Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ISLAM : Test Your Knowledge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ISLAM : Test Your Knowledge

    Main yehaN iss thread meiN kuchh Islam ke baare meiN basic knowledge jama'a karna chahta hooN,

    1.) Sawal maiN karooN yaa aap (koi bhi)
    2.) Jawab agar mujhe ma'aloom hai to bataoNga, agar nahiN to koi
    Mohtram/Mohtarma batayeN.

    Questions:

    1.) Prophet Mohammad s.a. ko 40 saal ke umr meiN naboowat mili, Prophet Mohammad (s.a.) ki 25 saal ke umr meiN 40 sala Khadija r.a. ke saath shaadi (nikah) huwa, Islam ke qabal unka shaadi kis tariqe se huwa...?

    2.) Actual meiN Mohammad s.a. ki kitni ahaliya (wives) theiN, kahin maiN 4 paRhta hooN, kahiN 8, jabke Madina sharif ke Janatte baqi meiN maiN ne 4 qabroN ki nishani ko dekha, nishani clear nahiN hai, maiN kisi se puchcha bhi nahiN yeh soch kar k shayad meri tarah kam elm wala wo bhi ho. Jabke Khadija r.a. ka qabra Makkah meiN hai.

    3.) Musalman kitne festival celebrate karte haiN. Hamare India, Pakistan meiN log Shab-e-barat, Id Milad un Nabi, aur Muharram ko bhi festival ki tarjih dete haiN...kahaN tak sach hai yeh ?

    4.) Huzur Mohammad Rasool s.a. ke kitne bete aur kitni betiyaN theiN. Aap (s.a.) ke sahabzaadiyoN ka nikah kis sahaba'On ke saath huwa ?

    5.) Kis paiGhambar ko Whale nigal gaya tha...?

    Jawab dene wale bhai bahan wo bhi apni sawal rakheN, lekin jawab mukammal hone ke baad kahiN aisa na ho ko 2-3 jawab diye aur phir naya sawal uTh gaya, iss se thread ka sisilewar toot jayega...

    :jazak: :rose

    Shukriya

    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

  • #2
    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

    1:- nahi maloom, us waqt key arab tradition key mutabik hi hoi ho gi ....
    2:-Muhammad(s.a.w) ki 13 wives thien (Hazrat Khadija,Sawda,Aisha,Hafsa,Zainab bint Khuzaimah,Umm-e- salma,Zainab bint Jahsh,Jawairiyah bint Haris,Umm-e-Habiba,Safiyah,Maimunah bint Haris,Rehana bint Sh'amoon,Maria Qibtia.
    3:-Musalmano key liye sirf do festival hein aur wo hain dono Eidein
    4:-Muhammad(s.a.w) key 2 beytey aur 4 beytiyan thien,
    5:-Hazrat Yunus(a.s)
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

      Originally posted by barg.e.gul

      :jazak:
      Barg-e-gul tussi great...
      A lot of thanks k itne kam waqt meiN aapne jawab diya...Allah (swt) se yeh duwa karta hooN ke aap ke elm meiN aur azaafa ho.

      No. 4 ka sawal
      Maine yeh paRha ke Mohammad s.a.w. ke 3 bete thay Ibrahim, Al Qasim aur Abdullah.

      Thanks once again
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment

      • #4
        Re: ISLAM : Test Your Knowledge

        hmmm acha thread hai :thmbup: agar sahi taraha say chalayaa jaye jaisa kay is ka maqsad hai to kafi maloomat hasil ki ja sakti hain is say ....

        agar aik aik kar kay sawal kia jata to dhoundnay main asani hoti :)

        acha jitna mujhay abhi pata hai main woh bata daiti houn ..or jo nahi pata us key leye kahi say dhound loun gee search kar kay :rose

        A1...Hazrat Khadeeja (R.A) ki khawaish par un ka nikha hazoor (p.b.u.h) tay hova.. Khutab-e-nikha aap kay chacha AbuTalib nay paraha....

        2A.. jahan say main nay parha hai us kay mutabiq Hazoor (p.b.u.h) ki 11 biviyan the aik jaga 13 bhi parha tha

        1.Hazrat Khadija (R.A)

        2.Hazrat Sooda (R.A)

        3.Hazrat Aisha (R.A)

        4.Hazrat hafsa (R.A)

        5.Hazrat Zainab Bint Khazema (R.A)

        6.Hazrat umm-e-salma (R.A)

        7.Hazrat Zainab Bint Hajsh (R.A)

        8.Hazrat Habiba (R.A)

        9.Hazrat Safia (R.A)

        10.Hazrat Memona (R.A)

        11.Hazrat Maria Qabteya (R.A)

        3A..musalmanoun kay 2 hi festival hain
        Eid ul Fitar
        Eid ul Adha

        baki festival nahi hai laken loog unhaye khud hi tehwaar kay toor pay mana laytay hain ..

        4A...Hazrat Khadeeja say aap kay 2 beetay they
        "Qasim" or "Abdullha"

        yeh bachpan hi main fout hoo gay they ...
        baray beetay kay naam say aap ki kuneyat "Abu al Qasim" mashoor hai ....
        aap ki 4 beetiyan thein

        Sayeda Zainab (r.a)
        Sayeda Ruqeya(r.a)
        Seyada Um Qulsoom(r.a)
        Seyada Fatima (r.a)

        jin main say pehli Hazrat Abu al Ass(r.a) say or doosri or tesri Hazrat Usmaan(r.a) say beyahi gain .... or Hazoor(p.b.u.h) ki hayaat hi main rehlat farma gain .......chouti Hazrat Fatima ka nikha Hazrat Ali(r.a) say hova.....or app ki wafaat kay 6 mah bad un ka bhi nteqaal hoo gia ..

        5A..Hazrat Younas alahe salam ko machli nay nigal lia tha ...
        Last edited by .; 12 July 2005, 23:06.
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5
          Re: ISLAM : Test Your Knowledge

          No prob. spy
          thanks Aanchal for participating ...ye thread waqai bohot acha rahey ga in gaining islamic knowledge inshAllah.
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: ISLAM : Test Your Knowledge

            Originally posted by Aanchal
            hmmm acha thread hai :thmbup: agar sahi taraha say chalayaa jaye jaisa kay is ka maqsad hai to kafi maloomat hasil ki ja sakti hain is say ....

            agar aik aik kar kay sawal kia jata to dhoundnay main asani hoti :)

            acha jitna mujhay abhi pata hai main woh bata daiti houn ..or jo nahi pata us key leye kahi say dhound loun gee search kar kay :rose

            2A.. jahan say main nay parha hai us kay mutabiq Hazoor (p.b.u.h) ki 11 biviyan the aik jaga 13 bhi parha tha

            1.Hazrat Khadija (R.A)

            2.Hazrat Sooda (R.A)

            3.Hazrat Aisha (R.A)

            4.Hazrat hafsa (R.A)

            5.Hazrat Zainab Bint Khazema (R.A)

            6.Hazrat umm-e-salma (R.A)

            7.Hazrat Zaiban Bint Hajsh (R.A)

            8.Hazrat Habiba (R.A)

            9.Hazrat Safia (R.A)

            10.Hazrat Memona (R.A)

            11.Hazrat Maria Qabteya (R.A)

            3A..musalmanoun kay 2 hi festival hain
            Eid ul Fitar
            Eid ul Adha

            baki festival nahi hai laken loog unhaye khud hi tehwaar kay toor pay mana laytay hain ..

            4A...Hazoor kay beetay paida hovey they laken woh bachpan hi main fout hoo gay they .....

            5A..Hazrat Younas alahe salam ko machli nay nigal lia tha ...

            Shukriya Aanchal...:rose exactly nice answers
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: ISLAM : Test Your Knowledge

              Hijre Aswad

              Hijre (patthar)
              Aswad (black)

              yeh patthar Khana ka'aba ke ek kone se fixed hai, jo log Ka'aba sharif ka tawaf karte haiN, unheN pehle iss patthar ko bosa dena hota hai, aur har chakkar meiN lekin aaj kal itni bhiR hoti hai ke mumkin nahiN iss liye haath uTha kar qayas karte haiN aur tawaf karte haiN. Kahte haiN yeh patthar Hijre Aswad jannat se aaya hai, iska rang barf ke manend safed tha lekin mushrikin (idolators) ke gunah se yeh syah ho gaya. Ye Hijre Aswad Allah ta'ala ke paas gawahi dega k koun koun shaKhs Khana Ka'aba ka tawaf (umrah, Hajj) kiya.

              Question:

              1.) Actual meiN iss Hijre Aswad ki kya kahani hai, kitne saal qabal yeh patthar zamin pe aaya, kis peGhambar ke zamane meiN.

              kisi sahab/sahiba ko tafsilaat maaloom to barai meharbani yehaN roshni daleN, jitna bhi maaloom ho, please batayeN.
              shukriya
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment

              • #8
                Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                Originally posted by Spy009
                Main yehaN iss thread meiN kuchh Islam ke baare meiN basic knowledge jama'a karna chahta hooN,

                1.) Sawal maiN karooN yaa aap (koi bhi)
                2.) Jawab agar mujhe ma'aloom hai to bataoNga, agar nahiN to koi
                Mohtram/Mohtarma batayeN.

                Questions:

                1.) Prophet Mohammad s.a. ko 40 saal ke umr meiN naboowat mili, Prophet Mohammad (s.a.) ki 25 saal ke umr meiN 40 sala Khadija r.a. ke saath shaadi (nikah) huwa, Islam ke qabal unka shaadi kis tariqe se huwa...?

                2.) Actual meiN Mohammad s.a. ki kitni ahaliya (wives) theiN, kahin maiN 4 paRhta hooN, kahiN 8, jabke Madina sharif ke Janatte baqi meiN maiN ne 4 qabroN ki nishani ko dekha, nishani clear nahiN hai, maiN kisi se puchcha bhi nahiN yeh soch kar k shayad meri tarah kam elm wala wo bhi ho. Jabke Khadija r.a. ka qabra Makkah meiN hai.

                3.) Musalman kitne festival celebrate karte haiN. Hamare India, Pakistan meiN log Shab-e-barat, Id Milad un Nabi, aur Muharram ko bhi festival ki tarjih dete haiN...kahaN tak sach hai yeh ?

                4.) Huzur Mohammad Rasool s.a. ke kitne bete aur kitni betiyaN theiN. Aap (s.a.) ke sahabzaadiyoN ka nikah kis sahaba'On ke saath huwa ?

                5.) Kis paiGhambar ko Whale nigal gaya tha...?

                Jawab dene wale bhai bahan wo bhi apni sawal rakheN, lekin jawab mukammal hone ke baad kahiN aisa na ho ko 2-3 jawab diye aur phir naya sawal uTh gaya, iss se thread ka sisilewar toot jayega...

                :jazak: :rose

                Shukriya
                Sab nay sawal kay jawa btheek hi diya hain :rose may sawal number 3 ko zara exlane kerna chahraha tha wo ya kay Muslamnao kay sirf or sirf do hi tehwar hain or wo hain Eidain or baqo ki jo chezain hain ISlam nay in chezo ki ijazat nahi di or ager koi ahtaram may dosri chezain yani Muhammad Birth day banata hay ya or bhi kuch to yaad rahay in chezo ka sawab nahi hota kun kay ISlam nay asi hi chezo say hu msab ko roka hay :rose or asy tehwar sirf Pak Ind My manay jatay hain or kahi nahi banay jatay :rose
                http://www.genericviagra2015shop.com/

                Comment

                • #9
                  Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                  Originally posted by Spy009
                  Hijre Aswad

                  1.) Actual meiN iss Hijre Aswad ki kya kahani hai, kitne saal qabal yeh patthar zamin pe aaya, kis peGhambar ke zamane meiN.

                  kisi sahab/sahiba ko tafsilaat maaloom to barai meharbani yehaN roshni daleN, jitna bhi maaloom ho, please batayeN.
                  shukriya

                  Khana kaba ki bunyaad pehli zeqad ko shuru hove or 25 zeqad ko khutem hove ...or Ibrahim (a.s) or ibharhim jis pathar pay kharaay hoo kay kaba banatay they woh pathar or Hajr-e-aswad donoo Adam(a.s) kay sath Janat say aye they ...is pathar par Hazrat Ibhrim(a.s) kay qadmoun kay nishan munqish hoo gay they ...Hajre aswad or maqam-e-Ibrahim walye pathar ko qeyamat walye din zaban or ankhian or lab deye jaian gay
                  buland awaaz say Namaaz or Tawaaf Haj gawahi dain gay..Kahana kaba banay kay bad isi pathar pay kharay hoo kar Ibhrim (a.s) Haj ka elan bhi kartay they ....
                  kahana kaba ki bina jab Qad Adam tak hoo gai to ibhraim(a.s) nay
                  Ismail(a.s) say farmaya kay koi aisa bara pathar laoo kay main us par
                  khara hoo kay dewwar banaoun ....jab ismail(a.s) aisay baray pathar ki talash main gay to rastay main Hazrat Jibreel(a.s) a gay kay main tujhaye 2 baray pathar deekhta houn yeh nikal kar lay ja..aik pathar apnay kharray honay key leye or aik Hajr-e-aswad kahana kaba main lagaoo takay Tawaaf karnay walye is ko boosa dain pher tawaaf karain ...

                  Hazrat ismail(a.s) nay woh pathar niklaye or jibreel(a.s) bhi sath aye or Ibrhim(a.s) ko jaga deekhai jahan Hajr-e-aswad kolagana tha ..or maqame Ibhrim wala pathar jitni emarat buland hoti jati woh bhi buland hota jata tha....Hajre asawad chamkta tha ...us ki Roushnee jahan tak pounchi woh Haram shareef ki had muqarar hoo gai ...is hadood main
                  Ibrehm(a.s) nay nishaan laga deye ......
                  Hadees shareef maina ya hai kay Rukan e emani or maqami Ibhrem Jnat kay doo Yaqoot main inka Noor Allaha tala nay mehaw kar dia hai warna mashriq or maghrib ko roushan kar daytay .....
                  Hadees main hai kay Hazrat Omar farmatay hain kay Hajre aswad Noorani tha logoun kay hath or boosay deenay or ghunahoun say kala hoo gia hai ...
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                    :)
                    ---
                    Attached Files
                    That's Enough...!!

                    Comment

                    • #11
                      Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                      Originally posted by barg.e.gul
                      1:- nahi maloom, us waqt key arab tradition key mutabik hi hoi ho gi ....
                      2:-Muhammad(s.a.w) ki 13 wives thien (Hazrat Khadija,Sawda,Aisha,Hafsa,Zainab bint Khuzaimah,Umm-e- salma,Zainab bint Jahsh,Jawairiyah bint Haris,Umm-e-Habiba,Safiyah,Maimunah bint Haris,Rehana bint Sh'amoon,Maria Qibtia.
                      3:-Musalmano key liye sirf do festival hein aur wo hain dono Eidein
                      4:-Muhammad(s.a.w) key 2 beytey aur 4 beytiyan thien,
                      5:-Hazrat Yunus(a.s)

                      Tamam bahanon or bhaion say darkhwast hay k Sahaba Karaam k naam liktay waqt Ridiallahu anhu ya anha zaroor lika karain.
                      Wassalam.
                      :rose MUHAMMADI

                      Comment

                      • #12
                        Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                        :)
                        ---
                        Jazak Allah bahi bohot achi malumaat dee hain aap nay.
                        :rose MUHAMMADI

                        Comment

                        • #13
                          Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                          Shurkiya Aanchal hijraye aswad key baarey mey bataney keyliye ... mujhey is baarey mey thora bohot maloom tha magar itna tafseel sey nahi jaanti thi ...

                          Shukriya ScorpioN_RulzZ
                          hamari maloomat mey izafa kerney key liye

                          hazratg
                          inshAllah ainda khayal rakhein gey
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #14
                            Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                            Originally posted by Aanchal
                            Khana kaba ki bunyaad pehli zeqad ko shuru hove or 25 zeqad ko khutem hove ...or Ibrahim (a.s) or ibharhim jis pathar pay kharaay hoo kay kaba banatay they woh pathar or Hajr-e-aswad donoo Adam(a.s) kay sath Janat say aye they ...is pathar par Hazrat Ibhrim(a.s) kay qadmoun kay nishan munqish hoo gay they ...Hajre aswad or maqam-e-Ibrahim walye pathar ko qeyamat walye din zaban or ankhian or lab deye jaian gay
                            buland awaaz say Namaaz or Tawaaf Haj gawahi dain gay..Kahana kaba banay kay bad isi pathar pay kharay hoo kar Ibhrim (a.s) Haj ka elan bhi kartay they ....
                            kahana kaba ki bina jab Qad Adam tak hoo gai to ibhraim(a.s) nay
                            Ismail(a.s) say farmaya kay koi aisa bara pathar laoo kay main us par
                            khara hoo kay dewwar banaoun ....jab ismail(a.s) aisay baray pathar ki talash main gay to rastay main Hazrat Jibreel(a.s) a gay kay main tujhaye 2 baray pathar deekhta houn yeh nikal kar lay ja..aik pathar apnay kharray honay key leye or aik Hajr-e-aswad kahana kaba main lagaoo takay Tawaaf karnay walye is ko boosa dain pher tawaaf karain ...

                            Hazrat ismail(a.s) nay woh pathar niklaye or jibreel(a.s) bhi sath aye or Ibrhim(a.s) ko jaga deekhai jahan Hajr-e-aswad kolagana tha ..or maqame Ibhrim wala pathar jitni emarat buland hoti jati woh bhi buland hota jata tha....Hajre asawad chamkta tha ...us ki Roushnee jahan tak pounchi woh Haram shareef ki had muqarar hoo gai ...is hadood main
                            Ibrehm(a.s) nay nishaan laga deye ......
                            Hadees shareef maina ya hai kay Rukan e emani or maqami Ibhrem Jnat kay doo Yaqoot main inka Noor Allaha tala nay mehaw kar dia hai warna mashriq or maghrib ko roushan kar daytay .....
                            Hadees main hai kay Hazrat Omar farmatay hain kay Hajre aswad Noorani tha logoun kay hath or boosay deenay or ghunahoun say kala hoo gia hai ...
                            Salam
                            Aanchal !

                            hamen lagta hai jitna bhi Shukriya ada karooN kam hoga...really mujhe Hijre Aswad ke baare meiN bahut kam jaankari thi...aapne ne ismein azafa kiya.

                            Thanx a lot for giving more information
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #15
                              Re: ISLAM : Test Your Knowledge

                              Maine ek a'alim se suna wo kah rahe thay ke

                              Question:
                              "Khana ka'aba ki tawaf karte waqt Khana ka'aba pe nazar nahiN paRni chahiye".
                              sirf Hijre Aswad ko bosa dene waqt ya wahan k line pe khaRe hone aur Allah O Akbar Wa Lillah Al Hamd kahne waqt jab muRte haiN to nazar paRti hai, iske alawa tawaf k waqt nazar nahiN paRni chahiye.

                              kya yeh sach hai...ke tawaf ke waqt Khana ka'aba pe nazar nahiN paRni chahiye...

                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              Working...
                              X