Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ISLAM : Test Your Knowledge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

    jee spy main ney bi yahi suna hoa hay
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

    Comment

    • #17
      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

      Originally posted by handsome
      yani Muhammad Birth day banata hay
      asslam alaikum

      bhai jee aap ne sirf Mohammed likha hai. yahan mai aik hadees ka mafhoom likhna chahoonga, "jis ne bhi mera naam suna aur salaam nahi bheji woh sab se bara bakheel hai".

      membran se guzarish hai ke sirf Mohammed na likhein balkay saath Sallallaho Alaihe Wa Sallam bhi likha karen.

      taalib e dua
      jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
      yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

      Comment

      • #18
        Re: ISLAM : Test Your Knowledge

        Originally posted by Aanchal
        Hadees main hai kay Hazrat Omar farmatay hain kay Hajre aswad Noorani tha logoun kay hath or boosay deenay or ghunahoun say kala hoo gia hai ...
        assalam alaikum

        mere khyaal me yeh hadees nahi hai.

        hajr e aswad ko mukhatib karkay Hazrat Umar Radhi Allah Anh ne farmaya tha, jis ka mafhoom kuchh yoon hai, "mai jaanta hoon ke tu sirf aik patthar hai jo na to kisi ko faida pahoncha sakta hai aur na hi nuqsan. agar mai ne Rasool Sallallaho Alaihe Wa Sallam ko tujhay bosa dete huay nahi dekha hota to mai bhi tujhay kabhi bosa nahi deta". Wallaho Alam

        taalib e dua
        jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
        yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

        Comment

        • #19
          Re: ISLAM : Test Your Knowledge

          Originally posted by zahid

          hmmm main nay jahan say parha hai vohan hadees hi likha hai ....ok ji is pay mazeed search karain gay :rose

          Next question kahan hai :)
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment

          • #20
            Re: ISLAM : Test Your Knowledge

            assalam alaikum

            Hadees sirf Rasool Sallallaho Alaihe Wa Sallam ki farmayee hui baaton ko kaha jata hai.

            taalib e dua
            jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
            yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

            Comment

            • #21
              Re: ISLAM : Test Your Knowledge

              Originally posted by zahid
              assalam alaikum

              Hadees sirf Rasool Sallallaho Alaihe Wa Sallam ki farmayee hui baaton ko kaha jata hai.

              taalib e dua

              ji ji hadees Hazoor(p.b.u.h) ki kahaye hovey farmaan hi ko kehtay hain....main yeh kehna cha rahi the ki hoo sakta hai un ki hadees bhi hoo Hajr e asad kay baray main ?
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #22
                Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                Originally posted by Aanchal
                ji ji hadees Hazoor(p.b.u.h) ki kahaye hovey farmaan hi ko kehtay hain....main yeh kehna cha rahi the ki hoo sakta hai un ki hadees bhi hoo Hajr e asad kay baray main ?
                kyoon na Aanchal tum is hadees ki source deykh ker yahan post ker do :)
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #23
                  Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                  Originally posted by barg.e.gul
                  kyoon na Aanchal tum is hadees ki source deykh ker yahan post ker do :)
                  hajar e aswad kay baray main hadees dhoundoun gee to source bataoun gee na :) jahan say abhi likha hai is main source nahi likhi the ...yeh aik book say paraha tha Qisasul Ambia...
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #24
                    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                    Ek Sawaal

                    Aap log rozana namaz mein kitni kitni rakatein namaz ada karte hain.

                    maslan

                    1. Fajr 2+2 = 4 rakat
                    2. Zohar 12 rakat
                    3. Asar 4 rakat
                    4. Maghreb 3+2+2
                    5. Isha 17 rakat

                    Kya itni rakatein aap log ada karte hain, Main itni rakatein ada nahin karta, jo farz hai, sunnate muekada, aur wajib vitr yehi main ada karta hoon,
                    kya yeh sahi hai ya ghalat,

                    Aap apne baare mein bhi batayen...
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #25
                      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                      Originally posted by Spy009

                      Farz ada na keye jaian tab ghuna hota hai ...sunnat or nafal na parhaye jaye is say ghuna to nahi hota , agar parhaye jaian gay to zaida saawab millaye ga ....

                      hamari teacher nay bhi ham say yeh kaha tha agar aap kay paas zaida time nahi hota busy rehtay hoo to poori namaaz nahi parh saktay to farz zaror parh lia karoo ....
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #26
                        Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                        Fajr=2 sunnah plus 2 fardh

                        Zuher=4 sunnah plus 4 fardh plus 2 sunnah plus 2 nafl
                        Asr= 4 fardh
                        Magrib=3 fardh plus 2 sunnah
                        Isha=4+2+3

                        Fardh to perhni hi perhni chahiyein magar sunnah bhi hamein zaroor perh leyni chahien kyoon key ahadees mey in ki bohot fazeelat ayi hai

                        Allah behtar jaanta hai
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #27
                          Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                          Originally posted by Aanchal
                          Farz ada na keye jaian tab ghuna hota hai ...sunnat or nafal na parhaye jaye is say ghuna to nahi hota , agar parhaye jaian gay to zaida saawab millaye ga ....

                          hamari teacher nay bhi ham say yeh kaha tha agar aap kay paas zaida time nahi hota busy rehtay hoo to poori namaaz nahi parh saktay to farz zaror parh lia karoo ....
                          Clear ho gaya...

                          Thanks Aanchal
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment

                          • #28
                            Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                            Originally posted by barg.e.gul
                            Fajr=2 sunnah plus 2 fardh

                            Zuher=4 sunnah plus 4 fardh plus 2 sunnah plus 2 nafl
                            Asr= 4 fardh
                            Magrib=3 fardh plus 2 sunnah
                            Isha=4+2+3

                            Fardh to perhni hi perhni chahiyein magar sunnah bhi hamein zaroor perh leyni chahien kyoon key ahadees mey in ki bohot fazeelat ayi hai

                            Allah behtar jaanta hai
                            Farz to kisi bhi halat mein nahin chhorni chahiye, chhorne se guna hai, saath bhi sunnate muekadah nahin chhorni chahiye, jise parh lene se swaab hai,

                            uper jitne aap ne likhe utni rakatein main bhi parhta hoon zohar mein itna nahini 4+2 only

                            Thanks Yellow
                            information faraham karne ka
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #29
                              Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                              Next Question:

                              1. Machhli (Fish) ko zabah (slaughter) karne ki zaroorat kyon nahin parti.

                              2. Mara huwa machhli (dead fish) bhi halal hai kyon...?
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              • #30
                                Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                                Originally posted by Aanchal
                                hmmm acha thread hai :thmbup: agar sahi taraha say chalayaa jaye jaisa kay is ka maqsad hai to kafi maloomat hasil ki ja sakti hain is say ....

                                agar aik aik kar kay sawal kia jata to dhoundnay main asani hoti :)

                                acha jitna mujhay abhi pata hai main woh bata daiti houn ..or jo nahi pata us key leye kahi say dhound loun gee search kar kay :rose

                                A1...Hazrat Khadeeja (R.A) ki khawaish par un ka nikha hazoor (p.b.u.h) tay hova.. Khutab-e-nikha aap kay chacha AbuTalib nay paraha....

                                2A.. jahan say main nay parha hai us kay mutabiq Hazoor (p.b.u.h) ki 11 biviyan the aik jaga 13 bhi parha tha

                                1.Hazrat Khadija (R.A)

                                2.Hazrat Sooda (R.A)

                                3.Hazrat Aisha (R.A)

                                4.Hazrat hafsa (R.A)

                                5.Hazrat Zainab Bint Khazema (R.A)

                                6.Hazrat umm-e-salma (R.A)

                                7.Hazrat Zaiban Bint Hajsh (R.A)

                                8.Hazrat Habiba (R.A)

                                9.Hazrat Safia (R.A)

                                10.Hazrat Memona (R.A)

                                11.Hazrat Maria Qabteya (R.A)

                                3A..musalmanoun kay 2 hi festival hain
                                Eid ul Fitar
                                Eid ul Adha

                                baki festival nahi hai laken loog unhaye khud hi tehwaar kay toor pay mana laytay hain ..

                                4A...Hazrat Khadeeja say aap kay 2 beetay they
                                "Qasim" or "Abdullha"

                                yeh bachpan hi main fout hoo gay they ...
                                baray beetay kay naam say aap ki kuneyat "Abu al Qasim" mashoor hai ....
                                aap ki 4 beetiyan thein

                                Sayeda Zainab (r.a)
                                Sayeda Ruqeya(r.a)
                                Seyada Um Qulsoom(r.a)
                                Seyada Fatima (r.a)

                                jin main say pehli Hazrat Abu al Ass(r.a) say or doosri or tesri Hazrat Usmaan(r.a) say beyahi gain .... or Hazoor(p.b.u.h) ki hayaat hi main rehlat farma gain .......chouti Hazrat Fatima ka nikha Hazrat Ali(r.a) say hova.....or app ki wafaat kay 6 mah bad un ka bhi nteqaal hoo gia ..

                                5A..Hazrat Younas alahe salam ko machli nay nigal lia tha ...

                                Aanchal, aap aik correction kar dijiye plz, shayed taizi se likhtay huye aap ne spellings aagay peechay kar diye hein, ummhat ul momneen ki jo list aap ne di hey uss mein #7 drust nhi hey. Aap ne
                                7.Hazrat Zaiban Bint Hajsh (R.A)
                                likha hey jub k drust nam HAZRAT ZAINUB BINT E JAHSH hey.

                                Comment

                                Working...
                                X