achaa filhal tell me smthing abt ''pehla mughal dour''.....aur ''dosra mughal dour''..... just names n years.
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
ind- o- pak History
Collapse
X
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
@Nareem
Walikumsalam :hug:
@saraah
han ji pouch lo jo pouchna hai me ki knowledge achi ho jaye gee :p
Mughal door to aik hi tha ...han yeh keh saktay hain kay Zahir ud din babar say lay kar Aurang zaiab alamgir ka zamana Mughloo kay top ka zamana tha .......or bad main 2 Aurangzaib alamgheer ki aulad say lay kay akhri badhasha Bahadur shah zafar tuk ka door tha wo zawal ka door....to is leye 2 hisso main kaha jata hai ..
tumhay har badsha kay zamnay ki dates chaye or koon koon say badshah aye they Mughal door main wo sub likh diti houn ...theek ? : d
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
sorry for late reply ... kuch kaam ho rehay they room main to nahi a saki : )
acha me naam or date likh diti houn .. jo me nay parha howa hai
1..Zahir ud din Muhammad babar ...1483-1530
2..Nasi ud din Muhammad Himayoun ...1508-15030
(sheer shah suri bhi aya tha is beech us nay 1486-1545 tuk hakoomat ki )
3..Jalal ud din Muhammad Akbar ....1542-1605
4..Noor ud din Muhammad Jahangir ...1569-1627
5...Sahab ud din Muhammad Shahjahan ...1592-1666
6...Mohi ud din Muhammad Aurangzab ...1618-1707
Comment
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
un ki date of birth likhoo ya un kay door i hakoomat ki :shyy:
zahir ud babar nay 1526 main Panipat ki larai main Ibraham lodhi ko shikshat day kay Mughlia saltanat ki bunyaad rakhi the ..
Comment
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
7..shah Alam Awal .....Aurang zaib Almagir ka beeta ...baap ki wafat kay bad 1707 main 63 saal ki omar main takhat nasheen howa ...5 saal hakoomat ki
8..Jahandaar Shah.....ehad jahandar shah 1712-13
9..farakuh sair ....1713 ....7 saal hakoomat ki
10...Rafi ud darajat ...1719 3 month or chand din hakoomat ki
11..Rafi ud dola ... ....12..yeh bhi 1719 ko takhat nasheen hovay ..kuch month zinda rehay ...7 september 1719 ko wafaat paai..
12..Muhammad shah Rangeela ....1719-48
13..Ahmad shah bin Muhammad shah ...1748 main iqtadar sanbhala or 1754 main usay zabardasti takhat say utara gaya ..
14..Alam gir saani ....1754-1759
15..shah Alam saani ...1760-1806
16..Moin ud din Akbar saani ...1806 .....1837 main wafaat paai
17..Bahadur shah zafar ....1837-1857
1857 main Khatama ........!
Comment
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
Originally posted by Aanchal View Postsorry for late reply ... kuch kaam ho rehay they room main to nahi a saki : )
7
its alright.... koi tention nae jab jab time milay tabhi reply krna..... me b gradually poochoon gi short questions....thanks ...just comingشاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
Originally posted by Aanchal View Post
acha me naam or date likh diti houn .. jo me nay parha howa hai
1..Zahir ud din Muhammad babar ...1483-1530
2..Nasi ud din Muhammad Himayoun ...1508-15030
(sheer shah suri bhi aya tha is beech us nay 1486-1545 tuk hakoomat ki )
3..Jalal ud din Muhammad Akbar ....1542-1605
4..Noor ud din Muhammad Jahangir ...1569-1627
5...Sahab ud din Muhammad Shahjahan ...1592-1666
6...Mohi ud din Muhammad Aurangzab ...1618-1707Originally posted by Aanchal View Post7..shah Alam Awal .....Aurang zaib Almagir ka beeta ...baap ki wafat kay bad 1707 main 63 saal ki omar main takhat nasheen howa ...5 saal hakoomat ki
8..Jahandaar Shah.....ehad jahandar shah 1712-13
9..farakuh sair ....1713 ....7 saal hakoomat ki
10...Rafi ud darajat ...1719 3 month or chand din hakoomat ki
11..Rafi ud dola ... ....12..yeh bhi 1719 ko takhat nasheen hovay ..kuch month zinda rehay ...7 september 1719 ko wafaat paai..
12..Muhammad shah Rangeela ....1719-48
13..Ahmad shah bin Muhammad shah ...1748 main iqtadar sanbhala or 1754 main usay zabardasti takhat say utara gaya ..
14..Alam gir saani ....1754-1759
15..shah Alam saani ...1760-1806
16..Moin ud din Akbar saani ...1806 .....1837 main wafaat paai
17..Bahadur shah zafar ....1837-1857
1857 main Khatama ........!
آنچل۔۔۔۔۔ مجھے مختصرا'' محمد بن قاسم سے بتاو پلیز۔۔۔۔ یا جہاں سے ضروری تاریخی واقعات شروع ہوتے ہیں،،،،چیدہ چیدہ واقعات۔۔۔۔۔ برصغیر میں اسلام وغیرہ۔۔۔
یعنی یہ جو ظہیرالدین بابر سے پہلے کا دور ختم ہوتا ہے وہ کونسا تھا
۔پھر میں دوبارہ مغل دور حکومت تک آتی ہوں
take ur time.....im not in a hurry.شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
Originally posted by saraah View Post
آنچل۔۔۔۔۔ مجھے مختصرا'' محمد بن قاسم سے بتاو پلیز۔۔۔۔ یا جہاں سے ضروری تاریخی واقعات شروع ہوتے ہیں،،،،چیدہ چیدہ واقعات۔۔۔۔۔ برصغیر میں اسلام وغیرہ۔۔۔
یعنی یہ جو ظہیرالدین بابر سے پہلے کا دور ختم ہوتا ہے وہ کونسا تھا
۔پھر میں دوبارہ مغل دور حکومت تک آتی ہوں
take ur time.....im not in a hurry.
Musalam islam say qabal bhi yaha atay jatay rehay hain ..or islam kay bad bhi ....Arab yaha Tijarat kay leye atay they ...yaha ki cheezian dosray Mulko main lay jatay or dosroo mulko ki yaha .....in say mutasar ho kay kafi loog Muslaman bhi ho gay they ........
jub Qasim nay hamla kia us waqat Hindo Raja hukmaran tha ..
me yaha 2 pages scan kar kay post kar rahi houn is main short main sari story hai Muhammad bin Qasim tuk ki : d
Comment
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
Originally posted by Aanchal View Postme yaha say shuru kar rahi houn kay ind -o- pak main Musalman(Arab) aye kesay ..pher salateen -i- Dehli ...pher Mughal door ... ...Muslamanoo say pehlay bhi kai hakoomatian yaha ati jati rahi hian ..
Musalam islam say qabal bhi yaha atay jatay rehay hain ..or islam kay bad bhi ....Arab yaha Tijarat kay leye atay they ...yaha ki cheezian dosray Mulko main lay jatay or dosroo mulko ki yaha .....in say mutasar ho kay kafi loog Muslaman bhi ho gay they ........
jub Qasim nay hamla kia us waqat Hindo Raja hukmaran tha ..
me yaha 2 pages scan kar kay post kar rahi houn is main short main sari story hai Muhammad bin Qasim tuk ki : d
acha tell me one thing....aap logo ne iss subject me hakoomtoN ,,siaysat etc k hawalay se hi parra hai ya in periods ka litrarure ,economy,ya kuch aur cheezain b shamil hain?
Originally posted by Aanchal View PostNext Mehmood Ghaznavi hai ...شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا
Comment
-
Re: !s!...Aanchal come here.....!
Originally posted by saraah View Post
آنچل پنجاب یونیورسٹی کی کونسی بکس ہیں انکی اپنی تو کوئی بکس نہیں ہوتیں ۔۔۔۔ہاں پبلشرز ضرور بتائے ہونگے انھوں نے یا رائیٹر۔۔۔۔اور گائیڈ بکس عموما'' مستند نہیں ہوتیں اس لیے پلیز کوشش کرنا بک سے یا جو کچھ آپ کا اپنا نالج ہے وہی شئیر کرو
ham yaha baat kar rehay hain ..indo o pak ki na kay yaha pay Muslamano ki hakoomat jo qayam hovi Saltan i dehli or Mughliyaa ka shandaar dorr wo kesay qayam howa ?
to wo Muhammad bin Qasim kay (712) hamlay kay bad say hi shuru howa ....
is say pehlay Muslaman atay jatay rehay hain lekan ham "hukmarani" ki baat kar rehay hian .....wo Muhamamd bin Qasim nay sindh pay hamla kia tha aik Fateh ki heseyat say dakhil howa ..or islami taraz ki hakoomat qayam ki .....wo zaida dair vohan nahi raha tha .....
pher Mammood ghazanvi or shaba ud din ghorri aye ...
Qutb ud din Abeka salaten i delhi ka pehlay badsha samjha jata hai jis naay Hindustan main aik "mustaqil" hakoomat ki ...un say pehlay jo aye they un ka maqsad hindustan main aik mustaqil hakoomat ka nahi tha .......
salataeen delhi ka akhri badshah IBARAHIM LODHI tha jesY ZAHEER UD DIN BABAR nay 1526 main pani put kay medaan main shiskhat day kay MUGHLIA sALTANAT ki bunyaad rakhi the ...jis ka end 1857 main BAHADUR SHAH zafar kay sath ho gaya .....
ub Muhamamd bin Qasim say pehlay kon aya tha kon nahi mujhay is ka ilm nahi ....kisi ko hai to yaha zaror share karaye : d ..badsha ka naam?year? etc etc ....takay me ki knowledge main bhi izafa ho kay aisa kon sa badsha Hindustan main guzra hai jis kay baray main tareekhi kutb nay likhna munasib nahi samjha : d
mere info indo o pak History ki hai ....islamic history ka mujhay zaida nahi pata Hazoor(saw) or Khulfaye Rasheed kay door tuk ka pata hai ....or Hazrat Adam (a.h) say lay kay Hazoor(saw) tuk kuch Anbeyaa ki history pata hai : d
Comment
-
Comment