Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ISLAM : Test Your Knowledge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

    Originally posted by barg.e.gul
    Asalam alaikum,
    Un saari jangon(battles) key naam jin mey RasulAllah (s.a.w) ney khud shirkat ki aur ye kaun kaun si hijri mey huwien?
    Very nice Question Yellowsky !

    Ek hadith mein maine parha tha ke Rasulallah s.w.a. ke hijrat ke baad se aap s.a.w. ke wafaat tak lagbhag 80 campaigns launch huwe thay, but sab ke sab mein larayi nahin huwi.

    Hamen puri tarah se yaad to nahin, phir shayad yeh jangen huwi jisme Rasulallah s.a.w. ne inn jangon mein shirkat ki

    1.Jange Badr
    2.Jange Uhud
    3.Jange Khandaq
    4.Jange Khyber
    5.Jange Hunayn
    6.Jange Taif
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #47
      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

      Wo jung jisme Rasul Allah S.A.W. ne shirkat usse Arabic mein "Ghazwah" kehte hain.

      Hadith Muslim Sharif mein Imam Muslim (RA) ne 19 jung ka byan kiya hai, jabke Hadith Bukhari Sharif (Imam Bukhari RA) mein 17 jung

      Ibn Ishaaq R.A ne 27 jung ka byan kiya hai jisme se 11 jung huwe jisme Rasul Allah S.A.W. ne shirkat farmayi, baaqi jung ka taarikh announce hone ke baad aapsi salah mashwara se jung nahin huwa. Yeh 11 khas jung yeh hain.

      1. Ghazwah Al-Badr 17,19 Ramadhaan 2 A.H.
      2. Ghazwah Uhud 7-15 Shawwaal 3 A.H
      3. Ghazwah Al-Ahzaab (Khandaq) Shawwaal 4 or 5 A.H.
      4. Ghazwah Banu Quraizhah End of Zhul-Qidah 5 A.H.
      5. Ghazwah Banu Mustalaq
      6. Ghazwah Khayber Zhul-Hijjah 7 A.H.
      7. Ghazwah Muwtah Jumaad-ul-Awwal 8 A.H.
      8. Ghazwah Al-Fath 10 Ramadhaan 8 A.H
      9. Ghazwah Al-Hunain 10 Shawwal 8 A.H.
      10.Ghazwah Al-Autaas 8 A.H
      11. 8 A.H.






      Rest,
      aap log bhi batayen, takey zyadah se zyadah jaankari haasil ho sake.
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #48
        Re: ISLAM : Test Your Knowledge

        :jazak: spy,

        kya hum bari bari sab batlles key baarey mey jaan saktey hein? sirf in key main points key ye kyoon huwein ?
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #49
          Re: ISLAM : Test Your Knowledge

          Originally posted by barg.e.gul
          :jazak: spy,

          kya hum bari bari sab batlles key baarey mey jaan saktey hein? sirf in key main points key ye kyoon huwein ?
          Thanks Yellowsky

          Puri tarah se hamen to yaad nahin, but jitne ghazwah huwe wo Islam ke liye, Army Expedition ke liye, settlement ke liye waghairah waghairah

          Battle of Badr
          pehli jung thi Islam aur kafiron ke bich, yeh jung Makkah ko fatah karne ke liye huwa tha.

          Battle of Tabuk,
          Islam aur Byzantine army ke bich huwa jisme Byzantine army ki shikast huwi, aur Islam ka area barh gaya.

          Ghazwa Uhud,

          (Yeh Madina Sharif se lag bhag 8-9 km door hai, Main yeh jagah jaa kar dekha hoon, Uhud ke kaale kaale pahar dikhta hai, aur maidan aaj bhi halka surkh nazar aata hai, ek boundry bana kar fence kar diya gaya hai.)
          Rasool Allah S.A.W. ne Sahabaaon ko mana kiya tha ke jab tak dushman aagey naa aye, aap log aage naa jaye, lekin kuchh sahaba josh mein aa gaye aur aage chale gaye, kahte hain wahan per 17 sahab shahid huwe thay

          Ghazwah Khandaq,
          khandaq ka matlab "khaii (ditches)" yeh idea Salman Farsi r.a. ka tha. Madina sharif mein Muslims aur kuchh dusre logon ke bich jharpen huwi thi, jinme se ek Banu al nasir tha, un logon ko Madina se nikal diya jata hai, yeh log Makkah mein jaa kar Mohammad Rasulallah s.a.w. ke dushmano se milte hain, aur Ahzab tribes se milte hain jo din raat Islam aur Rasoolallah s.a.w. ko barbaad karne ke khwab dekh rahe thay, inhi ke bich Ghazwa Khandaq huwa.

          Ghazwah Hunayn
          Hawaazin aur Saqif, Makkah se lagbhag 200 km door Taif ke area mein region tha, wahan mostly Badu (dehati) log rahte thay, yeh to usual practice mein tha ke jo jagah Islam fatah karte wahan Rasoolallah s.a.w. khud jaa kar jayeza lete. Islamic social, moral, political aur religious ka dawat dete. Wahan ke badu inkaar kar diye, kahne lage ke apne tariqe se jiyenge nahin to jung.



          baaqi aur mujhe yaad nahin kitab dekhna parega, aur kisi mohtaram/mohatarma ko maaloom ho to braiye meharbani yehan roshni dalne.

          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #50
            Re: ISLAM : Test Your Knowledge

            Originally posted by Spy009
            Battle of Badr
            pehli jung thi Islam aur kafiron ke bich, yeh jung Makkah ko fatah karne ke liye huwa tha.


            Spy, jaisey aap ney uper mention kiya ....battle of badr 2A.h mey hui thi...
            Makkah 8 A.h mey fatha hua tha... :thmbup:


            2 A.h mey Allah T'ala ki taraf sey musalmano ko permission mil gai thi key wo jihad karein....(2:190)

            Abu sufyan Quraish ka aik leader tha jo key bohot Ameer(rich) bhi tha...wo Syria sey Makkah ki taraf wapas ja raha tha apney sodagari key maal (marchandise)sameyth.Us ney Quraish sey army talab ki kyon key us ka khayal tha key raastey mey musalmano sey ussey khatra ho sakta hai .Go ye ye khayal us ka apna tha.Quraish ney phir bhi army send ker di ..army ney Abu sufyan ko syria mey join kiya.Jab Abu sufyan ko ye mehsoos hua key ussey musalmano sey koi khatra nahi to us ney army ko wapas chaley jaaney ko kaha leykin army refused ...kuch leaders of Quraish jaisey Abu-jahl ney insist kiya key army ko madinah ki taraf move hona chahiye....


            Quraish ki army badr key maqaam per rooki jo key Madinah sey 800 km per hai.In ki army musalmano key muqbaley mey kafi strong thi(1000 men,large number of horses of horses and camels,sufficeint food)



            "O Allah! if this small band of men perish,there will be no one aliveto worship You,and Your faith will be destroyed forever"
            Allah T'ala ney dua qabool ki ...Quran mey hai(8:9)(3:13)(3:123) [plz check it yourself --the translation inshAllah ]

            Allah T'ala key reyham sey Musalmano ko Fatah hui.

            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #51
              Re: ISLAM : Test Your Knowledge

              Originally posted by barg.e.gul
              [/color][/b]

              Spy, jaisey aap ney uper mention kiya ....battle of badr 2A.h mey hui thi...
              Makkah 8 A.h mey fatha hua tha... :thmbup:


              2 A.h mey Allah T'ala ki taraf sey musalmano ko permission mil gai thi key wo jihad karein....(2:190)

              Abu sufyan Quraish ka aik leader tha jo key bohot Ameer(rich) bhi tha...wo Syria sey Makkah ki taraf wapas ja raha tha apney sodagari key maal (marchandise)sameyth.Us ney Quraish sey army talab ki kyon key us ka khayal tha key raastey mey musalmano sey ussey khatra ho sakta hai .Go ye ye khayal us ka apna tha.Quraish ney phir bhi army send ker di ..army ney Abu sufyan ko syria mey join kiya.Jab Abu sufyan ko ye mehsoos hua key ussey musalmano sey koi khatra nahi to us ney army ko wapas chaley jaaney ko kaha leykin army refused ...kuch leaders of Quraish jaisey Abu-jahl ney insist kiya key army ko madinah ki taraf move hona chahiye....


              Quraish ki army badr key maqaam per rooki jo key Madinah sey 800 km per hai.In ki army musalmano key muqbaley mey kafi strong thi(1000 men,large number of horses of horses and camels,sufficeint food)



              "O Allah! if this small band of men perish,there will be no one aliveto worship You,and Your faith will be destroyed forever"
              Allah T'ala ney dua qabool ki ...Quran mey hai(8:9)(3:13)(3:123) [plz check it yourself --the translation inshAllah ]

              Allah T'ala key reyham sey Musalmano ko Fatah hui.
              :jazak: Yellowsky

              Maine yeh padha tha "The Great battle of Badr" (17-19 Ramadhan, 2 Hijri), or "Conquest of Mecca" between believers and infidels.

              Many many thanks, and really I am feeling very happy ke yehan discussion se confusions door hote jaa rahe hain, aur zyadah se zyadah jaankari milti hai, issi liye main aur memberan hazrat se guzarish karta hoon ke apni apni elm ke mutabiq Islamic discussion karen.

              Once again shukriya Yellowsky for giving details of Ghazwa Badr, :insha: aur bhi jaankari ki baaten share ki jaayengi.

              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #52
                Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                ^koi masla nahi spy,
                mey inshAllah koshish kerti hun key baqi ghazwaat key baarey mey in detail likhon jin ka mujhey maloom hai inshAllah..
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #53
                  Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                  Originally posted by barg.e.gul
                  ^koi masla nahi spy,
                  mey inshAllah koshish kerti hun key baqi ghazwaat key baarey mey in detail likhon jin ka mujhey maloom hai inshAllah..
                  Jee zaroor likhiye
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • #54
                    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #55
                      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                      :jazak: Yellowsky,


                      shukriya Ghazwah Uhud ke byan karne, main samajhta hoon log isse padh kar zaroor faiyday uthayega.

                      Iss tarah ki informations deten rahen.

                      Hamesha Khush rahiye
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • #56
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #57
                          Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                          ye jo Jews families thien who settled at khyber kept on plotting against muslims

                          in key chiefs Makkah gaye and asked for help, Quraish in ki madad key liye raazi ho gaye is key ilawa aik do aur tribes bhi in ki madad per amaada ho gaye

                          In ki army jo key 10 thousand ki tadad mey thi aur in ka commandar Abu sufyan tha ...In logon ney Madinah ki taraf barhna shuru ker diya

                          Jab Hazrat Muhammad(s.a.w) key paas news ayi to unhon ney Sahaaba sey Mashwara kiya

                          Hazrat Salman Farshi (r.a) ney mashwara diya key khandaq khodi jaye

                          Pehley to Banu Quraiza ney Jews plus Quraish ki madad kerney sey inkaar ker diya magar baad mey inhon ney bhi Muslims key apni agreement khatam ker di is tarhan there was a mighty attack on Muslims from all sides.

                          Madinah key Munafeqeen(hypocrites) ney Hazrat Muhammad(s.a.w) sey ijazat li key inhein ghar jaaney diya jaye is excuse per key in key ghar mehfooz nahi hein. Quran-e-Paak mey hai (33:13)

                          Aik maheeney tak ye jaari raha aur jis dauraan Musalmano ko bohot si mushkilaat ka saamna kerna perha jaisey bhook payaas' sardi aur dhushmano ki taraf sey musalsal attack

                          Allah T'ala ney musalmano ki madad farmayi ... aik raat bohot zaur ki sard hawa chali jis sey dushman ney ghabra ker baaz aa gaye

                          Quran-e-paak mey Allah T'ala farmaaty hein(33:9)

                          This was the end of the aggressive power of the chiefs of Makkah.
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #58
                            Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                            :jazak:

                            Hamesha ki tarah SUPERB...:thmbup: :clap:

                            Allah swt aapko hamesh khoosh rakhe...:rose
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment


                            • #59
                              Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                              Originally posted by Spy009
                              Next Question:


                              1. Machhli (Fish) ko zabah (slaughter) karne ki zaroorat kyon nahin parti.

                              2. Mara huwa machhli (dead fish) bhi halal hai kyon...?
                              Asslamoalaikumk,
                              Islam aik complete deen hai. Halal aur Haram yeh Allah hi ki taraf se naazal ahkamaat hain, ham inn main yeh nahin keh sakte k hey cheez kion halal hai ya kion haram hai. Baat daleel ki ho gi jis cheez ke motaliq saabit ho jae k halal hai woh halal hai aur jis cheez ke motaliq mill jae k Allah aur uss ke Rasool ne isse haram kia hai woh haram hai.
                              Hala aur Haram ke maamle main aik baat yaad rakhen k sab cheezen halal hain uss waqat tak jab tak unn k haram hone ki daleel koi aur na ho. Aap ka ager aik cheez khane ko dil nahin kerta to alag baat hai. Lakin sirf kisi cheez k khane ka dil na kerne per usse haram nahin kaha ja sakta.
                              Abb aate hai aap ke masle ke motaliq,
                              Allah ne Quran main fermaia k muslims per murdar haram kia gaya hai (Al Mayada). Iss baat ka taqaza tha k her murdar haram hai chahe abb woh machli hi kion na ho. Lakin Allah ke Rasool s.a.w. ne sumander ke murdar ko iss hukam se alag bataia hai.
                              Nabi s.a.w. se aik aadmi ne sumander ke paani ke motaliq poocha to Aap s.a.w. ne farmaia, " Iss ka paani paak hai aur iss ka murdar halal hai" (Abu-Daood, Sunan-Tirmazi, Ibn-e-Maaja)
                              iss hadees ki roo se sumander ke woh jaanwer jo sirf sumander main hi zinda reh sakte hon ager woh bagair zibah kie mer bhi jaen tabb bhi halal hain.
                              Iss hadees ke elawa aur bhi ahadees milti hain jis main Allah ke Rasool s.a.w. ne machli ko zabah kie bagair khana halal qarar dia hai.
                              Wallah hu Aalam
                              wasalam

                              Comment


                              • #60
                                Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                                Originally posted by Spy009
                                Details jaan lena achcha hai...

                                btw maine www.Islam-qa.com mein question bheja hoon, hame lagta hai wahi reply ayega.

                                Mera question ka maqsad yeh tha ke kuchch chizon ko ham halal kah ke kha lete hain...lekin kya wo sach mein halal hai ya log apni zati fayeda ke liye halal kahta hai. Maslan school of Shaafi kahte hain ke wahi fish khani chahiye jiske jism mein scale hota hai, School of hanfi kahte hain ke samundar ke har chiz halal hai. Abhi maine www.IslamOnline ke fatwa section mein parha ke ek saudi aalim ka fatwa hai ke Alligator (magarmachch, ghariyal) bhi halal...mere khyal se aadam khor jaanwar halal nahin hai, Maine to bahut logon ko Crab, Octopus, shark, aur whale bhi khate dekha...shhhhh...(sun ke to vomit aata hai)....

                                kuchch chizen aisi hai jo ghalat hai...bareeki se dhyan de to pata chalta hai.
                                Asslamoalaikum,
                                Tehqeeq achi baat hai. Hamen waqai yeh tehqeeq zaroor kerni chahiye ke ham jo Aqeedah rakhte hain, jo ibaadaat kerte hain, jis ko halal ya haram jaante hain, uss ka saboot Quran-o-Sunnat se milta hai ke nahin.
                                Main ne upper aik Hadees naqal ki hai ke, "sumander ka murdar halal hai". Iss hadees main unn logon k liye daleel mojood hai jo sumander ke her jaanwer ko halala qarar dete hain sawae unn cheezon k jin ki doosri hadees main mana mojood hai yah woh jo asal main sumander ke jaanwer hi nahin.
                                Jaise Aadem khor sumanderi jaanwer, saanp aur aisi doosri cheezain jo sumander se bahir bhi zinda reh sakti hain lahaza woh iss hadees ke tehet nahin.
                                Aik aur baat yeh kehna chahoon ga ke aalimon se zaroor poochen lakin uss ki baat ko tasleem daleel se hi karen. ager aik aalam ke paas apne masle ki koi sahih daleel nahin to usse sirf apne maslak ke lie pakar ker nahin bethe rehna chahiye bal k Allah aur uss ke rasool s.a.w. ki ataat per ser ko jhuka dena chahiye. Wallah hu Aalam.

                                Comment

                                Working...
                                X