Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ISLAM : Test Your Knowledge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

    Originally posted by talib_e_noor
    Asslamoalaikum,
    Tehqeeq achi baat hai. Hamen waqai yeh tehqeeq zaroor kerni chahiye ke ham jo Aqeedah rakhte hain, jo ibaadaat kerte hain, jis ko halal ya haram jaante hain, uss ka saboot Quran-o-Sunnat se milta hai ke nahin.


    Aik aur baat yeh kehna chahoon ga ke aalimon se zaroor poochen lakin uss ki baat ko tasleem daleel se hi karen. ager aik aalam ke paas apne masle ki koi sahih daleel nahin to usse sirf apne maslak ke lie pakar ker nahin bethe rehna chahiye bal k Allah aur uss ke rasool s.a.w. ki ataat per ser ko jhuka dena chahiye. Wallah hu Aalam.
    Talib e noor

    Walekum Salam
    Sab se pehle ham aap ko Pegham pe Khushamdeed kartey hain. Aapke jawab ka bahut bahut shukriya, aatey rahen aur apni qeemti jawabat issi tarah post kartey rahen,

    Khush Rahiye.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #62
      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

      aslamo alykum aap ne bilkul saheeh kaha k nabi peydaishi nabi hota hi .AAP(saw) ki aik hadteh hi k main us waqat bhi nabi tha jab Aadam abhi pani aur matti k dermiyaan the...hawaly ki liye dekiye termizi shareef...aabi
      Last edited by aabi2cool; 8 October 2005, 11:55.
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #63
        Re: ISLAM : Test Your Knowledge

        Next Q:

        Hazrat Usman (r.a) key daur mey Quran majeed ki chaar copies karai gai thien....

        wo chaar copies aaj kaun kaun sey mumaalik mey maujid hein??
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #64
          Re: ISLAM : Test Your Knowledge

          NO ADVERTISEMENT OF OTHER BOARDS - please
          Last edited by Masood; 29 November 2005, 14:03.

          Comment


          • #65
            Re: ISLAM : Test Your Knowledge

            ji shukriya
            maloom hota to na karte !
            wese agar aap post ki pic lekar yahaN chaspaaN kardete to behtar hota :)

            Comment


            • #66
              Re: ISLAM : Test Your Knowledge

              Ans no. 1 : Pyara Bhai! sub Nabyon ko Nabwoot to dunya main aanay say pahlay he mil gai thee, Illan-e-Nabwoot Allah key masheat k mutabic kia.
              Hazoor S.A.S k khandan walay sub Deenay IBRAHEEM per thay. Or hazoor SAllah- Ho-Alaiha Wa Alahi Wa SAllam Hazrat Ibraheem kee us dua Ke kabolliat hain jo kah Kaba TAmeer Karta Wakat Ke gai thee.!!!!!!!!!!
              Baki jawab to mil gay hain.

              Comment


              • #67
                Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                Originally posted by Aanchal
                Farz ada na keye jaian tab ghuna hota hai ...sunnat or nafal na parhaye jaye is say ghuna to nahi hota , agar parhaye jaian gay to zaida saawab millaye ga ....

                hamari teacher nay bhi ham say yeh kaha tha agar aap kay paas zaida time nahi hota busy rehtay hoo to poori namaaz nahi parh saktay to farz zaror parh lia karoo ....
                meri behan aap ki teacher ny aap se ghalat kaha kiuon k sunnat mokeda ko chorna gunah hy aur iss ko chorny ki aadat bana lena insaan ko gumrahi k qareeb lay jata hy baqi nawafil aur sunnate gair mokeda main aap ko ikhitiyaar hy k chaheen to choor deen kiuon k sunnat e gair maokeda bhi nawafil k hukam main hain.
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #68
                  Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                  Originally posted by barg.e.gul
                  Next Q:

                  Hazrat Usman (r.a) key daur mey Quran majeed ki chaar copies karai gai thien....

                  wo chaar copies aaj kaun kaun sey mumaalik mey maujid hein??
                  Salam

                  Gul iska answer nahin mila, iska jawab aap hi bata den, please
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • #69
                    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                    Originally posted by Spy009
                    Salam

                    Gul iska answer nahin mila, iska jawab aap hi bata den, please
                    bhai iss ka jawab ye hy k hazrat usman ghani (rez) k door main quran paak ki 4 copy ki koi rawayat naheen hy balky 5 ,7 aur 9 ki rawayat milti hy .jab aap ny aik mustanad copy py sab ko jamah kardiya to phir us ki mukhtalif copiyaan karwakar tamam bary islami shehron main bhijwa deen aur sath main aik aik hafiz bhi behja jo wahan k logon ko qirat e quran sekhata tha.
                    rahi baat k aaj k door main kitni copies mehfooz hain to iss k bary main ye hy k aaj kal serf 2 copies hi mehfooz hain doory usmani ki aik to istanbol main hy aur aik tashqand main hy aur ye tashqand wali wohi copy hy jo hazrat usman apni shadat k waqat tilawat kar rahy thy us par aaj bhi aap ky khoon k nishanaat aap ky jwamy ul quran hony ki shadat de rahy hain ..faqat WALLAH O ALLAM....aabi
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment


                    • #70
                      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                      Originally posted by aabi2cool
                      bhai iss ka jawab ye hy k hazrat usman ghani (rez) k door main quran paak ki 4 copy ki koi rawayat naheen hy balky 5 ,7 aur 9 ki rawayat milti hy .jab aap ny aik mustanad copy py sab ko jamah kardiya to phir us ki mukhtalif copiyaan karwakar tamam bary islami shehron main bhijwa deen aur sath main aik aik hafiz bhi behja jo wahan k logon ko qirat e quran sekhata tha.
                      rahi baat k aaj k door main kitni copies mehfooz hain to iss k bary main ye hy k aaj kal serf 2 copies hi mehfooz hain doory usmani ki aik to istanbol main hy aur aik tashqand main hy aur ye tashqand wali wohi copy hy jo hazrat usman apni shadat k waqat tilawat kar rahy thy us par aaj bhi aap ky khoon k nishanaat aap ky jwamy ul quran hony ki shadat de rahy hain ..faqat WALLAH O ALLAM....aabi
                      jazakALlah khair,
                      mujhey bhi inhi do copies key baarey mey maloom tha ....its clear now thanks....

                      spy aap ko bhi jawab mil gaya :thmbup:
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      Working...
                      X