Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik baat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aik baat

    Dosto! Aik baat karna chahti hoon laikin pata nahin aap logon ko kaisi lagay.
    Hamaray mulk main kai nojawan aisay hain jo bairoon-e-mulk janay kay khuahishmand hain.Pahlay to yeh agents kay hathon lut jatay thay,aaj kal surat-e-haal bahtar hai,kai idaray yeh kaam legal andaaz say kar rahay hain.Laikin visa bohat costly hota hai,amooman 4 say 5 lakh jo kay in kay bas ki baat nahin hoti.
    Ham sab logon kay kaam to nahin aa saktay laikin kiya aisa ho sakta hai kay ham pegham kay members ki madad kar sakain,maira matlab hai kai log doosray mumalik main settle hain,woh pegham kay members(well reputed) ko sponser karain.Is tarah chand logon kay problem to hal ho sakain gay na.
    Kiya khiyal hai?
    Mind Sciences

  • #2
    Re: Aik baat

    walaikum salam Zap

    Ye bohot barhi responsibility wala kaam hai :)
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Aik baat

      Khiyal to wakee buhat acha hay................:em:

      Comment


      • #4
        Re: Aik baat

        Originally posted by yellowsky View Post
        walaikum salam Zap

        Ye bohot barhi responsibility wala kaam hai :)
        Main aapki baat sat 100% agree karti hoon.Yeh bohat bari zimadaari ka kaam hai.Mujhay yeh bhi pata hai kay is muamilay per to relatives bhi hichkachatay hain.
        Is kay illawa agar yahan offer ki gai to bohat saray umeedwaar samnay aa jain gay.
        Isi liyay main nay well reputed ki baat ki hai.Yahan pegham per kai log aik doosray ko achi tarah jantay hongay.Agar koi help kar sakay to kisi ka bhala hi ho sakta hai.
        Taham main yeh baat bhi tasleem karti hoon kay yeh itna simple bhi nahin hoga jitna main shaid samajh rahi hoon.
        Mind Sciences

        Comment


        • #5
          Re: Aik baat

          Originally posted by Khalil View Post
          Khiyal to wakee buhat acha hay................:em:
          Idea pasand karnay ka shukriya.:rose
          Mind Sciences

          Comment


          • #6
            Re: Aik baat

            Originally posted by zapk7 View Post
            Main aapki baat sat 100% agree karti hoon.Yeh bohat bari zimadaari ka kaam hai.Mujhay yeh bhi pata hai kay is muamilay per to relatives bhi hichkachatay hain.
            Is kay illawa agar yahan offer ki gai to bohat saray umeedwaar samnay aa jain gay.
            Isi liyay main nay well reputed ki baat ki hai.Yahan pegham per kai log aik doosray ko achi tarah jantay hongay.Agar koi help kar sakay to kisi ka bhala hi ho sakta hai.
            Taham main yeh baat bhi tasleem karti hoon kay yeh itna simple bhi nahin hoga jitna main shaid samajh rahi hoon.
            bilkul :)

            Aap ka khayal waqai hi acha hai, dossroN ki help kerna bohot honour ki baat hoti hai magar yahan mey phir sey wahi kahun gi key "ye bohot barhi responisiblity wala kaam hai"

            aur khas ker aaj kal jab Pakistan ka image itna diff. ho gaya hai ghair mulkiyoN ki nazar mey :)

            Meyri apni du'a hai key Pakistan key halaat khud hi itney achey ho jayein key wahan key kisi naujawan ko bahar jaaney ki zaroorat na ho, jin facilities key liye hum bahar jana chahtey hein wo hamein waheen apney mulk mey mileiN...

            ta key humari SalahiyatoN sey doosrey mumalik ki bajaye apney Mulk ko faida ho :insha:
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Aik baat

              :clap: :thmbup: YellowSky u r saying right Allah kare ke hamare apne mulak ke halaat ache ho jaien ke hamare Nojawano ko bahir jane ke zaroort hi na pare
              Allah kare wo din jaldi aaye....... Amin

              Comment


              • #8
                Re: Aik baat

                :clap: wakii Khiyal buhat acha hai
                bhohat pasand aayah hai

                I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                Comment


                • #9
                  Re: Aik baat

                  Waise aik baat hai ke agar mein kisi foreign country mein hota tu mein kuch khas members ko bula laita. Ab khas members mein koi bhi ho sakta hai.........
                  Waise possibility hai ke mein 2008 mein Canada jaon ga Inshallah ...... Tu phir mein jo kuch ho saka zaroor karoon ga... I promise

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aik baat

                    jalldi jaoo bhai kuch hamara bee
                    Saa sokha huwy..............

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aik baat

                      Originally posted by danicool82 View Post
                      Waise aik baat hai ke agar mein kisi foreign country mein hota tu mein kuch khas members ko bula laita. Ab khas members mein koi bhi ho sakta hai.........
                      Waise possibility hai ke mein 2008 mein Canada jaon ga Inshallah ...... Tu phir mein jo kuch ho saka zaroor karoon ga... I promise
                      :phool: Allah app ki khuwaish porii karay

                      I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                      Comment


                      • #12
                        Re: Aik baat

                        Bas ap log dua karo

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aik baat

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aik baat

                            Originally posted by danicool82 View Post
                            Bas ap log dua karo
                            :dua Allah

                            I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                            Comment


                            • #15
                              Re: Aik baat

                              Originally posted by yellowsky View Post
                              bilkul :)

                              Aap ka khayal waqai hi acha hai, dossroN ki help kerna bohot honour ki baat hoti hai magar yahan mey phir sey wahi kahun gi key "ye bohot barhi responisiblity wala kaam hai"

                              aur khas ker aaj kal jab Pakistan ka image itna diff. ho gaya hai ghair mulkiyoN ki nazar mey :)

                              Meyri apni du'a hai key Pakistan key halaat khud hi itney achey ho jayein key wahan key kisi naujawan ko bahar jaaney ki zaroorat na ho, jin facilities key liye hum bahar jana chahtey hein wo hamein waheen apney mulk mey mileiN...

                              ta key humari SalahiyatoN sey doosrey mumalik ki bajaye apney Mulk ko faida ho :insha:
                              Naik khuahishaat ka shukriya:rose
                              Mind Sciences

                              Comment

                              Working...