal gani ka khatma kia ...yeh umra buhat sarkash ho gay they ...
                        1285 main un kay betay Shehzada Muhammad Khan ki wafat hovi is say unhay bara sadma pouncha ..or 1287 hi main un ki bhi wafaat ho gai ...
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #27
                          Re: ind- o- pak History

                          @ post #9


                          اتنے بڑے لوگوں کے درمیان بولنا سورج کو چراغ
                          دکھانے کے مترداف ہے لیکن

                          تاریخ میں قلم اٹھانہ فلاسفہ کا کام ہے اور یہاں خیر سے
                          ہیر لیڈ لیم اور نسیم حجازی کو بھی تاریخ دان سمجھا جاتا
                          اور زیادہ تر تاریخ دان وکیل صفائی کا کام ہی سر انجام
                          دیتے

                          عرب جہاں راں دو راستوں سے بحر عرب کو عبور کرتے
                          تھے ایک راستہ عدن سے براہ راست ملا بار لنکا اور
                          چین تک جاتا تھا دوسرا خلیج فارس سے گزر کر ساحل مکران
                          تک جاتا تھا اور یہاں سے بھڑوچ اور ملا بار تک جایا جاتا تھا

                          سب سے پلے حضرت عمر فاروق کے عہد میں جب ایران فتح ہوا
                          تو خلافت کی سرحدیں مکران تک پہنچ گئیں،اس زمانے میں
                          عثمان بن ابی العاص ثقفی عمان بحرین کو گورنر تھا
                          اس کا مال غنیمت کا لالچ اتنا دامن گیر ہوا کہ اُس نے حضرت
                          عمر کی اجازت کے بغیر ایک بحری لشکر مغیرہ بن ابی العاص
                          کی کمان میں دیبل بھیج دیا۔۔اس وقت سندھ پہ راجہ چچ ( داہر کا باپ)
                          حوکمت کرتا تھا۔۔جنگ ،میں مسلانوں کو شکست ہوئی اور مغیرہ مارا
                          گیا یہ واقعہ ١٥ ہجری ہے جب حضرت عمر کا حادثہ کی خبر ہوئی
                          تو انہوں نے عراق کے گورنر ابو موسیٰ اشعری اور عمان کے گورنر
                          عثمان بن ابی العاص کو خفگی کے خط لکھے اور ہدائت کی کہ آئیندہ
                          کوئی فوج نہ بھیجی جائے۔
                          ھضرت عثمان جب خیلفہ ہوئے تو انہوں ھے زمین کے راستے لشکر کشی
                          کا ارادہ کیا چنانچہ مکران کے حاکم عبد اللہ بن عامر نے خیلفہ کے حکم سے
                          ایک شخص حکیم بن حبلہ کو سندھ بھیجا کہ وہ یہاں کے حالات معلوم کرے
                          ۔۔حکیم نے واپس اآکر خیلفہ سے عرض کی سندھ کا پانی میلا پھل کسیلے
                          اور کھٹے ہیں زمین پتھریلی ہے مٹی شوریدہ ہے اور باشندے بہادر ہیں
                          اگر تھوڑا لشکر جائے تو جلد تباہ ہو جائے گ اور زیادہ بھیجا تو بھوکوں مرے
                          گا اس پر حضرت عثمان نے لشکر کشی کا ارادہ ملتوی کر دیا

                          امیر معاویہ جب خیلفہ ہوئے تو عبد للہ بن سوار عبدی کو چار ہزار ساواروں
                          کے ساتھ سندھ روانہ کیا لیکن عبداللہ کے لشکر ک بلوچستان میں خصدار
                          اور گندھاوا کے درمیان کوہ سلیمان کی گھاٹیوں میں شکست فاش ہوئی
                          یہ واقہ ٤١ ہججری کا ہے

                          تین چار سال بعد امیر معاویہ نے دوسرا لشکر راشد بن عمرو کی کمان میں
                          بھیجا تو اس لشکر کو بھی زک اٹھانی پڑی اور راشد مارا گیا

                          تب سناں بن سلمہ اس مہم پر مقرر ہوا اور وہ بڑھتے بڑھتے بدھیہ ( جیکب اآباد)
                          تک پہنچ گیا مگر کسی نے اسے قتل کر دیا اور یوں اموی لشکر کو نامراد لوٹنا پڑا

                          البتہ جب خیلفہ ولید بن عبدالمالک کا دور آیا تو یوسف بن حجاج گورنر عراق نے
                          اس مہم کو سر کرنے کا مصمم ارادہ کر لیا لیکن جب خیلفہ سے اجازت چاہی تو خیلفہ
                          نے مصارف کا عذر پیش کیا اس پر حجاج نے لکھا کہ جنگ میں جو خرچ ہوگا اس کا
                          دگنا تگنا واپس کرن میری ذمہ داری ہے اور حجاج نے یہ عہد پورا کیا یوں سندھ کی
                          فتح حجاج بن یہوسف کے کم سن داماد محمد بن قاسم کے ہاتھوں پائہ تکمیل تک پنچی
                          :(

                          Comment


                          • #28
                            Re: !s!...Aanchal come here.....!

                            Wow Sarah! you got an excellent Tutor......
                            Aanchal jee kya baat hai aapki.....

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            sorry for late reply ... kuch kaam ho rehay they room main to nahi a saki : )

                            acha me naam or date likh diti houn .. jo me nay parha howa hai
                            1..Zahir ud din Muhammad babar ...1483-1530
                            2..Nasi ud din Muhammad Himayoun ...1508-15030
                            (sheer shah suri bhi aya tha is beech us nay 1486-1545 tuk hakoomat ki )

                            3..Jalal ud din Muhammad Akbar ....1542-1605
                            4..Noor ud din Muhammad Jahangir ...1569-1627
                            5...Sahab ud din Muhammad Shahjahan ...1592-1666
                            6...Mohi ud din Muhammad Aurangzab ...1618-1707
                            waisay meine bhi thori thori history parhi hai .....so will try to help you...

                            Humayun ka dour hakumat 2 hisso mein taqseem hai......Uss ney apney walid Babur ke wafat ke baad 1530 mein pehli dafa throne ascend kiya.....1537 mein jab wo aik expedition mein busy tha tou Sher Shah(jis ka asal naam farid khan tha aur by race afghan tha ye 1472 mein hissar pur mein paida hua tha na' ke 1486 wikipedia mein 1486 hai jo ke ghalat hai) ney baghavat ki aur akhir kaar 1540 mein humayun ko bhaga kar takht nasheen hua......apney mukhtasar tareen dour mein Sher shah ney mulk ka naqsha badal diya aur an-ginat reform mutaarif kiye....iss waja se ussey Akbar ka forerunner bhi kaha jaata hai.......iss douran Humayun 15 baras tak self exile raha .......sher shah ke wafat(1545) ke baad jab uski sultanat dagmaganay lagi tou humayun ney King of persia aur Qandahar o kabul ke hukumrano ke saath milkar dehli ka takht hasil kiya (1555) 1556 mein Humayun din panah ki mashahoor imarat ke seerhiyon se gir kar zakhmi hua jo baad mein uski mout ka sabab bani.....
                            مٹی كی محبت میں هم آشفته سروں نے--------وه قرض بھی اتارے هیں جو واجب هی نهیں تھے

                            Comment


                            • #29
                              Re: ind- o- pak History

                              آنچل ۔۔۔سبق یاد کر لیا ہے :d۔۔۔۔
                              آگے؟؟؟
                              Last edited by saraah; 3 December 2011, 16:18.
                              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                              Comment


                              • #30
                                Re: ind- o- pak History

                                Originally posted by saraah View Post
                                آنچل ۔۔۔سبق یاد کر لیا ہے :d۔۔۔۔
                                آگے؟؟؟
                                bus jald hi Inshallha : d
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X